Logo

Dil Tootanay tay....

kiran:
zindagi ki shaam kab ho pata nahin
per tere naam hi yeh zindagi rahi

Chal aise jaise chalti hain hawaayein,
Phoolon ko khilaayen,baharon ko hansaayen..
Baant le sabke gham ke khushnuma ban jaayen fizaayen..
Issi jahan mein hai dard aur iss dard ki dawaayein…

Posted on 2/4/2005 1:12:03 AM

wo hogaye humse door
na jaane kyu the itne majboor
unki wafa me humme kisine na jana
par unki bewfai me hue hum mashhoor..!

Posted on 2/4/2005 1:16:04 AM

majbuur dil tha ke hum nahin thai
tere siwa aur koi ghum nahin thai


Posted on 2/4/2005 1:24:07 AM

kiran:
majbuur dil tha ke hum nahin thai
tere siwa aur koi ghum nahin thai


Har zakam ko seenay main saja laytay hain
har dard ko hum dil main baasaa laytay hain
ap phooloo pay bhi sootay hain to dukta hai hai badan
hum to kantoon ko bhi ankoon main laga laytay hain

~¤´¨)
¸.·´ ¸.·´¨)
(¸.·´ (¸.·´`·--->Sunny

Posted on 2/4/2005 1:24:52 AM

katoon se bhi pyar jharta hai jab hum
tere yaad ko gale se laga latay hain

Posted on 2/4/2005 1:26:45 AM

Sunny kya howa jo un ke saath hai rakeeb
phool ke saath bhi khaar(kanta) hota hai
woh na ban pay gha kabhi bhi tera
phair tu kyon bekarar hota hai?????


Posted on 2/4/2005 1:29:41 AM

tu bekhaber hai uske sache pyar se
kabhi parde main bhi pyar hota hai


Posted on 2/4/2005 1:34:09 AM

kash parday main na pyar kabhi hota
                yeh dil teri yaad main na rota
aj sunny teri bhi kohi pehchaan na hota
                    igar tu bewafa na hota

Posted on 2/4/2005 1:42:57 AM

Khile they phul gulshan mein sawarne aur mehakne ko
Kise malum tha wo ashk se palke bigho denga

Posted on 2/4/2005 1:46:33 AM

    VERY NICE KIRAN AND SUNNY

Posted on 2/4/2005 2:07:17 AM

   MITA DAY APNI HASTE KO AGER KOI MARTABA CAHE
   K DANA KHAK MAY MIL KAR GUL O GULZAR HOTA HAY

Posted on 2/4/2005 2:08:18 AM

Nice Arbab
here is another one

Unki Kismat Mein Sada Chain Hi Likhna Ya Rub,
Wah Jo Har Baat Per Dil Mera Tod Dete Hain....

Posted on 2/4/2005 6:59:01 AM

Zindagi se kar behthe hum itnaa pyar
Ke maut aayee to aakhon me aasoon aagaye
Lekin aaj ye hum bhool chuke hai
Ke zindagi ko gaale laagaate waqt bhi hum ro rahen the...

Posted on 2/4/2005 7:04:52 AM

Maut zindagi ki aakiri manzil hai ye mana,
Naye jeevan ka magar ye aagaz bhi toh hai....

Posted on 2/4/2005 7:11:59 AM

well done guys

Posted on 2/4/2005 8:14:43 AM

Kisi ki Chahat Mein Youn Rona
Dil Ke Andar Ik Ghum Ka Hona

Gar Tu nay dal thee ruswai
Tere pyar mein ho gai judai
tu ne duniya mein har shai ganwai

jub duniya tujh se teri lut gai
gar ya mohabbat teri uth gai
samajh le teri qismat tujh se rooth gai

Meri Chahat Mein Youn Rona
Dil Ke Andar Ik Ghum Ka Hona

Posted on 2/4/2005 8:14:49 AM

jane kiun hum apni aankhon mein
sapne saja lete hain aur
chahte hain k ye sapne tootne na paaen
phir achanak hawa ka ek tez jhonka
kagaz k tukdon ki tarah humare khuwabon ko fiza mein bikher deta hai
aur humare sajje hue armaan ek pal mein
khatam ho jate hai...
phir kabhi kabhi hum
kisi k liye sochna shurooh karte hain
aur justujoo karke use paane ki koshish karte hain
hum us manzil ki taraf badhna chahte hain
jis k fasle hum kabhi nahin tae karsakte
kabhi nahin.............

