A RAB Aaj Phir Se Ye Mojza Kar De
.
Us Ki Chahat Ka Phir Se Silsila Kar De
.
Qabooliyat Ki Wo Ghari Batla De Mujh Ko
..
Main Jo Mangoon Mujh Ko Ataa Kar De
.
Tujhe Waasta A KHUDA Tere Mehboob Ka
.
Us Ke Dil Main Meri Jaga Kar De
.
Dikha De Tu Rang Apni Qudrat Ka
.
Tapte Sehra Ko Tu Behta Huya Darya Kar De
.
Parhne Waale Se Hai Ye ILtija Sajid Ki
.
Mere Haq Main Faqat Apni Dua Kar De
zindagi sey kabhi kuch chaha hi nahi
jo bhi chaha kabhi mila hi nahi
khawahishat ke aik kamray mai band ho kar reh gaye hain
manga tha tujhe khuda say magar, kise aur ke hokar reh gaye hain
ashiq banaya tha tumne lamha ba lamha
magar ashique ke asaar aik dam say,
sar par hawi hokar reh gaye hain
teri jodayee ab dil ko nahi bhati
teri yaadoon mai ahista ahista ghamgeen hokar reh gaye hain
ab tera intezaar nahi hota
ab teray khwaboon mai jee nahi saktay
yehi teri soochoon ki wajah se
ab hum loogon mai badnaam hokar reh gaye hain
zindagi say kabhi kuch chaha hi nahi
o meray yaar jo bhi manga kabhi mila hi nahi
is se pehle hum teray ghum mai doob jayain bachalo humay
warna hum is duniya se roswa hokar reh gaye hain!
kaha tha na
is tarah sotay huye mat chor k jana
mujhe besha jagga dena
bata dena
muhabbat k safar mein sath meray chal nahi sakten
judai k safar mein sath meray chal nahi sakten
tumhain rasta badalna hai
mere had se nikalna hai
tumhain kis baat ka dar tha
tumhain jane nahi deta
kahen pe qaid kar leta
aray pagli muhabat ki tabiet mein zabardasti nahi hoti
jisay rasta badalna ho usay rasta badalnay se
jisay had se nikalna ho usay had se nikalnay se
na koi rok paya hai
na koi rok paye ga
tumhain kis baat ka dar tha
mujhe beshak jagga detay
main tum ko dekh hi leta
tumhain koi dua deta
kam az kam yun to na hota, mere sathi haqeeqat hai
tumharay baad khonay k liye kuch bhi nahi baqi
magar khonay se darat hoon
main ab sonay se darta hoon.
December Se Kya Poochtey Ho?
Yeh To Ek Muhar Hay
Ek Seel Hay Jo Zindagi k Ek Baab Par
Ek Saal k Ikhtetaam Par
Aaj Lag Jaye Gi
Poochna Hay To
In Dhool Urratey March, April Aur September Se Poocho
October Aur November Ki Un Udas Shaamon Se Poocho
Yaa Agar Poochna Hay To
January, February Ki Thathartii Kuhar Aalood Shaamon Se Poocho
May, June, July, August Ki Jhulastii Veeran Dopehron Se Poocho
Vo Chehrey...
Jo In Bey Dard Maheenoo Ki Bhooki Khokh Mein Ja Samaye
Vo Yaadein...
Jo Ruton Ki Badaltii Tareekhon Se Qata Nazar
Dil Mein Angaron Ki Tarah Dehaktii Rahein Gi
Saal Palat Saktey Hain
Din Tareekhon Ka Bhais Badal Badal k Aa Saktey Hain
Vohi Har Maheeney Ki Yakum Do Aur Phir Untees Tees
Magar Yeh Ooper Neechay Girti Tareekhein
Din Ki Kokh Se Janam Leta Ek Aur Din
Khuwah Kitna Hi Naya Kiun Na Ho
Ujla Aur Roshan Kiun Na Ho
Vo Beetey Sunehri Lamhay
Vo Man Chahey Chehrey
Vo Roothay Bichrrey Apney
Vo Payaron Ki AnBhool Yaadein
Vo Meezan-e-Amal Mein Barhtey Har Lamhey k Khasaarey Ka Ehsas
Kon Sa Baras...
Kon Sa Din...
Kon Sa Pal...
Phir Se Mana Kar La Sakta Hay
Apni Jholi Mein Bhar Kar La Sakta Hay
December Se Kya Poochtey Ho?
Yeh To Ek Sham Mein Dhal Kar Aaya Hay
Naram Garam Yaadon Ka Monh Band Sarmaya Hay
Aakhrii Shab December k Hawaley Kar k
Yakun January Mein Ja Samaye Ga
December Se Kya Poochtey Ho...???