~ -- SALL’s Corner -- ~

31738 views 877 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
if u like nice poetry.. u r at the rite place

believe me.. my choice isnt bad
i ll post nice poems.. ghazals.. lyrics and wotever i find intersting..
i samajhhh ?¿
hmmmmmmmmmmm.. GOOODDDDDD.. and now and WAIT
Posted 20 Nov 2003

Posted 15 Jul 2004

"Koi Baat Nahi"



Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi

Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi



Posted 16 Jul 2004

HAQEEQAT

khod ko halat ke sanche main b dhal kar dekha
gham_E_jana se nikal kar b na sahar dekha

inayatoo ka tha ya tha situmgari ka ehed
har ek qadam pe apne sirf hi qahar dekha

tanhai dasti hay ka dil hay khud dushman_E_ja
main ne kab khud ko kaha saya e shajar dekha

tumhari yaad ki khushboo chaman chaman pheli
bahar_e_gul ko khiza se b be khabar dekha

ghamo ke saye hain har dum inhi ki zid main hoo
main ne idher dekha ghum ko kabhi udher dekha

sahib g dard ke nisha sabhi ko dikhlaao
main ne tujh ko b tujhi se haa be khabar dekha.

Posted 16 Jul 2004

jab sawan main tanha bheego gay

jab sawan main tanha bheego gay
jab angan khalee pao gay

jab sahil say takrati lehron main
apni tanhae main kho jao gay

jab raat kay tanha daman main
tum chaand ko adha pao gay

jab khud say batain kartay kartay
tum door kahin kho jao gay

jab dil ki baat chupanay ko
ham say nazar tum churao gay

"main tum say mohabat karti hoon"
har baar yay sunna chaho gay

in sab lamhon main jaan lena kay
tum tum nahi "HUM" ban jao gay......


Posted 16 Jul 2004

"Be-Khudii le gaii kahaan hum ko"


be-khudii le gaii kahaan hum ko
dair se intezaar hai apnaa

rote phirte hain saarii-saarii raat
ab yahii rozgaar hai apnaa


de ke dil ham jo ho gae majbuur
is mein kyaa ikhtiyaar hai apnaa


kuchh nahiin hum misaal-e-anqaa lek
shahar-shahar ishtahaar hai apnaa



jis ko tum aasmaan kehte ho
so dilon kaa gubaar hai apnaa



Posted 16 Jul 2004

Bheegii huii aankhon kaa ye manzar na milegaa"


bheegii huii aankhon kaa ye manzar na milegaa
ghar chhod ke mat jaao kahiin ghar na milegaa

phir yaad bahut aayegii zulfon kii ghanii shaam
jab dhuup mein saayaa koii sar par na milegaa

aansuu ko kabhii os kaa qatraa na samajhnaa
aisaa tumhein chaahat kaa samundar na milegaa

is khwaab ke maahaul mein be-khwaab hain aankhein
baazaar mein aisaa koii zevar na milegaa

ye soch lo ab aakhrii saayaa hai muhabbat
is dar se uthoge to koii dar na milegaa



Posted 16 Jul 2004

subha says
nice
Posted 17 Jul 2004

thanx sub
Posted 17 Jul 2004

~CHANDNI~ says
wah queen
ham to samghy thy kay ham hi diil dill karty rahty hayen
tum
to chopi rustam nikli
Posted 18 Jul 2004

~CHANDNI~ says
Ummed-e-marg kab tak, zindagi ka dard-e-sar kab tak
ye mana sabra karte haiN mohabbat meiN magar kab tak

Posted 18 Jul 2004

~CHANDNI~ says
Yaad aaye haiN uff gunaah kyaa-kyaa
Haath uThaye haiN jab dua ke liye
Posted 18 Jul 2004

~CHANDNI~ says
Wo khaD.e kahte haiN meri laash par
hum to sunte the ki neeNd aati nahiN
Posted 18 Jul 2004

