Logo

~ LG’s Poetry Compilation ~

Chants to the Deity (Ojibwa)

1.

I am the living body of the Great Spirit above,
The Great Spirit, the Ever-living Spirit above,
The living body of the Great Spirit
Whom all must heed.
Heh! heh! heh! heh!

2.

I am the Great Spirit of the sky,
The overshadowing power.
I illumine earth,
I illumine heaven.
Way, ho! ho! ho! ho!

3.

Ah say!
what Spirit, or Body, is this Body?
That fills the world around,
Speak man!
Ah say!
What Spirit, or Body, is this Body?
Way, ho! ho! ho! ho!

Posted on 4/2/2007 8:01:37 PM

Hawk Chant of the Saginaws (Ojibwa)

The hawks turn their heads nimbly round;
They turn to look back on their flight.
The spirits of sun-place have whispered them words,
They fly with their messages swift,
They look as they fearfully go,
They look to the farthermost end of the world,
Their eyes glancing bright, and their beaks boding harm

Posted on 4/2/2007 8:01:46 PM

The Wedded Lover

I READ in our old journals of the days
When our first love was April-sweet and new,
How fair it blossomed and deep-rooted grew
Despite the adverse time; and our amaze
At moon and stars and beauty beyond praise
That burgeoned all about us: gold and blue
The heaven arched us in, and all we knew
Was gentleness. We walked on happy ways.

They said by now the path would be more steep,
the sunsets paler and less mild the air;
Rightly we heeded not; it was not true.
We will not tell the secret--let it keep.
I know not how I thought those days so fair
These being so much fairer, spent with you

Posted on 4/2/2007 8:02:01 PM

To You, Remembering the Past

WHEN we were parted, sweet, and darkness came,
I used to strike a match, and hold the flame
Before your picture and rould breathless mark
The answering glimmer of the tiny spark
That brought to life the magic of your eyes,
Their wistful tenderness, their glad surprise.

Holding that mimic torch before your shrine
I used to light your eyes and make them mine;
Watch them like stars set in a lonely sky,
Whisper my heart out, yearning for reply;
Summon your lips from far across the sea
Bidding them live a twilight hour with me.

Then, when the match was shriveller into gloom,
Lo--you were with me in the darkened room.

Posted on 4/2/2007 8:02:12 PM

Caught in the Undertow

COLIN, worshipping some frail,
By self-deception sways her:
Calls himself unworthy male,
Hardly even fit to praise her.

But this tactic insincere
In the upshot greatly grieves him
When he finds the lovely dear
Quite implicitly believes him

Posted on 4/2/2007 8:02:22 PM

The Intruder

AS I sat, to sift my dreaming
To the meet and needed word,
Came a merry Interruption
With insistence to be heard.

Smiling stood a maid beside me,
Half alluring and half shy;
Soft the white hint of her bosom--
Escapade was in her eye.

"I must not be so invaded,"
(IN anger then I cried)--
"Can't you see that I am busy?
Tempting creature, stay outside!

"Pearly rascal, I am writing:
I am now composing verse--
Fie on antic invitation:
Wanton, vanish--fly--disperse!

"Baggage, in my godlike moment
What have I to do with thee?"
And she laughed as she departed--
"I am Poetry," said she.

Posted on 4/2/2007 8:02:40 PM

Tit for Tat

I OFTEN pass a gracious tree
Whose name I can't identify,
But still I bow, in courtesy
It waves a bough, in kind reply.

I do not know your name, O tree
(Are you a hemlock or a pine?)
But why should that embarrass me?
Quite probably you don't know mine.

Posted on 4/2/2007 8:02:50 PM

Song for a Little House

I'M glad our house is a little house,
Not too tall nor too wide:
I'm glad the hovering butterflies
Feel free to come inside.

Our little house is a friendly house.
It is not shy or vain;
It gossips with the talking trees,
And makes friends with the rain.

And quick leaves cast a shimmer of green
Against our whited walls,
And in the phlox, the dutious bees
Are paying duty calls.

