share ur poetry...

38214 views 962 replies
Reply to Topic
paki_fan

Age: 124
Total Posts: 9535
Points: 0

Location:
United States, United States
Aisa pehli baar hua hai satrah atharah salo mein
Un dekha anjanna koi aane laga hai khayalon mein
Aankhon ki khidki per ek sayaa sa lehraata hai
Dil ke derwaze per koi dastak de ke jata hai
Gherri gherri kaali aankhen, mujse mujko puchhatti hai
Hathoan ki rekhaon mein ek chehra sa ban jatta hai
Uski sanse resham jaisi gallo ko chu jaati hai
Uske hathoan ki khushboo hai ab tak mere ballo mein
Aisa pehli baar hua hai satrah atharah salo mein
Un dekha anjanna koi aane laga hai khayalon mein....
Posted 01 Dec 2004




Posted 17 Feb 2005

Fairl_Girl says
NICEE
Posted 18 Feb 2005

paki_fan says
very nice everyone


hmm Turipti_is_Bk no nothing like that happened to me


Posted 20 Feb 2005

paki_fan says
Baharon main ghataon main tujhey mehsoos kiya
Jeewan ki rahoon main tujhey mehsoos kiya

Jab bhi barasnay lagin yeh piyaasi ankhin
Main ne in nigahoon main tujhey mehsoos kiya

Meri sansoon main rahi teray khiyaal se hulchal
Dil ki panahoon main tujhey mehsoos kiya

Khushboo hi khushboo bikher gai her sou
Main ne in hawaoon main tumjhey mehsoos kiya

Din k ujaloon main tujhey mehsoos kiya
Raat ki banhoon main tujhey mehsoos kiya
Posted 20 Feb 2005

paki_fan says
JANUBABY said:

paki_fan said:




very nice janubaby



Your Welcome
Posted 20 Feb 2005

wafakadard says
Bhaot Khob
Posted 20 Feb 2005

paki_fan says
thanks janab
and yeahh     welcome back
Posted 21 Feb 2005

paki_fan says
Yun to pyar karne waale tumai kam na milengay,
Mil jaingay hum jaise bohot ,,, per hum na milengay.
Posted 21 Feb 2005

paki_fan says
Uthetay hai jab ye haath dua ko
Rab se tere liye hi faryaad karte hai
Tum humain bhula bhi do to kya
Hum to tumhe har pal yaad karte hai
Posted 21 Feb 2005

wafakadard says
paki_fan said:

thanks janab
and yeahh     welcome back


Ji Sukria
Posted 21 Feb 2005

wafakadard says
BAnke saya tere saath chalte rahe hum bhi,
Tanhayion me tere saath rahe hum hi,
Duniya ki bheed me shayad tumne mujhe pehchaana nahi,
Tere intezar me khade hai yahin ab bhi....
Posted 21 Feb 2005

wafakadard says
Toota mera khwaab, ghubaar-e-dil aansuon mein beh gaya
Woh raah-e-wafaa mein tanha chor gaye, aur dil dekhta reh gaya
Abb Samjhayen bhi to kaise samjhayen hum apne iss Machalte dil ko....
Ek khoobsurat pyar ka rishta banaya tha....woh tor ke chala gaya...
Posted 21 Feb 2005

wafakadard says
Uss ne kaha mujh se kitna pyar hai
Main ne kaha, sitaaron ka koi shumaar hai

Uss ne kaha ke kaun tumhein hai bohat aziz
Main ne kaha ke dil pe jisey ikhteyaar hai

Uss ne kaha ke kaun sa tuhfa hai mann pasand
Main ne kaha woh shaam jo ab tak udhaar hai

Uss ne kaha ke sainkaron gham Zindagi mein hain
Main ne kaha ke gham nahi, jab gham gusaar saath hai

Uss ne kaha kahan tak saath nibhaao ge
Main ne kaha, jitni yeh saanson ki taar hai

