Amir Virdan’s Personal Poetry Collection

18401 views 235 replies
Reply to Topic
Virdan

Age: 124
Total Posts: 652
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Asslam o Alaikum Friends,

Mein yahan per apni personal poetry send kar raha hon aur aap logo se umeed karta hon keh aap sab apnay comments dein gay kiyon keh aap k words mairay liyay bohat qeemti hain mein koi baqaida poet nahee hon bus shauq ki takmeel k liyay hay yeh sab aur mujhay pata hay keh is mien bohat se khaniyan hon gi bal keh dosray aur wazeh lafzo mien kaha jaiay to yeh ghaltiyo ka ijtimaa ho ga magar ap inhain bardasht kar leejiyay ga Thanks
Posted 27 Sep 2005

heer_sial says
Hi Amir its me heer 4rm lhr yeh aap ki poetry ki nazar i think u like it

jaroun ki khunkk raatain houn yah germiyoun ki tuppti dopehrain
jub qadam qadam pay naar-saeyoun kay dukh bikhray houn tu ehsasaat aisay ho jaaty hain

main ajeeb apni zaat main
kabhi jaan gudaaz jism say
kabhi jaan ba lub-e-jaan se
kamal-e-terz ki taskeen-e-jaan
kabhi khatir ba lub ser liey
pari kusmasa kusmasa gaey
uthi aor ofuq tuk samaa gaey
main janum janum k gunaah ka
koi besubab nishaan houn
main suddi suddi ki aabla paa
main apni zaat ka jhouta gayaan houn
mujhay saahilon pay gaarh do
mujhay mujh mien dhound kay maar do
maray zakham saja kay daar per
meri musafatoun ko phaink do
mera saans laina rouk do
baychain kabhi aor kabhi pursakoon
kabhi khud hi khud main sernigoon
main ajeeb apni zaat main houn !!!!!!
main ajeeb apni zaat main houn !!!!!! red6red
Posted 06 Nov 2005

new_beau says
Heer_Sial,,,and From Lahore Yeh baat Kujj Hajam nahin hui
Posted 06 Nov 2005

heer_sial says
tu aap ko kaha kis nay meray bhai hazam karo aor waisay bhi yeh aap ko send nahin ki gaey..GOD BLESS U
Posted 06 Nov 2005

heer_sial says
Ik zara si ranjesh say
Shak ki zard tehni pay phool badgumani kay
Is tara say khiltay hain
Zindagi say payaray bhi ajnabi say lagtay hain
Ghair ban kay miltay hain
Dost dar lehjhon main silwatain si parti hain
Umer bhar ki chahat ka kuch sila nahi milta
Dashtay beyakeni main asra nahi milta
Phool rang wadon ki manzelain sukarti hain
Rah murnay lagti hay, berukhi kay garay say, bedili ki miti say
Faslon ki inton say int jurnay lagti hay
Khak urnay lagti hay’ wahmon kay saiy say umer bhar ki mehnat ko
Pal main tor jatay hain
Bhear main zamanay ki sath chor jatay hain
Ik zara si ranjesh say
Hath chut jatay hain
Khuwab tut jatay hain.
Posted 06 Nov 2005

heer_sial says
Teraa khyaal b0hat der tak nhin rehta

K0yee mlaal b0hat der tak nhin rehtaa


Udaas kertee hai aksar tumharee yaad mujhay

Magar yeh haal b0hat der tak nhin rehtaa


Main raiza raiza t0 h0taa h00n her shikast kay baad

Magar nidhaal b0hat der tak nhin rehta


Jwaab mill he t0 jata hai,,,aik chup he na h0

K0yee swaal b0hat der tak nhin rehtaa


Main jaanta h00n kay s00raj h00n,,,D0ub ja00n bhi

Mujhay zwaal b0hat der tak nhin rehta
Posted 06 Nov 2005

Virdan says
Thanks a lot aap k jazbaat o ehsasaat daikh kar i can feel a very nice person who is just replying me aur yeh mien apni khush naseebi samjhta hon keh aap ko mairi yeh adnaa se kawashaein pasand aai thanks a lot 4 this aur umeed karta hon kehg aap apni pasand se agah karti rahein gi aap k comments ka intizaar raha karay ga Thank
Posted 07 Nov 2005

Virdan says
new_beau said:

Heer_Sial,,,and From Lahore Yeh baat Kujj Hajam nahin hui


bhai aap ko waisay bhi koi baat hajam nahee hoti aap ne EId per khana bhi zayda kha liya ho ga paito to hain he aap khair ab aap hajam karnay k liyya hajmola khaiyay
Posted 07 Nov 2005

new_beau says
heer_sial said:

tu aap ko kaha kis nay meray bhai hazam karo aor waisay bhi yeh aap ko send nahin ki gaey..GOD BLESS U



Yaar ...Aik baat mujhay aaj tek Samajh nahin aayee..Yeh Larkiyonn ko Darr kahay ka hota hay ...Zara si baat kero fata fat..BHAI ...

Posted 07 Nov 2005

heer_sial says
woh kia hai bhai keh dainay se yeh boyz zara apni limit main aa jaaty hain...bhai jeee itna acha rishta banaya hai naseeboun walay ko milta hai accept karo na
Posted 07 Nov 2005

heer_sial says
aor haan zindagi bohot thouri hai is main agar aik bhi sincere rishta mill jaata hai na tu khud ko lucky samjhain aap..fight nahin plz meri zindagi main fight ki koi jagaa nahin hai..GOD BLESS U ...HEER
Posted 07 Nov 2005

new_beau says
fight kon ker raha hay

Chhaddo jee Mitti pao...