Posted on 4/2/2007 8:02:59 PM

The Music Box

AT six--long ere the wintry dawn--
There sounded through the silent hall
To where I lay, with blankets drawn
Above my ears, a plaintive call.

The Urchin, in the eagerness
Of three years old, could not refrain;
Awake, he straightway yearned to dress
And frolic with his clockwork train.

I heard him with a sullen shock.
His sister, by her usual plan,
Had piped us aft at 3 o'clock--
I vowed to quench the little man.

I leaned above him, somewhat stern,
And spoke, I fear, with emphasis--
Ah, how much better, parents learn,
To seal one's sensure with a kiss!

Again the house was dark and still,
Again I lay in slumber's snare,
When down the hall I heard a trill,
A tiny, tinkling, tuneful air--

His music-box! His best-loved toy,
His crib companion every night;
And now he turned to it for joy
While waiting for the lagging light.

How clear, and how absurdly sad
Those tingling pricks of sound unrolled;
They chirped and quavered, as the lad
His lonely little heart consoled.

Columbia, the Ocean's Gem--
(Its only tune) shrilled sweet and faint.
He cranked the chimes, admiring them,
In vigil gay, without complaint.


The treble music piped and stirred,
The leaping air that was his bliss;
And, as I most contritely heard,
I thanked the all-unconscious Swiss!

The needled jets of melody
Rang slowlier and died away--
The Urchin slept; and it was I
Who lay and waited for the day.

Posted on 4/2/2007 8:03:08 PM

"Jab Teri Dhun Main Jia Kartay Thay
Hum Bhi Chup Chaap Phira Kartay Thay
Aankhoon Main Pyaas Hua Karti Thi
Dil Main Toofan Utha Kartay Thay
Loog Aatay Thay Ghazal Sunanay Ko
Hum Teri Baat Kia Kartay Thay
Sach Samajhtay Thay Terey Wadoon Ko
Raat Din Ghar Main Raha Kartay Thay
Woh Bhi Kya Din Thay, Tujhay Bhula Kar
Hum Tujhay Yaad Kya Kartay Thay
Kal Tujhay Dekh Kar Yaad Aya
Hum Bhi Kabhi Mohabbat Kia Kartay Thay..........

Posted on 4/29/2007 6:57:48 PM

"dil ki baat suni nahi humnay our dil ko apnay samjha diya.....
ghar bana tha kissi ka our kisi our ko tahra diya.
tooth kar bikharty rahy mairy khawaboo ki duniya,
dilo ko jortay huya mainay khud ko hara diya
khabar na thy zindagy ki kay kya kya dikhaye gy
maina to har umeedo ko ansoo main baha diya.
dil main kuch raha hi nahi bus ya ahsaan kafi hai
gum ko chupa kar chahra khushi say saja diya

Posted on 4/29/2007 6:58:03 PM

"Pa Na Saka us Ko
Per bhoola bhi na saka
dard kuch esa tha
ka Kesi ko bata bhi na saka
Ashq-e-laho bahney ka siwa
Main Kuch kar bhi na saka
=========================
jaha se chala tha
wapis wahe agya
Mhuthi jab khuli To hathon mein kuch na tha
Apni bebasi per hasney ka siwa kuch na tha
=========================
Alam-e-dard itna tha
Ka yeh dard-e-dil bhi sah naa saka
Dil-e-nashemann mein jo aag thi
usey kio samandar bhojha bhi na saka
=========================
Piyaasa Ek shaks tha
usey kio pani pila na saka
Pass samandar-e-pani tha
Per kio us ki piyaas bhojha na saka
=========================
Bohat sadayein di us ko per woh a na saka
Gaya tha jo chor kar Meri aghaz-e-barbadi mein
Meri Awaz-e-sadao mein woh Asar hi naa tha
Jabhi to meri sadayein sun kar bhi woh a na saka
=========================
ab to halat-e-dard ka alam yeh tha
Palkon per ek aanso ka bondh a na saka
Aankhein-e-nam mein bhi
Aanso baha na saka
==========
Tariq Ki ghazal mein woh kashish-e-asar hi na tha
Tabhi to woh ghazal perh kar bhi tariq ka pass a na saka

