poetry corner

26527 views 632 replies
Reply to Topic
shy_princess

Age: 124
Total Posts: 2272
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
pyaar karney kai bhi kuch adaab hoova kartey hain
jagtey ankhoun kai bhi kuch khawaab hoova kartey hain.
zaroori tou nahin haar koi roo kai deekhai
sookhi ankhoun main bhi sailaab hoova kartey hain.
___________________
shy_princess
[email protected]
aik baat kahoun ager sunatey hoo

Posted 06 Dec 2003

mansoor ghouri said:

DUFFER paa gee humay kessi nay app ka real name jo kay DUFFER hay nahi bataya humay ya bhi nahi malum kay app ko seb DUFFER kahtay hay or kessi ko plz batana bhi nahi kay app ko DUFFER kahtay hay werna seb he app ko DUFFER kahay gay phir app ko gusa aey ga kay seb mujay DUFFER kahtay hay es liya kessi ko nahi malum kay app ko DUFFER kahtay hay

dakha manay app ka name bhi nahi liya or apna kam bhi ho giya hay na paa gee joke

MANSOOR PAA JEE TUSI BARDEY MAZAKIA HOO
Posted 05 Mar 2004

NICE POETRY SOFFIA AND MG JEE
Posted 05 Mar 2004

all u pplz are sweet :)
Posted 05 Mar 2004

egoistguy4 says
WARMTH OF LOVE said:

all u pplz are sweet :)

ARAY WOL JI APP BHI TU ITNAY SWEET SWEET HAIN.
Posted 05 Mar 2004

~CHANDNI~ says
mansoor ghouri said:

ES DILL KAY CHUND AISASOO MAY
EK MOSAM HAY BERSATOON KA
EK SAHRA HEJER KI RATOO KAA
EK JANGAL WASEL KAY KAWABOON KA,

ES CHOOHDWI RAAT KAY SAEY MAY
JUB AKERI BAAR MILAY THAY HUM
YA DIL PAGAL KUB BHOOLTA HAY
WO BAGH SAFAYED GULABOON KA,

MARAY KHAMA DILL KAY PASS KAHI
EK JUGNOO THAHER GIYA OR PHIR,
SAYLAAB THA SARI BESTTI MAY
ENDAZOO KA, AWAZOO KA,

HUM LOG JANUU KAY AALEM MAY
MENZIL KI TALEB BHI BHOOL GAEY
UB DILL KO BAHLA SA LEGTA HAY
SAHRAA MAY AKS SAYRABOO KA,

JIN LEFZOO KAY KUCH MAAEYNI THAY
WO LEFZ TO KAWAB HOWAY LAKIN
UB SHAHER MAY LEGTA JATA HAY
EK MEELA NAI KITABOO KA...

nice
Posted 05 Mar 2004

~CHANDNI~ says
wwellll cccccccoooooooommmmmmmmmmmeeeeeeeee
Posted 05 Mar 2004

kiran says
rona bhi to chahain to woh rone nahin daita
woh shakhs to palkain bhi baghone nahin daita

woh rooz rulata hai humain khawab main a ker
sona bhi jo chahain to woh sone nahin daita

yeh kis ke ishare per umad aye hain badal
hai kaun jo barish kabhi hone nahin daita

ata hain khayaloon main mere kaun yeh akser
jo mughko kisi aur ka hone nahin daita

ik shakhs hai aisa mere basti main abhi tak
jo bhoogh akele mughey dhone nahin daita

main hon ke bahati hon tere yaad main ashk
tu hai ke mughey ashk parone nahin daita

thame hue lehroon ke husn baag koi to
saheel ko samunder main dabone nahin daita

Posted 05 Mar 2004

hmm nice..
Posted 05 Mar 2004

kiran says
thanks
Posted 05 Mar 2004

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi

Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Posted 05 Mar 2004

kiran says
very nice
Posted 05 Mar 2004

~CHANDNI~ says
kool
Posted 06 Mar 2004

egoistguy4 says
kiran said:

rona bhi to chahain to woh rone nahin daita
woh shakhs to palkain bhi baghone nahin daita

woh rooz rulata hai humain khawab main a ker
sona bhi jo chahain to woh sone nahin daita

yeh kis ke ishare per umad aye hain badal
hai kaun jo barish kabhi hone nahin daita

ata hain khayaloon main mere kaun yeh akser
jo mughko kisi aur ka hone nahin daita

ik shakhs hai aisa mere basti main abhi tak
jo bhoogh akele mughey dhone nahin daita

main hon ke bahati hon tere yaad main ashk
tu hai ke mughey ashk parone nahin daita

thame hue lehroon ke husn baag koi to
saheel ko samunder main dabone nahin daita

NICE SELECTION MISS KIRAN.
Posted 07 Mar 2004

egoistguy4 says
junooni_rulz said:

