Logo

~~~oLdie GoLdie~~~

HrithikZgirl:
Doctor Sam:
HrithikZgirl:
I don't know anything about paki songs
but i love the wordings of that song Doc. jee


Chalain g koi baat nahi

hum hain na aapko batanay k liye about PAKI oldie goldie..



Thanx Doc. Jee


thanks ki bilkul zaroorat nahi hey Mohtarma..


Posted on 5/6/2005 1:45:52 PM

kahan hain sab...?


Posted on 5/12/2005 6:34:08 PM



Zindagi main to sabhi pyar kiya kertay hain
main to marr kar bhi meri jaan tujhay chahoon ga



tu mila hey to ye ehsaas hua hey mujh ko
ye meri umer mohabbat k liye thori hey
ik zara sa ghum-e-doraan ka bhi huq hey jis per
main ne wo saans bhi tere liye rakh chordi hey

tujh pe ho jaoon ga tujhe chahoon ga...
Main to marr kar bhi meri jaan tujhe chahoon ga..

Singer...Mehdi Hassan



Posted on 5/12/2005 8:10:39 PM


Posted on 5/14/2005 4:37:23 PM

Akele na jana humain chorr kar Tum
Tumharay bina hum bhala kya jiyen gay...

Singer:Ahmad Rushdi

Posted on 5/15/2005 11:21:02 AM

nice songs sam

Posted on 5/16/2005 4:41:38 AM



aap kahan se rasta bhool k yahan aa gaien...

Posted on 5/16/2005 5:26:21 PM

Sab jag soye hum jagain

Taaron se karain baatain...

chandni raatain...

By Madam Noor jehan..



Posted on 5/22/2005 6:32:26 PM



Posted on 5/27/2005 9:36:27 PM

dil k rastey mein kesi thoker mein ne khai
toote khaab sare ek mayoosi hai chhai
tanhai tanhai meeloon hai pheali hoi tanhai
khuaab mein dekha tha ek anchal mein ne apne hathon mein
ab toote sapnoon kay sheeshay chubhtey hein in ankhon mein
kal koi tha yahein ab koi bhi nahein

Posted on 6/1/2005 8:02:26 PM

dil k rastey mein kesi thoker mein ne khai
toote khaab sare ek mayoosi hai chhai
tanhai tanhai meeloon hai pheali hoi tanhai
khuaab mein dekha tha ek anchal mein ne apne hathon mein
ab toote sapnoon kay sheeshay chubhtey hein in ankhon mein
kal koi tha yahein ab koi bhi nahein
ban key nagin jase hai saanson mein lehrai
tanhai tanhai palkon pe kitney ansoo hai laai
kion esi umeed ki mein ne jo asey nakaam hoi
door banai thi manzil toe rastey mein hi shaam hoi
ab kahan jaon mein kis ko samjhaon mein
kia mein ne chaha tha or kion kismat mein aai
tanhai tanhai jesey andheroon ki ho gehrai
tanhai tanhai meelon hai pheali hoi tanhai      

Posted on 6/1/2005 8:06:41 PM

Oh welcum g,

khushaamdeed..

lekin ye itni udaasi kion hey...


Posted on 6/1/2005 8:38:12 PM

jena yahan merna yahan
inkey siva jana kahan
ji chahhe jab ham ko awaz do
hum hein vahein hum they jahan
ye mera geet jeevan sangeet
kal bhi koi duhraye ga
jug ko hansaane roop badal
behropia phir aaye ga
suarg yahein nark yahan
in key siva jana kahan

Posted on 6/2/2005 3:31:59 PM

janey kion log muhabbat kia kertey hein
dil key badley dil dia kertey hein
tanhai milti hai
mehfil nahein milti rahey muhabbat mein
kabhi manzil nahein milti
dil toot jata hai
nakaaam hota hai ulfat mein
logon ka yahi anjaam hoota hai
aahein bher bher k deevaney jia kertey hein
janey kion log muhabbat kertey hein
savan mein ankhon ko
kitna rulati hai
furqat mein jab dil ko
kisi ki yaad aaty hai
ye zindagi yunhi naakam hoti hai
her vaqt hontoon pey
koi feryad hoti hai
na davaon ka naam chalta hai
na duaon sey kam chalta hai
zeher ye phir bhi sabhi
sabhi kion pia kertey hein
janey kion log muhabbat kia keretey hein   

Posted on 6/2/2005 8:18:16 PM

ooh ye mujhe acha lagta tha kisi zamanay main...

nice Oldie hira g..

Posted on 6/4/2005 7:29:11 PM

voh bholi dastan lo phir yaad agai
nazer key samney ghat si chha gai
kahan sey phir chaley aaye
ye kuchh bhatkey hoye saye
ye kuchh bhooley hoye naghmey
jo merey pyar ney gaye
ye kuchh bikhry hoi yadein
ye kuchh tootey hoye sapney
paraye ho gaye toe kia
kabhi ye bhi toe they apney
najaney insey kion mil ker
nazer sherma gai
voh bholo dastan
lo phir yaad a gai

Posted on 6/5/2005 12:25:28 AM

If possible. singer aor movie ka naam bhi likh diya kerain..