Posted on 4/29/2007 6:58:23 PM


Suraj Bhi Thak Haar Ke Aakhir Doob Gaya Armaanoun Ka

Koya Madaawa Kar Na Saka Tootey Hoye Insaanoun Ka

Khud Gham Ki Tasveer Baney Thay Shehr Ke Hanstey Bastey Laug

Zikr Bhala Ham Kis Se Kartey Dard Bharey Afsaanoun Ka

Tark-e-Taalluq Par He Aakhir Ahl-e-Wafa Majboor Hoye!

Kaun Uttha Sakata Tha Kab Tak Baar Terey Ihsaanoun ka

Mein Ne Jab Bhi Haath Lagaya Rang Barangi Shamaoun Ko

Ek Hujoom Lapak Kar Aya Meri Taraf Parwaanoun Ka

Jism Ke Ander Ek Basti Hey, Uss Basti Ka Naam Hey Dil

Yeh Basti Veerana Bhi Hey, Shehr Bhi Hey Armaanoun Ka

Mera Naam Jali Huroof Mein Terey Saamney Aayega

Zikr Teri Mehfil Mein Hoga Jab Bhi Sokhta-Jaanoun Ka

Tor Diya Hey Mein Piyar Ke Saarey Jhootey Rishtoun Ko

Jab Se Naseer Ho Gaya Hey Khoon Merey Armaanoun ka



x............x............x

Posted on 4/29/2007 6:58:41 PM

Hum Ko Acha Laga

Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga
Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga

Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga

Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga

Tuu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Tara acha laga

Suna hai Mohabbat mai hote hain her taraf Andhere
Aaj Duniya ka wo Qaul sacha laga

Posted on 4/29/2007 6:59:04 PM

x............x............x


Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.


Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.....


x............x............x

Posted on 4/29/2007 6:59:20 PM

Yeh Alag Baat Hai Saaqi K Mujhay Hosh Nahin
Hosh Itna Hai K Main Tujh Say Faramosh Nahin

Main Teri Mast Nigaahon Ka Bharam Rakh Lon Ga
Hosh Aaya Bhi Tu Keh Doon Ga Mujhay Hosh Nahin

Yaad Itna Hai K Pohncha Dar-E-Maikhanay Tak
Kia Kehon Ga Ga K Aagay Ka Mujhay Hosh Nahin

Kabhi Un Mad Bhari Aankhon Say Piyaa Tha Ek Jaam
Aaj Tak Hosh Nahin Hosh Nahin Hosh Nahin


Posted on 4/29/2007 6:59:42 PM


Naam le le ker na mera shehar ki nazron mein aa...


mujh se milna hai to mere dil ke sehraon mein aa...

us safar mein dekh ghul jaata hai mitti ka badan...
mujh se milne ki na khuwahish ker na barsaton mein aa...

log tujh ko gungunyein meri khuwahish ki tarah...
ik achhote shehar ki soorat meri gazal mein aa...

be hunar logon ne phir maanga mere fan ka saboot...
aa meri sachayi ki khushbu mere lafzon mein aa...

ghar ke darwaze pe aakar kion qadam rakhne lage...
aa meri tanhayi, meri muntazir banhon mein aa...


x............x............x

Posted on 4/29/2007 6:59:58 PM


Naam le le ker na mera shehar ki nazron mein aa...
mujh se milna hai to mere dil ke sehraon mein aa...

us safar mein dekh ghul jaata hai mitti ka badan...
mujh se milne ki na khuwahish ker na barsaton mein aa...

log tujh ko gungunyein meri khuwahish ki tarah...
ik achhote shehar ki soorat meri gazal mein aa...

be hunar logon ne phir maanga mere fan ka saboot...
aa meri sachayi ki khushbu mere lafzon mein aa...

