Logo

ik baar kaho

guman na kar kay mughay juratay sawal nahin
faqt yeh dare hai kay tughay lajawab kar donga

Posted on 11/27/2006 1:27:14 AM

zindagi taj mahal hojaye
chandini khil ke kanwal ho jaye
tum agar ban jao dost meri
to dil ki dhadkan bhi ghazal ho jaye

Posted on 11/27/2006 9:11:19 AM

wah ji wah aj to cha gaye hain ap

ghumay shidat mere fitrat badal nahin skata
kyia karon mughay adat hai sada muskaranay ke

Posted on 11/28/2006 1:29:33 AM

Abhi to Baaz ki asli udaan baaki hai,
Abhi to aapka imtihan baaki hai,
Abhi tak to aapnay zamin dekhi hai,
Abhi to pura aasmaan baaki hai.

Posted on 11/28/2006 9:03:34 AM

wah wah

rabtay had say badr jayen to ghum miltay hain
hum ese wastay har shakis say kum miltay hain

Posted on 11/29/2006 12:41:18 AM

wah wah

kisi aankh main nahi ashk-e-ghum
tere baad kuch bhi nahi hain kum
tujhay zindagi ne bhula diya
tu bhi muskra kay usay bhool ja

Posted on 11/29/2006 8:26:43 AM

usay bhool jana jana mumkin nahinnnnnnnnnnnn

darwesh ko talab the matahe khalos ke
mukhlok chup rahe kay yeh mushkil sawal tha

Posted on 11/30/2006 12:19:35 AM


wah wah jee

Posted on 11/30/2006 8:40:00 AM

thanko je thanko
yeh do ashar from umrao jaan


Nazrayn teri chaye jisay dewana bana dayn
Pithar pay bhi ghir jayen to pemana bana dayn

Humnay chora tha zamana jisay panay kay liay
Lo wohi chor chelay humko zamanay kay liay

Posted on 12/1/2006 1:22:57 AM

good

Posted on 12/1/2006 8:54:17 AM

yeh hamari aik net sis hain unki poetry hai personal

__________Woh Shakhs_________

Meray Har Dard Ki Dawa Ho Gayya Woh Shakhs,
Gum Hua To Jesay Sada Ho Gayya Ho Woh Shakhs

Woh Kay Jisay Maanga Tha Hamesha Dua'oOn Mein,
Bin Maangay Kisy Ko Ata Ho Gayya Woh Shakhs...

Hum Jo Thay RehGuzar Kesay Bantay Kisy k HumSafer,
Kesay Zindagi Mein Aya Aur Hawa Ho Gayya Woh Shakhs

Ana K KadmoOn Mein Rakh Kay Sar Ro Diyay Hum Bhi,
Mohabbat Mein Chup Kar Jab Juda Ho Gayya Woh Shakhs

Bheegtay Rahay Haath Meray Har Dua Kay Baad,
Jo Na Ho Sakay Kabool Ayse Dua Ho Gayya Woh Shakhs,

Dil e Shaksta nay Ishq Ki Gehraye He To Na Jani...
Phir Yun Hua Mery SansoOn Se Wafa Ho Gayya Woh Shakhs,

Hum Nay To Parha Hamesha Ussay Namaaz Ki PakezGi Se,
Phir Hum Se Kiyun ''Rani'' Qaza Ho Gayya Woh Shakhs...

Posted on 12/2/2006 1:34:37 AM

buhat achi poetry hain yeh

Posted on 12/2/2006 8:15:03 AM

Arre itne saare achhe ashar...

Kis ki tareef karun kis ko chorrun?....

Sabhi ashaar bahut pasand aae..

Thanx mmja, Thanx S-S

Mei kuch hi arse se JB ke contact mei
aaya hoon. Lekin ab mujhe mahasoos ho
rahaa hei ki mujhe bhi ek dairy banaani parregi..
itne acche ashaar..
Bhai mazaa aa gaya..

Posted on 12/3/2006 7:56:33 AM

thanks Danie jee
i think yeh saari poetry ziyada tar Mmja jee ne post ki hain.

Posted on 12/4/2006 8:19:04 AM

thanko danie je
ss je yeh to ab ap takulif say kam lay rahi hain

Posted on 12/5/2006 2:12:12 PM

nahi jee
aapki Eid ki tayari kaisi hain?

