~ -- SALL’s Corner -- ~

31676 views 877 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
if u like nice poetry.. u r at the rite place

believe me.. my choice isnt bad
i ll post nice poems.. ghazals.. lyrics and wotever i find intersting..
i samajhhh ?¿
hmmmmmmmmmmm.. GOOODDDDDD.. and now and WAIT
Posted 20 Nov 2003

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah

Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki


Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To
Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi

Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi

Ek Musafir Ne Raat Pichlay Pahar
Apne Mehboob Ke Na Aane Par
Kar Diya Taj Mahal Ke Tukre
Aab-E-Jamuna Main Phaik Kar Pathar

Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main

Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan

Hum Bewafa Har Giz Na Thay
Par Hum Wafa Kar Na Sakay
Humain Mili Us Ki Saza
Jo Khata Hum Kar Na Sakay

Khudaa jab husn deta hai
nazaakat aaa hi jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai

Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo

Mohbbat karna koi zulm nahi,
Agar ki jaye usool se,
Khuda ko bhi muhabbat thi,
Apne rasoul se

Chaand raaat ko sabhi dekhain, hilaal-e-eid ko
Ik hamara hi naseeba hadiyan turva gaay
Hum the chaand ke nazaare main khoye hue
Bus achanak chand ka abba wahan pe aa gaya

Hui hum se ye nadani,
Kay teri mehfil mein aa baithe
Ho kay zameen ki khakh
Aasman se dil laga baithe

Dil si cheez hai, dene ko hai de day
Magar koi qabeel bhi to ho
Hum to jaan de kay bhi khush hain
Magar koi qateel bhi to ho


Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain
Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain
Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain
Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain

Jab Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Morna
Jab Dour Ho To Mera, Tasavvur Na Chorna
Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le
Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain hain Torna

Dekha Jidhar Yeh Payaa, Aalam Hijaab Ka
Jaali Ko Naam De Diya, Humne Niqaaab Ka
Dukh Ki Tabash Hai, Dharkanain Tanhaiyan Bhi Hain
Yeh Zindagi Hai Jaise, Din Ho Hisaab Ka

Woh To Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega
Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega
Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar Jayega
Kya Khabar Thi Ke Rug-E-Jaan Main Utar Jayega

Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah
Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah
Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khut
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah

Ashq Mile To Pee Lete Hain
Aap Kahe To Mar Jayen Hum
Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain

Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai
Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal
Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De

Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya Malum
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum

Posted 16 Mar 2004

Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.

Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai
Posted 16 Mar 2004

Aisa lagta hai zindagi tum ho
Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee
joostjoo meree aakhree tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!
Kis zamaane ke aadmee tum ho?
Posted 16 Mar 2004

Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha
Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha


Tujhko dekhenge to sitare bhi Zia maangen ge
Pyaase teri zulfon se ghataa maange ge
Apne maathe se yun aanchal ko na sarkaa dena
Varna buddhe bhi jawaani ki dua maange gay



Posted 16 Mar 2004

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
Posted 16 Mar 2004

Ashii says
qquueeennnyy.. goood
Posted 17 Mar 2004

Ashii says
Garmi e hasrat nakaam se jal jaate hein
hum chiragon ki tarha shaam se jal jaate hein,,

Bach niklate hein agar aatish e sayyad se hum
shola e aatish e gulfam se jal jaate hein,,

Khud numai to nahi shewa e arbab e wafa
jin ko jalna ho woh araam se jal jaate hein,,

Shama jiss mei jalti hai numaish k liye
hum ussi aag mei gumnaam se jal jaate hein,,

Jab bhi aata hai mera naam tere naam k saath
jaane kyun log mere naam se jal jaate hein,,

Raabta baham pe hein kya na kahein ge dushman
aashna jab tere peghaam se jal jaate hein.


Kateel Shifai
Posted 17 Mar 2004

Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay

Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay
Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay
Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay
Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay
Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay
Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay
Koi To Baat Hia Us Main Faiz
Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay
Posted 18 Mar 2004

Sall ....yeh achhi baat nahin...tum is ko daily check nahin karti aur na hi post karti ho
Posted 18 Mar 2004

Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga...
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga..

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.......
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga

Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.......
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga...

Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say..
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga..

Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy........
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga..

Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.........
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga......

Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab....
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga....
Posted 18 Mar 2004

Ashii says
oupss.. yaarr..
i check it everyday but rite post nahi karti..
coz mujhe poetry samajhne liye thora time chahiye hota hai na and i never post anything jab tak poori samajh na aae..

bass iss liye
Posted 19 Mar 2004

~*~AB LAUT AAO~*~

Ab Laut Aao

Key Aik Bar Phir Mera Dil

Apni dharkno Kay Beqaboo Honay Ka Khail

Dekhna Chahta Hai



Ab Laut Aao

Kay Aik Bar Phir Meri Palkien

Tumhari Nazroon Sey Ghabra Ker

Jhukna Chahti Hain



Ab Laut Aao

Key Aik Bar Phir Meray Qadam

Tumharey Qadmon Kay Saath

Unhin Rastoon Per Chalna Chahtey Hain



Ab Laut Aao

Key Aik Bar Phir Mera Wajood

Tumharey Ishq Ki Aag Main

Jalna Chahta Hai



Ab Laut Aao

Key Aik Bar Phir Meri Zindagi

Tumhari Zindagi Sey Jurr Ker

Khud Ko Jeena Chahti Hai...!!!

Posted 19 Mar 2004

Thö§ë Whö Lövë ¥öü...



If anyone should hurt you
And say a thing unkind,
Remember what i tell you,
And keep these things in mind.

For every one who makes you cry,
There are three who make you smile,
And a smile will last a long, long time,
But a tear just a little while!

If someone says a thing that's cruel,
Don't let it get to you,
There's so much good about you,
And your faults are very few.

So if a certain someone
Should act a certain way,
just think of those who love you.
And don't let it ruin your day.

Don't let someone who hates the world
Cause you to hate it too,
For behind the clouds is a golden sun,
And a sky that's bright and blue!

You have been sent this thoughtful message
by someone who cares for you.
Pass these words of encouragement on
to brighten your friends day too...
Posted 19 Mar 2004

Guest_005 says
wahhhhh......queeny ji bohut achi hai.......ye ....
Posted 19 Mar 2004

tarash says
fine collection by queeny
Posted 19 Mar 2004

subha says
Posted 20 Mar 2004

just_adiii9 said:

wahhhhh......queeny ji bohut achi hai.......ye ....


haan na Queen to hai hi bohat achhi.is main kya shaq hai
Posted 20 Mar 2004

tarash says
koee shak nahin is mein
kisi nein shak kar k marna hai kya
Posted 21 Mar 2004

Ashii says
hehehehee..
itnaaa rob queenny ka




ik buot mujhe bhi,
gosha e dil mei para mila
wa'iz ko wehm hai k ussi ko khuda mila..

herat hai iss ne apni
paristish hi kyun na ki
jab aadmi ko pehle pehel aaina mila..

din bhar jala'een me ne
umeedon ki mishalein
jab raat aai ghar ka diya tak bujha mila..

mujh se bichar k
yusuf-e-bekarwan hai tu
mujh ko to khair dard mila, tujh ko kya mila..

dasht-e-firaq mei woh
baseerat mili nadeem
jo mujh se chin gaya tha, wohi ja'baja mila..
wa'iz ko wehm hai k ussi ko khuda mila..




khud dekh lo yaar isse samajhne liye i need one whole day,, but isnt this ghazal worth it
Posted 21 Mar 2004

Guest_005 says
Queen Victoria said:

just_adiii9 said:

wahhhhh......queeny ji bohut achi hai.......ye ....


haan na Queen to hai hi bohat achhi.is main kya shaq hai
achaaaaaaaaaaaa
Posted 21 Mar 2004

subha says
SALL said:






ik buot mujhe bhi,
gosha e dil mei para mila
wa'iz ko wehm hai k ussi ko khuda mila..

herat hai iss ne apni
paristish hi kyun na ki
jab aadmi ko pehle pehel aaina mila..

din bhar jala'een me ne
umeedon ki mishalein
jab raat aai ghar ka diya tak bujha mila..

mujh se bichar k
yusuf-e-bekarwan hai tu
mujh ko to khair dard mila, tujh ko kya mila..

dasht-e-firaq mei woh
baseerat mili nadeem
jo mujh se chin gaya tha, wohi ja'baja mila..
wa'iz ko wehm hai k ussi ko khuda mila..




WAAAAH WAAH
Posted 23 Mar 2004

tarash says
weldone sall 4 u
Posted 23 Mar 2004

Guest_005 says
tarash said:

koee shak nahin is mein
kisi nein shak kar k marna hai kya

ye bhi hai....
Posted 23 Mar 2004

Ashii says
thnxx subah n taras
Posted 23 Mar 2004

hi sall khush keeta eeeeee
a v nice poem
Posted 24 Mar 2004

Ashii says
thnxx subah taras queennny
Posted 25 Mar 2004

tarash says
har achi cheez ko appreciate karna chaheey
no need of thanx
Posted 25 Mar 2004

Guest_002 says
salll,,, chali to nai parh pai but jo read ti wo athi he

Posted 25 Mar 2004

Ashii says
thankuuuuu barishhhhh
Posted 26 Mar 2004

Guest_002 says
u weltome Challl oye nai S A L L
Posted 26 Mar 2004

Reply to Topic