Ab yehi dooriyan muqaddar hain
Main tere paas aa nahi sakta
Itne aansu hain meri aankhon mein
Koi khwaab saja nahi sakta
Tujh ko yeh baat bataun tau bataun kaise
Dil ka toota huya aaina dikhaun kaise
Dil ki kitab ke safe Khola kiye hain hum
Apna zameer aap tatola kiye hain hum
Tanhaaiyon mein jab jab bechainiyaan badein
Parchhaiyon se apni bola kiye hain hum
Humko na mayassar kabhi araam na do Gadhi
Dil ki tapish ko aaj bhi shola kiye hain hum
Hai Khaak nasheman per dil maanta nahin
Kitna abhi baaki lahoo tola kiye hain hum
Ashars gum hue kahin itna hua main udaas
Hosho hawaas mein Zher Ghola kiye hain hum
Un kadmon ke nishaan jaane kahan kho gaye
Jis dagar pe hum chale the faasle darmiyaan ho gaye
Dekhkar halaat aur zakhm hamare dil ke
Apnon ki bheed mein ruswa gair meherbaan ho gaye
Koi to jaakar unko bataye dard judaai ka
Maikade mein jo baithe hum log kadardaan ho gaye
Mana ke ye ehsaas kuchh ajeeb hai lekin
Zakhm jab ban gaye nasoor dard zubaan ho gaye
dil ne kiye kai shikwe gile us khuda se
Chhodkar saath mera us bewafa ke kyon nigehbaan ho gaye
ek naam hai unka jo marte dam tak meri jubaan se nahi jaayega
ek dard hai unse juda jo kabhi bhulaya na jaayega
woh lagaate rahe hum per na jaane ilzaam kya kya
per unko toh kabhi yeh dil mera bhula na paayega
aaj nahi hai unke honthon per chaahe naam mera
par jaanti hun woh apne dil ki diwaaron se naam mera kabhi hata na paayega
Tumari Judai se kya kya na sikha hai
Pehle hasna aur phir rona sikha hai
Dard mein hasna bhi tumhari judai se sikha hai
Logo se Mohabbat karna
logo ke dard ko apna samjhna bhi
Tumhari judai se sikha hai
Dard sehna, dard mein muskrana
Aur tanhayi main rona bhi
Tumhari judai se sikha hai
Har waqt tarapna
Raato ko uth uth ke rona bhi
Tumhari judai se sikha hai
zindagi ki lagan me zinda na raha
apni hi magan me apna na raha
kho gai matti ki khushboo tab se
jab se ghar apna kacha na raha
sach lagta hai sab jhooti duniya me
sach me koi yahan sacha na raha
kitne raste hain iss zameen par
phir bhi koi yahan rasta na raha
kitni chahat se banaya tha ashiyan
rehne ko ab yahaan banda na raha
dhundhlaa nazar ata hai aaine me
dekhne ko apna chehra na raha
bichhad gaya wo bhi duniyaan me
ek pal jo kisi se juda na raha
hame zindagi se koi shikwa nahi
koi gila nahi ki wo hamko mila nahi
jeene ke liye unki yaadon ka sahara bahut hai
koi gam nahi jo wo do kadam saath chala nahi
Muddath Ho gayi hai Un tanhaiyoun Ko Guzre
Ab bhi in Ankho mein Woh Khamoshiya Kyun Hai?
Tod Diya jisne Mohabbat par se Yakeen Mera
Ab bhi Woh Pyar ke Kaabil Kyun Hai?
Koi na mila aisa Jispe Duniya Lutta Dete
Sabne Dhoka diya Kis Kisko Bhula Dete
Dil ka Dard Dil Mein Dabaye Rakha hai
Bayan Karte toh Mehfil ko Rula Dete
Ek ke baad Ek Azmaate Rahe Humko
Kabhi Sapne toh Kabhi Apne Rulate Rahe Humko
Ab Hum Unse Iskadar Rooth gaye Hai
Ki Khudha bhi NaKaam Rahe Manaane mein Humko
Aaj tak,
Sirf aur Sirf tumse hi pyar kiya
Tumhare hi baare mein sochti rahi
par kya faida?