Uss ne kaha mujh ko yaqeen aaye ga kis tarah
Main ne kaha ke mera naam Aitbaar hai....
Posted 21 Feb 2005

paki_fan says
good
Posted 22 Feb 2005

paki_fan says
tanhai main,
tum hamain khamoshi main na talash karna,
hum tumhai mil jaingay,
buhoot kareeb ajaingay,
zara tum apnay dil main daikhna,
wahin nazar hum ayain gay
Posted 22 Feb 2005

paki_fan says
Kitnay arman mohabbat k hasen sawan k

khushak patoon ki tarhaan agg main jal jatay hain

Subha ayee to tayray darad ka suraj nikla

Shaam ayee to deeay tere yaad k jal jatay hain

Dil to pagal hai samjhta he nahi yaar H

Log to warna khaylonoon say bayhal jatay hain
Posted 22 Feb 2005

wafakadard says
wow ! nice
Posted 22 Feb 2005

wafakadard says
Merri kaamat say tu kuch doost bhi jal jatay hain
Dushmanoo say bhi kuch agay hi, nikal jatay hain


Ghaer tu Ghaer hain,Ghaeroon say Gilla kia kerna
Kia kahien Unn ko jo teeer apnoo say chal jatay hain


Aasteenoo ko bacha kar tu buhat rakhtay hain
Phir bhi kuch saanp jo Anjanay main pal jatay hain


Aap iss Shakhs ko Pathar bhi nahi keh saktay
Garri_e_Ishq say pathar bhi pighal jatay hain


Apnay haathoon main liey phirti hay Dunia SOORAJ
Ik hum hain kay CharraGhoon say Behal jatay hain


Itni jaldi tu badaltay nahi Mossam bhi Zahra
Jitni teezi say Yahaan Loog baddal jatay hain
Posted 22 Feb 2005

wafakadard says
Aasteenoo ko bacha kar tu buhat rakhtay hain
Phir bhi kuch saanp jo Anjanay main pal jatay hain
Posted 22 Feb 2005

paki_fan says
Posted 22 Feb 2005

Fairl_Girl says
Posted 23 Feb 2005

Fairl_Girl says
jahan shaher hoon sare wairane
jahan loog sabhi hoon baigane
jahan sab k sab hoon dewane
jahan koi humain na pehchane

Mujhay aur kahin le chal sanwal

jahan nafrat dil mein bus na sake
jahan koi kissi ko dus na sake
jahan koi kissi pe huss na sake
jahan koi b gunjal kass na sake

Mujhay aur kahin le chal sanwal

jahan dard kissi ko raas na ho
jahan koi b uddas na ho
jahan zulmat ki boo bass na ho
jahan too b ziada pass na ho
Posted 24 Feb 2005

wafakadard says
paki_fan said:

Bari Taliyaan hoo rahi hain
Posted 24 Feb 2005

wafakadard says
Humain yeh dard tum ne keun diya...
hum ne aisa tum se kya kaha?...
keun humain pyar main dhoka de diya...
tum ne to pyar ka naam hi badnam kar diya...
Posted 24 Feb 2005

wafakadard says
woh ittefak tha dard humne nahin diya,
aisa bhi nahin ki pyar ko badnaam kiya,
agar waqt ne mujhe barbad na kiya hota"Neha"
humne humesha teri waadiyon ko aabad kiya...
Posted 24 Feb 2005

wafakadard says
Posted 24 Feb 2005

wafakadard says
lagta hai tum bhi hamari tarah pyar ki kashti mein sawar ho,
lekin wo pyar hee kya jisme dono ke beech na takraar ho,
lekin takraar bhi to wahin tak dil ko bhati hai,
yahan to uss bewafa ki yaad mein aankhein chalak jaati hai,
pur usne mere ruh ke saath saath dil ko bhi tod diya,
aur is bewafa jahan mein akela rehane ko chod diya,
phir bhi dil khuda se uske liye ye fariyaad karta hai,
jahan bhi rahe aabaad rahe, jise ye dil yaad karta hai.
Posted 24 Feb 2005

paki_fan says
very nice janab
Posted 25 Feb 2005

paki_fan says
mera seedha saadha mizaj tha,
mujhe ishq hone ki kya khabar,
tere aik tabassum naz ne,
mera sara zoq badal dya
Posted 25 Feb 2005

paki_fan says
"mohabbat kis ko kehte hain,
main bhola bhali kya janoo,
faqat itna samajhta hoon,
ke dil main dard hota he,"
Posted 25 Feb 2005

Reply to Topic