~CHANDNI~ says
Takiye pe tere sar ka woh tippa hai paD.aa hai
Chaadar meiN tere jism kee woh saundhi si khushboo
HaathoN meiN mahaktaa hai tere chehare ka ehsaas
Maathe pe tere hoThoN kee mohar lagee hai

Tu itni kareeb hai ki tujhe dekhooN to kaise
thoD.i si alag ho to tere chehare ko dekhooN

Posted 18 Jul 2004

~CHANDNI~ says
MaiN aap apni talaash meiN hooN
MaiN aap apni talaash meiN hooN
Mera koi rahnuma nahiN hai
Woh kya dikhayeNge raah mujhko
Jinhe khud apna pataa nahiN hai
Ye inke mandir, ye inki masjid
Ye zarparastoN ki sajdaagaheN
Agar ye inke khuda ka ghar hai
To inmeiN mera khuda nahiN hai
Posted 18 Jul 2004

~CHANDNI~ says
khaatin hai rah-guzr, thori dooR sath chalo
bohut karra hai safr thori dooR sath chalo

tamaam umr kahaan koi sath dai-ta hai
yeh jan ta hooN magar thori dooR sath chalo

Nashe mein choor hooN mai bhi tumhein bhi hosh nahin
baRRa maza ho agar thori dooR sath chalo

yeh aik shub ki mulaqaat bhi ghaNimat hai
kise hai kal ki khabr thori dooR sath chalo

abhi to jaag rahae hein chiragh rahooN ke
abhi hai dooR sahr thori dooR sath chalo

tawaf-e-manzil-janah hamein bhi karna hai
Faraz tum bhi agar thori dooR sath chalo
Posted 18 Jul 2004

Posted 19 Jul 2004

Posted 19 Jul 2004

Posted 19 Jul 2004

~CHANDNI~ says
nice
Posted 19 Jul 2004

thanx
Posted 19 Jul 2004

Ussay Jab Bhi Mera Khial Aata Ho Ga..



Ussay jab bhi mera khial aata ho ga
Apni palkain wo dheeray say jhukaata ho ga

Daikh kar khana-e-dil mein dhundli tasveer mery
Apni aankhoon key nami kaisay mittata ho ga

Sham dhaltay he Gul-e-Lala say milkar wo
Apnay rukhsar key surkhi kaisay chupata ho ga

Uss ko aaty ho gee yaad mery jab bhi
Mery tasveer say hont apnay lagata ho ga

Sawan key barasti rutoon mein aksar wo mera naam
Dur urtay huay badal peh likh likh kay mittata ho ga

Sansoon key mehak say paye ga pata mera
Jab na saaye ko bhi pass apnay pata ho ga

Chaha tow bohat ho ga mujh say lipatna uss nay
Apni khawahish wo meray qurb mein kaisay dabata ho ga

Reh nahi sakta mein daikhay bina ek pal uss ko
Lamha mujh say judaey ka wo kaisay bitata ho ga

Uskay chehray peh barasti hayaoon key baarish ho gee
Apnay ahbaab ko jab meray qissay sunaata ho ga

Wo apnay sabhi jazboon ko paband-e-riwayat kar kay
Qafal-e-khamoshi apnay hontoon peh lagata ho ga

Mujhay khawaboon mein bana kar Gul-e-Nobahar wo
Neend say khud ko sawairay kaisay jagata ho ga

