Logo

batbazi

ye naqd-e-JaaN k is ka lutana to sehl hey
gar ban parday to is se bhi mushkil sawal kar

ray..

Posted on 1/21/2006 7:10:00 PM

rukane kaa samay guzar gayaa hai
jaanaa teraa ab Thahar gayaa hai

ruKhsat ki ghardi khadi hai sar par
dil koi doneem kar gayaa hai (P shaker)



yeh

Posted on 1/21/2006 8:04:36 PM

yun teri yaad dil main hey jese
Teer tooti hui kamaan main ho..

wao..

zabardast

Posted on 1/22/2006 6:47:13 PM

WAO

Wehshatainn Kuchh iss tarah apna Muqaddar ho gayeenn
Hum jahan Ponhchay hamaaray Saath Veeranay gaye"

YEH

Posted on 1/22/2006 9:36:42 PM



Noon

Posted on 1/23/2006 5:56:03 PM

NaJaanay Kon Duaonn mainn Yaad Rakhta hay
Mainn Doobta hoon tou Samander Uchhaal deta hay

YEH

Posted on 1/24/2006 9:43:56 PM

Yeh masail e tassawuf, yeh tera bayaan ghalib
tujhe hum wali samajhte,, jo na baada khwar hota

ALIF

Posted on 1/24/2006 11:30:27 PM

new_beau:
NaJaanay Kon Duaonn mainn Yaad Rakhta hay
Mainn Doobta hoon tou Samander Uchhaal deta hay

YEH


ye repeat hua hey...

Posted on 1/25/2006 8:04:39 PM

SALL:
Yeh masail e tassawuf, yeh tera bayaan ghalib
tujhe hum wali samajhte,, jo na baada khwar hota

ALIF


ik taaza ghazal izn-e-sukhn maang rahi hey
tum apna mehakta hua lehja mujhe dena

alif

Posted on 1/25/2006 8:05:44 PM



YE

Posted on 1/26/2006 9:43:09 AM

Doctor Sam:
SALL:
Yeh masail e tassawuf, yeh tera bayaan ghalib
tujhe hum wali samajhte,, jo na baada khwar hota

ALIF


ik taaza ghazal izn-e-sukhn maang rahi hey
tum apna mehakta hua lehja mujhe dena

alif


Topic shuru say chk kerain..Mainn yeh shair pehlay post ker chuka hoon

Posted on 1/26/2006 7:32:49 PM

aikalone:


YE


Yeh Aarzoo thi tujhay Gul kay Ru Baroo kertay
Hum aur Bulbul-e-Betaab Guftagu Kertay

YEH

Posted on 1/26/2006 7:37:58 PM

new_beau:
Doctor Sam:
SALL:
Yeh masail e tassawuf, yeh tera bayaan ghalib
tujhe hum wali samajhte,, jo na baada khwar hota

ALIF


ik taaza ghazal izn-e-sukhn maang rahi hey
tum apna mehakta hua lehja mujhe dena

alif


Topic shuru say chk kerain..Mainn yeh shair pehlay post ker chuka hoon


i really didnt remember.. aor ab kon topic shuru se check karay, aap ne point out to kar e diya hey..
koi gall nahi jee...

Posted on 1/26/2006 7:46:03 PM

i was thinking, topic k itnay pages ho gaye hain, k ab waqai ghalti lag sakti hey, new aanay walon ko bhi aor humain bhi...


Posted on 1/26/2006 7:48:35 PM

abhi kya kahainn abhi kyaa sunaien
ke sar-e-faseel-e-sukuut-e-jaan
kuf-e-roz-o-shab pe sharar numaa
vo jo harf jarf charaag thaa
use kis hawa ne bujhaa diyaa (mohsin naqvi)


ALIF

Posted on 1/27/2006 1:57:52 PM

ehl-e-talab pe us k liye farz hey dua
khairaat main wo chund nawalay to day gya

alif..




hope ye pehle nahi aaya..

Posted on 1/27/2006 7:49:09 PM

Apni Ruswaee tere naam ka charcha dekhu
ek zaraa sher kahun aur me kya kya dekhu
neend aa jaae to kya mehfilein barpa dekhu
aankh khul jaae to tanhai ka sehra dekhu
Parveen Shakir

NOON

Posted on 1/28/2006 2:37:17 PM

nahin nigaah mainn manzil to justajuu hi sahi
nahin visaal mayassar to aarazuu hi sahi

(Faiz A Faiz)



yeh

Posted on 1/28/2006 5:22:28 PM

YEH

"Yeh Humhi hainn keh Dard Chhup kay Seenay mainn"
"Kaam Duniya kay BaDastuur kiyey jaatay hainn "

NOON GHUNNA,,,,hee he ehe,,Mera bhi aa gaya..her dafa sirf SALL kay shair mainn aata tha

Posted on 1/29/2006 11:47:27 PM


Posted on 1/31/2006 9:49:37 PM

aaapko kya hua,

Posted on 2/1/2006 1:23:26 AM

nuchardtay jatay hain sab khwab apni palkon se
ye kis ne jagtay rehna sikha diya hey mujhe

ye

Posted on 2/1/2006 1:25:02 AM

YEH jo Qaul-o-Qaraar hay, Kiya hey
shak hay ya Aitebaar hay, Kiya hay

YEH

Posted on 2/1/2006 8:29:09 PM

ye alag baat k afsha na hua tu warna
main ne kitna tujhay mehsoos kiya tere baad

daal

Posted on 2/2/2006 8:24:33 PM

DAAL


Dil Ajab Mushkil mainn hay, Ab Asl Rastay ki Taraf"
"Yaad Peechhay Khenchti hay, AaS aagay ki Taraf"

FAY ./..

Posted on 2/3/2006 9:17:41 PM

fasl-e-gul main bhi phool murjhaaye
ik khazaan aor hey khazaan se alag..

gaaf

Posted on 2/4/2006 8:35:18 PM

Guzar tou Jaye gi Teray Baghair bhi Lekin
Bohat Udaas Bari BayQaraar Guzray Gi

YEH

Posted on 2/6/2006 9:53:07 PM

yaar tha gulzaar tha baad-e-sabaa thi main na tha
laayaq-e-paa-bos-e-jaan kyaa hina thi main na tha
(bahadur shah zafar)



ALIF

Posted on 2/8/2006 2:15:24 PM

queenuuu
iss sher ki doosri line samajhne liye humein barson lag gae
sunne mei kuch samajh hi nahi aati thi
bass aik din tajalli si ho gai aur sab raaz khul gae







ALIF
Ab k jab aae to iss tarha aae mera dost
jiss tarha shaam k akhbaar mei khabrein a'ain
shehr ka shehr sambhale hue pathar nikle
harr nae jurm ka ilzaam mere sar nikle
aur phir jurm e mohabbat ki pazeeraee ho
jashn ka jashn ho ruswaee ki ruswaee ho !!!

adaab arz hai



WOW

Posted on 2/8/2006 6:16:28 PM

wo aik pall ko dikhaai to day kahien mohsin
main jaan ganwa k bhi us pall ko mukhtasir na karoon

Noon

Posted on 2/8/2006 7:31:56 PM