~ -- SALL’s Corner -- ~

31674 views 877 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
if u like nice poetry.. u r at the rite place

believe me.. my choice isnt bad
i ll post nice poems.. ghazals.. lyrics and wotever i find intersting..
i samajhhh ?¿
hmmmmmmmmmmm.. GOOODDDDDD.. and now and WAIT
Posted 20 Nov 2003

Ashii says
~Fragi~ said:

YAS said:

iska khoon to machcha choos gaya




sala aik machar.....
ummm
admi ko kiddoo bana deta hai

khekeheekhekeeeee..
Posted 06 Mar 2004

Posted 06 Mar 2004

Rain Man says
lol
Posted 06 Mar 2004

Posted 07 Mar 2004

tarash says
aik aik lafaz dad dainey k qabil hai

wah wah queen ji
Posted 07 Mar 2004

thanx
Posted 08 Mar 2004

hope says

Bhari mehfil meiN tanha mujhe rehna sikha diya
Tere pyar ne duniya ko jhoothha kehna sikha diya
Kisi dard ya khushi ka ehsaas nahin hai ab to
Sab Kucch Zindagi Nay Chup-chaap sehna sikha diya
Posted 09 Mar 2004

subha says
Posted 10 Mar 2004

Udas shamain ujar rastay kabe bolain to loot ana
Kise ke ankhoon main rutjagoon kay azab aeen to loot ana

Abi naye wadiyon naye manzaron main rah lo magar merejan
Ya saray ek ek karkay jab tum ko chor jaeen to loot ana

Jo sham daltay hi apni apni panah gahon ko lottay hain
Agar wo panche kabhi koi dastan sunain to loot ana
   
Nay zamany ka karb oray zaeef lamhay nadhal yadain
Tumaray khawab kay band kamroon lot aeen to loot ana

Main roz yunhi hawa pa likh likh us ki taraf bhaijta hoon
K achay mosam agar paharoon pay muskorain to loot ana

Agar andhairon main chor kar bhool jaintum ko tumaray sathi
Aur apni khatir apnay apnay diyay jalain to loot ana

Meri wo batain to jin per beikhtiyar hansta tha khilkhila kar
Bicharnay walay mere wo batain kabi rulain to loot ana

Posted 10 Mar 2004

Maana ke khushi ko nazar lagi hai meri
Badi udaas ho gayi hai zindagi meri
Par ab tum mujhe kya gham do ge..?
GHamoun se to dosti ho gayi hai meri.....
Posted 10 Mar 2004

Tere bina kabhi bhi yeh dil na rahey,
tujh se juda hokey mai jiyoun yeh khuda na karey,
tu rahay ga meri dharkan ban ke zindgi bhar,
yeh aalag baat hai ki zindgee na rahey.
Posted 10 Mar 2004

subha says
wah queene ji 2 good
Posted 11 Mar 2004

                           YAAD

Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga...
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga..

.
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.......
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga

.
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.....
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga...


Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say..
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga..

.
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy........
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga..


Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.........
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga......

.
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab...
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga....       
Posted 11 Mar 2004

Lazzat-e-ghum say aashna huay kuch aisay
Zindagi kai safar main humsafar ho koi jaisay?


Raat naam kii hum nai intazar-yaara kii kuch aisay
Kissi aahat pe ummed kii kiran nazar aayi ho jaisay


Dekh kai tujh ko aaye muskan kuch aisay
Taptay sehra main barsa ho sawan jaisay


Palat kar dekha her qadum per kuch aisay
Kissi kii labon pe naam-e-faiz aaya ho jaisay




Posted 11 Mar 2004

zikr-e-shab-e-firaaq se vehshat use bhii thii
merii tarah kisii se muhabbat use bhii thii?


mujh ko bhii shauq thaa naye chehroon kii deed kaa
rastaa badal ke chalney kii aadat use bhii thii


us raat dair tak vo rahaa mahv-e-guftaguu
masruuf main bhii kam thaa faraaGhat use bhii thii


sunataa thaa vo bhii sab se puraanii kahaniyan
taazaa rafaaqaton kii zaruurat use bhii thii


mujh se bichhar ke sheher main ghul mil gayaa vo shaKhs
haalaankey sheher bhar se raqabat use bhii thii


vo mujh se barhh ke zabt kaa aadii thaa, jii gayaa
varnaa har ek saans qayaamat use bhii thii

