Logo

ik baar kaho

aye umar rawah
ahista chal
abhe khasa qarz chukana hai


Chaa gae tussi to, sir ji!

Posted on 11/14/2006 7:04:38 AM

mmja jee aap to poet ban gaye hain

Posted on 11/14/2006 8:48:06 AM

danie:
aye umar rawah
ahista chal
abhe khasa qarz chukana hai


Chaa gae tussi to, sir ji!

sirje hum kahan kisi qabil hain yeh to apki zarah nawazi hai kay hamayn itni izat day rahay hain

Posted on 11/15/2006 12:50:27 AM

sun_shine:
mmja jee aap to poet ban gaye hain

aray hum bus koshish kartay hain ager koi achi poetry milay to ap logon kay sath share kar layn bus

Posted on 11/15/2006 12:52:44 AM

yaa thats good

Posted on 11/15/2006 8:36:07 AM

thanks jee

sara he shaher tha tha uskay janazay main sharek
tanhayion kay khof say jo shakis mar geyia

Posted on 11/16/2006 1:37:37 AM

wah wah jee

Posted on 11/16/2006 8:30:22 AM

ab apki bari hai mughay bhi wah wah karna hai na

Posted on 11/17/2006 1:21:50 AM

Khuda se maine ek dua mangi,
dua me apni maut mangi,
Phir khuda ne kaha maut to tujhe me de du
par usko kya kahu jisne teri lambi umar mangi.

Posted on 11/17/2006 8:13:52 AM

wah wah cha gaye ho tusi tay
shukar hai uper walay nay hum jeson ki bhi suni

Posted on 11/19/2006 5:15:48 PM

wah wah ji,

upar wala wakai upar wala hei ji,

Posted on 11/19/2006 6:50:33 PM

mmja:
thanks jee

sara he shaher tha tha uskay janazay main sharek
tanhayion kay khof say jo shakis mar geyia


yar mmja bhai, mujhe bhi ye khauf bahut satata hei,
kahin meibhi to......

Posted on 11/19/2006 6:54:43 PM

bhai daykh lo jab woh mara to sara shahir tha is say kuch sikho

Posted on 11/20/2006 12:15:11 AM

Yar marne ke baad shahar ho ki poora mulk
ki fark painda hei?

Posted on 11/20/2006 12:24:22 AM

salam everybody ... here i have a very great nazm of "Ahmed Faraz"... its a bit long but please just read it once .... and here i might have some mistakes because i don't have this nazm in written form ........ its in my memorey and also i don't know the meaning of some words because i m not a very good urdu speaker because of my racial backgrounds.i m sorry if there are any mistakes........
shafiq ahmed yousafzai....

hum khwabon key bevpaari thae par es main howa nuqsaan bara
kuch bukht main dheron kaalak thi kuch ab ke ghazab ka kaal para
hum raakh liye hain jholi main aor sar pe hai saahokaar khara

yaaan boond nahi hai devey main woh baaj bayaaj ki baat karey
hum baanj zameen ko taktey hain woh dhoor anaj ki baat karey
hum kuch din ki muhlat mangain woh aaj hi aaj ki baat karey

jab dharti sehra sehra thi hum derya derya rooye thae
jab haath ki rekhaayien chup thi aor sur sangeet main sooye thae
tab hum ney jeevan kheti main kuch khwab anokhey booye thae

kuch khwab sajan muskaano key kuch bol kabad deewano key
kuch lafz jinhain mani na miley kuch geet shikasta jaano key
kuch neer wafa ke shammon key kuch par paagal parwaano key

phir apni ghaayal aankhon se khush ho key lahoo charkaya tha
maati main maas ki khaad bhari aor nus nus ko zakhmaaya tha
aor bhool gaye thae ke pichli rut main kiya khoya tha kiya paya tha

har baar gagan ney wehem diya ab key barkha jab aaye gi
har beej se konpal phootey gi aor har konpal par laaye gi
sar pe chaaya chatri hogi aor dhoop ghata ban jaaye gi

jab fasal kati tu kiya dekha kuch dard key tootey gajrey thae
kuch zakhmi khwab thae kaanto par kuch khaak astar sey kajrey thae
aor door uffaq key saagar main kuch doobtey doobtey bajrey thae

