"Sadiyon sa lagta hai har ek lamha....,
tumhare bina adhoora hai har samaa,
kabhi aake ek nazar mujhpe daal bhi jao,
maang raha hai dil tumse kabse panaah."
yaadein tere khulus ki dasti hain aaj bhi
milne ki aarzu mein tarasti hai aaj bhi
aankhen hazar zabt ki koshish ke bawjood
ruk-ruk ke baar-baar barasti hain aaj bhi
Barson ka Tha Jo Ashna Aj Wo Na Ashna Howa
Tewar The Be-rukhi ke...Andaz Dosti k
Wo Ajnabi Tha Laiken Lagta Tha Ashna Sa
Sarapa Arzoo Ban K Tassawur Ashna Ho ker
Rahein GaY Hum in He k Ro-Baro in Se JuDa Ho ker
Wo Ashna TheY wo Mujh Ko Bhula chukeY Hon GeY
Main kiYa Karoon Teri Qaid Se Riha Ho Ker
Har Shaks De Raha Hia Mohabbat Bhara Fareeb
Har Chehra Ashna Hia kaise AazMain Hum
TanhaiYon Ne Ker Diya Dil ko Mare Dard Ashna
Ban ker Maseeha Aae kon Abb kucha-e-Dildar Tak
Hum Ne Rakha Hia isse Dil ke Makan Mein Barson
Jo kabhi Hum Se Ashna sar Bazaar Howa
HumDard kon sa Hia Phir is Ashna k Baad
Hum ji k kiYa karein GaY dil mubtila k Baad
Teri baraat hogi Mera janaza hoga
char admi tere sath honge char admi mere sath hongePhool tujh per bhi honge
Phool mujh per bhi honge
Tujh per dulhan ka jora hoga
Mujh per kafan ki sajawat hogi
Lali tere chehre per hogi
Noor mere chehre per hoga
Khubsoorat tum bhi lag rahi hogi
Khubsoorat main bhi lag raha honga
Tum kisi ki zindagi main ja rahi hogi
Main tumhari zindagi se ja raha honga
Mera naseeb teri kismat se acha hoga
Mera gham teri khushi se acha hoga
Mere samne rukhsat jo teri baraat hogi
Us lamhe gul-e-shamay hayaat hogi
Wo bhi jan kesi aafat ki raat hogi
Pehloo main kisi k meri Kainaat hogi
Galti nahi kissi ki hai ye man le aye mere dost,
Ab jamana aisa hai ki hum kuch kar nahi sakte,
Dua kubul hone mein jamane lagne lage ab,
Baddua dil hi dil mein ab kubal hone lagi hai..