Logo

~~~oLdie GoLdie~~~

paki version bhi hai
hum nay nahin suna

Posted on 5/3/2005 11:57:55 PM

janaab.. ye india ne humara song e copy kiya hey...


Posted on 5/4/2005 12:02:41 AM

Mujhe niind na aae, mujhe chain na aae
koii jaae zaraa dhuundh ke laae
na jaane kahaan dil kho gayaa
na jaane kahaan dil kho gayaa

Mujhe niind na aae, mujhe chain na aae
koii jaae zaraa dhuundh ke laae
na jaane kahaan dil kho gayaa
na jaane kahaan dil kho gayaa

Haalat kyaa hai kaise tujhe bataauun main
Karavat badal-badal ke raat bitaauun main
Puuchho zaraa puuchho kyaa haal ha
Haal meraa behaal hai
Koii samajh na paae kyaa rog sataae
Koii jaae zaraa dhuundh ke laae
Na jaane kahaan ...

Jaan se bhii pyaaraa mujhako meraa dil hai
Usake binaa ek pal bhii jiinaa mushkil hai
Taubaa merii taubaa kyaa dard hai
Dard badaa be-dard hai
Kabhii mujhako hansaae, kabhii mujhako rulaae
Koii jaae zaraa dhuundh ke laae
Na jaane kahaan ...


Posted on 5/4/2005 5:17:23 AM

it seems Madhuri aapko pasand hey...

Posted on 5/4/2005 10:21:31 AM

lo jee...ithay wohi third class songs shuru ho gaye...yaar..cant you guyz think beyond such music????

Posted on 5/4/2005 2:06:43 PM

straight g,her insaan ki apni choice hoti hey aor her insaan k liye e uski choice important hoti hey...

aap ko jo songs pasand hain, u r more than welcome to post here,,


Posted on 5/4/2005 5:51:17 PM

aap se pyaar huaa jaataa hai
khel dushvaar huaa jaataa hai

tum ne kyuu.N pyaar se dekhaa mujh ko     
dard bezaar huaa jaataa hai

dil jo har qaid se ghabaraataa thaa,
Kud hii giraftaar huaa jaataa hai

Posted on 5/4/2005 6:19:12 PM

tuu is tarah se merii zi.ndagii me.n shaamil hai
jahaa.N bhii jaauu.N ye lagataa hai, terii mahafil hai

ye aasamaan ye baadal ye raaste ye havaa
har ek chiiz hai apanii jagah Thikaane pe
ka_ii dino.n se shikaayat nahii.n zamaane se
ye zi.ndagii hai safar tuu safar ki ma.nzil hai,
jahaa.N bhii ...

har ek phuul kisii yaad saa mahakataa hai
tere khayaal se jaagii huii fizaae.n hai.n
ye sabz pe.D hai.n yaa pyaar kii duaae.n hai.n
tuu paas ho ki nahii.n phir bhii tuu mukaabil hai,
jahaa.N bhii ...

har ek shay hai muhabbat ke nuur se roshan
ye roshanii jo naa ho zi.ndagii adhuurii hai
raah-e-vafaa me.n koii hamasafar zaruurii hai
ye raastaa kahii.n tanahaa kaTe to mushkil hai,
jahaa.N bhii ...



tere bagair jahaa.N me.n koii kamii sii thii
bhaTak rahii thii javaanii a.ndherii raaho.n me.n
sukuun dil ko milaa aa ke terii baaho.n me.n
mai.n ek khoI huii mauj huu.N tuu saahil hai,
jahaa.N bhii ...

tere jamaal se roshan hai kaayanaat merii
merii talaash terii dilakashii rahe baakii
khudaa kare ki ye diivaanagii rahe baakii
terii vafaa hii merii har khushii kaa haasil hai,
jahaa.N bhii ...

Posted on 5/4/2005 6:23:50 PM

subha...

ye songs kahan se liye hain.. i mean if u know movie and singer?