Posted 11 Mar 2004

pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii nahin
kaisaa baadal hai jiskaa koi saayaa bhii nahin


beruKhii is se barii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hamein us ne sataayaa bhii nahin


roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamne jise paas bulaayaa bhii nahin


sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamne sunaayaa bhii nahin


tum to shaayar ho 'Qateel' aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii nahin

Posted 11 Mar 2004

Youn Hosla Dil Nay Hara Kab Tha

Sartan Mera Sitara Kab Tha

LaZim The Guzarna Zindagi Say

Bin Zehar Piay Guzra kab Tha

Kuch Paal Ussay Aur Dekh Saktay

Ashkoon Ko Magar Gawara Kab Tha

Hum Khud Bhi Judai Ka Sabab Thay

Issi Ka Hii Qasoor Sara Kab Tha

Abb Aur Kay Saath Hai Tu Kia Dukh

Pehlay Bhi Koi Hamara Kab Tha

Iik Naam Yeh Zakam Khill Uthay Thay

Qatil Ki Taraf Ishara Kab Tha

Aii Ho Tu Roshni Hoi Hai

Ussi Baam Pay Koi Tara Kab Tha

Dekh Hawa Ghar Tha Par Kisi Nay

Dulhan Ki Tarhan Sanawara Kab Tha


Posted 11 Mar 2004

Ajnabi Ban Jae Dono
===================================

Na may tum say koi umeed rakho dil nawizi ki

Na tum meri taraf dekho ghalat andaz nazroon say

Na meri dil ki dhadkan larkharay teri baton say

Na zahir ho tumhari kashmakash kam raz nazroon say

Tumhain bhi koi uljhan rukti hai paish qadmi say

Mujhay bhi log khatay hay yay aae jalway per hai

Meray humrah bhi ruswaian hai mazi ki

Tere sath main guzri hui batoon kay sae

Taluq rog ban jae tu usay chorna acha

Afsanay jise taqmeel pay lana na mumkin

isay ik khubsurat mur dekhay chor na acha .

Chalo phir say ajnabi ban jae dono
Posted 11 Mar 2004

jab se us ney sheher ko choraaaa ,har rastaa sunsan hua



jab se us ney sheher ko choraaaa ,har rastaa sunsan hua
apna kia hai ,sarey shaher ke ek jaisa nuqsan hua


yeh dil, yeh aseed ki nagri .maskan sochon ka wehmon kaa
sooch raha hun is nagri mein tu kab se mehmaan hua


sehra ki mun zor huawaen "auron" se mansoob hui
muft mein hun awara thehrey , mujt mein ghar veeran hua


merey hall pe hairat kaiseyyyy ,dard ke tanha mausam mein
pather bhi roo partey hain, insaan tu phir insaan hua


itni der mein ujrey dil pee ..kitney mehsur beet gayee
jitni der mein tujh ko paa kaa , khooney ka imkaan huaa


kal tak jis ke gird tha raqsaaan,ek nabuah taroon kaa
ajj usii ko tanhaa paake , mein tu bohat hairaan huaa

us se kaisa shikwaa kijiyeeee ..
woh tu abhi nadaan hua


jin askon ke phelii loo kooo hum bekar samjhtey they
in ashkoon se kitna roshan ek tareek makaaan hua


yun bhi kam ameez the mohsin woh is sheher ke logon mein
lekin merey samney aaker aur bhi kuch anjaan hua
Posted 11 Mar 2004

Ashii says
queeennnnnnyy
spec "laut aana"
toooooooo goood
Posted 12 Mar 2004

subha says
Queen ji good
Posted 12 Mar 2004

thanks
Posted 12 Mar 2004

Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho

Kuch chanchal se , kuch chup chup se
kuch pagal pagal lagtey ho

hain chahney waaley aur buhut
par tum mein hai aik baat buhut.............
Tum apney apney lagtey ho

Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho

Yeh baat baat pe kho jaana
kuch kehtey kehtey ruk jaana

yeh kiss uljhan mein rehtey ho....?
Kiya baat hai hum se keh daalo

Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho

Posted 12 Mar 2004

KUNGAN ( bracelet)

kaash mein terey haseen haath ka kungan hota

Toou barey chaao se, barey maan ke saath
apni nazuk si kalaai mein charhati mujh ko
aur betaabi se furqat ke khizaan lumhoon mein .
Toou kissi soch mein doobi jo ghumaati mujh ko
Mein terey haath ki khusboo se mehek sa jata

Jab kabhi mood mein aa kar mujhey chooma karti
Terey honton ki mein hiddat se dehek sa jata

Raat ko jub bhi toou neendon ke safar par jati
Murmareen haath ka ek takiya banaya karti
Mein terey kaan se lug kar kai baatein karta
Teri zulfon ko terey gaal ko chooma karta

Jub bhi tu bund qaba kholney lugti janaan
Apni aankhon ko terey husn se kheera karta

Mein teri rooh ke gulshan mein mehekta rehta
Mein terey jissem ke aangan mein khanakta rehta

Kuch nahin tu yahi be-naam sa bandhan hota
Kaash mein terey haseen haath ka kungan.

Posted 12 Mar 2004

Jhumka ( Ear Ring)

Kaash mein terey Kaan ka Jhumka Hota

Raat ko be-khabri mein jo machal jaata Mein
Tu tery kaan se chup chaap nikal jaata Mein

Subah ko girtey teri zulfon se jub Baasi phool
merey kho jaaney pe hota tera Dil kitna malool

Toou mujhey dhoondti kiss shauq se ghabraahat mein
apney mehkey huey bister ki hur aik sliwat mein

Kaan se, Toou mujhey hurgiz naa utaara karti
Toou kabhi meri judaai na gawaara karti

Posted 12 Mar 2004

Kissi Din.....

Chehrey pe merey Zulf ko Phailaao kissi Din
Kiya Roz garaj-tey ho, baras jaao kissi Din

Raazon ki tarha utro merey Dil mein kissi shab
dastak pe merey haath ki khul jaao kissi Din

Phoolon ki tarha "husn" ki baarish mein naha loon
Badal ki tarha jhoom ke ghir aao kissi Din

Khushboo ki tarha guzro merey Dil ki gali say
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kissi Din

Phir haath ko khairaat miley bund qaba ki
Phir Lutf -e- shab-e-wasl ko dohraao kissi Din

Guzrein jo merey ghar sey tou ruk jaaein Sitaarey
Iss tarha meri Raat ko chamkaao kissi Din

Mein Apni har aik saans ussi raat ko dey doon
sar rakh ke merey seeney pe so jaao kissi Din
Posted 12 Mar 2004

tarash says
Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho



is k baad kuch nahin parha
Posted 15 Mar 2004

Guest_005 says
kiun nahi parha........
Posted 16 Mar 2004

Kuch Log Badal Gaye Hain




Is Raat Ki...Tanhayeeon K
Sab Rang Badal Gaye Hain
Chand Nikla Hai Waisay He
Andharay Badal Gaye Hain



Jin K Bharosay Theen Khushian
Woh Badal Thahar Gaye Hain
Manzilain To Ab Bhi Woh He Hain
Kuch Rastay Badal Gaye Hain



Jin Pe Kiya Tha Bharosa Hum Nay
Woh Dost Bichar Gaye Hain
Dekhay Thay Jo Hum Nay
Woh Khwab Badal Gay Hain



Jo Banay Thay Kabhi Humsafar
Aaj Woh He Mukar Gaye Hain
Iss Tutay Huay Dil K Saray
Jazbaat Badal Gaye Hain



Na Badlay Kabhi Hum
Na Badlay Humaray Khayalat
Bas Rona Hai Yehi
KUCH LOG BADAL GAYE HAIN



Posted 16 Mar 2004

tarash says
Na Badlay Kabhi Hum
Na Badlay Humaray Khayalat
Bas Rona Hai Yehi
KUCH LOG BADAL GAYE HAIN


good
Posted 16 Mar 2004

Reply to Topic