yeh mehlon, yeh takhton, yeh tajon ki dunya
yeh insan k dushman samajon ki dunya
yeh daulat k bhooke riwajon ki dunya
yeh duniya agar mil bhi jae to kya hai
harr ik jism ghayal, har ik rooh pyaasi
nigahon mei uljhan, dilon mei udaasi
yeh dunya hai ya alam e bad-hawasi
yeh duniya agar mil bhi jae to kya hai
jawani bhatakti hai badkaar ban ker
jawan jism bikte sajte hein bazaar ban ker
yahan pyar hota hai byopar ban ker
yeh duniya agar mil bhi jae to kya hai
jala do isse phoonk dalo yeh duniya
mere samne se hata lo duniye
tumhari hai tum hi sambhalo yeh duniya
yeh duniya agar mil bhi jae to kya hai