Posted on 5/4/2005 7:21:22 PM

thanx

aap se pyaar
Movie Name: Shama
Singer: Suraiyya


tuu is tarah
Movie Name: Aap To Aise Na The
Singers: Hemlata, Mohammad Rafi




Posted on 5/4/2005 7:56:50 PM


Posted on 5/4/2005 8:02:30 PM

Doctor Sam:
it seems Madhuri aapko pasand hey...


yes yes..
Madhuri meri pasand me se ek hai

Posted on 5/4/2005 11:02:04 PM


Posted on 5/5/2005 2:19:50 AM

yo i love this song by Kishore Kumar. its a movie wit AB

rim-jhim gire saavan, sulag sulag jaae man
bhiige aaj is mausam mein, lagii kaisii ye agan

Posted on 5/5/2005 3:37:22 AM

Tumhain kese bata doon
tum meri manzil ho
jisay dhoonda hey nazron ne
wo hi masoom sa dil ho...

Old Pakistani song

Posted on 5/5/2005 5:42:29 AM

I don't know anything about paki songs
but i love the wordings of that song Doc. jee

Posted on 5/5/2005 7:34:21 AM

Dhiire Dhiire Pyar Ko BaDhana Hai
Had Se Guzar Jana Hai
Mujhe Bas Tujhase Dil Lagana Hai
Had Se Guzar Jana Hai

Aisi Zindagi Hogi, Har Taraf Khushi Hogi
Itana Pyar DuuNga Tujhe, Ai Mere Sanam
Ab Na Koi Gam Hoga, Na Ye Pyar Kam Hoga
Saathi Mere Mujhako Tere Sar Ki Hai Qasam
Ik Duusare Ko Aazamaana Hai
Had Se Guzar Jana Hai

MaiN Akela Kya Karata, Aise Hi AaNhe Bharata
Tere Pyar Ke Liye, TaDapata Umr Bhar
Jaane Kya MaiN Kar Jaati, YuuN TaDap Ke Mara Jaati
Bin Tere Bhala Kaise, Katata Ye Safar
Tere Liye Mar Ke Bhi Dikhaana Hai
Had Se Guzar Jana Hai

Tera ChaaNd Sa MukhaDa, Tu Jigar Ka Hai TukaDa
Tu Hamare SapanoN Ki Jhiil Ka KaNval
Jaan Se Tu Hai Pyaara, AaNkho Ka Tu Hai Taara
Bin Tere JiyeNge Ab Ham Na Ek Pal
Sab Kuchh Tujhape Hi Lutaana Hai
Had Se Guzar Jana Hai



Love This Song

Posted on 5/5/2005 7:42:07 AM

Doctor Sam:
straight g,her insaan ki apni choice hoti hey aor her insaan k liye e uski choice important hoti hey...

aap ko jo songs pasand hain, u r more than welcome to post here,,



your are rite Doc Sam...But one thing is clear...Indian songs aur woh bhi aisay:

Mujhey Neend na aaye...
Dekha tujhey to ho gayee deewani...

kabhi bhi "Oldie Goldie" nahin kehla saktay...yeah aamiana (average) kissam kay romantic song kabhi bhi "Classic" ka status nahin hasil kar saktay...!!!

Posted on 5/5/2005 10:37:17 AM

aap theek keh rahay hain...i agree with U..

lekin agar koi post kar day to chalain ... koi baat nahi..

its ok Na..

hum aor aap hain na CLASSICS discuss kerne k liye...


Posted on 5/5/2005 10:43:05 AM

HrithikZgirl:
I don't know anything about paki songs
but i love the wordings of that song Doc. jee


Chalain g koi baat nahi

hum hain na aapko batanay k liye about PAKI oldie goldie..


Posted on 5/5/2005 10:44:22 AM

jab koi piyar say bulay ga
jab koi piyar say bulay ga
tum ko ek shaksh yaad aaye ga!

