Logo

shair main sey kisi bhi lafz sey shair

ahaan nice ji

Posted on 12/27/2005 1:34:09 PM

Doctor Sam:
mehfil

shayad mujhe nikaal k pachta rahay hon aap
mehfil main is khayal se phir a gya hoon main


PACHTA

Pachhtaway ka Lafz Apni Lughat mainn hee nahin
Koi kaam so AATH AANSOO rulaata nahin Mujhay

Posted on 12/28/2005 8:33:06 PM

kaam

mujh ko hain kaam aor bhi,kuch to karo mera khayal
aatay ho jab khayal main,jatay nahi khayal se

Posted on 12/28/2005 8:48:04 PM

kuch

us ney hamarey zakhmon kuch youn kiya elaaj
marham bhi gar lagaya to khanjar ki nok sey

Posted on 12/29/2005 12:46:43 AM

MARHAM

Humdum kay liyey, Hum dum ki Qasam, Hum Dum say gaye, Hum Dum na Mila
Zakham itnay Lagay, Marham kay Liyey, Marham ki Qasam, Marham na mila

Posted on 12/30/2005 10:14:15 PM

HUMDUM

amal ki sookhti rugg main zara sa khoon shaamil kar
mere HUMDUM faqat baatain bana kar kuch nahi milta...

Posted on 12/31/2005 2:02:31 PM

RUGG


ruggon main dornay phirnay kay hum nahin qayal
jo aankh hi say na tapka woh lahu kya hai

Posted on 12/31/2005 7:46:28 PM

aankh

kabhi aankh se jo gira nahi main wo ashk hun mere dosto!
mera zabt hey meri zindagi so main kya kahoon mere dosto..


Posted on 1/1/2006 1:14:50 PM

ZABT

ik Zabt KAMBAKHT NAY SUB KO BAnaya dushman
Aaj ashk bhi aankh say roothay, chalay gaye"

Posted on 1/2/2006 11:15:18 PM

ASHK

ashk ankhon mainn kab nahin aataa
lahuu aataa hai jab nahin aataa


hosh jaataa nahin rahaa lekin
jab vo aataa hai tab nahin aataa (meer taqi meer)

Posted on 1/3/2006 2:29:20 PM

hosh


hosh waalonn ko khaber kiya, Bay Khudi kiya cheez hay
Ishq kijiyey, phir Samajhiyey, Zindagi kiya Cheez hay

Posted on 1/5/2006 2:25:45 PM

zindgi mein kabhi jo meray sath tha
kabhi mera jeevan jis kay naam se abad
chor gaya woh mujhay kyoon batata mein ussay
kay meray dil mein pehlay se bhi ik daag tha

Posted on 1/5/2006 3:31:22 PM

DIL


ahal-e-dil aur bhi hain ahal-e-vafaa aur bhi hain
ek ham hi nahin duniyaa se Khafaa aur bhi hain

Posted on 1/5/2006 6:56:13 PM

tum bhi KHAFAA ho log bhi barhum hein dosto
ab ho chalaa yakeen k bure hum hein dosto
apne siwa hamare na hone ka gham kisse
apni talaash mein to hum hi hum hein dosto

Posted on 1/6/2006 2:49:31 AM

HUM

hum nay kanton ko bhi narmi say chuwa hay aksar
loog baydard hain phoolon ko masal daite hain

Posted on 1/7/2006 7:17:09 AM

kaati hai gham ki raat bade ehtmaam se
AKSAR bujha liya hai chiragon ko shaam se

Posted on 1/7/2006 3:56:11 PM

BUJHA


Samajh Lena mainn Tumhari yaad mainn hoon Gum
Chiraagh Meray ghar ghar ka jo tum ko BHUJHA milay


Posted on 1/7/2006 10:49:16 PM

gher

deewaar kya giri meray kachhay makaan ki
logon nay meray gher main rastay bana liye

Posted on 1/9/2006 7:06:23 PM

Deewaar

Deewanay ki Aazmaaish Bina Dhoop ho kiyun ker
Yaann Saaya-e-Deewaar ho yeh theek nahin hay

Posted on 1/9/2006 7:08:59 PM

dhoop


tum ko daikha to yeh khayal aaya
zindagi dhoop tum ghana saya

Posted on 1/10/2006 3:01:18 PM

DHOOP

Chalay Aao Saawan ki Zidd na kero
Bara Lutf day ga Safar Dhoop mainn

Posted on 1/11/2006 2:41:39 AM

Kidher gaye baaqi..,..

Posted on 1/13/2006 10:51:47 PM

hum aaaaaaaaaaaaa gae




thakan to agle SAFAR k liye bahana tha
usse to yun bhi kissi aur simt jaana tha
vohi chiraag bujha jiss ki lau qayamat thi
ussi pe zarb padi jo shajar puraana tha

Posted on 1/15/2006 4:20:45 PM

Mana Ke Ab Ke Shayad Tabiyet Badal Gayee
Kaisay Kahien Ke Uss Ki Mohabbat Badal Gayee

Bay Sakhta Charagh Ko Mainay Bujha Diya!!!
Tareekiyoon Se Meri Adawat Badal Gayee [b/]

Posted on 1/16/2006 10:09:54 PM

badal


tum bhi badal gaye ho hallat ki terha
jab bhi miltay ho,pehli mulaqaat ki terha

Posted on 1/17/2006 7:35:40 PM

MULAQAT

na pooch pehle mulaqat main mizaaj uska
wo rang rang main simta, kiran kiran main khula



Posted on 1/17/2006 7:40:12 PM

Doctor Sam:
MULAQAT

na pooch pehle mulaqat main mizaaj uska
wo rang rang main simta, kiran kiran main khula




ek mulaqaat thi jo sada yaad rahi
main jisay umar samajhta tha woh ek pal nikla

Posted on 1/18/2006 2:52:08 AM

UMAR

Yehi apnay saath guzaartay tou kuchh apnay aap ko Jaantay
Yeh UMAR hum nay Ganwayee hay teray Khuwab Dekhtay Dekhtay


Posted on 1/18/2006 10:59:01 PM

khwab

khwab hotay hain dekhnay k liye
in main ja kar magar raha na karo

Posted on 1/19/2006 12:11:12 PM

dekhnay/dekhna


dekhana qismat ki aap apane pe rashk aa jaye hai
maainn use dekhun bhalaa kab mujh se dekha jaaye hai (ghalib)

Posted on 1/19/2006 1:13:16 PM