Logo

Dil Tootanay tay....

Dard-e-ahsaas, dard-e-bewafai, yah kahani phir sahi
kis kis Morr se kaise gujar gai, yah kahani phir sahi....

Posted on 2/5/2005 12:34:46 AM

Yeh ik song main tha Shahrabi song main is liye yahan likh raha hoon
Khanjar se karo baat, na talwaar se pucho
mai qatal hua kaise, Mere payar se pucho

Posted on 2/5/2005 12:35:28 AM

Hey Guys thanks for nice work

Posted on 2/5/2005 12:51:27 AM

Jo chot khaye wohi jaane dard ka ehsaas kaysa hota hai
Jo dagaa khaye wohi jaane dard-e-bewafai kya hota hai

Posted on 2/5/2005 4:49:46 AM

Dard-e-ahsaas, dard-e-bewafai, yah kahani phir sahi
kis kis Morr se kaise gujar gai, yah kahani phir sahi....

Posted on 2/5/2005 4:49:58 AM


Posted on 2/5/2005 5:31:49 AM

Zindagi se kar behthe hum itnaa pyar
Ke maut aayee to aakhon me aasoon aagaye
Lekin aaj ye hum bhool chuke hai
Ke zindagi ko gaale laagaate waqt bhi hum ro rahen the.

Posted on 2/5/2005 7:49:37 AM

u know something u guyz are ggggreat



Posted on 2/5/2005 8:55:28 AM

Mohabbat is terha chora nahi kertay

Talluk is terha tora nahi kertay
Keh phir se jorna dushwar ho jaye
Hayat aik zehr mey dobi hui talwar ki manind
Mohabbat is terha chora nahi kertay
Rawadari ka hergiz raasta chora nahi kertay
Mohabbat mey sabhi aik dosre ko aazmatay hain
Mager aisa nahi kertay
Keh her umeed her amkaan toot jaye
Kahan tuk khinchi ho dor ye andaza rukhtay hain
Hamesha chaar dewaari mey aik derwaza rukhtay hain
Judayi mustakil ho tow zindagi zindaan ho jaye
Tow suno!
Jeenay se mo mora nahi kertay
Mohabbat is terha chora nahi kertay

Posted on 2/5/2005 8:55:53 AM

my favvv one

                   ROYE HAIN BUHAT

Roye Hein Buhat Tab Zara Karaar Mila He
Is Jahan Mein kise Bhala sacha Pyar Mila He

Guzar rahi hey zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Howa To Dosra Tayar Mila He

Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila he

Who kamnasib hein jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib ho mujhe Intezar mil gaya

Gham nahi mujhe ke Dushma howa yeh zamana
Jab Dost Hathoon Mein Liye Talwar Mila Hey

Sab Kuch Khuda Ne Tum Ko Bhala KaiseyDe Diya
Mujhe To Uske Dar Se Sirf Inkaar Hi Mila hey


Posted on 2/5/2005 8:57:09 AM

MERA HAR DIN TERE HAR RAAT SAY ACHA HOO GA...
MERA HAR SHAIR TERAY HAR JAZBAT SAY ACHA HO GA..
ANKHOAN SAY DEKH LAINA BEWAFA..
MERA JANAZA TERE BARAT SAY ACHA HO GA.

Posted on 2/5/2005 9:16:03 AM

paki_fan:
MERA HAR DIN TERE HAR RAAT SAY ACHA HOO GA...
MERA HAR SHAIR TERAY HAR JAZBAT SAY ACHA HO GA..
ANKHOAN SAY DEKH LAINA BEWAFA..
MERA JANAZA TERE BARAT SAY ACHA HO GA.

Bahot Khob Paki waysay yeh sub kuch acha bhi hoo gaya aur ankh main ANSOO bhi yeh kuch different sa nhi hai

Posted on 2/5/2005 9:26:38 AM

different sa kiya?

