Logo

Dil Tootanay tay....

    bichar k tujh say na milna to aik bahana tha
    humay to aay bewafa tera waada azmana tha

Posted on 2/7/2005 4:46:57 AM

   yeh acha hay k aapas k bharam totney na payain
   kabhi bhi doston ko aazma kar kuch nahi milta

Posted on 2/7/2005 4:47:46 AM

ONLYARBAB:
     acha khasa bethey bethey khayalon may gum ho gata hoon
    may ab aksar may nahi rehta tum ho jata hoon

ap to main say tum ho jatya hoo
aur hum hain ke Ap say KON ho jatya hain

Posted on 2/7/2005 4:47:52 AM

Yun to hum muskurate rehte hai magar
hamare seene mein hazaaron gham paltey hain
hamare chehre pe dikhawo ka tabassum hai magar
hamarey seene mein udaasi ke diye jaltey hain

Posted on 2/7/2005 4:48:41 AM

    badnasebi ka to may qayal nahi laiken
    may nay barsath may jaltey howey ghar dekhey hain

Posted on 2/7/2005 4:48:58 AM

Barson tumhari yaad mein jalta raha hoon main
Sarr mein tumhare pyar ka saudaa liye huwe
Lekin ab intizaar ka hosla nahi mujh mein
Kab tak jiyun main aankh mein darya liye huwe

Posted on 2/7/2005 4:50:00 AM

nice sunny
aisey kon say gham hain
wana to share

Posted on 2/7/2005 4:50:18 AM

ONLYARBAB:
nice sunny
aisey kon say gham hain
wana to share

Kash Gum sher kar saktaaa
likun yeh hotay he nhi

Posted on 2/7/2005 4:50:51 AM

Hotay hoon gay likun mujh ko Sher karna atay he nhi

Posted on 2/7/2005 4:51:11 AM

kiya baat hay sunny very good
aik aur

Posted on 2/7/2005 4:51:18 AM

kiyon nahi aatey share karnay mere bhai

Posted on 2/7/2005 4:52:26 AM

koi hay is ko gham share karna batao yaar

Posted on 2/7/2005 4:52:51 AM

har ek din udaas din tamaam shab udasiyan
kisi se kya bichar gaye ki jaise kuch bacha nahi!!

Posted on 2/7/2005 4:52:56 AM

Sub say laynaa he seekhaa hai daynaa nhi likun umed hai seek jaoon gah juld he

Posted on 2/7/2005 4:53:29 AM

inshALLAH

Posted on 2/7/2005 4:54:31 AM

Arbab Dost
Hum to phool hai woh bhi murjaye hue,
begano ki basti me apno ke hi sataye hue!

Posted on 2/7/2005 4:54:34 AM

waisey sunny tum nay jo udhar kiya hay na funny may

Posted on 2/7/2005 4:55:03 AM

kaysaa tha

Posted on 2/7/2005 4:55:24 AM

very nice sunnt very good

Posted on 2/7/2005 4:56:11 AM

bas acha tha

Posted on 2/7/2005 4:56:37 AM

hum phool hain auron k liye lay hain khosbo
apney liye lay day k bas ik dagh bacha hay

kaisa hay sunny

Posted on 2/7/2005 4:57:32 AM

Yahan to yaad bhi unki bhula sake na koi
woh kaun log hain jo tark-e-ishq karte hain!!!!

Posted on 2/7/2005 4:57:35 AM

ONLYARBAB:
   hum phool hain auron k liye lay hain khosbo
apney liye lay day k bas ik dagh bacha hay

kaisa hay sunny

bahot Khob hai

Posted on 2/7/2005 4:57:59 AM


Posted on 2/7/2005 4:58:08 AM

very good sunny

Posted on 2/7/2005 4:58:48 AM

ONLYARBAB:
Yaad Kar Ke Too Mere Dosti Ko Roti Hogi
Chaand Jab Bhi Tere Aangan Mein Utarta Hoga



yeh kaysaa hai

Posted on 2/7/2005 4:58:48 AM

Unki Kismat Mein Sada Chain Hi Likhna Ya Rub,
Wah Jo Har Baat Per Dil Mera Tod Dete Hain....

Posted on 2/7/2005 4:59:32 AM

aaj to kuch ziada hi dukh bharey sher lihh rahe ho tum
kiya may pooch sakta hoon k tumharey saath kiya howa hay


yeh sher kaisa hay

Posted on 2/7/2005 4:59:52 AM

ONLYARBAB:
aaj to kuch ziada hi dukh bharey sher lihh rahe ho tum
kiya may pooch sakta hoon k tumharey saath kiya howa hay


yeh sher kaisa hay


Arbab Bahi aj to batain bhi shayri main
kya bat hai aj kisi Shair ke naam ki drink to nhi na ki




bahto acha tah woh

Posted on 2/7/2005 5:01:04 AM

nice sunny very good yaar
bohot ache

Posted on 2/7/2005 5:01:36 AM