~ -- SALL’s Corner -- ~

31672 views 877 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
if u like nice poetry.. u r at the rite place

believe me.. my choice isnt bad
i ll post nice poems.. ghazals.. lyrics and wotever i find intersting..
i samajhhh ?¿
hmmmmmmmmmmm.. GOOODDDDDD.. and now and WAIT
Posted 20 Nov 2003

Ek Dua.

utha kay haath Khuda say bas maangi yahi dua
naseeb hon khushiyan tumhain tum khush raho sada
tum ko rahat milay , tum ko chahat milay
tumhain saray jahan ki muhabbat milay
jahan main sab se hon achay tumharay naseeb
koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb tumharay
dil ki har aarzooo poori Khuda karay
tumhain chahnay walon ko kabhi bhi na juda karay
mil jayen tum ko meray bhi naseeb ki khushiyaan
dua hay bad tum ko kabhi gham na milay yahan
Posted 22 May 2004

Yaad rakhna

kiya hay tum nay hum say ek waada yaad rakhna
bhool na jana kahin apna iraada yaad rakhna
ab na humain rulaana tum , ab na duur jana tum
pehlay hi seh chukay hain dukh itnay ziaada yaad rakhna
dil to na dukhao gay mughay chor to na jao gay
dil main hi basay ho tum ab isay abaad rakhna
tum jo chor jao gay hum to mar hi jayen gay
tumharay dam se zindagi hay sirf itna yaad rakhna
chahaton ki duniya main roshni tumhi say hay
dil tor kar humain chor kar kahin na jaana yaad rakhna
Posted 22 May 2004

Zakhmo ko na koredo hare ho jayenge,
mil jaayenge gham aur vo bahut yaad ayenge


Kitne gehrey hain zakham is dil ke ,
milonge jo humse tu hum batayenge



Dar hai kahi ye zakham nasoor na banjayee,
karde unhey jo be asar , wo marham kahan se layenge


Humdard nahi milta zamane main koi,
saahil ko mile jo koi , dard-e-dastaan sunayenge

Posted 22 May 2004

Ishq mey qoul nibhatay huay mer jaatay hain



Shamma ikhlaas jalatay huay mer jatay hain



Roothay yaaronn ko manatay huay mer jaatay hain



Jin ke aanay ki tawakka nahi hum un ke liye



Rah mey phool bichatay huay mer jaatay hain



Jin ko sach much ki mohabbat ho haseen loogon se



Apna gher aap jalatay huay mer jaatay hain



Apnay chehre ki numaish ka jinhein shoq nahi



Aina khaanay sajatay huay mer jaatay hain



Jurm itna hai keh muflis hain kayi sadiyon se



Khaab buchon ko dikhatay huay mer jaatay hain



Mera shajra usi ishaak qabilay se hai jo



Ishq mey koul nibhatay huay mer jaatay hain



Jin ke damen pay bohut daagh lagay hoon maya



Aankh sooraj se milataya huay mer jaatay hain

Posted 24 May 2004

-:|:- Raah-e-Guzar -:|:-






Mujhe Apney Zabt Pe Naz Tha, Sar-E-Bazam Raat Ye Kia Hua<
Meri Ankh Kaise Chalakh Pari, Mujhe Ranj Hai Ye Bora Hua

Meri Zindagi Ke Charagh Ka, Ye Mizaj Koi Nahi Neya<o
Kabhi Roshni Kabhi Tergi, Na Jala Hua Na Bujha Hua


<
Mujhe Aap Kyon Na Samjh Sakey, Ye Apney Dil Sey Hi Pocheye
Meri Dastan-E-Heyat Ka, Hai Warq Warq Khula Hua


Abhi Abhi Mere Pass Sey, Jo Nazar Bacha Key Guzar Gaye
Ye Meri Sheher K Loog Han, Mere Ghar Sey Ghar Mila Hua
Mujhe Jo Bhi Dushman-E-Jan Mila,Wohi Pukhta Kar-E-Jafa Mila
Na Kisi Ki Choot Ghalat Pari, Na Kisi Ka War Kahta Hua:p>
Mujhe Ham Safar Bhi Mila Koi, Tu Meri Tarhaan Hi Luta Hua<
Kabhi Manziloon Se Hata Hua, Kabhi Qafiloon Se Luta Hua



Mujhe Ik Gali Main Para Hua, Kisi Bad Naseeb Ka Khat Mila
Kaheen Khoon-E-Dil Se Likha Hua, Kaheen Ansuoon Se Mita Hua


