Logo

shair main sey kisi bhi lafz sey shair

dekha

Abh ayya hai jab kaam dekha bhi gaya sawan,mere sajan
Jab char so mere liye Khushiyon ka samaan tha,TU KAHAN THA

Posted on 1/20/2006 3:53:02 PM

Khushiyon

Khushiyaan hamaari sar-e-daar tak gaien
rusvaaiyaan bhi kuuchaa-o-baazaar tak gaien (mumtaz mirza)

Posted on 1/20/2006 7:57:30 PM

makaam Faiz koi raah mei jacha hi nahi
ju kuu e yaar se nikle to suue daar chale

Posted on 1/21/2006 1:00:50 PM

ye bhi to aik MUQAAM hey kuch log umr bhar
nazzargi k shoq main manzar banay rahay

Posted on 1/21/2006 7:12:22 PM

manzer


manzar hai whi thathak rahi huun
hairat se palak jhapak rahi huun

ye tuu hai ke meraa vaham hai
band aankhon se tujh ko tak rahi huun (P shaker)

Posted on 1/21/2006 8:10:53 PM

kab se main ne PALAK nahi jhapki
koi amjad meri nigaah main hey..

Posted on 1/22/2006 6:42:59 PM

Feryaad ker rahi hay tersi hui NIGAH
Dekhay huye kisi ko bohat din Guzar gaye

Posted on 1/22/2006 9:33:36 PM

Kahan hainn Sub ?????????????

Posted on 1/24/2006 9:42:19 PM

hum aaaaaaaaaaaa gae



new_beau:
Feryaad ker rahi hay tersi hui NIGAH
Dekhay huye kisi ko bohat din Guzar gaye

lazim tha k dekho mera rasta koi DIN aur
tanha gae ho kyun,, ab raho tanha koi din aur

karo maze

Posted on 1/24/2006 11:29:21 PM

DIN tou Kat Jaat hay Khair Kisi Tarah Katay
Kat'ti nahin hainn meri raatainn teray baghair

Posted on 1/26/2006 7:39:24 PM

Raatein /raat


raat ke Khvwaab sunaaien kis ko raat ke Khvwaab suhaane thay
dhundhale dhundhale chehare the par sab jaane pahachaane the


(Ibn e insha)

Posted on 1/27/2006 2:18:51 PM

chehray

us shehr main kitnay chehray thay, kuch yaad nahi , sab bhool gaye
ik shakhs kitaabon jesa tha wo shakhs zubaani yaad hua

Posted on 1/27/2006 7:44:03 PM

ab uss k hijr mein rote hein uss ke ghaayal bhi
khabar na thi k voh zaalim habib e SHEHR bhi hai

Posted on 1/28/2006 2:19:31 PM

zalim

zaalim tha wo aur zulm ki aadat bhi bahut thi
majabuur the ham us se muhabbat bhi bahut thi
(kaleem ejaz)

Posted on 1/28/2006 5:19:46 PM

Majboor

Majbooriyaann kahainn keh issay saadgi kahainn
Jiss nay bhi baat ki hum saath ho liyey

Rakha hay Taaza zehan mainn karb-e-shikastagi
Jub kuchh na ban para tou kahinn Chhup kay ro liyey

Posted on 1/29/2006 11:45:22 PM

JIS

jis khait sey dehqaan ko na ho rozi moyassar
us khait kay har gosha e gandam ko jala do

Posted on 1/31/2006 2:10:36 AM

itna dehshatgard sher



jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga
kuredte ho jo ab raakh justuju kya hai

(yeh sher aise hi hai na )

Posted on 1/31/2006 5:09:19 PM

SALL:
itna dehshatgard sher



jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga
kuredte ho jo ab raakh justuju kya hai

(yeh sher aise hi hai na )

haan ji kuchh aisa li lagta hai

hai

main ney kabhi halaat sey rona nahin seekha
taqdeer peh shaakir hoon bhali hai keh buri hai

Posted on 1/31/2006 9:39:33 PM

TAQDEER


Yeh aur baat keh TAQDEER lipat ker Royee
Hum nay Baazoo tou teray liyey phailaye thay

I love this Shair

Posted on 1/31/2006 9:51:50 PM

Yahan Log Thak gaye hainn Kiya >??

Posted on 2/3/2006 9:05:00 PM

thak nahi gaye,

AKK gaye hain...

sachi baat hey, hamari yaad-daasht ab zara kharab ho rahi hey,
so lagta hey jese repeat ho rahay hain..

Posted on 2/4/2006 8:30:32 PM

new_beau:
Yahan Log Thak gaye hainn Kiya >??

aap ney konsa share kiya hai

Posted on 2/5/2006 8:51:05 PM

Doctor Sam:
thak nahi gaye,

AKK gaye hain...

sachi baat hey, hamari yaad-daasht ab zara kharab ho rahi hey,
so lagta hey jese repeat ho rahay hain..


aap bhi shamil ho gaey saath

Posted on 2/5/2006 8:52:40 PM

hawwa ki beti:
new_beau:
Yahan Log Thak gaye hainn Kiya >??

aap ney konsa share kiya hai


Ho Hye,...Mainn hi tou kab say Laga hua hoon Proper Share kernay

Posted on 2/6/2006 9:54:08 PM

Chalo Shabaash Aagay Chalo ab..Continue kero

Posted on 2/6/2006 9:54:49 PM

new_beau:
TAQDEER


Yeh aur baat keh TAQDEER lipat ker Royee
Hum nay Baazoo tou teray liyey phailaye thay

I love this Shair


Baat

zid ki hai aur baat magar khoo buri nahin
bhoolay say oos na sainkadon waday wafa kiye

Posted on 2/8/2006 2:28:46 PM

wafa

ab koi bhool kar bhi wafa ka naam nahin laita
teray salook ney chonka dia zamaney ko

Posted on 2/8/2006 5:24:16 PM

hoti hai tere naam se vehshat kabhi kabhi
barham hui hai yuun bhi tabiyat kabhi kabhi
tere kareeb reh k bhi dil mutma'in na tha
guzri hai mujh pe yeh bhi kayamat kabhi kabhi


Posted on 2/8/2006 6:05:58 PM

tere QAREEB bhi reh kar tujhay talaash karoon
mohabbaton main meri bad-hawaasiyaan na gayien

Posted on 2/8/2006 7:36:57 PM

Doctor Sam:
tere QAREEB bhi reh kar tujhay talaash karoon
mohabbaton main meri bad-hawaasiyaan na gayien

yeh zara zara si baat per , tarha tarha ka azaab kion
jo kabhi kisi sey khafa na ho mujhey us khda ki talash hai

Posted on 2/9/2006 3:11:48 AM