Virdan saab...Its your Topic...Pls post more Poetry
Posted 07 Nov 2005

heer_sial says
Mujhay__tujh__sAy__M0HABBAT__hAi)




Mujhay tujh say M0HABBAT hai


M0HABBAT bhi kuch aisee


j0 kisi sehra k0 baarish say


Kay barish jiss qadar bhi t00tt kar brsay

Zraa pal bhr k0 pyaasee ret kay lab bheeg jaatay hain


Magar!!!Bus ek zraa pl bhr......


Mujhay tujh say M0HABBAT hai


M0HABBAT bhi kuch aisee,,,


J0 prind0n k0 fizaa0n say


Gul0n k0 khushb00an say


Mnzr0n k0 lehlahatay mausam0n say


Jiss men,,,ch00nay,,jazb krnay,,,Aur glay mill kay hmesha


Muskuraanay kay liey


Dil!!!chaaht0n aur khwahish0n kee


Sab hd0n k0 paar kr jaey


Mujhay khud say M0HABBAT hai


Magar itnee nhin,,,Jitnee


Tujh say teray s0dayee k0 hai


W0h apnay raat aur din


Dh00p,,,chaa0an...sahl0n,,,driya k0 taar0n k0


Faqat ek teray nuqtay men smaittay


Aur teree chaaht0n men aankh say,,,


Dil aur R00h say wajdaan kee


Her kafiyyat men


R0ta,,,ubhrta,,muskuraata


Zaat aur mar00z kay hwaal0n say


Kbhi ka kutt chuka hai

Posted 08 Nov 2005

Virdan says
new_beau said:

fight kon ker raha hay

Chhaddo jee Mitti pao...

Virdan saab...Its your Topic...Pls post more Poetry


i will Insha Allah u will see it soon
Posted 08 Nov 2005

new_beau says
okay
Posted 08 Nov 2005

Virdan says
Posted 10 Nov 2005

new_beau says


Posted 11 Nov 2005

Virdan says
Thanks a lot bro
Posted 13 Nov 2005

Virdan says
Thanks
Posted 24 Nov 2005

Virdan says
Posted 24 Nov 2005

new_beau says


ROOSHANAASI...I think its wrong Word here..ROO means CHEHRA...aur ZAAT ka chehra nahin kaha ja sakta ...Try to change this misrah...



Buzurg-o-Bertar ..ko MERDAM SHANAASI kay paimaanay say Samajhna chahtay hainn aap...MERDAM shanaasi insaan ko Parakhnay kay liyey hoti hay..Yeh aap BUZERG-O-BERTER kis keh rahay hainn..EXPLAINN







These shairs are very good NIKLAY jo NIKLAINN say change ker lainn..I think..




AASII...means Gunehgaar...aur yeh ALIF say nahin AIN say hota hay...AIN ALIF SUAD YEH..

Change it,..and Reconsider this Shair...Iss mainn Kuchh Ziyaada JAAN nahin hay abhi...Agar AAP NAY ALIF say likha hay aur uss ka koi aur matlab hay tou sorry...but pls explain..





Very Good And Meaning Ful...
Posted 26 Nov 2005

hmmm class ho rahi hai
Posted 26 Nov 2005

new_beau says
aaho
Posted 26 Nov 2005

Virdan says
new_beau said:



ROOSHANAASI...I think its wrong Word here..ROO means CHEHRA...aur ZAAT ka chehra nahin kaha ja sakta ...Try to change this misrah... [/QUOTE=new_beau]

asal mein jab yeh pehla shere likha tha to tasawr mein koi shakhs tha aur jab dosra shere likha to tassawar mein Allah Tala ki zaat thi isi liyay kaha

Tairi zaat buzarg o bar tar
Mujhay bhi mardam shanasi milay

yani keh woh buzarg o bar tar zaat hay kuchh bhi de sakti hay so us se mardam shnaasni mangi keh woh to sab anayat kar saktay hain


Niklay ko niklein karnay ki koshash karo ga Insha Allah

aur yeh Aasi Alif se hay jo keh word Aas se liyay gaya hay gunahgaar wala nahee hay


aur aakhir mein bhai yahi kaho ga keh aap ne mairi is haqeer se kawish ko behtar banay k liyay jo kuchh kaha hay aur jo madadf di hay mein is k liyay shukriya walay alfaz kehtay huway bhi sharm mehsoos kar raha hon

aap apnay aisay he alfazo se nawaztay rehyay ga i know keh mairi poetry mein ghaltiyan he ghaltiyan hain so plz batatay rehyay ga aur is mien bhi abhi taseeh keejiyay ga

Posted 28 Nov 2005

new_beau says
Oh Thanks for explaination...
Posted 01 Dec 2005

Na!ma says
Virdan said:

Very nice ...
Posted 02 Dec 2005

Virdan says
Thanks a lot Naima
Posted 02 Dec 2005

good
Posted 03 Dec 2005

Virdan says
Thanks
Posted 04 Dec 2005

Virdan said:



nice sharing
Posted 07 Dec 2005

Na!ma said:

Virdan said:

Very nice ...

bohat umda poetry hai jee
Posted 07 Dec 2005

Reply to Topic