Posted on 12/6/2006 8:28:14 AM

acha je
eid ap kahin bari eid ki bat to nahin kar rahi us main wesay kafi time hai or ab eid ki tyiari kahan rahi woh to bachpan main maza ata tha ab kyia hai aik do soat lay lo na koi thirl na maza

Posted on 12/7/2006 12:29:02 AM

Eid main kaafi time hain?
yaa abhi dunya kay problems itnay hain kay dil hi udaas hain.

Posted on 12/7/2006 8:30:01 AM

han na month kay as pas time hai or wesay bhi eid kay foran bad hamari first term hai to tension ho jayegi
problem bhi hain or wesay bhi eid to bacho ki hoti hai or pechay bhi nahin miltay or bari eid to wesay bhi thori boring hoti hai zeyiada say zeyiada unhi friends ki shaklay daykh lo jinki roz daykhtay a rahay hotay hain kuch change chaye

Posted on 12/8/2006 1:32:15 AM

per Eid main mazaa buhat aata hain.

Posted on 12/9/2006 2:27:46 PM

yeh apki khosh nasibi hai kay apko maza ata hai nahin to hamari eid to boht boring guzarti hai kuch khas nahin hota karnay ko

Posted on 12/10/2006 12:56:29 AM

Eid kay din aap apnay family members se rishtay daro say friends se miltay hain.jo kay buhat khaas mauka hota hain.kyunki pooray saal hamaray paas ya unkay paas wakt nahi hota.
Eid pe aap apnay friends kay saath kahi jaanay ka program banaye umeed hain aap enjoy karaingay.

Posted on 12/10/2006 7:25:00 AM

meray takriban saray rishtay dar lahore hotay hain or man kisi or city main hota hon
jo aik dost tha woh bhi city chor geyia
bhai bhi nahin hota or ab to woh eng ja raha hai
ab ap khud batyen bore na ho to kyia ho

Posted on 12/11/2006 1:28:09 AM

yaa phir to boring hi hogi.
per koshish karay k bore na ho.

Posted on 12/11/2006 8:24:31 AM

bus je koshish kartay tehtay hai bus ajkal coll main acha waqt guzar jata hai ya ap dost logoon kay reply par kay

maghror hamayn kehte hai to kehte rahay dunyia
hum modr kay kisi shakis ko daykha nahin kartay

Posted on 12/12/2006 1:03:45 AM

acha hain

Posted on 12/12/2006 7:32:03 AM

Na Chemistry Hoti Na Love Hota

Na Chmistry hoti na main Student hota
Na ye Lab hoti Na Ye Accident Hota

Abhi Practical main ayee nazar Ek Larki
Sundar thi Naak Us ki Test Tube Jaisi

Baton main Us ki Glucose ki Mithas thi
Sanson main Eter ki Khushboo bhi sath thi

Aankhon se jhalakta tha kuch is Tarah ka Pyaar
Bin Piye hi ho jata hai Alcohol ka Khumar

Benzene sa hota tha Uski Presence ka Ehsaas
Andhere main hota tha Radium ka Abhas

Nazrain mileen, reaction hua
Kuch is tarah Love ka Production hua

Lagne lage Us ke Ghar ke Chakkar aise
Nucleus ke charon taraf Electron hon jaise

Us din hamare Test ka Confirmation hua
Jab us ke daddy se hamara Introduction hua

Sun kar hamari baat wo aise Uchal pare
Ignesium Tube main jaise Sodium Bharak uthe

Wo bole, Hosh main aao, Pahchano apni Auwqat
Iron mil nahin sakta kabhi Gold ke saath

Ye sun ker Tuta hamare Armanon Bhara Beaker
Aur ham Chup rahe Benzeldehyde ka Karwa Ghoont pee ker

Ab us ki yadon ke siwa hamara Kam chalta na tha
Aur Lab main hamare Dil ke siwa kuch jalta na tha

Zindagi ho gayee Unsaturated Hydrocarbon ki Tarah
Aur ham phirte hain Awara Hydrogen ki Tarah

Posted on 12/13/2006 12:58:46 AM

wah wah
buhat achi hain.

Posted on 12/13/2006 7:53:08 AM

thanko

woh shaks kis kadar ham say mohabat karta hai...

jo narazgi main be hamara khayal rakhta hai....

kis kadar baybus hai yeh asman hamari Oran k aagay...

Jo apnay senay pay setaroon ka jaal rakhta hai....

Posted on 12/14/2006 1:37:42 AM

wah wah
kis kadar baybus hai yeh asman hamari Oran k aagay...
Jo apnay senay pay setaroon ka jaal rakhta hai....

these lines are very good

Posted on 12/14/2006 7:34:29 AM