Logo

Fairl_Girl’s Collection + OWN

ik kasak si ha maray dil main
k kahin bichar na jaiey woh mujh say
jis ko chaha ha dil ki gehraion say
jis ko uthaya ha ghamon ki duniya say
jis ko rakha ha apni nigahon main
jis ko chuna ha lakhon main
phir bhi na janay kion
ik kasak si ha maray dil main
k kahin bichar na jaiey mujh say

Posted on 4/27/2005 1:01:34 AM


Posted on 4/27/2005 1:31:34 AM

Superbe .... Exquisite ...

Have no words to Describe even Admire yours sense of poetry ...

simply

you are jus doing ... more then great ...

keep it up

Posted on 4/27/2005 6:36:04 AM

Very nice Sunny and Exquisite

Posted on 4/27/2005 12:46:15 PM

WARMTH OF LOVE:
Superbe .... Exquisite ...

Have no words to Describe even Admire yours sense of poetry ...

simply

you are jus doing ... more then great ...

keep it up

Posted on 4/28/2005 12:50:53 AM

DejaVu077:
Very nice Sunny and Exquisite
thx

Posted on 4/28/2005 12:58:45 AM

!!!Na shikaYatein Na Gila karey!!!

Na shikaYatein Na Gila karey
Koi Aisa shakhs Howa karey

Jo Mare liye He saja karey
Mujh He sey Baatein kiya karey

Kabhi royey jaaey woh Bey-panaah
Kabhi Bey-tahaasha udaas Ho

Kabhi royey Kabhi chupkey chupkey Babey qadam
Merey peechay Aa kar hansa karey

Meri Qurbatein, Mari chahatein
Koi yaad kare qadam qadam

Main Taveel safar Main hoon agar
Mari Waapsi ki Dua karey

Na shikaYatein Na Gila karey
Koi Aisa shakhs Howa karey

Posted on 4/28/2005 1:02:41 AM

!!!Phir ishq ka Rog Lage!!!

Kabhee zamaane ki Baton ka humper Asar Ho jaaye
Phir ishq ka Rog Lage or zindgi Basar Ho jaaye
Haan kuch logon ne jo shraab ko zahar ka naam Diya
Wo jo saath Dein to ik pyaala zahar ho jaaye
Phir ishq ka rog lage or zindgi Basar ho jaaye

Zindgi kaatne ke hum Ne Bhaane Dhoondhe
Kangaal Basti Main hum Ne khzaane Dhoondhe
Thak ker Howa Main choor sahar ho jaaye
Phir ishq ka Rog Lage or zindgi Basar Ho jaaye


Pyaas jis ki thee wo kabhee Bhee paas na aaya
Zindgi ko Mera salaam raas na aaya
Cum se Cum Mujh ko zindgi ki Qadar Ho jaaye
Phir ishq ka Rog Lage or zindgi Basar ho jaaye

Posted on 4/28/2005 1:08:38 AM


Posted on 4/28/2005 1:56:22 AM

Very NICE

Posted on 4/28/2005 12:28:32 PM


Posted on 4/28/2005 3:31:06 PM

Exquisite:
WARMTH OF LOVE:
Superbe .... Exquisite ...

Have no words to Describe even Admire yours sense of poetry ...

simply

you are jus doing ... more then great ...

keep it up

Mohy shaaram aavat hay

Posted on 4/28/2005 6:57:35 PM

e ka tanik more boli bolat ho
wol wolli

Posted on 4/29/2005 12:09:56 AM

DejaVu077:






Posted on 4/29/2005 12:15:28 AM


Yea Mera Doosh Nahi.......!!

Qalam Ki Nook Per Ab Tak Lahoo Key Qatrey Hain.....

Khabar Key Hath Per Likha Huwa Hay Sabar Abhi.......

Samay Ki Aankh May Ab Tak Safar Ki Uljhan Hay.......

Bikharta Hoon May Kabhi Aur Kabhi Saanwarta Hoon....

Na Tootta Hoon Mukammal Na Pura Jourta Hoon.......

Main Darmiyain Say Aagay Jo Baar Nahi Paya........

Yea Mera Doosh Nahi Raastoon Ki Saazish Hay.......

Kisi Bhi Semt Chaley Ab Huwa Yea Sabit Hay.......

Abhi Dukhoon Ko Meri Zindagi Ki Haajat Hay........