Hameen To Ye Bhi Haq Nahi, Ke Shareeq Bazam Khuloos Hoon
Na Chehre Pe Apney Naqab Hai, Na Kuch Aasteen Main Chupha Hua

Hamain Apney Ghar Se Chale Hoye, Sar-e-Rah Umer Guzar Gai
Na Justujo Ka Sila Mila, Na Safar Ka Haq Ada Hua



Posted 24 May 2004

Apni Tanhai mere Naam pay AABAD kare
kon ho ga Jo mujhay us ke tarhan yaad kare

Dil Ajab Sehar kah jis per bhe khula dar us ka
wo musafir usay har Simat say Barbaad kare

apnay Qaatil ke zahanat say pareshan hoon main
rooz Ek mout naye taraz ke Eijaad kare

itna heeran hoo mere bay Talbi kay agay
Aaqafss main koi Dar khudh mera syeaad kare

Salab beenayee kay Ahkaam mile hain jo kabhi
Roshni choonay ke Khuwahish koi shaab zaad kare

SooCh rakhna bhe Jaraim main hai Shamil ab too
wohi Masoom hay her baat pay jo Sayaad kare

Jab laho bool pare us kay Gawahoon kay khilaaf
Qazi sehar kuch es baab main irshad kare

us ke Muthi mian buhat rooz raha mera Wajood
mere Saahir say kahoo ab Mujhay Azaad kare
Posted 24 May 2004

Ruswaion mein ajab ik maza hai
Dushwarion mein ajab ik maza hai
Kabhi is mefil mein akar to dekho
Tanhaeion mein ajab ik maza hai
Soraj ko dobhte dekha to samjha
Pasteon mein ajab ik maza hai
Kabhi ho jo hum per bhi nazre karam
In inyaton mein ajab ik maza hai
Na hum un ko samjhe na woh hum ko samjhe
Khushfemeion mein ajab ik maza hai
Chale ja rahe hain yu hi be irada
Is darbadri mein bhi ajab ik maza hai
Mil kar bhi un se door kitne
In faslon mein ajab ik maza hai
Na kehna koi bewafa un ko yaro
In bewafaion mein ajab ik maza hai
Na hum kuch kahen gay na who kuch kahein gay
Khamosheon mein ajab ik maza hai
Apni hi dhun mein guzari hai sayed
Meri zindagi mein ajab ik maza hai
Posted 25 May 2004

"Nakaam Hasratein"



Nakaam Hasraton Ke Siwa Kuch Nahi Raha,

Dunya Main Ab Dukhon K Siwa Kuch Nahi Raha.



Ek Umar Ho Gayee Hai Dil Ki Kitab Main,

Kuch Khushk Patton K Siwa Kuch Nahi Raha.



Yadein Kuch Isterhan Samaat Pe Chaa Gayeen,

Pichli Rafaqaton Ke Siwa Kuch Nahi Raha.



Lab See Lie To Apney Hi Kamre Main Yun Laga,

Khamosh Aynon Ke Siwa Kuch Nahi Raha.



Jazbe Tamam Kho Gaye Lamhon Ki Dhool Main,

Ab Dil Main Dharkanon Ke Siwa Kuch Nahi Raha.

Posted 25 May 2004

WAFA says
queen....some of dem are really nice
Posted 26 May 2004

Jaati hai kissi Jheel ki Gehraai kahaan tak......
Aankhon mein teri "Doob" ke dekhain gey kisi Din

Laakh mein Khaana Kharabon ki tarha rehta hoon
Par kissi aankh mein, Khoaabon ki tarha rehta hoon

Aankh pe farz hai, hur waqt sawaali rehna
Iss ko sajta hi nahin, ashk sey khaali rehna

Nigaahein tou buhut milti hain aksar Husn waalon sey
Magar rona tou iss ka hai ke Dil sey Dil nahin milta

Aankhein jhuki jhuki hai, tou Chehray pe Noor hai
Zaalim ki Saadgi mein bhi kitna Ghuroor hai

Palkein bhi chamak uthti hain sotay mein Humaari
Aankhon ko abhi khawaab chhupaaney nahin aatay


Saabit hua ke Mujh sey Mohabbat nahin rahi
Woh shakhs Mujh ko dekh ke Aankhein chura gaya

~ Woh Aaj kiss ghazab ki banaawat sey aaey thay
Meri taraf tha Rukh magar Nazrein churaaey thay