Posted on 2/4/2005 8:15:16 AM

raat kii tnhaye mai
shoor tha too barish ka
toot kay kahen barsaa
kon thii joo aaye thii
khowab koye laye thii
tooty ghar kay aangan mai
aak udase chaye thii
pochte thi kon hai woo......!!
kion yahan par aaye thii...!!
ujree maang woo bhthe
haath mai toote chori
our rang tha mhndi ka
ajj phir say bhkre thii
khowab shayed toota tha
aankh say bhte nadya
shoor tha too barish ka
toot kay kahen barsaa

Posted on 2/4/2005 8:16:12 AM

EK PAL KE LIYE BHI LAGTA NAHII DIL AAJ KAL.

TUMSAY MILNAY KO KARTA HAI DIL AAJ KAL

KHUDA KA SHUKAR HAI JISNAY TERI YAADON KA SAHARA DIYA WAQT GUZARTA HU TERI YAADON MEIN AAJ KAL

KAUN ROK SAKTA HAI IS AZEEM KALAM KAAR KO LIKH DALA GHAM-E-JUDAYI MERAY MUQADAR MEIN AAJ KAL

BAHUT GHAMGHEEN SA REHTA HU LAGTA NAHII HAI DIL AAJ KAL

KHUDA MILAYEGA JALD HI HUMKO IS UMEED KE SAHARAY JEE RAHA HU AAJ KAL ..


Posted on 2/4/2005 8:17:25 AM

Bhaot achay Paki
yar chotay chotay wirte karoo
jis ki samjh mujh ko lagay
main 2 line read karta hoon to Baki
bhool jata hai
Likun bahot ahcay hain paki
ap ki bat he kuch aur hai
woh apna JanuBABE nazar nhi aiii
hum say nazar to nhi na
hoo ghi

mila tha itifaaq bichernaa naseeb tha
woh itna door hua jitna kareeb tha
main usko dekhney ko tarsati hi rehegi
jis shaks ki hateli per mera naseeb tha

Posted on 2/4/2005 9:09:14 AM


2 2 lines ke.. hmm lets try


nice one

Posted on 2/4/2005 9:23:01 AM

paki_fan:

2 2 lines ke.. hmm lets try


nice one

Thanks

Posted on 2/4/2005 9:26:46 AM

itne shikwe itne gile bin soche keh gaye zindagi se
kya kabhi socha yeh zindagi hai kiske dum se
jab kabhi lagi thokar, dil ke hue itne hisse
chaah kar bhi chip na paaye doston se woh kisse

Posted on 2/4/2005 9:27:13 AM

zamana ho gaya us bewafa ka naam liye
das saalon mein kitne sitam usne kiye
sab kuch bhulakar dil ko manaye
apna chuki hu the jo pehle paraaye

Posted on 2/4/2005 9:27:52 AM

*!Es duniya mein ghum hi ghum milein gey
Is duniya mein dost kum milein gey
Jis rah per duniya tumhein choor dey gi
Us raah per tumhein hum milein gey!*

Posted on 2/4/2005 9:29:49 AM

tum kiya jaano mera dil tumare liye hai
yeh wafa ki khub mehfil tumare liye hai

tumne na jaana mera muskrana pal main
mera to her ik saans tumare liye hai

Posted on 2/4/2005 11:14:35 PM


Posted on 2/4/2005 11:54:37 PM

Within her hand a gentle rose
That falls to earth in scented prose
With words of love she gives with ease
Fills your thoughts within a breeze

Love that sparkles so divine
By gentle moments you've designed
Captured in the heart defined
Of love that offers gentle rhymes

On this day you make a wish
The love you feel is always bliss
Hearts now race with all you share
Words of love will take you there

Within the mist of gentle flow
The love you feel the softest glow
Catch the petal from on high
Love comes with a gentle sigh.



Posted on 2/4/2005 11:57:19 PM

paki_fan:
*!Es duniya mein ghum hi ghum milein gey
Is duniya mein dost kum milein gey
Jis rah per duniya tumhein choor dey gi
Us raah per tumhein hum milein gey!*

Zaaruri nahi hai jo manzil tak le jaye woh bewafa na ho
Shayed is meherbani ke piche koi maksad chupa ho

Posted on 2/5/2005 12:34:03 AM

Jo chot khaye wohi jaane dard ka ehsaas kaysa hota hai
Jo dagaa khaye wohi jaane dard-e-bewafai kya hota hai

Posted on 2/5/2005 12:34:30 AM