Logo

Fairl_Girl’s Collection + OWN

kash_beauty:
good janubabe!
n pari




sunny..very nice
thx kash

Posted on 6/29/2005 12:42:01 AM



::: AANSOO :::


Aansoo May Na Dhoondna Hamey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.
Lamha Lamha Waqt Ghuzer Jaayenga,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega,
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Koun Apke Zindagi May Aa Jayega.
Pass Aa kar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
Waqt To Hamey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jaga Tumhe Hum Milenge.
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,
Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge

Posted on 6/29/2005 12:50:10 AM


Posted on 6/29/2005 1:01:13 AM

voh ek ismey mubarak dil pe likhna chahye jis ko
voh peshani pe likh toe lon magar achha nahein lagta

Posted on 6/30/2005 9:05:21 PM


Posted on 6/30/2005 11:27:36 PM

niceee

Posted on 7/1/2005 12:43:47 AM

*~ Maan Jaati ~*




Agar guftagu ka aghaaz mein karta
Jharaktee bigartee magar maan jaati



Jo mein barh kar us kay qadam rok leta
Woh paaon patakhtee magar maan jaati



Agar chaand kaliyaan usay paish karta
Woh daman jhataktee magar maan jaati



Mein kehta "chalo tum ko ghuma kar laoon"
Akartee jhijhaktee magar maan jaati



Jo mein barhta usko galay sey laganey
jhi-jhakti simattii magar maan jaati



Jo mein husan key us kay tareef karta
Woh baahen jhataktee magar maan jaati



Woh meri shokh batoon par khamosh rehti
Dopatta kutertee magar maan jaati



Jo mein us ko taktaa ... zameen ko woh takti
Anguthaa ragarrti magar maan jaati



Woh nazdeek aatee ... mein daman pakarta
Haya sey simatti magar maan jaati



Jo peechay say aanchal ka phanda banata
Bohat tilmilaati magar maan jaati



Woh ghussay may jo mujh say naraaz hoti
Bikharti tarapti magar maan jaati



Jo may bahoon mein usko ghair leta
Bohat kasmasati magar maan jaati



Mein kehta keh parhnay ka choro bahana
Woh safhay palatti magar maan jaati



Jo kehta keh "rahon pe chaliye sambhaal kar"
Uchaalti matakti magar maan jaati .

Posted on 7/1/2005 1:03:09 AM




aate hi kammal dikha rahe ho miya.................
dil ki tanhaayiyo me ghar banaya tha kabhi tera,
hota hai ussme abb bus bhooto ka basera,
kabristaaan sa bana diya hai tune zindagi ko hamare,
saanso ke sholo me jala diya hai yaado ko tumhare.

Posted on 7/1/2005 4:17:53 AM


Posted on 7/2/2005 12:26:01 AM

CHAHAT   



Mein ne jis ko chaha mujhe woh mil gaya hai

Mohabbat ka aisa nagar mil gaya hai



Khushi main Jhoomta hoon main aaj kal

Main ne jis ko chaha woh Hamsafar mil gaya hai



DUA main ne ki thi Sanam Mujh ko chahe

DUA main bhi itna Asar mil gaya hai



Darr Darr ke maine maangi thi thori si chahat

Mujhe chahaton ka Shajar mil gaya hai
     

Posted on 7/2/2005 12:33:07 AM

WOH JO AJATEY THEY ANKHON MEIN SITAREY LEY KER
JANEY KIS DES GAYE KHWAB HAMERY LEY KER

ZINDA REHNEY KI TAMANNA HO TO HO JATEY HEIN
FAKHTAON KEY BHI KIRDAR UQABON WALEY

Posted on 7/2/2005 12:40:26 AM

WOH JO AJATEY THEY ANKHON MEIN SITAREY LEY KER
JANEY KIS DES GAYE KHWAB HAMERY LEY KER

ZINDA REHNEY KI TAMANNA HO TO HO JATEY HEIN
FAKHTAON KEY BHI KIRDAR UQABON WALEY

Posted on 7/2/2005 12:41:18 AM

NA POOCH JAB WOH GUZARTA HEY BENIAZI SEY
TO KIS MALAAL SEY HUM NAMA BER KO DEKHTEY HEIN

TEREY JAMAL SEY BHI HAT KER 1 DUNIA HEY
YEY SER O CHASHM MAGAR KAB IDHER KO DEKHTEY HEIN

Posted on 7/2/2005 12:46:09 AM

SHIKASHT DEY GAYA APNA GURUR HI ISKO
WARNA IS KEY AGEY KIA BASAT THI MERI


SUNA HEY ISA MASEEHA KAHIN SEY AYA HEY
KEY IS KO SHERHR KEY BEMAAR CHEL KEY DEKHTEY HEIN

Posted on 7/2/2005 12:51:28 AM


Posted on 7/2/2005 2:34:29 AM


koi moosam ho dill main hai tumhari yaad ka moosam
k badla hi nahi jaaanaa tumhare baad ka moosam

nahi to aazma ker dekh lo , kaise badalta hai
tumhare muskuraane se dil e nashaad ka moosam

rutoon ka kaaida hai waqt per yeh aati jaati hain
humare shehar main kiu ruk gaya faryaad ka moosam

kahin se us haseen awaaz ki khushbuu pookare gi
to us ke saath badle ga dil e barbaad ka moosam

qafas ke baam o dar main rooshni si aayi jaati hai
chaman main aagaya shayed lab e aazaad ka moosam

mere shehre preshaan mainteri be chaand raatoon main
bohat hi yaad kerta hoon teri bunyaad ka moosam