Be-taab kar gai Mujhey Jaadoo bhari Nigaah
Mein unn ke " dekhney " ki Ada, dekhta raha


Ab tou Aankhon mein samaati nahin soorat koi
Ghaur sey Mein ne Tujhey Kaash na dekha hota

Hur koi ro ke dikhaaey yeh zaroori tou nahin
Khushk Aankhon mein bhi sailaab hua kartey hain

Aankh Milney sey hur aik Raaz bikhar jaata hai
Bhaid khul jaatey hain, Palkon ko jhukaaey rakhna

Apni Aankhon Ke Samunder Mein Utar Jaaney De
Tera Mujrim hoon, Mujhey Doob Ke Mur Jaaney De

Posted 26 May 2004

thanx wafa
Posted 26 May 2004

WAFA says
Apni Aankhon Ke Samunder Mein Utar Jaaney De
Tera Mujrim hoon, Mujhey Doob Ke Mur Jaaney De



wawa queen, kia baat hay..very nice
Posted 26 May 2004

Dil ki halat pe ager perda bhi daalay koi



Dil ye chahe keh wohi baat uchalay koi



Apni baaton se kahin rah nikalay koi



Aur lufzon ko hee deewaar bana lay koi



Itni mushkil bhi nahi hoon keh kabhi haath na aaon



Itni aasaan bhi nahi hoon keh uthalay koi



Zindagi aisay baser ab nahi hoti hum se



Apnay zindaan tamanna se nikalay koi



Phornay aatay hain sab dil ke phapolay lakin



Baantnay aaya nahi paon key chalay koi



Itna aaloda hua jata hai mahool maya



Sakht mushkil hai keh daman ko bacha le koi

Posted 26 May 2004

Koee Khoee Huvi Shay Mill Gaee Hai


kalli Dill Ki Achanak Khill Gaee Hai
Koee Khoee Huvi Shay Mill Gaee Hai


Yeh Kiss Andaaz Say Daikha Hai Tum Nay ?
Zameen Paoon Tallay Say Hill Gaee Hai

Main Uss Ki Her Adda Per Mer Mitta Hoon
Laga'ay Gaal Per Jo Till Gaee Hai

Yeh Kiss Nay Churhian Pehnaeen Aa Ker ?
Teri Sari Kalai Chill Gaee Hai

Kahan Ab Phool Sersoon Kay Khillain Ghay ?
Kahan Ab Woh Hawa-e-Dill Gaee Hai

"HASSAN" Ik Shokh Ki Khushbu Ki Soorat
Hamain Dolat Jahan Ki Mill Gaee Hai.
Posted 26 May 2004

~*~Tum mujh ko achay lagtay ho~*~



Ek baat kahoon ger suntay ho

Tum mujh ko achay lagtay ho

Kuch chanchal se kuch chup chup se

Kuch pagal pagal lagtay ho

Hain chahnay walay aur bohat

Per tum mein hai ek baat bohat

Tum apne apne lagtay ho

Ek baat kahoon ger suntay ho

Yeh baat baat pe kho jana

Kuch kehte kehte ruk jana

Yeh kis uljhan mein lagtay ho

Tum mujh ko achay lagtay ho
Posted 27 May 2004

KOI DOOSRA ACCHA NAHI LAGTA


               


                kisi se baat karna , bolna accha nahi lagta
tujhe dekha hai jab se doosra accha nahi lagta



teri aankhon main jab se maine apna aks dekha hai

mere chahre ko koi aaina accha nahi lagta



tere baare main din bhar sochti rehti hoon main lekin

tere baare main sab se poochna accha nahi lagta



yahan Mohabbat karne wale barbaad rehte hain

yeh darya hai isse kaccha gharra accha nahi lagta


MAIN ab chahat ki us manzil per aa pounchi hoon

teri jaanib kisi ka dekhna accha nahi lagta

Posted 28 May 2004

Koi achi se saza do mujh ko
Chaloo aisa karo bhola do mujh ko

Tum se bichron tu maut ajaye

Dil ki gehraiyon se dua do mujh ko



Sukh Mein Tere Saath Chaalengay

Dukh Mein Sab Munh Morengay

Duniya Waale Teray Bankar Tera Hi Dil Toorengay

Dete Hain KHUDA Ko Dhokha Insaan Ko Kiya Chhoorengay




Mana ke har eik ki zindagi mein ghum ate hain magar

Jitne ghum mujhe mile utni meri umer na thi..



