~ -- SALL’s Corner -- ~

31665 views 877 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
if u like nice poetry.. u r at the rite place

believe me.. my choice isnt bad
i ll post nice poems.. ghazals.. lyrics and wotever i find intersting..
i samajhhh ?¿
hmmmmmmmmmmm.. GOOODDDDDD.. and now and WAIT
Posted 20 Nov 2003

NAHI UDAAS KAB HOON MEIN..



NA JANAY KYON MERA KAJAL
JAB BHI DAALO AAKHON MAIN
AB AKSAR PHAIL JATA HAI
MEIN ROI TO NAHI HOON

TUM TO JANTAY HO IN DINO
BUHAT HI THAND HOTI HAI
TAB HI HAI SURKH MERI NAAK
MEIN ROI TO NAHI HOON

KAHA TO HAI KAY YUN HI BUS
BHEEGA HAI AANCHAL KA KONA
CHHORO TUM FIKAR MAT KARO
MEIN ROI TO NAHI HOON

NAHI, UDAAS KAB HOON MEIN
ZIYADA KAM KAY BAES
THAKAWAT HO HI JATI HAI
MEIN ROI TO NAHI HOON

BAHAAR AEI HAI, WOH AB BHI
NAHI AATA TO NA AYE
AB US KI YAAD MEIN DEKHO
MEIN ROI TO NAHI HOON

BATA DAYNA US KO JA KAR
KOI KHUSH-FEHMI NA PAALAY
WAISAY HI SURKH HAIN AANKHAIN
MEIN ROI TO NAHI HOON...!!!


Posted 27 Mar 2004

tarash says
MEIN ROI TO NAHI HOON

achhi baat hai na
Posted 28 Mar 2004

Posted 29 Mar 2004

Ashii says
me to roi hu na
<-- see mascara saara

khehkehee..


oii,, chal nahi SHAL,, heheheee
Posted 29 Mar 2004

Guest_005 says
Queen Victoria said:

NAHI UDAAS KAB HOON MEIN..



NA JANAY KYON MERA KAJAL
JAB BHI DAALO AAKHON MAIN
AB AKSAR PHAIL JATA HAI
MEIN ROI TO NAHI HOON

TUM TO JANTAY HO IN DINO
BUHAT HI THAND HOTI HAI
TAB HI HAI SURKH MERI NAAK
MEIN ROI TO NAHI HOON

KAHA TO HAI KAY YUN HI BUS
BHEEGA HAI AANCHAL KA KONA
CHHORO TUM FIKAR MAT KARO
MEIN ROI TO NAHI HOON

NAHI, UDAAS KAB HOON MEIN
ZIYADA KAM KAY BAES
THAKAWAT HO HI JATI HAI
MEIN ROI TO NAHI HOON

BAHAAR AEI HAI, WOH AB BHI
NAHI AATA TO NA AYE
AB US KI YAAD MEIN DEKHO
MEIN ROI TO NAHI HOON

BATA DAYNA US KO JA KAR
KOI KHUSH-FEHMI NA PAALAY
WAISAY HI SURKH HAIN AANKHAIN
MEIN ROI TO NAHI HOON...!!!


Quenny ji ...aay tusi ho...per great ho gi.......per zaida roya na karooo........
Posted 31 Mar 2004

Ashii says
aaj bazaar mei pa-bajolan chalo
rah takta hai sab shehr e janan chalo

inn ka dam-saaz apne siwa kaun hai
shehr e janan mei ab ba-safa kaun hai
dast e katil k shayaan raha kaun hai

rakht e dil baandh lo,, dil fagaro chalo
phir hum hi katal ho a'ain,, yaaro chalo


pa-bajolan = pau mei zanjeer
rakht = samaan
Posted 01 Apr 2004

wao ghazal with dictionary......nice
Posted 01 Apr 2004

IK TERA EHSAS HAI..!



Ek Tera Ehsas Hai

Jo Her Waqat Meray Saath Hai

Ik Teri Yaad Hai

Jo Din Raat Mujhey Terpaati Hai

Ik Umeed Hai Teray Aany Ki

Apna Tujhey Banany Ki

Na Chain Hai Na Sakoon Hai

Yeh Kesa Mera Hall Hai

Raaten Ho Gai Hain Itni Lambi

Jo Kaatey Nahin Kattin

Na Bhook Hai Na Piyas Hai

Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai

Bas Ik Tera Ehsas Hai

Jo Her Waqat Meray Saath Hai...!!!
Posted 01 Apr 2004

Guest_005 says
Bas Ik Tera Ehsas Hai

..
.
..
.
..
.
..???????
Posted 02 Apr 2004

Guest_005 says
Yeh Kesa Mera Hall Hai

Raaten Ho Gai Hain Itni Lambi

.
.
.
.
buhut BURA HAAL HAI .....
Posted 02 Apr 2004

Ashii says
na shikayat na gila kare
koi aisa shaks hua kare
jo mere liya sajaa kare
mujh hi se baatein kiya kare

kabhi roe jae woh be-panha
kabhi betaahasha udaas ho
kabhi chupke chupke dabe qadam
mere peeche akar hansa kare

meri qurbatain, meri chahatain
koi yaad kare qadam qadam
main taweel safar mei hoon magar
meri wapsi ki duaa kare
Posted 02 Apr 2004

nice
Posted 02 Apr 2004

tarash says
weldone sall
Posted 02 Apr 2004

Ashii says
taaaaaaaanks



Qudrat ke asoolon mei badal kyun nahi hota
Jo aaj hoa hai, vohi kal kyun nahi hota

