~ -- SALL’s Corner -- ~

31645 views 877 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
if u like nice poetry.. u r at the rite place

believe me.. my choice isnt bad
i ll post nice poems.. ghazals.. lyrics and wotever i find intersting..
i samajhhh ?¿
hmmmmmmmmmmm.. GOOODDDDDD.. and now and WAIT
Posted 20 Nov 2003

Ashii says
thnx
dont tell me u read all my poems n ghazals
Posted 31 May 2004

Rain Man says
i did but understood only some...where were the ghazals
Posted 31 May 2004

bheegi si ik raat yeh
lee ayi kia saath mein
dharkanein jo hume
kehne lagi hain ...
khamooshi ke darmiyan
kab chahhi thi baat yeh
dharkanein jo hume
kehne lagi hain ...




na kaho, sa suno
khamooshi, guftugo
hone lagi hai



ta'abeerein le aaon mein,
tum sapne de do mujhe
aisa kia hai itne kiuon
achey lagtey ho mujhe
tum hi jeevan ki aarzo



na kaho, sa suno
khamooshi, guftugo
hone lagi hai
zindagi khuwab mein
khoney lagi hai




her ahat pe dharkey dil
karwat karwat raat dhaley
charon oo'r chehra tera
youn sapnon ke deep jalein
sapne hain apne pyar ke
haan sapne hian apne pyar ke




na kaho, sa suno
khamooshi, guftugo
hone lagi hai
zindagi khuwab mein
khoney lagi hai




bheegi si ik raat yeh
lee ayi kia saath mein
dharkanein jo hume
kehne lagi hain ...
khamooshi ke darmiyan
kab chahhi thi baat yeh
Posted 01 Jun 2004

Main kisi ankh ke tapke huay ansoo ki





Main kisi ankh ke tapke huay ansoo ki

Sard aur gili si dast ki perchayi hoon

Main kisi rooh ke weeran sehra mein

Pariyoon ka wajood le ker utar aayi hoon

Main kisi thi’ther’tay huay sard mausam ki

Bewaja bewajood si pahnai hoon

Guzray huay waqt ki chaya

Beetay huay lamhon ki chamak

Meri zaat ke taza fasano se dhalak jaati hai

Meri khwahish be’buniyad sahi mager hai itni

Main kisi ke liye khizar ki aas ban ker reh jaon

Mager ae nadan dil! Yeh bhi tow mumkin hai

Keh lab-e-tar se utar jaon

faqt piyas ban ker reh jaon



Posted 01 Jun 2004

Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo,
Raat kaali sahi koi gham na karo,
Ak siatra bano jagmagatay raho,
Zindagii mein sada muskaratay raho,
Baantna hai agar baant lo har khushi,
Gham na zahir karo tum kisi per kabhi,
Dil ki gahraai mein gham chupatay raho,
Zindagii mein sada muskaratay raho,
Ashk anmool hain kho na dena kahin,
In ki har boond hai motiyoon se haseen,
In ko har ankh se tum churatay raho,
Zindagii mein sada muskaratay raho,
Faaslay kam karo dil milatay raho,
Zindagii mein sada muskaratay raho..!!

Posted 01 Jun 2004

dost kia khoob wafaoon kA sila datay hain
her nayay mor pe ek zakhum naya datay hain

tummse to khair gahre bahr ke mulaqat sahe
loog sadion ke rafaqat ko bohla datay hain

kesay momkin hai ke duaa bhi na ho aur dil bhi na jalay
chot parte hai to pathar bhi sada dataty hain

kon hota hai mosebat mein kese ka aa dost!
aag lagte hai to patay bhi hawa datay hain

jin pe dil ko hota hai bahrosa aye dost
waqat parnay per wohi loAg daga datay hain


Posted 01 Jun 2004

WAFA says
kuch door chal k raaste sab aik se lage
milne gae kissi se mil aae kissi se hum..


very nice sall....