ghar ke darwaze pe aakar kion qadam rakhne lage...
aa meri tanhayi, meri muntazir banhon mein aa...    


x............x............x

Posted on 4/29/2007 7:00:30 PM

Shaam Ke Baad

Tu Ne Dekha Hey Kabhi Aik Nazar Shaam Ke Baad

Kitney Chup Chaap Se Lagtey Hein Shajar Shaam Ke Baad

Itney Chup Cjaap Ke Rastey Bhi Rahenge La-Elm

Chor Jaayenge Kissi Roz Nagar Shaam Ke Baad

Mein Ne Aisey He Gunah Teri Judai Mein Keiye

Jesey Toofan Mein Koye Chor Dey Ghar Shaam Ke Baad

Shaam Se Pehley Woh Mast Apni Uraanoun Mein Raha

Jin Ke Haathoun Mein Thay Tootey Houey Par Shaam Ke Baad

Raat Beeti Tou Giney Aabley Aue Phir Socha

Kaun Thaa Baa'es-e-Aghaz-e-Safar Shaam Ke Baad

Tu Hey Suraj Tujhey Maloom Kahan Raat Ka Dukh

Tu Kissi Roz Merey Ghar Mein Uttar Shaam Ke Baad


Posted on 4/29/2007 7:00:58 PM


Apni Mohabbat Ka Aitbaar To Do


Kabi Tum apni Mohabbat ka Aitbaar to do
Mai chahoon Toot k Tum ko ye Ikhtiyaar to do

Guzarti hi nahi Mujh se ye Zindagi Tanha
Sahara Pyaar ka deker isey guzaar to do

Mai sochti Hoon Tumhare bagair kya hoga?
Dil-o-Dimaag per ek Bhoj hai utaar to do

Mere khayal ki Raahon ko Keh-Kishaan kar do
K Roshni se Meri Zindagi Sanwaar to do

Umeed-e-Wafa Ghum-e-Hijar ka Muda'wa hai
Mai Intizaar karoon magar Zabt-e-Intizaar to do


x............x............x

Posted on 4/29/2007 7:01:11 PM

x............x............x


CHUPA LOO GAA

Wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa
dekhoon gaa nahi phir bhi tasweer bana loon gaa

aana ho to aa jao ruswayee nahi ho gee
dekhe ga nahi koi palkon main chupa loon gaa

jo ham per guzarni hai ik bar guzar jaye
her gham ki tarha tujh ko seene se laga loon gaa

weeran agar dil ho ankhon main andhera ho
yaadon ke diye apni palkon main saja loon gaa

manzoor agar ho gee ruswayee teree mujh ko
main beth ke sahil se toofaan utha loon gaa

naraaz agar wo hain mere nasheman se,
main apnay nasheman ke tinkon ko hata loon gaa

kyon mujh se khafa ho ker wo door gaye
baanhon main wo aa jayain main un ko mana loon gaa


x............x............x

Posted on 4/29/2007 7:01:31 PM

x............x............x


Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai

Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte

Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia

Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe

Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak

Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai

Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai

Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai

Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha

Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha



x............x............x

Posted on 4/29/2007 7:01:50 PM

x............x............x


Benaam Sa Ye Dard Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata

Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai, Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata

Woh Ek Hi Chera Toh Nahi Saare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata

Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab Main Udhar Kyon Nahi Jata

Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata"



x............x............x

Posted on 4/29/2007 7:02:04 PM


Tum Poocho Aur Main Na
Bataoon Aisay Tu Halaat Nahi
Aik Zara Sa Dil Toota
Hay Aur Tu Koi Baat Nahi



Kiss Ko Khaber Thee Sanwlay
Badal Bin Bersay Urr Jatay Hain
Sawan Aya Lakin Apni
Qismat Main Bersaat Nahi

Toot Giya Jab Dil Tu Phir Ye
Saans Ka Naghma Kia Maani
Goonj Rahee Hay Kion
Shehnayee Jab Koi Baraat Nahi

