voh jisey apney ferda ki fiker thy
voh jo mera vaqaf-e-haal tha
voh jo uski subhaey urooj thy
vohi mera vaqt-e-zaval tha
voh mila toe sadion key baad bhi
merey lab per koi gila na tha
usey meri chup ne rula dia
jisey guftugu mein kamal tha
kaha us ney k vaqai
ab voh mujh sey muhabbat kerta hai
kaha mein neus se k vaqai
mein tab tum se muhabbat ker thy
lekin
ab or tab mein itna fasila hai
key
mein ab tak aa nahein sakti
voh tab ko pa nahein sakta
Unki hi ek ada thi ye, jisne iss dil ko dhadkaya,
Wo ruth gaye jis pal mujhse, har pal ne dil ko tadpaya.
Unke liye bas ek khel tha ye, har kali magar jhukne si lagi,
Wo kya ruthe ek pal mujhse, bas sans meri rukne si lagi.
ya koi beemar parinda
copy mein ik zindah titly
ya ek murda peela patta
ankhein hoon koi khuaab zada si
ya ankhon mein toota sapna
palkoon ki deewar ke pchhey
pagal qedi ya ek ansoo
dhoop mein lipta lamba sehra
ya koi khof zada sa bacha
tooti hoi chori ka tukda
ya ek bhoola basra vadah
tum hi batao
tum sey bichhad ker
kia hoon mein
kisi purani kabar ka kutba
ya phir koi matroke dua
bas khatam hoa kissa
ab ziker na ho uska
voh shakhs vafa dushman
ab apna hoa dushman
ab us sey nahein milna
gher uskey nahein jana
haan aye dil deewana
(dosrey hi lamhey khud ko behlaney k liye)
haan kal sey na jein gey
per aj to ho aien
us ko nahein paa saktey
khud ko hi kho aien
to baaz na aye ga
mushkil tujhey samjhana
ye bhi tera hai kehna
voh bhi tera fermana
haan aye dil deewana(ibn-e-insha)