Amir Virdan’s Personal Poetry Collection

18404 views 235 replies
Reply to Topic
Virdan

Age: 124
Total Posts: 652
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Asslam o Alaikum Friends,

Mein yahan per apni personal poetry send kar raha hon aur aap logo se umeed karta hon keh aap sab apnay comments dein gay kiyon keh aap k words mairay liyay bohat qeemti hain mein koi baqaida poet nahee hon bus shauq ki takmeel k liyay hay yeh sab aur mujhay pata hay keh is mien bohat se khaniyan hon gi bal keh dosray aur wazeh lafzo mien kaha jaiay to yeh ghaltiyo ka ijtimaa ho ga magar ap inhain bardasht kar leejiyay ga Thanks
Posted 27 Sep 2005

new_beau said:



ROOSHANAASI...I think its wrong Word here..ROO means CHEHRA...aur ZAAT ka chehra nahin kaha ja sakta ...Try to change this misrah...



Buzurg-o-Bertar ..ko MERDAM SHANAASI kay paimaanay say Samajhna chahtay hainn aap...MERDAM shanaasi insaan ko Parakhnay kay liyey hoti hay..Yeh aap BUZERG-O-BERTER kis keh rahay hainn..EXPLAINN







These shairs are very good NIKLAY jo NIKLAINN say change ker lainn..I think..




AASII...means Gunehgaar...aur yeh ALIF say nahin AIN say hota hay...AIN ALIF SUAD YEH..

Change it,..and Reconsider this Shair...Iss mainn Kuchh Ziyaada JAAN nahin hay abhi...Agar AAP NAY ALIF say likha hay aur uss ka koi aur matlab hay tou sorry...but pls explain..





Very Good And Meaning Ful...


nice selection
Posted 07 Dec 2005

new_beau says
Posted 08 Dec 2005

Virdan says
Thanks a lot Hawa ki baiti 4 liking mine ghazals
Posted 08 Dec 2005

Fairl_Girl says
nice peotry
Posted 09 Dec 2005

Virdan says
Thanks Fairy Girl
its ur greatness otherwise iknow that there are great mistakes in it
Posted 10 Dec 2005

Fairl_Girl says
main apki sare collection ki bat ki hai 1 poem ki nahi
Posted 10 Dec 2005

Virdan says
jee mein ne bhi apnay saray collection ki he baat ki hay
Posted 11 Dec 2005

Virdan says
Posted 22 Dec 2005

new_beau says
THE BEST GHAZAL YOU HAVE EVER TOLD US OF YOURS...

Very Good...And Very Different MASHALLAH 100/100
Posted 23 Dec 2005

Virdan says
Thanks Brother
magar aap bohat ganday bachay ho gaaiy hain apnay vaaday bhi aap ko ab yaad nahee rehtay hum aap se naraz hain
Posted 25 Dec 2005

new_beau says
vAADA YAAD HAY ....tRY BHI KI thi magar mizaaj nahin mila
Posted 26 Dec 2005

vv nice ghazal virdan
Posted 26 Dec 2005

Virdan says
QUEEN VICTORIA said:

vv nice ghazal virdan


Thanks a lot Queen 4 liking it
Posted 27 Dec 2005

Virdan says
new_beau said:

vAADA YAAD HAY ....tRY BHI KI thi magar mizaaj nahin mila



chalein bhai aap yeh bata dein mil sakta hay keh nahee vada pora ho sakta hay keh nahee aap ki jo bhi baat ho gi hum isrsr nahee karein gay
Posted 27 Dec 2005

cuteshah says
Posted 01 Jan 2006

Virdan says
Thanks Cute shah its a very nice ghazal of Great Parveen Shakir but its not the perfect place 4 it
it is just 4 mine personal poetry hope u will understand
any mod plz move iton its right position
Posted 03 Jan 2006

WOW GR8 VARDAN.......
Posted 05 Jan 2006

Virdan says
Thanks a lot QUEEN
Posted 08 Jan 2006

Virdan says
Posted 10 Jan 2006

ONLYARBAB says
Virdan said:






nice one
keep it up more and more
Posted 13 Jan 2006

Virdan says
Thanks
Posted 13 Jan 2006

new_beau says
Virdan said:



Mainn Busy na hota tou Aap ki Baqayeda CLASS leta is sghazal per..Zara Saber ker teri Khair nain
Posted 13 Jan 2006

Virdan says
jee zaroor class leejiyay ga is ghazal per kiyon keh yeh 2 shairo aur ik anari ka mushtarka kaam hay
Posted 15 Jan 2006

Anoushy says


varden app keh kess ko rahy hain main ny tu app ki ess ghazal per bara aktafa kiya hai chalyein mera aik mamoli sa shaire per kay deakh layein

well app ki itni nice ghazal kay samny khuch nahi lakin per bi i hope app ko pasand aye ga
Posted 16 Jan 2006

Virdan says
Bohat achha shere hay Thanks 4 sharing with me.
asal mein yahan per mein sirf apni zaati poetry send karta hon aur dosray apni raaiy se apnay khyalaat se mujhay nawaztay hain Aap parh kar mujhay apnay views zaroor bataiyay ga Thanks apna khyal rakhyay ga Allah Hafiz
Posted 20 Jan 2006

Anoushy says
well aur kia kahoo bohat hi nice collection hai app ki ab ki bar send karayein gy na tu khob masaly laga ker apni nayab views bayan karoo geeeeee

Posted 20 Jan 2006

Virdan says
yaho to mazay ki baat hay keh mujhay masalo ki bilkul bhi zaroorat nahee hay such sab se barh kar maz daita hay chahay talkh he kiyon na ho
Posted 21 Jan 2006

Virdan says






Posted 21 Jan 2006

new_beau says
Woh kahin aur Masroof hay shayad
Posted 22 Jan 2006

Virdan says
shaid aisa he ho
Posted 23 Jan 2006

Reply to Topic