Logo

Guess the MISRAH

100 % asli hey jee..

Posted on 6/3/2006 10:00:31 PM

chaliye kibla
agay ko chaliye ab

Posted on 6/3/2006 10:07:14 PM

hum akele e chalain aagay...

Posted on 6/3/2006 10:57:46 PM

itna sannata kyun hai bha

Posted on 6/5/2006 5:03:09 PM

imam sahab..........

Posted on 6/5/2006 10:09:01 PM

New Misrah

"Mujh say tu poochhnay aaya hay Wafa kay Maanay"

Posted on 6/6/2006 9:42:01 AM

ye gulbahaar bano nay gaye hai na
suni hui hai lakin yahan aa kay meri yadasht jawab day jati hai

Posted on 6/6/2006 12:15:48 PM

yaad nahi a raha..

Posted on 6/6/2006 9:54:09 PM

yeh woh wali ghazal hai

"tu kahan hai ae dost purane mere"
by faraz

zara sochne do

Posted on 6/6/2006 11:50:13 PM

nahi hum ne galt kaha
my sis said its by qateel shifai,,,

mujh se tu puchne aaya hai wafa k maane
yeh teri saada dili maar na daale mujh ko

kal ki baat aur hai me ab sa rahu ya na rahu
jitna jee chahe tera aap sata le mujhe ko




hum taba azmai nahi karein ge

Posted on 6/7/2006 12:01:57 AM

kyun kya taba azmaye wali machine kharab ho gai hai


Mujh say tu poochhnay aaya hay Wafa kay Maanay
mujh ko to khud tafseer e wafa kehtay hain log

Posted on 6/7/2006 11:56:53 AM

After Consultancy with sister JAWAB denay ka shukriya SALL


QV...Taba Aazmayee Kuchh Jaandara nahin

Doctor_Sam ...Aap Taba Aazmayee fermana pasand kerainn gay ya Next Misrah doon ?

Posted on 6/8/2006 9:17:42 PM

pehle ki hey jo ab hum karain gay..

aray wese yaad aaya ye to wo ghazal nahi hey..

Apnay hathon ki lakeeron main basa lay mujh ko...

Posted on 6/8/2006 11:11:22 PM

yess yess


haan jee i know jaan daar nahin main nay bhi khana puri ki thi bas


nexttttttt

Posted on 6/9/2006 11:51:56 AM

haan jee... kahan hey next misraa...

Posted on 6/9/2006 7:33:48 PM

aram ker raha hai

Posted on 6/9/2006 7:44:24 PM

bohot kar liya araaaaaammm

next misra hazir hoooooo

Posted on 6/9/2006 8:06:08 PM

hazir hay


NEXT MISRAH

"Ab kissay chaahain, kisay dhoonda kerainn"

Posted on 6/10/2006 9:19:29 AM

Ab kissay chaahin, kisay dhonda kerainn
woe be akhir mil geya abb kya kareen


Posted on 6/10/2006 10:58:02 AM

uff,,,
yarrr yeh to bata diya karo k yeh asli sher hai k apni koshish hai

Posted on 6/10/2006 12:16:10 PM

O bhai Asli hay yeh...

Shakeela Khurasaani kay Album NAYEE BAAT mainn yeh ghazal hay..shaye ka naam mujhay bhi nahin pata..

Taba Aazmayee waalay Hazir honn

Posted on 6/10/2006 1:15:35 PM

freddy ki quick service... ye humain aata hey...
Ye bashir badar ka sher hey.. aor aajkal hum bashir badar aor munir niazi ko e parh rahay hain...

ab kisay chahain kisay dhoonda karain
wo bhi aakhir mil gya ab kya karain
halki halki barishain hoti rahain
hum bhi phoolon ki tarah bheega karain..

Posted on 6/10/2006 7:54:42 PM

Tumharay Tou Exams chal rahay hainn ...Tum inn ko perh rahay ho

Posted on 6/10/2006 8:07:17 PM

TUM...

Kya TUM se muraad Hum Hain...? i mean kya AAP hum se mukhatib hain...?

exams khatam... aor wese bhi poetry hamesha mere sath rehti hey.. exams main bhi...

Posted on 6/10/2006 8:53:26 PM

ab kisse chahein kisse dhoonda karein
taba azmaee nahi hoti


AAP aur TUM se guzarish hai
next plz

Posted on 6/11/2006 11:30:20 AM

ye guzarish to aap AAP se e kar sakti hain jee..

Posted on 6/11/2006 1:35:15 PM


Posted on 6/11/2006 3:45:53 PM

AAP ko kya hua...>?

Posted on 6/11/2006 3:53:42 PM

aap ......khair chalo chhoro...


Next Misrah

"Aap ki yaad aati rahi raat bhar"

Posted on 6/11/2006 4:12:24 PM

chashm-e-namm muskurati raah bhar...

ye wo hey jo asli hey aor jo ahamd jahanzaib ne bohat acha gya hey..

aor aik faiz ne kaha tha..
chandni dil dukhati raahi raat bhar...

wese kya kehna tha AAP ne..?

Posted on 6/11/2006 4:44:02 PM