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi

Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

GOOD POETRY AND WELLCOME TO MY FORUM.
Posted 07 Mar 2004

may i post some thing :$
Posted 07 Mar 2004

egoistguy4 says
WARMTH OF LOVE said:

may i post some thing :$

ARAY BHAI POOCHTA KAHAY KO HAI KAH DAY NA YAAR KIA KAHNAY KO MANGTA.
Posted 07 Mar 2004

~CHANDNI~ says
WARMTH OF LOVE said:

may i post some thing :$

ary bhiya naiki or poch poch
Posted 08 Mar 2004

kiran says
jab dil likhne ko chahai to likh dalo....

kahan ake ruke thai raste kahan mor tha ise bhool ja
woh jo mil geya isse yaad rakh jo nahin mila ise bhool ja

woh tere naseeb ki barshen kisi aur chat per baras gaeen
dil be khaber mere sun ise bhool ja ise bhool ja

men to gum tha tere hi dhayan men tere as tere guman men
sabah keh gai mere kan mere sath a isse bhool ja

kjun ata hua he ghubar men ghum zindage ke fashar men
woh jo dard tha tere bakht men so woh ho gea ise bhool ja

na woh ankh tere ankh thi na woh khawab hi tera khawab tha
dil e muntazir to hai kis lie tera jagna ise bhool ja

to yeh kis lie shab e hijar ke her sitare men ise dhekhna
woh falak ke jis pe mile the hum koi aur tha ise bhool ja

tujhe chand ban ke mila tha jo tere sahiiloon pe khela tha jo
woh tha eik darya wisaal ka so utar gea ise bhool ja
Posted 08 Mar 2004

nice one kiran i wish i could write poetry
Posted 08 Mar 2004

kiran says
to likho na vese yeh mere nahe he mughey pasand amjab islam amjad ki he...men khud b likhtin hun jaanti dil ka sara dard lafzoon men nikal jata he to lutf ata he..
Posted 08 Mar 2004

kiran says
arshad ker b dain abb itni dair kiun yah phir men kuch boloon...
Posted 09 Mar 2004

egoistguy4 says
kiran said:

arshad ker b dain abb itni dair kiun yah phir men kuch boloon...

APPP HI KUCH IRSHAD KAR DAIN KUCH LOOG TU SHAID NAKHRAY MAIN HAIN ABHII.
Posted 11 Mar 2004

kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa

tuu ba.De pyaar se ba.De chaao se ba.De aramaan ke saath
apanii naazuk sii kalaa_ii me.n cha.Dhaatii mujh ko
aur betaabii se furqat ke Khizaa.N lamho.n me.n
tuu kisii soch me.n Duubii jo ghumaatii mujh ko
mai.n tere haath kii Khushbuu se mahak saa jaataa
jab kabhii muuD me.n aa kar mujhe chuumaa karatii
tere ho.nTho.n kii shiddat se mai.n dahak saa jaataa

raat ko jab bhii tuu niindo.n ke safar par jaatii
marmarii haath kaa ik takiyaa banaayaa karatii
mai.n tere kaan se lag kar ka_ii baate.n karataa
terii zulfo.n ko tere gaal ko chuumaa karataa
jab bhii tuu band qabaa kholane lagatii jaanaa.N
apanii aa.Nkho.n ko tere husn se kheraa karataa
mujh ko betaab saa rakhataa terii chaahat kaa nashaa
mai.n terii ruuh ke gulashan me.n mahakataa rahataa
mai.n tere jism ke aa.Ngan me.n khanakataa rahataa
kuchh nahii.n to yahii benaam saa bandhan hotaa

kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa

Posted 11 Mar 2004

egoistguy4 says
shoaibjaffar said:

WELL TO OUR FORUM AUR YARA YEH DIPLAY PIC YA APP CHANGE KAR LOO YA MUJHAY BATA DO APUN CHAGE KAR LAITA HAI.
Posted 12 Mar 2004

egoistguy4 says
yeh mohabbatoon kay asool hain mujhay dostoon say gilla nahin.
ussay maut say woh dara gay jissay zindagi ka pata nahin.
Posted 13 Mar 2004

Posted 15 Mar 2004

kiran says
tere dard se dil abaad raha
kuch bhool gae kuch yaad raha

naseeba bhi kiya rang laya
kahan a ke hum ko milaya
apni wafa ke gul khil na pye
milke bhi tujhse hum mil na pye
dard e dil hum kaise sahain
duur bhi abb kaise rahain
tera ghum tere jaane ke baad raha
kuch bhool gae kuch yaad raha

jaan e wafa tujh ko kiya dain
dil keh raha hai dua dain
armaan jale hain chahtain dhuwan hain
mer mer ke hum to zinda yahan hain
bekhudi main hum kho gae
phir juda tujhse ho gae
chahat ka jahan barbaad raha
kuch bhool gae kuch yaad raha

Posted 16 Mar 2004

nice one but don't be
Posted 18 Mar 2004

~CHANDNI~ says
Posted 18 Mar 2004

kiran says
cool ajj kal bare shairi ho rahi hai api jee royen mat be happy please hum sab na ro parain app ke saath.
Posted 18 Mar 2004

Reply to Topic