shair main sey kisi bhi lafz sey shair

16716 views 283 replies
Reply to Topic
hawwa ki beti

Age: 124
Total Posts: 273
Points: 0

Location:
,
aslam o alaikum to janubaba family
aik topic start kar rahi hoon,
shair main sey kisi bhi lafz sey apney shair ki ibteda karain
for example ;;

ghulami main na kaam aaein tadbeerain na taqdeerain
jo ho zoq e yaqeen paida to katt jati hain zanjeerain

is shair main sey aik lafz select kar rahi hoon
jati[ sey shair hai];;

dil sey daikhi nahin jati khamoshi ghar ki
kis tarha ujrha hua shehar gawara hota


so lets play waiting 4reply.................hkb
Posted 20 Nov 2005

basti

basti main faqt mera hi ghar hai bay charagh
tareeqi sey aap ko mera pata mil jaaey ga
Posted 05 Mar 2006

new_beau says
hawwa ki beti said:

basti

basti main faqt mera hi ghar hai bay charagh
tareeqi sey aap ko mera pata mil jaaey ga



Dil ka ujarna sehal sahi, Basna Sehal nahin Zalim
Basti Basna Khel nahin hay, Bastay Bastay Basti hay
Posted 05 Mar 2006

Doctor Sam says
ye kya muqaam-e-ishq hey zalim k in dinon
aksar tere baghair bhi aaram aa gya...
Posted 05 Mar 2006

new_beau says
KONSA LAFZ use ki DOC saab..yeh tou batao..I think Aap nay Baitbaazi samajh ker YEH say shair likh diya...hai na ??
Posted 06 Mar 2006

Mishall says
Zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii..
majabuur the ham us se muhabbat bhii bahut thii..
Usii baat ke sitam seh ke dikhaa hi diye ham ne
Goo apnii tabiyat mein baGaavat bhi bahut thii!..
Posted 06 Mar 2006

new_beau says
Mujh ko bhi Shoq tha naye Chehronn ki Deed ka
Rasta badel kay chalnay ki AADAT ussay bhi thi
Posted 06 Mar 2006

Mishall says
Cheheron kii dhuup aankhon ki geharai le gayaa
Ainaa saare shahar ki binai le gayaa
Dube huye jahaaz pe kyaa tabsaraa karein
Ye haadasaa to soch kii geharai le gayaa
Posted 07 Mar 2006

shehar

shahar main Dhuund rahaa huun ke sahaara de de
koi haatim jo mere haath mainn kaasaa de de

paid sab nange faqeeron kii tarah sahmay hain
kis se ummeed ye kii jaaye kay saayaa de de

(Rahat indori)
Posted 07 Mar 2006

Doctor Sam says
Dil na UMMEED to nahi, nakaam hi to hey
lambi hey gham ki sham, magar sham hi to hey..
Posted 07 Mar 2006

new_beau says
Tu nay dekha hay Kabhi Aik nazar SHAAM kay baad
Kitnay chup chaap say lagtay hainn Shajar Shaam kay Baad
Posted 08 Mar 2006

Mishall says
Nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad
vahii hai haal hamaaraa jo ho gunaah ke baad
Posted 08 Mar 2006

new_beau says
Deewanay hainn, Deewanonn ko na Ghar Chahiyey
Mohabbat Bhari ik Nazar Chahiyey bus Nazar Chahiyey
Posted 08 Mar 2006

Mishall says
Mohabbat tark kii main ne gareban sii liyaa maine..
Zamaane ab to Khush ho zehar ye bhii pii liyaa maine..
Posted 09 Mar 2006

new_beau says
Dil ki baat Zubaann per la ker ab tek Hum Dukh sehtay hainn
Hum nay suna tha iss basti mainn dil waalay bhi rehtay hainn

Woh jo abhi iss raah say ik Chaak GAREBAANN guzra tha
Uss awaara deewaanay ko Jaalib Jaalib kehtay hainn

HABEEB JALIB
Posted 09 Mar 2006

zabaan suKhan ko suKhan baankapan ko tarase gaa
suKhan_kadaa meri tarz-e-suKhan ko tarase gaa

naye pyaale sahi tere daur me.n saaqi
ye daur meri sharaab-e-kohan ko tarase gaa

NASIR KAZMI
Posted 09 Mar 2006

new_beau says
Meri Khaber kay Taraashay Bikay Sar-e-Maqtel
Khaber Jadeed thi Mazmoon go Puraana tha

Woh aik Shakhs mujhay saari Umr TERSAY ga
Naseeb usskay, Keh uss nay Mujhay Ganwaana tha

Posted 09 Mar 2006

Naseeb

naseeb aazamaane ke din aa rahe hain
qareeb un ke aane ke din aa rahe hain

jo dil se kahaa hai jo dil se sunaa hai
sab un ko sunaane ke din aa rahe hain
faiz

Posted 10 Mar 2006

new_beau says
Din kuchh Aisay Guzaarta hay Koi
Jaisay Ehsaann Utaarta hay Koi
Posted 11 Mar 2006

Kuchh


zindagi ye to nahin tujh ko sanvaara hi na ho
kuchh na kuchh ham ne teraa karz utaara hi na ho
sharm aati hai us shahar main hain ke jahaan
naa mile bheek to laakhon ka guzaara hi na ho
[Jan Nissar Akhtar]
Posted 11 Mar 2006

new_beau says
Iss Teera raat ka naseeb Sahar koi nahin
Jo meray Dukh ko Baant lay Basher koi Nahin

Abhi nahin aaya hay Meray Yaar ka SHEHAR
Ponhcha meri taraf abhi Pathar Koi Nahin

(Poet: Rizwan Ashar)
Posted 12 Mar 2006

Ashii says
naya bhai jiiiii
aaap ne likha



juz tere koi bhi din RAAT na jaane mere
tu kahan hai magar ae dost puraane mere
Posted 12 Mar 2006

new_beau says
Thankoo

KAHAN Kahan pay naajanay Bahatak rahay hotay
Tumhara piyaar na milta tou Mer gaye hotay
Posted 12 Mar 2006

new_beau says
Lala Moosa Khaariyann
Kithay Gayeeyaabb Sawariyannn
Posted 15 Mar 2006

faisalabad
Posted 16 Mar 2006

tumhara

tumharay khat main naya ik salaam kis ka tha
na tha raqeeb to wo aakhir wo naam kis ka tha
Posted 16 Mar 2006

new_beau says
Ajab tarah say Mujhay Insaaniyat ka Dars Doya
Shab-e-Hijr mujhay Poochhnay meray RAQEEB aaye

by Rizwan Ashar
Posted 17 Mar 2006



Ajab

ajab apanaa haal hotaa jo visaal-e-yaar hotaa
kabhii jaan sadaqe hotii kabhii dil nisaar hotaa


na mazaa hai dushmanii me.n na hai lutf dostii me.n
koii Gair Gair hotaa koii yaar yaar hotaa


(Daagh dehalvi)
Posted 17 Mar 2006

new_beau says
Ghaironn say kaha tum nay, Ghaironn say Suna Tum nay
Kuchh Hum say Kaha hota, Kuchh Hum say Suna Hota
Posted 17 Mar 2006

Ashii says
KUCH mohtasibon ki khilvat mei,, kuch wa'iz k ghar jaati hai
hum baada-kashon k hisse ko,, ab jaam mei kam kam aati hai
Posted 17 Mar 2006

new_beau says
December ka Rawaeeya he Mohtasib kay Jaisa hay
Baaqi saara Saal tou Aam say Maheenay Hainn

By Rizwan Ashar
Posted 18 Mar 2006

Reply to Topic