YAh MeRy DILL ki mahfill hay

29063 views 423 replies
Reply to Topic
~CHANDNI~

Age: 124
Total Posts: 56416
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom
YAh MeRy DILL ki mahfill hay.zara   dhery dhery ana   aoo to is trah kay aky phir na jana
Posted 31 Jul 2004

~CHANDNI~ says
dil kii lagii ko aur vo bha.Dakaa rahe hai.n aaj dil kii lagii ko aur vo bha.Dakaa rahe hai.n aaj



dil kii lagii ko aur vo bha.Dakaa rahe hai.n aaj
sar taa paa bahaar bane jaa rahe hai.n aaj

jaise ke ho rahaa hai tuluu aaftaab-e-naaz
kuchh aisii shaan se vo chale aa rahe hai.n aaj

Thukaraa ke iltajaa ko paa-e-Guruur se
armaano.n kaa vo Khuun kiye jaa rahe hai.n aaj

vo pyaar kii fizaaye.n vo rangiin sohabate.n
manzar vo saare shauq ke yaad aa rahe hai.n aaj

"Yahya" gilaa kare.n bhii to kis baat kaa kare.n
apane kiye kii aap sazaa paa rahe hai.n aaj



Posted 05 Aug 2004

WAFA says
wafa kho gaee thee..bohut mushkil say mille hay rani sis
Posted 05 Aug 2004

~CHANDNI~ says
yah   moghy   hay  & nbsp;yaqeen
   bewafa
to nahi
phir waja   kiya hoye   .....intzareeeeeeeeeee  &nbs p;kiiiiiiiiiiiiiiii
Posted 05 Aug 2004

Rain Man says
Aye Dil Bata Kis Ka Karoon Huq Adaa
Dono Say Hai Rishta Kareeb Ka
Ek Taraf Uska Ghar Ek Taraf Maikada
Posted 05 Aug 2004

WAFA says
lolzz..ya maikaday ko kaho uskay ghar shift hojaye..ya usko maikaday mein lay jao
Posted 05 Aug 2004

Rain Man says
wo illegal hai
Posted 06 Aug 2004

Guest_005 says
Posted 06 Aug 2004

~CHANDNI~ says
¥Á§-D said:

Aye Dil Bata Kis Ka Karoon Huq Adaa
Dono Say Hai Rishta Kareeb Ka
Ek Taraf Uska Ghar Ek Taraf Maikada




ussse   kay ghar say gya   to kidher jaon ga
mahh kada chordo to mar jaoon ....ga ,,,sakht mushkil may hon kiya karon ayeee   khoddda
akk taref us ka ghar
akk tarf mah kada
Posted 07 Aug 2004

~CHANDNI~ says
JB Ka Raja said:




   raja    tumhara kise nay bajaya   baja
tum
itnay choty kaisy ho gay
Posted 07 Aug 2004

~CHANDNI~ says
Posted 07 Aug 2004

~CHANDNI~ says
Posted 07 Aug 2004

WAFA says
Posted 07 Aug 2004

dost19 says
niceeeee......
Posted 07 Aug 2004

~CHANDNI~ says
thanx    
wafa   and   dost
Posted 08 Aug 2004

~CHANDNI~ says
Posted 08 Aug 2004

~CHANDNI~ says
Posted 08 Aug 2004

rao_buddy says
Posted 08 Aug 2004

rao_buddy says
sofffffiiiiiiiiii aik aur akho na plz
Posted 08 Aug 2004

~CHANDNI~ says
lolz    abhi   lo &n bsp; jeee





Posted 08 Aug 2004

~CHANDNI~ says



















yeh ishq nahin aasaan,
yeh ishq nahin aasaanyeh ishq nahin aasaan,
ek aag ka darya hai,
aur doob ke jaana hai......

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye....

Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunahgar To Nahi

Aaj Tu Kali Hai,
Kal Gulab Hoga
Mujh Se Shadi Kar Le,
Tujhko Sawaab Hoga

In Hi Patharon Pe Chal Ke,
Aaa Sako To Aao
Hamaare Ghar Ke Raste Koi Kahkashan Nahi

Kafas Udas Hai yaaro,
Subah Se Kuch To Kaho

Kahin To Behr-E-Khuda Aaaj Zikr-E-YaarChale

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah

Mast Nazron se dekh lenaa tha..
Agar tamanna thi aazmane ki..
Hum to behust youn hi ho jaate..
Kya zaroorat thi muskurane ki..

Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.

Jo Saaz Se Nikli Hai,
Woh Sada Sab Ne Suni Hai
Jo Saaz Pe Guzri Hai,
Woh Kis Dil Ko Khabar Hai

Aaa Sikander-E-Hunar Aaazmayain
Tu Teer Aaazmaaa,
Hum Jigar Aaazmayain

Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai

Satchaye Chup Nahi Sakti, Banawti Usulon
Se
Khushbu Aa Nahi Sakti, Kagaz Ke Phoolon Se

Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai

In Main Moti Hai Ke Pathar, Kise Khabar
Dil To Samundaron Se Bhi Gahra Hai Dosto

Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka
shehed
Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehmoob uski
sarhad

Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi
Koi
Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi
Koi

Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi
To
Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi

Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi

Ek Musafir Ne Raat Pichlay Pahar
Apne Mehboob Ke Na Aane Par
Kar Diya Taj Mahal Ke Tukre
Aab-E-Jamuna Main Phaik Kar Pathar

Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main

Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan

Hum Bewafa Har Giz Na Thay
Par Hum Wafa Kar Na Sakay
Humain Mili Us Ki Saza
Jo Khata Hum Kar Na Sakay --- (By Umber)

Khudaa jab husn deta hai
nazaakat aaa hi jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai

Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na
karo
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte
hain
Apne jhakam kisi ko dikhaaya na karo

Yeh hawa ka koi jhonka nahi
Teri yaadon ka ek samundar hai

Mohbbat karna koi zulm nahi,
Agar ki jaye usool se,
Khuda ko bhi muhabbat thi,
Apne rasoul se

Mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge
Main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon
ki tarah

Tum badle, jahan badla, badli nazar zamane
ki
Yeh Aansu char baqi rah gaye, nishani dil
lagane ki

Pyar main jadoo bhi kya maza hai
Lagta hai ke ek khubsurat saza hai

Chaand raaat ko sabhi dekhain, hilaal-e-eid
ko
Ik hamara hi naseeba hadiyan turva gaay
Hum the chaand ke nazaare main khoye hue
Bus achanak chand ka abba wahan pe aa
gaya

Hui hum se ye nadani,
Kay teri mehfil mein aa baithe
Ho kay zameen ki khakh
Aasman se dil laga baithe

Dil si cheez hai, dene ko hai de day
Magar koi qabeel bhi to ho
Hum to jaan de kay bhi khush hain
Magar koi qateel bhi to ho

Teri aur meri nazar ka na kabhi baer ho
Lo raah main takra gaye, allah khair ho

Galat nahi ke zamane main lajawaab hain
hum
Samajh sake na koi, woh kitaab hai hum
Dhoondhta Phirta Hoon Main Logon Main
Shabahat Uski
Ke Woh Khwabon Main Bhi Lagti Hai Khyalon
Jaisi

Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi

Tere Aazad Bande Ki, Na Yeh Duniya Na Woh
Duniya
Yahan Jeene Ki Pabandi, Wahan Marne Ki
Pabandi

Jab Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Morna
Jab Dour Ho To Mera, Tasavvur Na Chorna
Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le
Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain hain
Torna

Dekha Jidhar Yeh Payaa, Aalam Hijaab Ka
Jaali Ko Naam De Diya, Humne Niqaaab Ka
Dukh Ki Tabash Hai, Dharkanain Tanhaiyan Bhi
Hain
Yeh Zindagi Hai Jaise, Din Ho Hisaab Ka --(By
Umber)

Woh To Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar
Jayega
Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega
Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar
Jayega
Kya Khabar Thi Ke Rug-E-Jaan Main Utar Jayega

Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah
Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah
Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne
Khut
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah

Tu Aatish-E-Dozakh Se Darata Hai Jin hain
Woh Aag Ko Pee Jate Hain Paani Kar Ke

Ashq Mile To Pee Lete Hain
Aap Kahe To Mar Jayen Hum
Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain

Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta
Hai
Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko
Parta Hai

Mujh Se Mut Pouch, Mere Dil Ki Kahani O
Hum-Dum
Is Main Kuch Parda-Nashinon Ke Bhi Naam Aate
Hain

Jab Kishti Sabit Salim Thee, Sahil Ki Tamanna
Kis Ko Thi
Ab Aise Shikasta Kishti Main Sahil Ki Tamanna
Kaun Karey

Mausam Hai Mausam, Khushbu Aapke Zulfon Ka
Naam
Mausam-E-Gul Hai, Aapke Baag Main Aa Jaane
Ka Naam

In Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke
Railay Hain
Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne
Akele Hain

Mujhe Is Baaat Ka Ghum Nahi Kay Badal Gayaa
Zamaana
Meri Zindagi To Sirph Tum Ho, Kahin Tum Na
Badal Jaana

Tasalli Ho Jayegi, Zara Itna To Bata Do
Tumhe Bhi Hitchkiyan Aati hain Jab Hum Yad
Karte Hain

Zaruri To Nahi, Ke Batayain Labon Se Dastaan
Apni
Zabaan Ek Aur Bhi Hoti Hai Izhaar Ki

Phool Khilna Chahta Hai, Kali Khilne Nahin Deti
Dil Milnaa Chahtaa Hai, Kismat Milne Nahin Deti

Jo Aala Zarf Hotey Hain, Woh Sar Kham Hi
Rakhtey Hain
Suraahi Khud Nagoon Ho Kar Bhara Karti Hai
Paimaney

Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai
Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal
Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De...

Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya
Malum
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya
Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya
Maalum

Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha
Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha

Aisa lagta hai zindagi tum ho
Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee
joostjoo meree aakhree tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!
Kis zamaane ke aadmee tum ho?

Tujhko dekhenge to sitare bhi Zia maangen ge
Pyaase teri zulfon se ghataa maange ge
Apne maathe se yun aanchal ko na sarkaa dena
Varna buddhe bhi jawaani ki dua maange ge

Maana ke aapke nazaron main kuch nahin hain
hum
Magar unse jakar puchiye jin-hain hasil nahi
hain hum

Manzil ko paane ke liye Saahil ko paar karna
parta hai
Mohabbat karne ke liye dil-o-jaan qurban karna
parta hai...

Duniya bhar ki khushiyan hamare saath chali
Qadam mila ke jo hamare saath aap chali...

Aadi bana kar lazzat-e-aazaar ne mujhey
Gham ki khalish ko dil ki tamanna bana diya

Gar hota woh saqi apni aankhon ke jaam ka
Gar milta na saqi sharab-e-haraam ka
Kiya ittefaaqat ne mujh ko barbaad wagarna
Naam apna bhi hota aala muqaam ka

Aur bhi cheezain bohot si lutt chukin hain dil kay
saath
Yeh batayaa doston ne ishq furmane kay baad
Ab kamray ki ek ek cheez check karta hoon
main
Ek tere aane se pehley, ek tere jaane kay baad

Kaate nahi kat te hain lamhe intezaar ke
Nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke
Dil ne kaha dekhein jo jalwe husn-e-yaar ke
Layaa hai koun inko, phalak se utaar ke

Ishq ke lamhe sharaab lagte hain
Kuch chehre mehtaab lagte hain
Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue
Ke har lamhe hi azaab lagte hain

Na tum bewafa ho, na hum bewafa thay
Magar kya karain apni rahain juda hain


SHAIRS WRITTEN BY THE WEBMASTER (HUMAYUN) OF THIS WEBSITE

1) Har Kashti-E-Manzil Sahil Hai To Kya
Hamari Manzil-E-Ishq To Sirph Tum Ho
Yeh Dil Dharakta Hai Har Pal To Kya
Is Dil Ki Dharkan To Sirph Tum Ho
Zindagi Dee Is Rab Ne To Kya
Is Jeene Ka MaQsad To Sirph Tum Ho
Yeh Jaan Jayegi Kisi Din To Kya
Is Dil-E-Malka To Sirph Tum Ho

