Her guzrta pal urhtay badal ki tarah
muqadar ki jholi mein
aney wale sawaan ki chand boonden
aur kuch sunehri dhoop ki kirne
daal jata hay
Waqt ka urtha panchi jaal bunta jata hay
sehmi hoi hawaeen
chand k kaan mein
sargoshi kar rahi hein
chandni apna urtha anchal sanbhalti
dhirey say dharti k sinay pe uthar rahi hay
magar
raat ki agoush mein is jahaan
ki aankhen
naram palkon ko orhey
sapnon ki jheel
mein uthar gay hain
(Subha)
Waqt ki gard say
atey howe hain kuch khuwab apnay
palkoon k ihsar main
qaid parey hain
aankhon main chupa rakhey the
jo sehlaab kitnay
aina e dil pe mere
kohr si jami howi hay
humen faqat intzar hay is ka
k kabi to bad e sabah
nazar k sehra say guzray
is tarah
k nikhar ayen phir humare
kuch gulaab sapnay