Mairi tarahan to bhi kisi bewafah se piyaar kare

Woh tujhe dil se bhoolade aur tu intezaar kare..



Posted 28 May 2004

Haathon ki lakeeron per khabhi bharosa nahin karna kiyun ke

Taqdeer to unki bhi hoti hai jin ke haath nahin hotey




Kitabon Say Daleel Doon Ya Dil Ko Samney Rakhun

Woh Mujh Say Pooch Baithay Hain Mohabat Kis Ko Kehtay Hain




BUS EIK ZARA SI BAT THI LEKIN SARI UMER

WOH MUJH KO JAGNE KI SAZA DE KAR SO GAYA.




GAIROH SE KUCH GILA NAHI APNO SE KUCH MILA NAHI

MEIN TO WOH GHUM KI KITAB HOON JIS KO KISI NE PARHA NAHI..

Posted 28 May 2004

KON BEHTI HOI ANKHO PER NAZAR RAKHTA HAI

LOG HANSTE HUWAY CHEHROO KO DUA DETE HAIN.




Ya khuda log banaaye thay agar pathar kay

Meray ahsaas ko sheesha ka na banaya hota





Kuch ishq tha kuch majboori jo main nay jeevan haar diya

Main kaisa zinda admmi tha aik shaksss nay mujh ko maar diya





Tu HAy Souraj Tu Tujhay Kiya Maloom Ratt Ka Dukh

Tu Uterr Kabhi Mayray Angaan Mai Shaam K Badd




Dil jal kar khak howa Ankhoon say roya na gaya

Zakham kuch aisey lagey Phoolon par soya na gya




Nafratoon ki kitab parh kay mohabbatoon ka paigam likhna

Bauhat mushkil hai khizaan kay mathay per dastan-e-ghulab likhna

Posted 28 May 2004


Mere Marne Ke Baad Mere Sene Se Dil Nikal Lena

Kahin Woh Na da'b Jaaye Jo Mere Dil Me Rehte Hai....



Kabhi Kisi Se Pyaar Mat Karna,
Ho Jaaye To Inkaar Mat Karna!
Nibha Nako To Chalna Uski Raah Par,
Varna Kisi Ki Zindagi Barbaad Mat Karna!

Posted 28 May 2004

Naya Ek Rishta...

Naya ik rishta paida kyu kerain hum
bicherna hai tu jhagra kyu kerein hum

Khamoshi se ada hu rasm-e-douree
koi hangama berpa kyu kerain hum

Yeh kaafee hai k hum dushman nahi hain
wafadaree ka dawa kyu kerein hum

Wafa ,ikhlaas ,qurbani ,mohubbat
ab inn lafzoon ka peecha kuy kerein hum

Hmahri hee tammana kyu kero tum
tumhri hee tammana kyu kerein hum

Kia tha ehed jub lamhoon main hum nai
tu saree umer hee aiyfaa kyu kerein hum

Nahi jub duniay ko perwa humari
tu kyu duniya ki perwa kerein hum
Posted 28 May 2004

"Dosti Jab Kissi Se Ki Jaye"

DOSTI JAB KISI SE KI JAYE
DUSHMANON KI BHI RAYE LI JAYE
MOUT KA ZEHAR HEY FIZAON MAIN
AB KAHAN JA KE SANS LI JAYE
BAS ISI SOCH MAIN HOON DUBA HUA
YE NADI KAISE PAAR KI JAYE
MERE MAZI KE ZAKHMBHARNE LAGAY
AAJ PHIR KOI BHOOL KI JAYE
BOTLEN KHOL KE PEE BARSON
AAJ DIL KHOL KE PEE JAYE

Posted 28 May 2004

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

Kuch din to mera aks raha aaine pe naqsh
phir youn huwa ke khud mera chehra badal gaya
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay
to kiya huwa jo hum say zamana badal gaya

qadmon talay jo rait bichhi thi woh chal pari
us nay chhuraya haath to sehra badal gaya
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay, kiya kiya badal gaya

ik sarkhushi ki moj nay kaisa kiya kamal
wo bay-niaaz saara ka saara badal gaya
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiaan
parda utha to saara tamasha badal gaya

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
kehne ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya

shayad wafa kay khel se uktaa gaya tha woh
manzil kay paas aake jo rusta badal gaya
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
qayem kisi bhi haal pay dunya nahin rahi
taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
andar kay mosamon ki khabar us ko ho gayee
us no-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya

aankhon mein jitna ashk thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraya or meri dunya badal gaya
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
apni gali main apna hi ghar dhoondhtay hain log
kashi~ ye kon sheher ka naqsha badal gaya   

Posted 28 May 2004

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..................