2) Har Kisi Se Zyada, Bus Khuda Se Kum
Hamain Itni Muhabbat Hai Tumse
Sanam
Ab Chahe Parain Ishq Main Jitne Sitam
Tumhe Paana Hai Chaahe Jitne Ho Ghum
Labon Ne Na Bola, Par Is Jahan Ki
Kasam
Agar Hota Jayaz, Pujte Tum Ko Hum

3) Tumhe Khud Nahi Malum Ke Tum Kya
Ho
Jaise Badlon Ke Pitche Chand Chupa
Ho
Inhi Adaaon Pe Hain Hum Mushter Tere
Yehi Waja HAI Ke Tum Auron Se Yoon
Juda Ho
4) Chahak Uthi Hai Har Ek Shaye(cheez) Is Zamaane
Main
Teri Aamud Se Mere Dil Ke Aashiyane Main

5) Kahan Se Shuru Karoon Afsane Apne,Kahan
Tamaam Karoon
Apni Muhabbat Ka Hi Bas Main Ab Kalaam
Parhoon
Na Ustaad Ki Izzat Ki Jitni
Apni Dilbar Ka Main Itna Ihtiraam Karoon
Jab Tak Zindagi Se Na Wabista Woh Mere
Apne Khwabon Main Hi Unko Mehmaan Karoon
Dastoor-E-Duinya Se Mujhe Kya Lena
Ab Chahe Khud Ko Hi Kyon Na Badnaam Karoon
Agar Degree Bhi Na Mili To Kya Gham Hai
Apne Mahboob Ko Agar Apne Naam Karoon
Apni Nakaami Ka Na Hai Dar Mujhe
Bus Dar Hai Khud Ko Na Viraaan Karoon
Ab Zindagi Se Koi Aarzoo Hi Nahi
Bus Marne Se Pehle Apna Yeh Ek Kaam Karoon

6) Ise Nadaani Kaho Ya Pyar, Chahe Ishq Ka
Parwaaz
Yeh Diwangi Sahi, Par Sirph Dillagi Nahi


Ghazals

Kabhi Kabhi Mere Dil Main Yeh Khayaal
Aataaa Hai
Ke Zindagi Teri Zulfon Ke Naram Chaon
Main
Guzar Na Paati To Shadaab Ho Bhi Sakti Thi
Yeh Teergee Jo Meri Zeesth Ka Muqaddar
Hai
Teri Nazar Ki Shu'aun Main Kho Bhi Sakti Thi
Magar Yeh Ho Na Sakaa, Aur Ab Yeh Aalam
hai
Keh Tu Nahi, Tera Ghum, Teri Justaju Bhi
Nahi
Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarah Zindagi Jaise
Isay kisi ke Sahaaray Ki Aarzoo Bhi Nahi
Na Koi Yaadain, Na Manzil, Na Roshni Ka
Surag
Bhatak Rahi Hay Khyalon Main Zindagi Meri
Inhee Khyalon Main Reh Jaaon Ga Kabhi
Kho Kar
Main Jantaa Houn Meri Hum-Nafas Magar
Yu Heen
Kabhi Kabhi Mere Dil Main Yeh Khayaal
Aataaa Hai
Ab Ke Hum Bitchre To Shayad Kabhi Khawbon
Main Mile
Jis Tarah Sukhay Hue Patte Kitabon Main Mile
Dhoond Ujray Hue Logon Main Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Main
Mile
Ghum-e-Duniya Bhi Ghum-e-yaar Main Shamil Kar
Loon
Nasha Barhta Hai Sharabain Jo Sharabon Main
Mile
Too Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain To Kyon Hijabon Main Mile
Aaj Hum Dar Ye Khainchainge Jin Baton Par
Kya Ajub Kal Woh Zamane Ko Nasibon Main Mile
Ab Na Woh Hain, Na Woh Tu Hai, Na Woh Maze
Hain Faraz
Jaise Do Shakhs Tamanna Ke Sailabon Main Mile
Ab Ke Hum Bitchre To Shayad Kabhi Khawbon
Main Mile