dost kia khoob wafaoon kA sila datay hain
her nayay mor pe ek zakhum naya datay hain

queen

Posted 01 Jun 2004

Sab say Chuppa kar
Sab se Chuppa Ker Dard, Jo Woh Muskura Diya

Us Ki Hansi Ney To Aaj Mujhey Rulla Diya



Lehjey Sey Uth Raha Tha Her Ik Dard Ka Duhan

Chehra Bata Raha Tha Kay Kuch Ganwa Diya



Awaz Main Thehrao Tha Aankhon Main Nammi Thi

Aur Keh Raha Tha K Main Ne Sab Kuch Bhulla Diya



Janey Kiya Usko Logoon Sey Thin Shikayaten

Tanhayon Kay Dais Main Khud Ko Basa Diya



Khud Bhi Woh Hum se Bicher Ker Adhura Sa Ho Giya

Mujh Ko Bhi Itnay Logon Main Tanha Bana Diya...!!!

Posted 02 Jun 2004

thanx wafa
yeh tum hi ho jo yahan jhaank laiti ho warna baqi sab to
Posted 02 Jun 2004

HUM BHI KABHI MUHABBAT KIA KARTEY THE


Jab Tere Dhun Men Jia Kartey They
Ham Bhi Chup Chap Phira Kartey They

Ankhoon Men Peyas Hoa Karty Thi
Dil Men Toofan Utha Kartey They

Loog Aaty They Ghazal Suneney Ko
Ham Tere Bat Kia Kartey They

Sach Samjhty They Tery Wadoon Ko
Rat Din Ghar Men Raha Kartey They

Kisi Werany Men Tujh Sey Mil Kar
Dil Men Kia Phool Khila Kartey They

Ghar Ke Dewar Sajany Ke Khatir
Ham Tera Nam Likha Kartey They

Wo Bhi Kia Din They, Tujhe Bhula Kar
Ham Tujhe Yaad Kia Kartey They

Kal Tujhe Dekh Kar Yaad Aeya
Ham Bhi Kabhi Muhabbat Kia Kartey They

Posted 02 Jun 2004

Mujhe tum se mohabbat hai

Kisi kumzoor lumhay mey
Ager mein tum se ye keh doon

Mujhe tum se mohabbat hai
Tum ye mat samajh lena

Mein ne such kaha ho ga
Aisi dilnasheen baatoon ko

Aisay dilbar peraye mey kehna
Mujhe buchpan se aata hai

Meri aankhein mera chehra
Mera ye besakhta lehja

Ye sab kuch jhoot kehta hai mager
Is jhoot mey aik such bhi hai

keh

Mujhe tum se mohabbat hai
Posted 02 Jun 2004

ymahmood says
Nice
Posted 02 Jun 2004

~Khuli jo ankh to vo tha na vo zamana tha Khuli jo ankh to vo thaa na vo zamana tha
dahakti aag thii tanhai thii fasana tha

Ghamon ne baant liya mujhe yuun apas mein
ke jaise main koi luuta hua Khazana tha

ye kya ke chand hii qadmon pe thak ke baith gaye
tumhen to saath mera duur tak nibhana tha

mujhe jo mere lahuu mein dubo ke guzra hai
vo koi ghair naheen yaar ek purana tha

Khud apane haath se "Far" us ko kaat diya
ke jis darakht ke tahni pe ashiyana tha
Posted 02 Jun 2004