Posted 20 Jul 2004

Jub shaam ke saaye dhultay hain

Jub koyal koo koo kerti hai

Jub panchhi shor machaatay hain

Mere dil mein hook si uthti hai

Mujhay yaad tumhaari aatee hai



Jub saawan baadul chhatay hain

Jub bijli garja kerti hai

Jub boonden barsa kerti hain

Mere dil mein hook si uthti hai

Mujhay aad tumhaari aati hai



Jub raat sayaah ho jaati hai

Jub chaandni phela kerti hai

Jub taare nikal kertay hain

Jub jugnoo chamka kertay hain

Mere dil mein hook si uthti hai

Mujhay yaad tumhaari aati ha



Posted 23 Jul 2004

Sham Dhali Chand Nikle To Sahi

Dard Jo Dil Mein Hain Chamke To Ssahi



Hum Wahan Par Basa Lyee Khud Ko

Who Kabhi Rah Mein Roke to Sahi



Who Qayamat Ho Ke Sitarah Ho Ke Dil

Kuch Na Kuch Hijir Mein Tootte To Sahi



Sab Se Hat Kar Hi Manana Hain Us Se

Hum Se Ak Bar Who Rroothe To Sahi



Dil Us Vaqt Ssambhal Jjae Ga

Dil Ka Ahval Who Poche To Sahi



Us Ki Nafrat Bhi Mahabbat Ho Gi

Mere Bare Mein Who Soche To Sahi



Us Ke Qadamoon Mein Bicha Do Ankheen

Meri Dosti Se Who Ghuzre To Sahi



Us Ke Sab Jhoot Bhi Sach Hhain Ae Dost

Shart Itni Hain Who Bole To Sahi

Posted 24 Jul 2004

Mera hi rang pareeda her ik nazar main raha

Wagerna derd ka mousam to shehar bhar main raha



Kisi ko ghar sey nikaltey hi mil gai manzil

Koi hamari terhan umer bhar safar main raha



Bohat sey log they ghul mil k sab sey baatein kiin

Wo jis ko main ney na dekha meri nazar main raha



Kuch is terhan sey guzaari hai zindagi jaisey

Tamaam umer kisi doosrey k ghar main raha



Widaa-e-yaar ka manzar MATEEN yaad nahi

Bas ik doobta sooraj meri nazar main raha     



Posted 24 Jul 2004

Nadaan"



Mujh sa koi jahan main naadan bhi na ho

karke Ishq kehti hoon ke nuksaan bhi na ho

Khuwaabon se Dil nasheen haqeeqat nahi koi

yeh bhi na ho to dard ka maza bhi na ho

mehroomiyon ka hum ne gila tak nahi kiya

lekin yeh kya ke Dil main Armaan bhi na ho

kuch bhi nahi hoon main magar itna zaroor hai

bin MERE shayad us ki pehchaan bhi na ho


Posted 24 Jul 2004

"Kismat"



Kar na sake hum pyaar ka sauda keemat hi kuch aisi thi

Jeeti baazi haar gaye hum kismat hi kuch aisi thi.......



Koi na samjhe koi na jaane kaisi yeh majbbori hai

Paas hain ek dooje ke kitne phir bhi kitni doori hai



Aankhon main aanson ke hain qatre hoton pe khamoshi hai

Hans na sake hum ro na sake hum halat hi kuch aisi thi



Kar na sake hum pyaar ka sauda keemat hi kuch aisi thi

Jeeti baazi haar gaye hum kismat hi kuch aisi thi.......



Ek taraf hai pyaar ka daaman ek taraf hai farz mera

Soch rahi hoon kaise mitaoon aaey zindegaani qarz tera



Dekho zara kis morr pe laaye yeh zalim halaat humain

Hum ko mili na tum ki mili woh chahat hi kuch aisi thi



Kar na sake hum pyaar ka sauda keemat hi kuch aisi thi

Jeeti baazi haar gaye hum kismat hi kuch aisi thi.......



Posted 24 Jul 2004

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si
Kabhi khushi hamaray sath sath
Kabhi gammon ki barsat si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi tofanon main bhi hain rastay
Kabhi manzilon ka pata nahi
Kabhi do kadam pay zindagi
Kabhi saddeuon tak intizar si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi her pal emtihan hai
Kabhi bin mangay enam hai
Kabhi kuch nahi
Kabhi sab kuch si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Posted 24 Jul 2004

subha says
wah queene ji tussi vi kamal ooo
Ahoooo
Posted 24 Jul 2004

SanaSana says
Posted 25 Jul 2004

Ashii says
vvv goood queenny

me samhjhi thi saare hi shayars chutti pe hein
Posted 25 Jul 2004

Reply to Topic