Posted on 7/2/2005 2:38:36 AM

good FG




Posted on 7/4/2005 12:54:22 AM


Posted on 7/4/2005 2:14:49 AM


Posted on 7/4/2005 2:18:11 AM

muhabat abbsharoon ki rawaani hai
muhabat khud deewangi ki deewani hai

muhabat sitaroon ki khamoosh gazal hai
muhabat zindagi ki shabnum liye ik kanwal hai

muhabat main sir jhukey tu pather ko adam ker dain
muhabat main sir jhukey tu adam ko khuada ker dain

muhabat woh kashish ki jiss se kashish sitaroon main
muhabat woh rooshani ki rooshani jiss se sitaroon main

muhabat key jazbey liye phoota hai gul
muhabat main hi kissey key gata hai bulbul

jiss main jhoot ka sar-a-paa such ho mohubata woh
ayeena
aur ubhar ker jo kabhi na totey muhabat woh abbegeena

muhabat jo miley tu bas sakoon hi sakoon
muhabat na miley tu bas janoon hi janoon

muhabat firishtoon ki sanahat hai
muhabat jugnoowoon ki jagmagahat hai

muhabat mujnoo ki dewaangi bhi
muhabat laila ki pakizeegi bhi

muhabat wahshatoon ki tashnagi bhi
muhabat phooloon ki shagaftgi bhi

muhabat sawanoon ki pyaari se thandak
muhabat sehrawoon ki khushak dastak bhi

muhabat rooh se rooh ka gahra rishta
muhabat key dil main app khuda hai basta

Posted on 7/4/2005 2:18:31 AM

Sorry aysaa he read kiya tha kahin say soocha post kar doon

Posted on 7/4/2005 2:18:50 AM




gud both of u

Posted on 7/4/2005 3:32:41 AM

don't be sorry sunny
jo dil main aye post karo

Posted on 7/5/2005 12:16:27 AM


hum ne har daur mein mehnat ke sitam jhele hain
hum ne har daur ke haathon ko hina bakshi hai

abhi shabab ke din hain na yun machal ke chalo
lagi hai pairon mein hina abhi sanbhal ke chalo

zehan mein ubhren ge gum gushta mohabbat ke nakoosh
jab woh haathon mein mere dast-e-hinai de gaya

yun haath per laga ke hina ja rahe hain woh
jaise kisi ko wapsi ka keh ke aae hain woh

saaf inkar hai to aane ka bahana kaisa
rang lae hain woh hina ka,lagana kaisa

kitni kaliyon ki ragon ka woh lahoo hota hai
jis ko mehboob ke haathon ki hina kehte hain

khushboo bas us ke qarib ke sanson mein rach gai
rang-e-hina to haath se kab ka utar gaya

yaad rkahna pyarr apna aae uroos-e-zindage
khoon dil se hum tughe rang-e-hina dete rahe


Posted on 7/5/2005 12:45:53 AM


Posted on 7/5/2005 1:10:02 AM

Sataya na karo hume,yun is tarah

Ke hum bhi insaan hai tumhari tarah,

Aaj hum hain,kal na ho, kise maloom

Ho sakta hai ke,phir tum pachtaoo,kise maloom,

Zakhm-e-dil ko aur na zakhmi karo

Ke ye to hai sheeshe se bhi nazuk,

Ek baar toot gaya to judhna hai mushkil

Ho sakta hai,kal tum koshish karo,kise maloom!!!

Posted on 7/5/2005 1:19:15 AM

Sataya na karo hume,yun is tarah

Ke hum bhi insaan hai tumhari tarah,

Aaj hum hain,kal na ho, kise maloom

Ho sakta hai ke,phir tum pachtaoo,kise maloom,

Zakhm-e-dil ko aur na zakhmi karo

Ke ye to hai sheeshe se bhi nazuk,

Ek baar toot gaya to judhna hai mushkil

Ho sakta hai,kal tum koshish karo,kise maloom!!!

Posted on 7/5/2005 1:20:31 AM

bass bhi ho jao

Posted on 7/5/2005 1:39:57 AM

opppppppsssssssssssssssssssss


ok

Posted on 7/5/2005 2:23:36 AM

mujhey ghale se laga lo bohat udaas hoon main
gham e jhan se choora lo bohat udaas hoon main
yeh intaizar ka dukh ab saha naheen jata
mujhey paas bula lo bohat udaas hoon main
meri har saance main milne ki pyaas palti hai
sulgh raha badan aur rooh jalti hai
bachaa sakoo toh bachaa lo bohat udaas hoon main
bhatak chooka hoon bohat zindgi ki raahoon main
mujhey aa ke choopa lo tum apni baanhoon main
bin tere mar na jaey kaheen tera saad
mera sawal naan talo bohat udaas hoon main

Posted on 7/6/2005 2:48:31 AM