Khwab Dikhake tanha chohd gaye
Jab pyar ka izhar kiya
badi asaani se keh diya
ke mujhe nahi tumse pyar bhool jao
koi apne pyar ko bhula bhi sakta hai?
koshish karke dikhao
Tod diye sab khwab
toot gaya sab kuch
main khud toot gayi
mere jine ka sahara yeh khwab the
wo bhi tod diye tumne
Ye dil udaas hai bahut koi paighaam hi likh do
tum apna naam na likho chalo gumnaam hi likh do
Meri kismat me gham-e-tanhai hai lekin
tamam umr na likho magar ek shaam hi likh do
Ye janta hoon ke umr bhar tanha mujhko rehna hai
magar pal do pal, ghadi do ghadi mera naam hi likh do
Chalo hum maan lete hain saza ke mustahiq thehre
koi inaam na likho, koi ilzaam hi likh do
Hawa bhi shaad hai fiza ka dil udas nahi
Chaman ke phoolon pe gadraya madhumas nahi
Batau kisko aise main mijaaj mausam ka
Batati tumko magar tum bhi mere pass nahi
Tamaam umr guzari hai maine tumhare bina
Hai zindagi ko tere pyar ka kayaas nahi
Dil-o-dimag pe taari hai tere pyar ki kasak
Tanha jawani meri hoti kabhi udas nahi
Zindagi thi ajeeb sab ke sab ek khwaab the
jo khushi nahi mili uske gam behisaab the
tha samander apna fir bhi kyu pyase the
humari ek hi baat mein chhupe kayi hijaab the
Dard ki qabar mein jab khushi so gayi
Maut khud aa ke us qabar par ro gayi
Yun to sab gham ke haathon pareshan hai
Mujh pe kuchh khaas us ki nazar ho gayi
Yeh Hum Bhi Gawara Karte Hain
Yeh Tum Bhi Gawara Kar Lena
Ro Ro Ke Guzari Hai Humne
Tum Hans ke Guzara Kar Lena
Betabi Had Se Badh Jaye
Or Neend Na Ayee Ratoon Ko
To Doob Ke Meri Yadoon Mein
Duniya Se Kinara Kar Lena
Jis Waqt Janaza Guzrega
Is Shaks Ka Tere Kooche Se
Jazbaat Pe Kaboo Kar Lena
Khirki Se Nazara Kar Lena
Use Milna batain karna acha lagta hai
Chup chup ke haan use milna acha lagta hai
Wo kehta hai tum mujhko bohat hi achi lagti ho
mujhko uska aisa kehna acha lagta hai
uski ankhon mein band rehna acha lagta hai
uski yadon mein ana jana acha lagta hai
sab kehte hai yeh khwab hai tera lekin
khwab mein mujhko rehna acha lagta hai
haan wo mujhko acha lagta hai
Unhe aadat hai zakhm dene ki
Apni to fitrat hai gam chhupane ki
Aadat si pad gayi hai aansuon ko pee jane ki
Kya haseen saza di hai zalim ne dil lagaane ki
Itni choti si umar mein
itna kuch sehna
kabhi socha na tha
tera mera sath chhoot jaega
kabhi socha na tha
meri har saans tera naam leti hai
mere jab hont khulte hain to ek hi naam lete hain
jab kisi ke baare mein sochti hun
to sirf tumare baare mein sochti hun
jab kisi ka naam lena chahti hun
to honthon par tumara naam ata hai
mera dil dharkta hai, sab ki tarah
par dhak dhak nahi karta
wo tumara naam leta hai
jab muskurati hun
to tuje yaad karke muskurati hun
jab roti hun
to tuje yaad karke roti hun
Meri har baat tumse judi hai
tujhe bina soche main kuch nahi karti