Phati Hui Shayeri (Funny Shairs)
Yeh Raaaten, yeh mausam.....yeh hansna hansanaaa
Mujhe bhool jaana, inhain na bhoolana

Ladka: Kaash in hasinaaon kay baap mar
jayen'
Bahana ho afsos ka hum inke ghar to
jayen
Ladki: Aisa sochna bhi aye zalim paap hoga
Kabhi tu bhi kisi hasina ka baap hoga

Kutta ban gaya hoon tere pyaar main
yakeen nahin aata to suno...Bhow..bhow

Aaj Tu Kali Hai, Kal Gulab Hoga
Mujh Se Shadi Kar Le, Bara Sawaab Hoga

Yusuf ka husn, Zulekha ka ghumaar dekha hai
Kuch is tarah se Haseenon ka pyaar dekha hai
Unhe khilane pilaane main hui hai yeh haalat
Kasm khuda ki..Cinema bhi udhaar dekha hai

Kamaata nahin hun itni ke tujhe roze khilaoon
Aaati hai to aaa ja, ya kisi aur ko pataooon

Katchi Kali Katchnar Ki, Katcha Na Samjhna
Lar Jaoonga Tere Baap Se Batcha Na
Samajhna

Angoothi Chanak Gaye, Nageena Nikal Gaya
Afsos Tera Baap, Kameena Nikal Gaya

Maana Ke Main Pura Musalman To Nahi
Par Apne Deen Se Nata To Jor Sakta Hoon
Nemaz Roza Kuch Na Sahi
Shab-E-Barat Patakhe To Chor Sakta Hoon

Dil Logi, Ke Jaan Logi
Meri Jaan Set Hone main Kitna Time Logi

Industrian sari mere yaar kha gaye
Meri Sari jaydaaad rishtedar kha gaye
Marne Ke baad bhi unho ne ki meri saath
cheating
banaye mazar to minaar kha gaye

Jahaan gaaye the khushiyon ke taraane,
Muqaddar dekhiye roye wahiin par
Hue masjid se Gum juute hamaare,
JahaaN se paaye the, khoye wahiin par

Gul Gaye Gulshan Gaye, Gul Ke Patte Rah
Gaye
Sare Shayair Mar Gaye, Tum Ullu Ke Pathe
Rah Gaye
Ladki: Chandni chand se hoti hai, sitaron se
nahi
Mohabaat ek se hoti hai, hazaron se
nahi
Ladka: Chandni chand se hogi to sitaron ka kya
hoga
Mohabbat ek se hogi to hazaron ka kya
hoga

Milna hai to mil
isee duniya ke chaman main
Phir kya milna hoga,
Jab laaash hogi kaphan main

Dil hai tera dariyaa....Aankhen hain teri Jheel
So my darling ... What's The Big-Deal ??

Dil Logi Ke Jaan Logi
Meri Jaan Set Hone Main Kitna Time Logi

Meri jaib main hai kath, meri rifle bhari hui hai
Mujhe khauf kya police ka, mera baap mantri
hai

Neil Armstrong Chand par Gaya aur Farmaya
Ye Saala, Idhar hawa kyon nahin ayaa

Yeh tera chehra hai yaa kele ka chhilka
Jo dekha to dil phisal gaya

Tairna Hai To Paani Main Aao, Kinare Pe Kya
Rakha Hai
Ishq Karna Hai To Bahar aa, Ishare main Kya
Rakha Hai

Maine tumhare yadon mein ro ro ke tub bhar
diya
Magar tum itne bewafa nikle, ki naha kar ganda kar diya,










Posted 08 Aug 2004

Guest_005 says
JB ki Rani said:

JB Ka Raja said:




   raja    tumhara kise nay bajaya   baja
tum
itnay choty kaisy ho gay




Hamaray liy to aap nay kuch bhi nahi kaha ..
Posted 08 Aug 2004

~CHANDNI~ says
JB Ka Raja said:

JB ki Rani said:

JB Ka Raja said:




   raja    tumhara kise nay bajaya   baja
tum
itnay choty kaisy ho gay




Hamaray liy to aap nay kuch bhi nahi kaha ..
\



   ray   abhi lo   raja

Posted 09 Aug 2004

~CHANDNI~ says




Posted 09 Aug 2004

~CHANDNI~ says













DashT-e-TanHai~*~







KABHI YOON BHI AA MERI AANKH MEIN
KE MERI NAZAR KO KHABAR NA HOO
MUJE EK RAAT NAWAZ DE
MAGAR US KE BAAD SAHER NA HOOO







WOH BARA RAHEEM-O-KAREEM HAI
MUJHE YEH SIFT BHI ATA KARE
TUJHE BHOLNE KI DUWA KARO
TU DUWA MEIN MERI ASAR NA HOO









KABHI DIN KI DHOOP MEIN JHOOM KE
KABHI SHAB KE PHOOL CHOOM KE
YOHEIN SAATH SAATH CHALE SADA
KABHI KHATAM APNA SAFAR NA HOO







MERE PAAS MERE HABIB AA
ZARA AUR DIL KE KAREEB AA
TUJHE DHERKANOO MEIN BASALOON MEIN
KE BICHERNE KA KABHI DER NA HOO




























Posted 10 Aug 2004

~CHANDNI~ says

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo


Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker

Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker


Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah

Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker


Meri Jaagi Hui Raaton Ko Usi Ki Hai Talash

So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker


Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah

Meray Hontoon Pay Machalta Hai To Naghma Banker


Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak

Rouh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker


Mera Kiya Hall Hai Yeh Aa Kay Kabhi dekh To Lay

Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Vadaaha Banker


Dhoop Main Khou Gaya Woh Haath Chhura Kar

Gher Say Jo Saath Chala Tha Mera Saaya Banker


Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker

Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker













Posted 10 Aug 2004

~CHANDNI~ says
> Main   Mohabbat    Hoon.. .
>
>
>
>Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee
>Jo lehron se mit jaati hay
>
>
> Main baarish ki barasti boond nahee
>Jo baras ker tham jaati hay
>
>
>
>
>
>
> Main khwab nahee
>Jisey dekha aur bhula dya
>
>
>
>
>
> Main shama nahee
>Jisey phoonka aur bujha dya
>
>
>
>
> Main hawa ka jhonka nahee
>Jo aaya aur guzar gaya
>
>
>
> Main chand bhi nahee
>Jo raat k baad dhal jaye
>
>
>
> Main to woh ahsaas hoon
>Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
>
>
>
> Main to woh rang hoon
>Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
>
>
>
> Main woh geet hoon
>Jo teray labon se juda na hoga
>
>
>
> Main to woh parwaana hoon
>Jo jalta rahayga magar fana na hoga
>
>
>
> Khwab,ibaarat,hawa ki tarah
>Chand,boond,shama ki tarah
>
>
>
> Meray mitnay ka sawaal nahee
>Kyunkay MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN










Posted 10 Aug 2004

Rain Man says
Aa Gaya
Aa Gaya
Dil Churane Mein Aa Gaya
Live Is Loveable
Pyar Nahin Saleabe
Dil Mera Available
Sab Ke Liye...
Posted 10 Aug 2004

WAFA says
Posted 10 Aug 2004

~CHANDNI~ says
¥Á§-D said:

Aa Gaya
Aa Gaya
Dil Churane Mein Aa Gaya
Live Is Loveable
Pyar Nahin Saleabe
Dil Mera Available
Sab Ke Liye...




thanxx yas   
Posted 10 Aug 2004

Rain Man says
npz...
who's got the album
Abhijeet A Tribute To Kishor Kumar
Posted 10 Aug 2004

Reply to Topic