Logo

what you think about islam

kiran:
I think islam boohat acha religion insaan ko mohabbet kerna sikhata hai aur eik allah ko manne ki taleem daita hai ager hum islam ki asli taleem per amal karain to kabhi bhi rah se bhatkain appne pyare rasool ki masal lain to kabhi fasad na karain.

thansk for reply par mughay sika bhi ans chaye kay apkay khyial main jo loog islam ko laykay chelay unsay islam ko fayida huwa ya nuksan meri nazar main unho nay islam ko apnay hisab say chalyia hai nakay islam kay hasab say

Posted on 11/24/2006 12:27:01 AM

i think sahaba karaam nay Islam kay liye jo khidmaat
sar anjaam di usi ki waja say aaj duniya main people
are accepting Islam.unho nay hamain sab kuch diya,hukumat say lekar insaani zindagi kay har maslay ka hal hamain bataya.Islam is a practical religion
is may har maslay ka hal hain.

Posted on 12/19/2006 8:50:19 AM

meray khyial main fayiday kay sath sath nuksaan bhi ponchayia hai ohno nay islam ko apnay liay boht use keyia hai

Posted on 12/20/2006 1:30:43 AM

mmja jee main apki is baat say bilkul agree nahi karoongi.
i think ghaltiyan hamari hain unki nahi.
Unho nay hamain sab kuch diya per un cheezon ka hum sahi istimal nahi kar sakay.

Posted on 12/20/2006 8:05:18 AM

koi bat nahin je har insaan ka apna nazeryia hota hai
ager ap shorow say chand reply par layn meray to ap ko meri baat sahi tarahn samgh lag jayegi kaymain kyia kehna cha raha hon

Posted on 12/21/2006 1:26:57 AM

yaa abhi parh leti hoon.

Posted on 12/21/2006 8:26:13 AM

sun_shine:
yaa abhi parh leti hoon.

ager par sako to parkay jawab dayna

Posted on 12/23/2006 1:13:26 AM

mainay yeh post parh li.
jo baatein SD jee nay kahi main us say 100% agree karti hoon.per yeh aap nay parha kaha hain kay sahaba karaam nay aisa kiya.
islam is the most practical religion.is may har maslay ka hal hain.
main apko aik suggestion doon?

Posted on 12/23/2006 8:12:43 AM

aray pochnay ki kyia bat hai je zaror do or ager us say mera fayiada ho sakta hai to phir to main na bhi karon to do plz

Posted on 12/30/2006 12:26:53 AM

aap Peace channel pe ya Qtv per Dr.Zakir Naik ki
debates,shows zaroor dekhiyega.

Posted on 12/30/2006 7:52:40 AM

boht zeeyiada to nahin lakin kuch daykhi hain lakin mughay woh atract nahin keyia woh kehta hai yahan yeh likha huwa hai woh likha huwa hai lakin mera khyial hai usay chaye kay woh kahay quran main yeh likha hwua hai or usko agay rakh kay maslay ka hal batye na kay srif ratay mar kay a jaye

Posted on 1/1/2007 12:05:38 PM

i think woh Koran paak ka hawala dekar uss maslay ka hal nikaltay hain.aap ne shayad pori debate nahi suni ya dekhi hogi.

Posted on 1/3/2007 7:52:30 AM

aray pori suni hai woh srif hawala dayta hain proper hal nahin batatay apni soch kay hisab say ho sakta hai main ghalit hon ya shayed main nay ghor say na suna ho

Posted on 1/3/2007 10:09:08 AM

aap ek baar zaroor sunay aapko bhi yakeen aa jayega.

Posted on 1/16/2007 7:18:21 AM

yehi to pro hai je mainay to aik bar say zeyiada dafa suna huwa hai unhay

Posted on 1/19/2007 12:49:35 AM

per aap ne ghor nahi kiya hoga.i think woh mojuda daur kay sab say baray scholor hain.

Posted on 1/19/2007 8:19:53 AM

salaam sun_shine ...

Allah jis ko jitni hidayat dyta hay utna hi woh acha dikhta aur kehta hay ....

Elam / knowldge.... yeh sab Allah ki di howi naymat hay.

Aur Allah nay is say apny kafi logoun ko fayzyaab kiya hay.

there are a lot of best Muslim scholar aur Ba-Amal Musalman hein .


thanks for ur suggestion

Posted on 1/20/2007 12:37:55 AM

thanks yehi baat to main mmja jee ko samjhanay ki koshish kar rahi hoon.

Posted on 1/21/2007 8:13:19 AM

chalein is tarhan mein nay aap ki help kar di ... :)

Posted on 1/21/2007 8:19:16 AM

Thanks

Posted on 1/22/2007 11:16:48 AM

me nay bhi thanks kehna hai
ok je wesay ghor say suna tha lakin apkay kehnay pay dobara ghor say suno ga shayed kuch samgh a jaye hope for best

Posted on 1/23/2007 5:44:56 PM

inshAllah

Posted on 1/24/2007 8:01:19 AM

exams ho jaey phir apkay mashwaray pay amal karayngay

Posted on 1/25/2007 12:25:44 AM

acha aapkay exams hain.good luck

Posted on 1/25/2007 8:19:44 AM

thansk je ab to khatum ho gayew or result bhi ana shoro ho geyia hai je

Posted on 1/28/2007 12:34:16 AM

aapka result out ho jaye to hamain zaroor bataeya ga.

Posted on 2/6/2007 12:41:25 PM

68% aye hain maza nahin ayia 2 subject kay number achay nahin aye

Posted on 2/12/2007 1:54:46 AM

Congratulations,68% bhi buhat achay marks hain.

Posted on 2/14/2007 7:46:29 AM

thanks a lot je lakin masla yeh hai jis subject main meray marks kum aye hain us subject ki mem nay kaha tha kay meray marks class main sabs ay zeyiada ayengay us subject main or usi main achay nahin aye

Posted on 2/17/2007 2:46:51 AM

oh,koi baat nahi paas hona bhi bari baat hain wo bhi achay marks lay kar.
dont worry.

Posted on 2/26/2007 11:01:03 AM