shair main sey kisi bhi lafz sey shair

16721 views 283 replies
Reply to Topic
hawwa ki beti

Age: 124
Total Posts: 273
Points: 0

Location:
,
aslam o alaikum to janubaba family
aik topic start kar rahi hoon,
shair main sey kisi bhi lafz sey apney shair ki ibteda karain
for example ;;

ghulami main na kaam aaein tadbeerain na taqdeerain
jo ho zoq e yaqeen paida to katt jati hain zanjeerain

is shair main sey aik lafz select kar rahi hoon
jati[ sey shair hai];;

dil sey daikhi nahin jati khamoshi ghar ki
kis tarha ujrha hua shehar gawara hota


so lets play waiting 4reply.................hkb
Posted 20 Nov 2005

new_beau said:

samajh nahinn aayee


TUM,

Tum meri zindagi ho, yeh such hay
Zindagi ka magar Bharosa Kiay ?



there was some typing mistake, now i have adit ,srry

zindagi
zindagi jabr e musalsal ki tarha kaati hai
janey kis jurm ki paee hai saza yaad nahin
Posted 04 Dec 2005

new_beau says
Jurm-e-ulfat pay loag hamaiaN saza detey haiN
Kaisey nadaan haiN sholoN ko hawa detey haiN.
Posted 06 Dec 2005

log
aao aik sajda karain---- aalim e madhosh main
log kehtey hain keh saghar ko khuda yaad nahin
Posted 07 Dec 2005

yaad e mazi azab hai tarab
chheen lay mujh say hafza mera
Posted 07 Dec 2005

Doctor Sam says
CHEEN

A shakhs ab to mujh ko sabhi kuch qabool hey
ye bhi qabool hey k tujhay cheen lay koi...
Posted 07 Dec 2005

new_beau says
chheen kay gaya kon tera chain-o-qaraar
bay qaraari tujh aay dil, kabhi aisi tou na thi..
Posted 07 Dec 2005

gaya
woh chala gaya hai mujhey chhorh kar aur apni yaad bhi day gaya
main kharha hoon aisey muqaam per na firaaq hai na wisaal hai
Posted 07 Dec 2005

new_beau says
APNI


Apni Zulfonn ki zanjeeronn say Rehayee day dou
Tanhayee ka Shaida hoon, Mujhay Tanhayee Day Dou
Posted 08 Dec 2005

kuch nahin mangta shaho say yeh SHAIDA tera
is ki dolat hai faqy naqsh e kaf e paa tera
Posted 08 Dec 2005

kiran says
which lafz was this...
Posted 08 Dec 2005

Doctor Sam says
qv ne jo sher kaha hey, usmain se koi bhi lafz lain ... aor aisa sher likhain jismain wo lafz aata ho..


Posted 08 Dec 2005

QUEEN VICTORIA said:

kuch nahin mangta shaho say yeh SHAIDA tera
is ki dolat hai faqy naqsh e kaf e paa tera

Posted 09 Dec 2005

Ashii says
NAQSH faryadi hai kiss ki shokhi e tehreer ka
kaaghazi hai pairahan har paikar e tasveer ka
Posted 09 Dec 2005

new_beau says
QUEEN VICTORIA said:

kuch nahin mangta shaho say yeh SHAIDA tera
is ki dolat hai faqy naqsh e kaf e paa tera



kiran said:

which lafz was this...



Doctor Sam said:

qv ne jo sher kaha hey, usmain se koi bhi lafz lain ... aor aisa sher likhain jismain wo lafz aata ho..