Posted on 6/5/2005 2:37:41 PM

mubarak ho um ko saman ye suhana
mein khush hoon merey ansoooon pe na jan
mein toe dewana dewana dewana
hazaron tarah key ye hotey hein ansoo
ager dil mein gham ho toe rotey hein ansoo
khushi mein bhi daman bhigotey hein ansoo
inehin jaan sakta nahein ye zaman
mein khush hoon merey ansoon pe na jana
mein toe dewana dewana dewana
ye shehnayan dey rahy hein duhaai
koi cheez apni hoi hai parai
kisi sey milan hai kisi sey judaai
naye rishton ney toda naata purana
mein khush hoon merey ansoon pe na jana
mein toe dewana dewana dewana

Posted on 6/5/2005 4:37:16 PM

mubarak ho um ko saman ye suhana
mein khush hoon merey ansoooon pe na jan
mein toe dewana dewana dewana
hazaron tarah key ye hotey hein ansoo
ager dil mein gham ho toe rotey hein ansoo
khushi mein bhi daman bhigotey hein ansoo
inehin jaan sakta nahein ye zaman
mein khush hoon merey ansoon pe na jana
mein toe dewana dewana dewana
ye shehnayan dey rahy hein duhaai
koi cheez apni hoi hai parai
kisi sey milan hai kisi sey judaai
naye rishton ney toda naata purana
mein khush hoon merey ansoon pe na jana
mein toe dewana dewana dewana

Posted on 6/5/2005 4:37:27 PM

ek toe na mila sari duniya miley bhi toe kia hai
mera dil na khila sari bagiya khilay bhi toe kia hai
dherty hon mein or toe hai gagan
hoga kahan tera mera milan
lakh pehray lagein
pyar dil mein paley bhi toe kia hai

Posted on 6/5/2005 4:45:04 PM

jab jab teri sorat dekhon
pyar sa dil mein jagey
terey taraf hi dil mujhe khenchey
kia toe mera laagay
konsa ye bandhan hai
ye kesa apna pan hai
kisi ka zor chaley na
ye kesi dil ki lagan
janey janan hoooo janey janan
pyar nahein koi tan ka sauda
pyar hai man ki chhaya
jab sey jeewan mein toe aya
bhaya nahein koi doja
bhaya nahei koi doja
meri bhi kia kismat hai
dil mein teri chahat hai
khila hai gull sehra mein
khuda ko bhi herat hai
janey janan hoooooo janey jana

Posted on 6/5/2005 4:51:11 PM

janey kahan gaye voh din
kehtey they tery raah mein
palkoon ko ham bichhaein gey
chahey kahein bhi tum raho
chahein gey tum ko umr bher
tum ko na bhool payein gey
apni nazer mein ajkal
din bhi andheri raat hein
saaya hi apney sath tha
saaya hi apney saath hai
janey kahan gaye voh din
kehty teri raah mein
palkoon ko ham bichhayein gey
merey qadam jaahan parey
sajdey kiye they yaar ney
mujhko rula rula dia
jati hoi bahaar ney
janey kahan gaye voh din
kehtey theri raah mein
pakloon ko ham bichhayein gey
chahey kahein bhi tum raho
chahein gey tumko umr bher
tumko na bhool payein gey(MOVIE:MERA NAAM JOCKER
                               SINGER:MUKESH)

Posted on 6/6/2005 10:07:02 PM


Posted on 6/7/2005 1:15:01 AM



Kahien do dil jo mil jatay
Bigardta kya zamanay ka
Khabar kya thi k ye anjaam ho ga dil laganay ka

dil-e-be-taab se keh do
Tarrapne se na ghabraye
ye hi to waqt aaya hey wafa ko aazmanay ka

Kahien do dil jo mil jatay
Bigardta kya zamanay ka

kisi ko kya sunaien hum pe kya guzri Mohabbat main
k bus aaghaaz hi anjaam hey apnay fasanay ka

Kahien do dil jo mil jatay
Bigardta kya zamanay ka

jahan walon ne miltay hi kiya hey yun juda hum ko
k jese khwab dekha tha tumhain apna bananay ka

Kahien do dil jo mil jatay
Bigardta kya zamanay ka
Khabar kya thi k ye anjaam ho ga dil laganay ka


Posted on 12/9/2006 8:10:24 PM

Doc Saab, Bahut late kar di hamne aane mein.
Lekin "der aayad durust aayad"

Chalo pahla song isi topic par

"Der lagi aane mei tumko
shukra hei phir bhi aaaye to

aas ne dil ka saath na chorra
vaise hum ghabrae to..

Posted on 12/11/2006 8:00:33 AM

Ye pahle pyaar ki khushbu....
Teri saanson se shayad aa rahi hei..
meri saanson ko jo mahakaa rahi hei..

(plz let me know If sombody have this song)

Posted on 12/11/2006 8:03:20 AM

Kahin door jab din dal jae
saanjh ki dulhan badan churae
chupke se aae
mere khayalon ke aangan mei
koi sapnon ke deep jalae..

Posted on 12/11/2006 8:05:12 AM

humne dekhi hei in ankhon ki mahakti khushbu
haath se chu ke ise rishton ka ilzaam na do
sirf ahsaas hei ye rooh se mahsoos karo
pyaar ko pyaar hi rahne do koi naam na do
hamne dekhi hei...

Posted on 12/11/2006 8:07:27 AM

danie:
Doc Saab, Bahut late kar di hamne aane mein.
Lekin "der aayad durust aayad"

Chalo pahla song isi topic par

"Der lagi aane mei tumko
shukra hei phir bhi aaaye to

aas ne dil ka saath na chorra
vaise hum ghabrae to..


aray Welcome danie jee..

ye song kis ne gaya hey?

i think Aik fareeda khanum ne gaya hey, lekin main ne wo nahi suna..

main ne wo wala suna hey jo Indian movie main tha...

Posted on 12/11/2006 11:07:56 PM

Yes Doc Saab,
Is Gazal ko bahut se singers ne apne apne andaz mein gaya hei aur ye Indian movie mein as a song bhi hei.

Posted on 12/12/2006 7:17:53 AM