Posted on 2/5/2005 9:31:14 AM

dard hi dard diya hai aur diya kya hai
tune mohobbat mein iske siva aur kiya hi kya hai
mere chehere ki in muskurahato pe na jaoo
meine aansoono ke siva aur piya hi kya hai

Posted on 2/5/2005 9:31:35 AM


Posted on 2/5/2005 9:32:07 AM

ansoon ko amrit samajh kar peete jao,
nakli hi sahi par chehre pe tabbasum aise hi dikahte jao,
mohaabat me sirf gum milenge yeh soch kar gabrana nahin,
is rah-e-dard pe apne kadam tum aage badate jao!

Posted on 2/5/2005 9:32:13 AM

bilkul

Posted on 2/5/2005 9:33:01 AM


Khud ko is dil main basane ki ijazat day do
Mujh ko tum apna bananay ki Ijazat day do

Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho
Phoolon say khud ko sajanay ki Ijazat day do

Main kitna chahti hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhay yeh aaj batanay ki ijazat day do

Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhay yeh sham sajanay ki Ijazat day do

Mujhay qaid kar lo apnay ishq main
Yeh jaan tum pe lootanay ki Ijazat day do

Posted on 2/5/2005 9:37:28 AM

paki_fan:
different sa kiya?

like Kushi bhi acha acha acha main
aur ansoo bhi yeh kushi aur dukh ik saath kaysay

Posted on 2/5/2005 10:19:45 AM

paki_fan:

Khud ko is dil main basane ki ijazat day do
Mujh ko tum apna bananay ki Ijazat day do

Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho
Phoolon say khud ko sajanay ki Ijazat day do

Main kitna chahti hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhay yeh aaj batanay ki ijazat day do

Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhay yeh sham sajanay ki Ijazat day do

Mujhay qaid kar lo apnay ishq main
Yeh jaan tum pe lootanay ki Ijazat day do

Badi muddat ke baad aaj dil muskuraya,
Aaj phir sapno me aake usne mujhe jagaya,
Kahbar hai mujhe ke wo hai ab paraya,
Phir bhi har aahat pe lagata hai wo aya...

Posted on 2/5/2005 10:21:01 AM

nice

Posted on 2/5/2005 7:05:06 PM

      kis ko batlayin k aaghosh e mohabat kiya hay
      jis pay guzre ho wohi haal humara janey

Posted on 2/5/2005 7:06:39 PM

      dil kiya tha hum roh may utar jate
      tum nay caha hi nahi cahney walon ki tarha

Posted on 2/5/2005 7:07:37 PM

     rasm e ulfat hi ijazat nahi deti warna
     hum bhi aisa tumhey bhulain k sada yaad karo

Posted on 2/5/2005 7:08:56 PM

       yeh sahrarat bhara lehja to meri aadat hay
       tu har ik baat pay youn khafa na howa kar
       

Posted on 2/5/2005 7:10:54 PM

      achey hain ya burey hain khud apney liye hain
      hum khud ko nahi dekhtey auron ki nazar say
       

Posted on 2/5/2005 7:11:59 PM

ONLYARBAB:
      rasm e ulfat hi ijazat nahi deti warna
     hum bhi aisa tumhey bhulain k sada yaad karo

Posted on 2/5/2005 8:22:23 PM

apni mohbaat mein mujhe na dubao ai dost,
meri chahat mein tum khud bah jaogi
agar teri chahat ki samunder mein doob gaya to
kabhi bhi tum mujhe chod kar ja na paogi..........

Posted on 2/5/2005 8:22:31 PM

tujhe bhulenge jab khud ko kahan yaad rakh payenge
jo teri chokhat par nahi aayenge tuh chaain kaha payenge
(MISBAH)

Posted on 2/5/2005 8:24:10 PM

Naama gaya ko_ii na ko_ii namaabar gayaa
teri Khabar na aa_ii zamana guzar gayaa.........

Posted on 2/5/2005 8:24:50 PM