share ur poetry...

38236 views 962 replies
Reply to Topic
paki_fan

Age: 124
Total Posts: 9535
Points: 0

Location:
United States, United States
Aisa pehli baar hua hai satrah atharah salo mein
Un dekha anjanna koi aane laga hai khayalon mein
Aankhon ki khidki per ek sayaa sa lehraata hai
Dil ke derwaze per koi dastak de ke jata hai
Gherri gherri kaali aankhen, mujse mujko puchhatti hai
Hathoan ki rekhaon mein ek chehra sa ban jatta hai
Uski sanse resham jaisi gallo ko chu jaati hai
Uske hathoan ki khushboo hai ab tak mere ballo mein
Aisa pehli baar hua hai satrah atharah salo mein
Un dekha anjanna koi aane laga hai khayalon mein....
Posted 01 Dec 2004

paki_fan says
Posted 28 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 30 Mar 2005

paki_fan says
dil kai phool bi kheltay hain
behkar jatay hain
zahkam ksay bi hon
kuch rooz main bhar jatay hain
is dareechay main bi ab koi nahi aur ham bi
sar jukai howai chup chap guzar jatay hain
naram awaz,bahli batainmahazab lahjay
phali barish main hi yeh rang utar jatay hain
Posted 30 Mar 2005

paki_fan says
un ankhon main mohabbat ka sitara ho ga
ek roz woh shaks humara ho ga
jis ke ane se mere sanse chala karte hain
ab un ke bina kaise mera ghuzara ho ga
Posted 30 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 30 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 30 Mar 2005

paki_fan says
hmm
Posted 31 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 31 Mar 2005

wafakadard says
Posted 31 Mar 2005

wafakadard says
Aik Khaab Hai Is Khaab Ko Khona Bhee Nahe Hai
Tabeer Ke Dhaage Mein Peerona Bhee Nahe Hai
hum to khaab main hi kuch ho jate hain tum ko dekhke...
Keunke jante hain tum ko to humara hona hi nahi hai
Posted 31 Mar 2005

wafakadard says
Yehi Faza , Yehi Rut , Yehi Zamaanaa Tha
Jab uss ne Yeh mera dil churaya tha.....
Par uss ne to mere pyar ki kadar hi na ki....
or uss ke lye main ne apna sub kuch bhulaya tha
Posted 31 Mar 2005

paki_fan says
Posted 01 Apr 2005

paki_fan says
maana ke khushi ko nazar lagi hai meri
Badi udaas ho gayi hai zindagi meri
Par ab tum mujhe kya gham do ge..?
GHamoun se to dosti ho gayi hai meri
Posted 01 Apr 2005

paki_fan says
Ghazal of Gham


Payar wo majhe se kar na saki
nafarat main us se kar na saka

Zindagi mere ho na saki
mout ko main rok na saka

Wo kase or ki ho gaye
main kase or ka ho na saka

Wo majhe bhool gaye
main use bhoola na saka

Wo has kar chale gaye
main ji bhar kar ro bhi na saka
Posted 01 Apr 2005

Fairl_Girl says
Posted 01 Apr 2005

Fairl_Girl says
mere dyar-e-paristish main aasman tha woh shakhs
usi ne apni nazar se gira diya hai mujhe
ujar din tha Mohsin,na zikar sham-e-faraq
hansi khushi yonhi us ne rula diya hai mujhe
Posted 01 Apr 2005

paki_fan says
nice
Posted 02 Apr 2005

paki_fan says
Mat chaho kisi ko itna ke us ki chahat tumhary liya majbori ban jaye ....
Chahoo kisi ko utna ke tumhari chahat us ke liya zarori ho jayee
Posted 02 Apr 2005

paki_fan says
Ankh Mein Kiya Raz Tha Jo Hum Say Gawara Na Howa,
Rotay Rotay Hum Say Yoo Hasna Gawara Na Howa.
Ap Ki Ankh Ki Halki Si Jombish Nay Humaray,
Dil Kay Tokray Soo Kiye Or Soo Gawara Ker Diya.
Kitnay Diwanay Howe Ho Gay Teray Aye Jan-e-Ada,
Tuj Ko Mil Jaye Ga Koi Tuj Sa Bay-e-wafa.
Jab Tujay Aye Gi Meri Jan Meray Piyaar Ki KADAR,
Tab Mujay Tu Dondti Dondti Ray Jaye Gi.
Posted 02 Apr 2005

DejaVu077 says
Posted 02 Apr 2005

paki_fan says
Posted 03 Apr 2005

paki_fan says
"jo such poochti ho
ae jaan-etamana
tou hum donon mein se
kisi ko kisi se muhabat nahi hai
diya hai jisay naam hum ne muhabat
wo mehroomi-e iltefaat-enazar hai
hai jo aarzo hum ko ik doosray ki
nahi kuch siwaye faraib-e-tamana
kisi tor tanha na rehnay ka dharka
hamaray khameeron mein jo rukh diya hai
hai aankhon mein jo khwab hum ne basaya
hain hum bakhabar is ki tabeer se bhi
khabar hai k khushbu na aaye gi laikin
faqat aabro-e-baharan ki khatir
hain kuch kaghzi phool hum ne sajaye
Posted 03 Apr 2005

wafakadard says
nice Paki
Posted 03 Apr 2005

wafakadard says
DARD TU MUHABAAT KI KISMAT MEIN LIKHA HAI AZUL S
AAB IS HAQIQT KO JHUTLA NAHIN SKTE HAIN HUM
Posted 03 Apr 2005

paki_fan says
Posted 03 Apr 2005

wafakadard says
sukria jaanab
Posted 03 Apr 2005

DejaVu077 says
Yaad aata hai rooz-o-shab koi
Hum say rootha hai bay sabab koi

Lub jo chaon main darakhthon ki
Wo mulaqat thi agab koi

Jab tujhay pehli bar deekha tha
Woh bhi tha mausam-e-tarab koi

Kuch khabar lay kar teri mehfil say
Door baitha hai jan balab koi

Na gham-e-zindagi na dard-e-firaq
Dil main yunhi si hai talab koi

Yaad aati hain door ki batain
Piyar say dekhta hai jab koi

Chot khai hai barha laikin
Aaj to dard hai agab koi

Jin ko mitna tha mit chuky Nasir
Unko ruswa karay na ab koi
Posted 03 Apr 2005

Fairl_Girl says
wahh
Posted 03 Apr 2005

paki_fan says
really nice deja
Posted 04 Apr 2005

paki_fan says
Kabhi Pathar Ki Lakeerain Bhi Mita karti Hain
Kitne Saada Hain Tera Naam Mitane Walay
Posted 04 Apr 2005

Reply to Topic