Posted on 4/29/2005 12:17:06 AM


   Rang Hay......!!!

Rooshni Hay

Khushboo , Hawa Aur Badal Hay

Jis Key Paoon May Barsaat Key Ghungroo Chahlaktey Hain

Wo Karwat Bhi Badley To Musam Badaltey Hain

Urti Phirti Hay Hawaoon Jeysi

Dhoop Sa Rang Hay Aur Kudh Hay Chahoon Jeysi....

Muskorahat Hay

Wo Khushi Hay

Maasumiyat Hay

Wo Sadgi Hay

Posted on 4/29/2005 12:23:37 AM


Posted on 4/29/2005 3:39:13 AM


Posted on 4/29/2005 6:33:54 AM

khuda kare meri har dua poori ho,
wo sab kuch tujhe mile jo tere liye jaroori ho,
kabhi bhi humare darmiyaan na aayen ye fasle,
har lamha pyar se kate, kabhi bhi koi na doori ho....

Posted on 4/29/2005 6:34:00 AM


Posted on 4/29/2005 12:21:02 PM

nicee sunny

Posted on 4/30/2005 12:21:14 AM

Us Key Hatoo Pey Hena Paoon May Payail Hoogi...!!!



Us Key Hathoo Pey Hena Paoon May Payail Hoogi

Ek Dewaar Magar Beach May Hayail Hoogi

Us Key Jalwoon Key Bhot Pass May Hoonga Leykin!

Wo Kisi Aur Ki Taqdeer Ka Hasil Hoogi

Surkh Kaproon Pey Sajey Taar Na Hoon Gay Merey!

Us Key Annkhoon May Merey Piyar Ki Jhilmil Hoogi

Jatey Jatey Wo Mujhey Piyar Say Dekhey Gi Jab..?

Rootey Rootey Wo Meri Rooh May Shamil Hoogi

Mujh Say Wo Dour Bhot Dour Chali Jaye Gi....!

Yea Kahani Bhi Sir-e-Bazm Mukammal Hoo Gi.........

Posted on 4/30/2005 12:31:35 AM

Aankhain Khoob Rooti Hain "

Tumhain Dil Say Bhulatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain,
Dard Dil Main Jagatay Hain Tu Aankhain Khoot Rooti Hain..
Tumharay baad Chahat K Sabhi Punchi Uray Janaan,
Kahin Bhi Dil Lagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
Teri Tasweer, Adhooray Khat Tu Jala Diey Hum Nay,
Ab Paani Pay Naqsh Banatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
Ghata Aawargi Main Jab Siyah Choola Pehanti Hai,
Parenday Jab Satatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
K Jab Bhi Shaam Dhalti Hai Meri Qismat K Sab Taray,
Falaq Par Jagmagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
Sard Tareek Raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main,
Dard Jab Muskuratay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
Sahil Ki Woh Mitti K Jis Pay Khoon Hathoon Say,
Wafa Likh Kar Mitatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Posted on 4/30/2005 12:37:35 AM

gud job

Posted on 4/30/2005 1:18:03 AM


Posted on 4/30/2005 12:57:37 PM


Posted on 4/30/2005 7:33:50 PM

Dil ko dard haathon ko kalam de gaye hain
kaise kaise tohfe mere sanam de gaye hain
idhar aana mere mehboob ko manzoor nahin
aur udhar na jaane ki kasam de gaye hain....

Posted on 4/30/2005 7:34:40 PM

gud

Posted on 5/1/2005 1:25:24 AM

good sunny

Posted on 5/1/2005 2:06:47 AM

Kahi TuM ApNi KiSmAt

kahi tum apni kismat ka likha tabdeel kar letey
to shayid hum b apna rasta tabdeel kar letey




agar hum waqai kam hosla hotey muhabbat mein
marz bharney se pehle hi dawa tabdeel kar letey


tumhare sath chalne par jo dil razi nahi hota
bohat pehle hum apna faisla tabdeel kar letey



tumhari tarah jeeney ka hunnar aata to phir shayid
makan apna wohi rakhte,pata tabdeel kar letey



judaai bhi na hoti,zindagi bhi sahal ho jati
jo aik dosre se masla tabdeel kar letey



bohat dhundla gaya hai yadon ki rim jim mein dil-e- sada
woh mil jata to hum bhi aaina tabdeel kar letey

Posted on 5/1/2005 2:08:23 AM