Ghum Ke Andheray Main Tujh Ko
Apna Saathi Kion Samjhoon
Too Phir Too Hay Mera Tu
Saya Bhi Mere Saath Nahi

Mana Jeewan Main Aurat
Aik Baar Muhabbat Kerti Hay
Lakin Mujh Ko Ye Bata De
Kia Too Aurat Zaat Nahi

Khatam Hua Mera Afsana
Ab Ye Ansoo Poonch Bhi Lo
Jiss Main Koi Tara Chamkay
Aaj Ki Raat Wo Raat Nahi

Mere Ghumgeen Honay Per
Ehbaab Hain Youn Heraan QATEEL
Jesay Main Pather Hoon
Meray Seenay Jazbaat Nahi


x............x............x

Posted on 4/29/2007 7:02:20 PM

x............x............x


Mai Paarsa Bhi Nahi

Mai Paarsa b nahi aur Mai Bura b nahi
Suraag-e-Manzil-e-Janaan Mujhe Mila b nahi

Mijaaz Fitrat-e-Aadam se Mai Juda b nahi
Tamam Umar chala Mai kahin Ruka b nahi

Yeh Kis maqaam per le aaya Junoon Mujh ko
Khayal-e-Yaar ka Roshan jahan Diaa b nahi

Yeh Bar-Hami, yeh Tagafull, yeh Be-Rukhi kesi
Zabaan-e-Haal se Mai ne to kuch Kaha b nahi

Mai kis tarah karoon Izhaar-e-Ghum Sar-e-Mehfil
Mujhe Saleeq Aadab-e-Iltija b nahi


x............x............x

Posted on 4/29/2007 7:02:34 PM

x............x............x


Yeh dil karta to hai.....


Har pal tujhe yaad yeh dil karta to hai
Teri khushi ki fariyaad yeh dil karta to hai
Tumne to karli bewafaai humse
Fir bhi tujhi se wafaa yeh dil karta to hai

Meri mohabbat ko tune kai ilzaam de diye
Fir bhi tujhe chahney ki khata yeh dil karta to hai
Tod ke vaada tum chal gaye
Fir bhi tera intezaar yeh dil karta to hai

Gham tujhe kabhi choo na paaye
Bus yehi dua yeh dil karta to hai
Tere saare aansu ise miljaaye
Yehi ilteeja yeh dil karta to hai

Dil ke badle dil anginat tukde mile hume
Tuta hua sahi tere liye yeh dil dhadakta to hai
Na mil saki mohabbat teri hume
Fir bhi tujhise mohabbat yeh dil karta to hai

Tum to kar na sake iqraar-e-mohabbat
Lekin pyaar ka izhaar yeh dil karta to hai
Har mod pe sivaaye daga kuch na diya tumne
Fir bhi tere liye khuda se takraar yeh dil karta to hai


Posted on 4/29/2007 7:02:52 PM


Yeh Zara Zara Si Baat Per

Yeh zara zara si Baat per tarah tarah ka Azaz kyun?
Jo kisi se b Khafa na ho, Mujhe us Khuda ki Talash hai


Mujhe Lagzishon per her Ghari, Koi Tokta hai Baar Baar
Jisey kar k Dil ko Dukh na ho Mujhe us Gunaah ki Talash hai


Bina Hamsafar k kab Talak, Koi Musafaton mai laga rahey
Jahan koi kisi se Juda na ho, Mujhe us Raah ki Talash hai


Mujhe Dekh ker jo Ek Nazar, Mere Saarey Dard Samjh sake!!
Jo is qadar ho Chaara-Gar, Mujhe us Nigaah ki Talash hai
x............x............x

Posted on 4/29/2007 7:03:11 PM

wah wah wah

kia baat hai


Posted on 4/29/2007 10:05:38 PM

nicee

Posted on 4/30/2007 3:36:49 AM

thanx FG jaaanu

and Cf bro


Posted on 4/30/2007 4:20:34 PM