Logo

batbazi

Nahi thi husn-e-nazar ki bhi kuch usay parwa
wo aik aisi ajab dilkashi main rehta tha

Alif


(zabardast sher k liye kaha tha... )

Posted on 11/28/2005 12:08:12 PM

new_beau:
yEH aLIF TOU sUNA THA...zabardest ALIF kiya hota hay


"Ab Udaas Phirtay ho, Serdiyonn ki Shaamonn mainn"
"Iss tarah tou hota hay, Iss tarah kay Kaamonn mainn"


ye repeat to nahi hua..?

Posted on 11/28/2005 12:10:12 PM

Doctor Sam:
new_beau:
yEH aLIF TOU sUNA THA...zabardest ALIF kiya hota hay


"Ab Udaas Phirtay ho, Serdiyonn ki Shaamonn mainn"
"Iss tarah tou hota hay, Iss tarah kay Kaamonn mainn"


ye repeat to nahi hua..?


Nahin Tou

Posted on 11/28/2005 3:52:52 PM

Doctor Sam:
Nahi thi husn-e-nazar ki bhi kuch usay parwa
wo aik aisi ajab dilkashi main rehta tha

Alif


(zabardast sher k liye kaha tha... )


Afshaay-e-Raaz-e-Ishq mainn Gou Zillattainn Huinn"
"Lekin Ussay Jataa tou diya, Jaan tou Gaya"

ALIF

Posted on 11/28/2005 3:55:13 PM

ALIF
uss ki awaaz k be-daag sa aeena thi
talkh jumla bhi woh kehta to maza deta tha
din bhar aik aik se woh larta jhagarta bhi bohot
raat k pichle peher sab ko dua deta tha
ehemmm

TAY (or ALIF again)

Posted on 11/28/2005 4:46:36 PM

ALIF aata hey jee
aankhon main jitnay ashk thay jugnu se ban gaye
wo muskuraya aor meri duniya badal gya

alif


Posted on 11/28/2005 7:14:35 PM

"Aaj yunn Mosam nay dee Jashn-e-Mohabbat ki Khaber"
"Phoot ker Ronay lagay hainn, Mainn, Mohabbat aur Tum"

MEEM

Posted on 11/30/2005 11:12:03 PM

mairey sath chalnai waley tujhey kya milla safer main
wohi dukh bhari zameen hai wohi ghum ka asmaan hai

yeh

Posted on 12/1/2005 2:30:05 AM

"Yunn tou Laakh Guzray hainn, Chehray in Nigahonn mainn"
"Naqsh ho gaya Chehra Aik Buss Khayalonn mainn"

NUUN

Posted on 12/1/2005 9:25:29 AM

Nadaan ho jo kehte ho k 'kyun jeete hein' ghalib
kismat mei hai marne ki tamanna koi din aur

REY

Posted on 12/1/2005 7:02:46 PM

rafaaqton k naye khwab khush-numa hain magar
guzar chuka hey tere aietbaar ka mosam...

meem

Posted on 12/1/2005 7:54:14 PM

YEH, NUUN , MEEM,

iss say baher bhi aao kabhi SHAMIM

wah wah kiya shair hay
------------------------------------

"Meri Zindagi hay Naghma, Meri Zindagi Tarana"
"Mainn Saday-e-Shaam-e-Ghum Hum, Mujhay Dhoondh lay Zamana"

HAY

Posted on 12/1/2005 8:35:25 PM

haasil huay na phool to kantey hi lay chalain
ay dasht e zindagi teri saughat kuchh to ho

Posted on 12/2/2005 8:45:32 PM

timepass:
haasil huay na phool to kantey hi lay chalain
ay dasht e zindagi teri saughat kuchh to ho


WOW

Wafa ka Ehad tha Dil ko Sanbhalnay kay Liyey
Woh Hans Peray, Mujhay Mushkil mainn Daalnay kay Liyey

YEY

Posted on 12/2/2005 11:11:02 PM

new_beau:
timepass:
haasil huay na phool to kantey hi lay chalain
ay dasht e zindagi teri saughat kuchh to ho


WOW

Wafa ka Ehad tha Dil ko Sanbhalnay kay Liyey
Woh Hans Peray, Mujhay Mushkil mainn Daalnay kay Liyey

YEY

yak lakht gira hai to jarhain tak nikal aaein
jis pairh ko aandhi main bhi hiltay nahin daikha

Posted on 12/2/2005 11:21:48 PM

ALIF


"Ab tou Ghabra kay yeh kehtay hainn keh mer jayenn gay"
"Mer kay bhi chainn na paaya tou kidher jayenn gay"

YEY

Posted on 12/3/2005 9:37:35 AM

ye matti paon main zanjeer ki soorat hey warna hum
zameen ko chord kar ik khitta-e-shadaab main hotay..

ye

Posted on 12/3/2005 1:54:47 PM

"Yunn tou aay Bazm-e-Jahann, Dilkash thay Hungaamay teray"
"ik Zara Afsurdagi teray Tamshaonn Mainn thi"

YEH

Posted on 12/4/2005 3:03:58 PM

Yaqeen Nahien Hai Tu Pooch Kar Dekho
Jo Hans Raha Hai Wo Zakhmoon Se Choor Niklay Ga

Posted on 12/4/2005 10:54:27 PM

alif
uss ko bhi tairey kouchai main guzar aye hain
zindaghi main wo jo aik lamha tha sanwarnai wala

Posted on 12/5/2005 6:16:21 AM

ALIF...

"Aur lay aayenn gay bazaar say jo toot gaya"
"Jaam-e-jim say yeh apna jaam-e-saffaal achha hay"

YEY...

Posted on 12/5/2005 11:57:50 PM

yun to kya cheez zindagi main nahi
jesi sochi thi apnay jee main, nahi..

Noon

Posted on 12/6/2005 2:46:33 AM

noon
nahin woh appna,mager uss ki rah deikhon
dil-o-nazar pai bhala ikhtiyar kiss ka hai
yeh

Posted on 12/6/2005 7:21:54 AM

ye kesa khwab tha dhardka sa lag gya dil ko
k aik shakhs pareshan meri talash main hey..

ye

Posted on 12/6/2005 12:54:18 PM

"Yeh aur baat keh Khud ko Bohat Tabaah kiya"
"Magar yeh Dekh, Teray Saath tou Nibaah kiya"

ALIF

Posted on 12/6/2005 11:02:24 PM

apna ye haal k jee haar chukay lut bhi chukay
Aor mohabbat wohi andaaz puranay mangay...

ye

Posted on 12/6/2005 11:23:03 PM

Yeh shab hai ya meray dil ka sukoot bay payaan.
yeh dil hai ya meray marqad pay jal raha hai charag


next > ghain <

Posted on 12/7/2005 12:25:44 AM

gham e hasti ka ho kya juz merg illaj
shama her rang main jalti hai seher honay tak



ager kuch ghalat hai to theek ker lo



Kaaf

Posted on 12/7/2005 5:50:08 PM

ghum-e-hasti ka asad kis se ho juz-marg ilaaj
shama her rung main jalti hey seher hone tak


QV..

Posted on 12/7/2005 6:08:05 PM

kaaf

kisi tarang kisi sar-khushi main rehta tha
ye kal ki baat thi,Dil zindagi main rehta tha

alif

Posted on 12/7/2005 6:12:26 PM