Meri rooh mujh se bichar jane ko hai
Wafa-e-muhabbat raak ho jane ko hai
Jo mere dil se jhor kar meri zaat mein raha
Woh bandhan pal mein toot jane ko hai


Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai.................

Sokoon dil barbaad ho jane ko hai
Raapte socho ke simat jane ko hai
Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha
Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai


Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai.................

Qurbato ke nisha mit jane ko hai
Faasle dooriyu mein badal jane ko hai
Woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke
Meri zaat to us ki muhabat mein waft ho jane ko hai



Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai.................


Posted 28 May 2004

Ashii says
Mohabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
vvvvv nice yar
Posted 29 May 2004

kabhi khamosh betho gay kabhi kuch gungunao gay
main itna yaad aaon ga mujhey jitna bhulao gay

koi jab pooch bethay ga khamoshi ka sabab tum say
bohat samjhana chaho gay magar samjha na pao gay

kabhi duniya mukamal ban kay aae gi nighahon main
kabhi meri kami duniya ki har ek sha main pao gay

kahin per bhi rahain hum tum mohabat phir mohabat hai
tumhe hum yaad aien gay hume tum yaad aao gay
Posted 29 May 2004

~*~MAIN~*~







Main Sahil Pey Likhi Hoi Ibarrat Nahin

Jo Lehron se Mit Jaati Hai

Main Barish Ki Barasti Boond Nahin

Jo Barus Kay Thum Jatti Hai



Main Koi Khaab Nahin

Jissey Dekha Aur Bhulla Diya

Main Koi shamma Nahin

Jissey Phoonka Aur Bhuja Diya



Main Hawa Ka Jhoonka Nahin

Jo Aaya Aur Guzer Giya

Main Chaand Bhi Nahin

Jo Raat Kay Baad Dhal Jaye



Main To Woh Ehsaas Hoon

Jo Tujh Main Lahoo Ban Ker Gardish Karey

Main To Woh Rang Hoon...!!!

Jo Teray Dil Per Charhey To Kabhi Na Mittey



Main Woh Geet Hoon

Jo Kabhi Teray Labon Se Judda Na Hoga

Khaab, Ibarrat, Shama Ki Tarah

Chaand, Boond, Hawa Ki Tarah



Meray Mitnay Ka Sawaal Hi Nahin

Kiyon Kay...!!!

Mohabbat Ko Koi Zawal Nahin



Posted 29 May 2004

HUM BHI KABHI MUHABBAT KIA KARTEY THE
_________________________________________

Jab Tere Dhun Men Jia Kartey They
Ham Bhi Chup Chap Phira Kartey They

Ankhoon Men Peyas Hoa Karty Thi
Dil Men Toofan Utha Kartey They

Loog Aaty They Ghazal Suneney Ko
Ham Tere Bat Kia Kartey They

Sach Samjhty They Tery Wadoon Ko
Rat Din Ghar Men Raha Kartey They

Kisi Werany Men Tujh Sey Mil Kar
Dil Men Kia Phool Khila Kartey They

Ghar Ke Dewar Sajany Ke Khatir
Ham Tera Nam Likha Kartey They

Wo Bhi Kia Din They, Tujhe Bhula Kar
Ham Tujhe Yaad Kia Kartey They

Kal Tujhe Dekh Kar Yaad Aeya
Ham Bhi Kabhi Muhabbat Kia Kartey They

Posted 29 May 2004

Ashii says
jab se kareeb ho k chale zindagi se hum
khud apne aaine ko lage ajnabi se hum..

aankhon ko de k roshni, gull kar diye chirag
tang aa chuke hein wakt ki iss dil lagi se hum..

ache bure k fark ne basti ujaar di
majboor ho k milne lage harr kissi se hum..

woh kaun hai jo paas bhi hai, aur door bhi
harr lamha maangte hein kissi ko kissi se hum..

ehsaas yeh bhi kam nahi jeene k waaste
harr dard jee rahe hein tumhari khushi se hum..

kuch door chal k raaste sab aik se lage
milne gae kissi se mil aae kissi se hum..
Posted 30 May 2004

Rain Man says
nice sall, pehli baar mujhay tumhari poem puri samajh aa gayee
Posted 30 May 2004

Reply to Topic