ymahmood says
Nice
Posted 03 Jun 2004

WAFA says
lolz queen ab tu y mahmood nay bhi jhank liya
Posted 03 Jun 2004

Ashii says
thnxxxxxxxxx..
queeny ki taraf se bhi
Posted 03 Jun 2004

ghazal



Apnay haathon ki lakiron mey saja ley mujh ko



Mein hoon tera tu naseeb apna bana ley mujh ko



Mein jo kaanta hoon tow chal mujh se bacha ker daman



Mein hoon ger phool tow joorey mey saja ley mujh ko



Mein khulay der key kisi gher ka hoon saaman pyare



Tu dabe paon kabhi aakey churale mujh ko



Terk –e- ulfat ki qasem bhi koi hoty hai qasem



Tu kabhi yaad tow ker bhoolnay wale mujh ko



Mujh se tu poochnay aaya hai wafa ke maani



Ye teri sada dili maar na daalay mujh ko



Mein samender bhi hoon moty bhi ghota zan bhi



Koi bhi naam mera le key bula ley mujh ko



Tu ne dekha nahi ainay ke aagay kuch bhi



Khud perasti mey kahin tu na gawan ley mujh ko



Kul ki baat aur hai mein ab sa rahon ya na rahon



Jitna ji chahe tera aaj sata ley mujh ko



Baand ker singh wafa ker diya tu ne gherqaab



Kon aisa hai jo dhoond nikalay mujh ko



Khud ko mein baant na loon kahin daman daman



Ker diya ager tu ne mere hawalay mujh ko



Bada phir bada hai mein zeher bhi pi jaon ga



Shart ye hai koi banhon mey sambhalay mujh ko


Posted 04 Jun 2004

thanx YM and wafa
per baqi kab jhankain gay
Posted 04 Jun 2004

Safar ....

Abhi to mehwe rawan hai ye zindagi ka safar
Phir uske baad shuroo ho ga roshni ka safar

Mujhe bhi khadsha hai is baat ka tumhen bhi hai khof
Zara si baat pe toote na dosti ka safar

Mera wajood meri aasteen me palta raha
Chalo ke kahtam karen ab ye dushmani ka safar

Zara sukoot hai or phir sada ki bechaini
kabhi ruka hai na rukta hai aadmi ka safar
Posted 04 Jun 2004

Ek Ghazal

Wo Rula Kar Hans na paya der tak
Jab me ro kar muskuraya der tak

Baanjh dharti piyasi thi piyasi rahi
Badalon ne ghul machaya der tak

Sab zara si baat per uljhe rahe
Or kissi ne kuch na paya der tak

Chand lamhe piyar me hans bol len
Kab ruka hai kis ka saya der tak

Us ne jab sunne me kuch taakhir ki
Hum ne bhi sar na uthaya der tak

Us ne jo nazren churayeen bazm me
Hum ne bhi pehloo bachaya der tak

Faaslon ke darmiyan yoon gum howa
Phir usse na dhoond paya der tak
Posted 04 Jun 2004

kuch khuwab baaqi hain

Kuch toot gaye hain kuch khuwab baaqi hain
Maazi ki wafaoon main kuch sarab baaqi hain

Ab bhi wazey nahin hui tasveer zindage ki
Der perda ab bhi kuch naqaab baaqi hain

Her sawal apni jaga joon ka toon raha
Zabaan pay shikayaton kay kuch jawab baaqi hain

Khali hua behtey behtey yaad main behta sagar
Phir bhi nigahon main kuch sailaab baaqi hain

Maaf kiya khoon-e-jigar apna kisi dosti ko
To usi dosti say kuch hisaab baaqi hain

Kisi ka aasmaan tareekiyon ka ujala ban gaya
kahin bay-rukhi kay kuch mehtaab baaqi hain

Mer bhi nahin saktey ab to sukoon-e-zalim
Hasratain reh jaain gee kuch hijaab baaqi hain

Musalsal jal rahay aatish-e-ishq kay angaroon main
Parastish kay or bhi kuch aadaab baaqi hain

Kaghaz kay nazaron say mehek aaye gee kaisay
Haqeeqat kay guldanoo main kuch gulaab baaqi hain

Sab ko samajh na shaiki tu yaar bay wafa
Teri raha lutey yahan kuch nawab baaqi hain
Posted 04 Jun 2004

Ishq Karne Ke...

Ishq Karny Ke Bhi Adab Hoa Karty Han
Jagty Ankhoon Ke Bhi Kuch Khawab Hoa Karty Han

Har Koi Ro Key Dekha Dey Ye Zarori To Nahi
Khuskh Ankhoon Men Bhi Seylab Hoa Karty Han

Kuch Afsany Han Jo Chehry Pey Likhy Rehty Han
Kuch Pas Deyda Khunab Hoa Karty Han

Kuch To Jeyne Ke Tamana Men Mary Jaty Han
Or Kuch Marny Ko Be Taab Hoa Karty Han

Terny Waloon Pey Moqoof Nahi Hai
Dobny Waly Bhi Payab Hoa Karty Han
Posted 04 Jun 2004

Ashii says

Meri Ankhoon Kay Samandar mein Jalan kaisi hai,,
Aaj Phir Dil Ko Tarapne Ki Lagan Kaisi hai..