Hum tou lay lainn gay koi lafz BUT KIRAN ASKED keh QV nay ooper waalay shair mainn say konsa LAFZ lay ker next shair likha hay    
Posted 09 Dec 2005

new_beau says
SALL said:

NAQSH faryadi hai kiss ki shokhi e tehreer ka
kaaghazi hai pairahan har paikar e tasveer ka



TASVEER

"Dononn kay Husn mainn koi Kami nahin"
"Tu bhi Haseenn aur teri Tasveer bhi Haseenn"
Posted 09 Dec 2005

Ashii says
new_beau said:

Hum tou lay lainn gay koi lafz BUT KIRAN ASKED keh QV nay ooper waalay shair mainn say konsa LAFZ lay ker next shair likha hay    


new_beau said:

Apni Zulfonn ki zanjeeronn say Rehayee day dou
Tanhayee ka SHAIDA hoon, Mujhay Tanhayee Day Dou


QUEEN VICTORIA said:

kuch nahin mangta shaho say yeh SHAIDA tera
is ki dolat hai faqy naqsh e kaf e paa tera

Posted 09 Dec 2005

Ashii says
new_beau said:

"Dononn kay Husn mainn koi Kami nahin"
"Tu bhi Haseenn aur teri Tasveer bhi Haseenn"



paak sir zameen shaab baad
kishwar e HASEEN shaad baad

sher hai yarrr




Posted 09 Dec 2005

Doctor Sam says
zameen

humaray dil main chupay huye dard ki khabar chashm-e-tar hogi
suna hey zer-e-zameen khazaanon ka hey faqat raazdaan Samandar
Posted 09 Dec 2005

suna
suna hai apney hi they ghar lootney waley
chalo achha hua main ney yeh tamasha nahi dekha
Posted 10 Dec 2005

new_beau says
SALL said:

new_beau said:

"Dononn kay Husn mainn koi Kami nahin"
"Tu bhi Haseenn aur teri Tasveer bhi Haseenn"



paak sir zameen shaab baad
kishwar e HASEEN shaad baad

sher hai yarrr






M.T.B. yaani MOQAY TAY BISTI    
Posted 10 Dec 2005

new_beau says
hawwa ki beti said:

suna
suna hai apney hi they ghar lootney waley
chalo achha hua main ney yeh tamasha nahi dekha



TAMASHA


Khaak mainn mil kay bhi Zahir na ho sakay
Ta,aasha yeh kisi ko Tamaasha nahin laga
Posted 10 Dec 2005

Ashii says
MTB
kiss ki hui





dasht e ghurbat mein hein aur ranj e safar khenchte hein
baar e hasti hai jisse KHAAK basa khenchte hein
Posted 11 Dec 2005

Doctor Sam says
dasht
dasht to dasht hain darya bhi na chorday hum ne
behr-e-zulmaat main dorda diye ghorday hum ne..

Posted 11 Dec 2005

ohhhhhh so nice shaing
Posted 11 Dec 2005

new_beau says
Faizan Rana said:

ohhhhhh so nice shaing



Come ...be a part of Chain
Posted 11 Dec 2005

new_beau says
Doctor Sam said:

dasht
dasht to dasht hain darya bhi na chorday hum ne
behr-e-zulmaat main dorda diye ghorday hum ne..



Zulmaat

"Tareekiyaann Jholi Phailaye Baithi hainn Ashar
Koi Jugnu hi Daaman-e-Zulmaat mainn DaaLA jAYE"
Posted 11 Dec 2005

new_beau said:

Faizan Rana said:

ohhhhhh so nice shaing



Come ...be a part of Chain

ok jaise aap ki marzi
Posted 11 Dec 2005

new_beau says
U R Welcome jee :D
Posted 11 Dec 2005

Doctor Sam said:

dasht
dasht to dasht hain darya bhi na chorday hum ne
behr-e-zulmaat main dorda diye ghorday hum ne..


Koi
koi surat nazar nahin aati
koi umeed bar nahin aati ,
moot ka aik din mutaaen hai
nend kyun raat bar nahin aati
Posted 11 Dec 2005

Doctor Sam said:

dasht
dasht to dasht hain darya bhi na chorday hum ne
behr-e-zulmaat main dorda diye ghorday hum ne..


doctor sahib
aap kay shair main lafz >darya< hai
jab keh theek lafz sehra hai
darustgee farma lain
shukria ......................hkb
Posted 12 Dec 2005

Reply to Topic