Logo

Guess the MISRAH


Posted on 6/30/2006 8:14:24 PM

Mainn Ghar say Teri Tamnna pehan kay jub nikloonn
hazaron talabgaar rah main kharay nazr aatay hain



Mainn Ghar say Teri Tamnna pehan kay jub nikloonn
her kkhawahish sherma kay moun chhupati hai mujh say

Posted on 6/30/2006 8:17:08 PM

yeh konsa sher hai

Posted on 6/30/2006 11:23:21 PM

qateel shafaii ki Gazal hai yee

Posted on 7/1/2006 1:21:37 AM

Freddy...

Shiar bhi Correct aur Taba'Aazmayee tou AWESOME


Posted on 7/1/2006 1:58:55 PM

hmmm sahi,, iss ghazal ka fav sher
woh mera dost hai saare jahan ko hai maloom
dagaa kare woh kissi se to sharm aae mujhe












next

Posted on 7/1/2006 2:42:34 PM

original sher kahan hey....?

Posted on 7/1/2006 8:20:27 PM

Doctor Sam:
original sher kahan hey....?

Freddy:
Main ghar se teri tamana pehan ke jab nikaloon
Bar-hanaa shehar mainn koi nazar na aaye mujhe


Posted on 7/2/2006 12:57:24 AM

Doc_Sam kay Exams tou pata nahin lab kay khatam ho gaye...asar abhi tek baaqi hay



NEXT MISRAH

Dil-e-Tabah, tera mashwara hay kiya, keh Mujhay

Posted on 7/2/2006 9:25:48 AM

Dil-e-Tabah, tera mashwara hay kiya,
keh Mujhay ab karna chaiye kya
iss dunya k peeche chalte to
kar li hum ne akhrat tabah




Dil-e-Tabah, tera mashwara hay kiya,
keh Mujhay dena chaiye aisi dosti ka kya sila
dost ban k kar gaya jo dushmani hum se
kar gaya zamane mei hum ko ruswa
ab k hum bhi karein kuch aisa hi
aaja fer hath mila




im sorry
hum ne aap k sher ko kurbani ka bakra bana dala

Posted on 7/2/2006 11:55:21 AM

asar to jatay jatay hi jata hey janaab...

achi effort hey SALL...

aor imtehaan kabhi khatam nahi hotay...
college ki baat kerain to aik kal bhi hey aor aik aor aaraha hey....

Posted on 7/2/2006 12:13:19 PM

aray yaar tum log format kiyun kharab ker rahay ho..

Pehklay MISRAH to GUESS kiya kero,...baad mainn Taba Aazmayee

Posted on 7/3/2006 9:33:53 AM

sorrry..
hum ne tabla bajai pehle kar li

misrah nahi aata na

Posted on 7/3/2006 10:52:20 AM

nahi aata na humain bhi...

Posted on 7/3/2006 11:08:20 PM


Posted on 7/4/2006 9:51:02 PM

sochi peya tay banda gya

misraa to bata dain...

Posted on 7/5/2006 1:05:09 AM

Zamanay Bhar ki Nigahonn ko jo Khuda sa Lagay
Woh Ajnabi hay magar mujh ko aashna sa lagay

Dil-e-Tabah tera mashwara hay kiya, keh mujhay
woh phool rang sitaara bhi bay wafa sa lagay


Doc_Sam ho ker Mohsin Naqvi ko nahin pehchantay

Posted on 7/5/2006 10:10:17 AM

haq ha kitnay afsos ki baat hai

Posted on 7/5/2006 12:11:35 PM

aray... ye mohsin naqvi ka hey...
uffffffffffffff mere liye kitnay afsos aor sharm ki baat hey...

lekin mujhe lagta hey.. ye ghazal meri nazron se nahi guzri..

Posted on 7/5/2006 12:20:25 PM


Posted on 7/6/2006 9:28:45 AM

ab dukhi hone se behter hey k log new misraa day dain..

Posted on 7/6/2006 7:45:08 PM

NEW MISRAH

"Mujhay yeh darr hay teri aarzoo na mit jaye"

Posted on 7/7/2006 6:17:51 PM

bohat dinon se tabiyyat meri udaas nahi


Posted on 7/7/2006 7:32:54 PM

shabash

Mujhay yeh darr hay teri aarzoo na mit jaye
ab dil main wo pehli si khalish nahin baqi

Posted on 7/7/2006 7:56:45 PM

Good Doc_sam

Lagta hay pichhli baar ka ghussa nikala hay


QV jee aap ki taba aazmayee ka mayarrr kuchh....hmmmmm

Posted on 7/7/2006 10:36:00 PM

Mujhay yeh darr hay teri aarzoo na mit jaye
jab se naye parosi ko dekha yahi khyal aae





aur hamari tabla bajai ka mayar kaisa hai

Posted on 7/7/2006 10:47:48 PM

fit n fine    

Posted on 7/7/2006 10:52:48 PM


germi nay mat maar di hai
khud hio takhta e mashq banay huey hain

Posted on 7/8/2006 1:46:05 PM


Posted on 7/8/2006 6:10:46 PM

hun agae lango

Posted on 7/8/2006 6:34:37 PM