lazat-e-ghum say aashna ho kar
apnay mehboob say judaa ho kar
lazat-e-ghum say aashna ho kar
apnay mehboob say judaa ho kar

dil kahein jab skoon na pay ga
dil kahein jab skoon na pay ga

tum ko ek shaksh yaad aaye ga

mehdi hassan!

Posted on 5/5/2005 1:42:25 PM

rafta rafta woh meray hasti ka samaa ho gay
rafta rafta woh meray hasti ka samaa ho gay


pehlay jaan
phir janay-jaan
phir janay-jana ho gay

rafta rafta woh meray hasti ka samaa ho gay

i love ths song
bohat mushkilon say mila tha hamay
kash_beauty38477.572337963

Posted on 5/5/2005 1:43:46 PM



dono e

ZABARDAST...


Posted on 5/5/2005 4:41:15 PM

Kahan ho tum chalay aao Mohabbat ka taqaza hey
ghume-e-duniya se ghabra ka tumhain dil ne pukara hey


tumhari bay-rukhi ik din humari jaan lay lay gi
qasam tum ko zara sochi k dastoor-e-wafa kya hey

na janay kis liye duniya ki nazrain phir gayien hum se
tumhain dekha tumhain chaha qasoor is k siwa kya hey

na hey faryaad honton pe,na aankhon main koi aansu..
zamanay se mila jo ghum usay dil main chupaya hey


By Nayyara Noor..


Posted on 5/5/2005 4:44:43 PM

good songs doc n kash

Posted on 5/5/2005 7:05:48 PM



thank U...


Posted on 5/5/2005 8:30:27 PM

tum bin jaaU.N kahaa.N, ke duniyaa me.n aake
kuchh na phir chaahaa kabhii tum ko chaaha ke,
tum bin ...

dekho mujhe sar se kadam tak, sirf pyaar huu.N mai.n
gale se lagaalo ke tumhaaraa beqaraar huu.N mai.n
tum kyaa jaano ke bhaTakataa phiraa
mai.n kis kis galii, tum ko chaah ke ...

ab hai sanam har mausam, pyaar ke kaabil
pa.Dii jahaa.N chhaao.n tumaarii, saj gayii mahafil
mahafil kyaa tanahaaI me.n bhii
lagataa hai jii, tum ko chaah ke ...




tum bin jaaU.N kahaa.N, ke duniyaa me.n aake
kuchh na phir chaahaa kabhii, tumko chaahake, tum bin ...

rah bhii sako ge tum kaise, ho ke mujh se judaa
Dhah jaae.n gii diivaare.n, sun ke merii sadaa
aanaa hii hogaa tumhe.n mere liye
saathii mere, suunii raaha ke ...

kitanii akelii sii pahale, thii yahii duniyaa
tumane nazar jo milaa lii, bas gaI duniyaa
dil ko milii jo tumhaarii lagan
diye jal gae, merii aah se ...

dekho mere Gam kii kahaanii, kisiise mat kahanaa
kahii.n merii baat chale to, sunake chup rahanaa
meraa kyaa hai kaT jaaegii kahii.n
ye zi.ndagii, tum ko chaah ke ...



luv ths sooong subha38478.1079282407

Posted on 5/6/2005 2:33:15 AM


Posted on 5/6/2005 5:26:36 AM

Doctor Sam:
HrithikZgirl:
I don't know anything about paki songs
but i love the wordings of that song Doc. jee


Chalain g koi baat nahi

hum hain na aapko batanay k liye about PAKI oldie goldie..



Thanx Doc. Jee

Posted on 5/6/2005 5:36:04 AM

kash_beauty:
rafta rafta woh meray hasti ka samaa ho gay
rafta rafta woh meray hasti ka samaa ho gay


pehlay jaan
phir janay-jaan
phir janay-jana ho gay

rafta rafta woh meray hasti ka samaa ho gay

i love ths song
bohat mushkilon say mila tha hamay


great choice Kash..Mehdi Hassan sahab meray fav hain...!!

Posted on 5/6/2005 9:47:42 AM