kisi ki ankh say sapnay chura kay kuch nahin milta
manderon say churaghon ko bhuja kay kuch nahin milta
koi aik adh sapna ho to phir acha bhi lagta hai
hazaroon khuwab ankhoon main saja kay kuch nahin milta
sakoon unko nahin milta kabhi pardes ja kay
jnihay apnay watan say dil laga kay kuch nahin milta
yeh acha hai kay apis kay bharam na totnay payeen
kabhi apnay dostoon ko azma kay kuch nahin milta
mughay askar sataroon say he awaz at hai
kisi kay hijar main nendayn gunwan kay kuch nahin milta
jighar ho jaye ga chalni yeh ankhayn khoon ho jayengi
wasi befez loghoon say nibha kar kuch nahin milta
(WASI SHA)
hum ghoom chukay basti bann mein
ek aas ki phans liye mann mein
koi saajan ho,koi pyaara ho
koi deepak ho,koi taara ho
jab jeevan raat andhairi ho
ek baar kaho tum meri ho
jab sawan badal chaye ho
jab phagan phool khilaye ho
jab chanda roop lutata ho
jab suraj dhoop nahata ho
ya shaam ne basti ghaeri ho
ek baar kaho tum meri ho
haa dil ka daaman phaila hain
kyun gori ka dil maila hain
hum kab tak peet kay dhokay main
tum kab tak dur jharokay main
kab deed se dil ko sairi ho
ek baar kaho tum meri ho
kya jhagra sood khasaray kaa
yeh kaam nahi banjaray kaa
sab sona rupa lay jaye
yeh dunya, dunya lay jaye
tum ek mujhay behtairi ho
ek baar kaho tum meri hoo
ek baar kaho tum meri ho
ibn-e-inshaa
mohabton main har aik lamha wasal hoga yeh tay huwa tha
bichadr kay bhe aik dosray ka khyial hoga yeh tay huwa tha
wohe huwa na badaltay musim main tonay mugh ko bhula deyia
koi bhe rut ho na chaton ko zawal hoga yeh tay huwa tha
yeh kyia kay sansayn okhadr gaye hain safar kay aghaz he say yaroo
koi bhe thak kay rastay main nanidhal hoga yeh tay huwa tha
juda huway hain to kyia huwa,phir yehe to dastor zindge hai
judayion main na qurbaton ka milal hoga yeh tay huwa tha
chalo kay faizan kashteyion ko jala dayngay gumnam sahilon par
kay ab yahan say na wapse ka sawal hoga yeh tay huwa tha
kuch khuwab hai jinko likhna hai
tabeer ke sorat dayne hai
kuch loog hain ujadray dil walay
jinhay apne mohbat dayne hai
kuch phool hai jinko chunna hai
or har ke sorat dayne hai
kcuh apne nainday baqe hain
jinhay bantana hai kuch logoon main
unko ko bhe to rahit dayne hai
aye umar rawah
ahista chal
abhe khasa qarz chukana hai