Ab Kisi Chatt Pe Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi,,
Ab Tere Shehar Ki Galiyon Mein Guthan Kaisi hai..

Baraf Ke Roop Mein dhaal Ja'ain ge sare Rishte,,
Mujh se pucho ke mohabbat mein Agan kaisi hai..

Me tere wisal ki khuwahish ko na marne du ga,,
Mausam-e-Hijar ke lehje mein thakan Kaisi hai..

Raigzaron mein jo banti rahi kantoon ki rida,,
Uss ki majboor si ankhoon mein kiran kaisi hai..

Mujhe masoom si pagal larki pe taras aata hai,,
Usse dekho to mohabbat mein Magan Kaisi hai !!!
Posted 04 Jun 2004

Posted 05 Jun 2004

Ashii says
thanku queeenyyy
Posted 06 Jun 2004

Socha naheen accha bura
Dekha suna kuch bhee naheen
Manga khuda say hur waqt...
Teray siwa..... Kuch bhee naheen!

Dekha tujhey chaha tujhey
Socha tujhey pooja tujhey
Meri wafa meri khata....
Teri khata kuch bhee naheen!

Jis par hamari aankh nay
Moti bichayey raat bhar
Bhaija wahee kaghaz usay
Ham nay likha...... Kuch bhee naheen

Aur aik shaam kee dehleez per
Baithay rahay woh dair tak
Aankhon say kee batain bohat
Munh say kaha.....kuch bhee naheen!

Do chaar din kee baat hay
Dil khak mein mil jaeyey ga
Aag per jab kaghaz rakha
Baqee bacha ..... Kuch bhee naheen

Posted 07 Jun 2004

Ashii says
bheja wohi kagaz usse
hum ne likha kuch bhi nahi
Posted 07 Jun 2004

~*~TANHA~*~



Aik Rah Per Sari Umer Chaley

Ek Dojey Ko Na Samjh Sakey

Jeevan Ka Safer Anjaan Safer

Bay_Khahish Bay_Araam Safer



Jevan K Kissi Bhi Dukh Sukh Main

Woh Meray Saath Shareek Nahin

Hum Dono Main Ek Rishta Hai

Per Jazboon Ki Tehreek Nahin



Jari Hai, Mager Anjaan Safer

Main Sochta Hoon Aik Din Yunhi

Woh Mujh Sey Juda Ho Jayegi

Ya Pehlay Main Mar Jaon Ga

Ya Shaid Woh Mar Jayegi



Phir Loug Kahin Gay Inka

Yeh Rishta Kitna Sacha Tha

Per Kiss Ko Khaber, Sara Jeevan

Woh Tanha Thi...

Main Tanha Tha...

Posted 09 Jun 2004

WAFA says
Posted 11 Jun 2004

thanx wafa

" Ankhein Bheeg Jatii Hain "



Samander mein uterta hoon to ankhein bheeg jati hain,
Teri ankhoon ko pherta hoon to ankhein bheeg jati hain.



Tumhara naam likhne ki ejazat chin gaye jab se,
Koi bhi lafz likhta hoon to ankhein bheeg jati hain.



Teri yadoon ki khushboo khirkiyoon mein rakhs kerti hai,
Tere gham mein sulaghta hoon to ankhen bheeg jati hain.



Na jane hogaya hoon is qadar hassas main kab se,
Kisi se baat kerta hoon to ankhein bheeg jati hain.



Wo sab guzre lamhaat mujh ko yaad atay hain,
Tumhare khat jo perhta hoon to ankhein bheeg jati hain.



Main saraa din bohat masroof rehta hoon magar jonhii,
Qadam choqhat pe rakhta hoon to ankhein bheeg jati hain.



Hazaroon mosamoo ki hukumrani hai mere dil per,
Wasi^ mein jab bhi hansta hoon to ankhein bheeg jati hain.



Posted 11 Jun 2004

Reply to Topic