ab paawon khara hoon dhool bhari aor jism pe jo ka chola hai
jab sangi saathi bheed bharey koiyee maacha hai koiyee tola hai
es taak main yeh os gaat main woh har aor thugon ka tola hai

ab ghaat na ghar dehleez na dar ab paas rahaa hai kiya baba
wasan ki gattri baaqi hai ja yeh bhi tu le jaa baba
hum basti chorey jaatey hain tu apna qarz chukaa baba

poet:Ahmed Faraz

Posted on 11/20/2006 12:53:41 AM

bhai paronga kal lakin kisi bat pay sory kehnay ki zarorat nahin hai bhayion main esi chezayn nahin hoti or han kal par kay remarks donga or welcome apko koi pro ho hamayn bateyn hum hazar hai t c an ALLAH HAFIZ

Posted on 11/20/2006 1:47:19 AM

hi
thanks yaaar

Posted on 11/20/2006 4:03:43 AM

Merey khuda mujhey ithna mutabar kerdey
Main jiss makaan main rehta hoon os ko ghar kerdey

Yeh rooshni key taaqub main bhaagta howa yeh din
Jo thhuk gaya hai tu ab os ko mukhtasar kerdey

Main zindagi ki dua maangney laga hoon buhut
Jo ho sakey tu duaawon ko be asar kerdey

Sitaar e sehri doobney ko aaya hai
Zara koiyee merey soooraj ko baakhabar kerdey

Qabeelawar kamaanain karkney waali hain
Merey lahoo ki gawahi mujhey neddar kerdey

Main apney khwaab se cut ker jiyon tu mera khuda
Ujaar dey meri mitti ko der ba der kerdey

Meri zameen mera aakhri hawaala hai
So main rahoon ya na rahoon es ko baar awar kerdey

Poet: Iftikhar Arif



Posted on 11/20/2006 4:19:03 AM

you welcome
zabardast je apki choice bhi achi hai

Posted on 11/21/2006 2:02:17 AM

danie:
Yar marne ke baad shahar ho ki poora mulk
ki fark painda hei?

yeh uska khyial tha kay woh akela hai jabkay haqiqat main esa nahin tha na

Posted on 11/21/2006 2:03:01 AM

yaa mainay buhat se logo ko dekha hain jo apnay aap ko sab se alag i mean akela mehsoos kartay hain.na to ziyada boltay hain na unkay friends hotay hain.

Posted on 11/22/2006 8:42:37 AM

Thanx God, I am not one of them.

Ek shair yaaad aa raha hei...

Kis kadar teri yaad ko hei mujhse hamdardi,
Dekhti hei mujhe tanha to chali aati hei.

Posted on 11/22/2006 6:36:33 PM

s s ap sahi keh rahi ho baz dafa yeh confidence ki kami ki wajah say bhi hota hai
or danie je boht khob wah wah karnay ko dil kar raha hai

Posted on 11/23/2006 1:28:09 AM

ansoo nikal padray to lag eh gaye
izharay ghum ka warna salika na tha mughay

aye khuda mugh say na lay meray gunhaon ka hasab
meray pass ashkay nidamat kay sawa kuch bhe nahin

Posted on 11/23/2006 1:29:15 AM

wah wah jee

khushi kay saath duniya main hazaro ghum bhi miltay hain
jahan bajti hain shehnai waha matam bhi hotay hain

Posted on 11/23/2006 8:39:37 AM

mukar mukar kyia karon hai hi itna acha

hamderdeyion ke bheek say daynay lagay hain loog
youn apnay dilka hal na sab say kaha karo

Posted on 11/24/2006 1:03:22 AM

gr88, tfs!

Posted on 11/24/2006 3:25:02 AM

mujhay lagta hain aapki sister ki diary mujhay bhi laini paray gi.

Posted on 11/24/2006 9:04:46 AM

rbaba:
gr88, tfs!

natasha apka nam hai

Posted on 11/27/2006 1:22:59 AM

sun_shine:
mujhay lagta hain aapki sister ki diary mujhay bhi laini paray gi.

aray na yeh ghazab na karna woh agay mugh say hi bari tang hai ap bhi shamil ho gaye to meri bhi chuti ho jaeygi aik or kam ho sakta hai hum dono cupkay cupkay par leyia karayn or usay pata hi na lagnay dayn kesa idea hai

Posted on 11/27/2006 1:25:05 AM