Har jheel mei pani hai, to har jheel mei lehrain
Phir sab ke naseebon mei kanwal kyun nahi hota

Jab USS ne hi dunya ka yeh har diwaan likha hai
Har aadmi pyari si gazal kyun nahi hota

Har baar na milnay ki kasam kha ke milay hum
Apnay hi iradon pe amal kyun nahi hota
Posted 03 Apr 2004

tarash says
Apnay hi iradon pe amal kyun nahi hota


yehe to mushkil hai
aur samajh se balatar
Posted 03 Apr 2004

Ashii says
hai to sahi..




Tamaam haathon mei aaine hain
Tau kaun kiss se chupa hoa hai

Gar sada ka wajood kanon se munsalik hai
Tau kaun khushboo mei bolta hai

Gar samundar ki hadd hai sahil
Tau kaun aankhon mei phelta hai

Tamaam cheezain agar yahin hein
Tau kaun cheezon se mawara hai

Kisse khabar hai badalti rut ne
puranay patton se kya kaha hai
Ye kaun baadal se pooche
ke itne mausam kahan raha hai
Posted 04 Apr 2004

Posted 06 Apr 2004

tarash says
Queen Victoria said:




wah ji wah
kya bat hai
dil mein phool khilnay wali
Posted 09 Apr 2004

Posted 10 Apr 2004

Ashii says
k apne siwa kuch dikhai na de
....
abhi to badan mei lahu hai bohot
kalam cheen le roshnai na de
Posted 10 Apr 2004

Guest_002 says

kisi indian singer ne gaya he isey bohat atha na ,,,, i just love it!!!!!!
Posted 11 Apr 2004

tarash says
weldone queeny
Posted 11 Apr 2004

Jagjeet nay gaya hai issay aur chitra singh nay






thanx tarash
Posted 12 Apr 2004

Guest_005 says
Queen Victoria said:

Jagjeet nay gaya hai issay aur chitra singh nay






thanx tarash

nice Queeny thik hai unhoon nay gaya hai.........laikin aik baat dunt mind haan ...........mujhay aisi janat nahi chahiy .......jahan say MADINA (PBUH) dikhai na day .........kia ye bhi unhoon nay gaya tha.........?????.
Posted 12 Apr 2004

Ashii says
so wot.. kya na yarrr..
gaya hai likha nahi hai..


havent u heard "Allah janta hai" by jagjit ??






tabish e husn bhi thi,
aatish e dunya bhi magar,,
shola jiss ne mujhe phoonka,
mere andar se utha...

aag sehra mei lagi,
aur dhuwan ghar se utha..
Posted 13 Apr 2004

Aik Baat Kahooon Aghar Suntay Ho?

Tum Mujh Ko Achay lagtay ho.

Kuch Chanchal Se Kuch Chup Chup Se

Kuch Pagal Pagal Lagte Ho

Hain Chahney Waaley Aur Buhut

Par Tum Mein Hai Aik Baat Buhut.............

Tum Apney Apney Lagtey Ho

Aik Baat Kahoon Agar Suntey Ho ?

Tum Mujh Ko Achey Lagtey Ho

Yeh Baat Baat Pe Kho Jaana

Kuch Kehtey Kehtey Ruk Jaana

Yeh Kiss Uljhan Mein Rehtey Ho....?

Kiya Baat Hai Hum Se Keh Daalo

Aik Baat Kahoon Agar Suntey Ho ?

Tum Mujh Ko Achey Lagtey Ho

Posted 14 Apr 2004

just_adiii9 said:

Queen Victoria said:

Jagjeet nay gaya hai issay aur chitra singh nay






thanx tarash

nice Queeny thik hai unhoon nay gaya hai.........laikin aik baat dunt mind haan ...........mujhay aisi janat nahi chahiy .......jahan say MADINA (PBUH) dikhai na day .........kia ye bhi unhoon nay gaya tha.........?????.


AAddii listen jagjit ki gai hue ghazal main yeh misray shamil nahi hain kyun k asal ghazal to poet nay kaafi lambi likhi hai jagjit nay kuch selective lines hi gai hain





jaisay famous ghazal
A dil e nadan by GHALIB kaafi lambi hai lakin LATA nay oos k 4 shair hi gaye hain
got it????????
Posted 14 Apr 2004

tarash says
merey khyal mein itne detail kafi hai
samajhney walon k leeay
Posted 14 Apr 2004

samajhna chahain to......
Posted 15 Apr 2004

Ashii says

mohabbaton k yeh darya utar na ja'ain kahin
jo dil gulaab hein zakhmon se bhar na ja'ain ge

abhi to wada o peiman hai aur yeh haal apna
wisal ho to khushi se hi mar na ja'ain kahin

jhalak raha hai jin aankhon se ab wajood mera
yeh aankhein,, hae yeh aankhein mukar na ja'ain kahin

pukarti hi na reh jae yeh zameen pyasi
barasne wale yeh badal guzar na ja'ain kahin
Posted 16 Apr 2004

Reply to Topic