Logo

batbazi

Yeh aalam shauk ka dekha na jaae
voh butt hai ya Khuda, dekha na jaae

yeh kinn nazron se tum ne aaj dekha
k tera dekhna dekhna na jaae



yeh ghazal kisss k baas haiiiiiiiii
mujhe chaiye

--> YEH

Posted on 12/22/2005 3:15:49 PM

Ye kis jaga ruk gayee mare zindagee kee naoo
Jo saath lekar jaey wo lehar yaad nahee


Noon

Posted on 12/22/2005 4:02:02 PM

noon

nafraton kay teer kha kar doston kay shehar main
hum ney kis kis ko pukara yeh kahani phir sahi


yeh

Posted on 12/23/2005 1:21:29 AM

Yaad aayaa thaa bicharna tera
phir nahee yaad kay kiya yaad aayaa

Alif

Posted on 12/23/2005 11:26:26 AM

"Ab tek meray Shair Hawala rahay tera"
"Mainn ab teri Ruswayee ka Cherchaa bhi tou Dekhoonn"

NUUN

Posted on 12/23/2005 10:34:05 PM

na janey hogaya hoon is qadar hasas mein kub sey
kisi sey baat karta hoon tu aankhen bheeg jati hain

Posted on 12/23/2005 11:31:52 PM

na jaanay konsa aasaib dil mainn basta hay
jo bhi thehra aakhir makaan chhor gaya

ALIF

Posted on 12/25/2005 9:20:37 PM

aisa gum hoon teri yaadon k bayabaanon main
dil na dhardkay to sunaai nahi deta kuch bhi

ye

Posted on 12/26/2005 12:27:27 PM

"Yaann Piyaas ka Izhaar, Malaamat hay, Gunah Hay"
"Phoolonn say kabhi Titliyaann Poochha nahin kertinn"

NUUN

Posted on 12/26/2005 9:33:51 PM

Na roona reh gaya baqee na hansna reh gaya baqee
ik apney aap par aawazain kasna reh gaya baqee

Posted on 12/27/2005 1:32:04 PM

YEH

Yaqeen Nahin mainn Agar aaj bhi kiyun lagta hay
Meri Talaash mainn Shayad Bahaar aaj bhi hay

YEH

Posted on 12/28/2005 8:31:59 PM

yun hi tareek hey farda abhi mosam nahi badla
chaman ka zard hey chehra abhi mosam nahi badla

alif

Posted on 12/28/2005 8:46:07 PM

Is qadar musalsal theen shiddatain judaee kee
Aaj pehlee baar us se main ne bewafaee kee

Posted on 12/29/2005 12:36:41 PM

YEH

Yaad rakhnay kay liyey aur na bhulaanay kay liyey
Ab woh milta hay tou buss rasm nibhanay kay liyey

YEH

Posted on 12/30/2005 10:12:30 PM

ya maseehai usay bhool gai hey Mohsin
ye phir aisa hey mera zakhm hi gehra hoga...

alif

Posted on 12/31/2005 1:59:34 PM

ab kay baras bhi woh nahin aayaa bahaar mainn
guzaray gaa aur ek baras intazaar mai


nuun

Posted on 12/31/2005 7:50:51 PM

nahi aati to yaad unki maheenon tak nahi aati
magar jab yaad aatay hain to aksar yaad aatay hain

Noon

Posted on 1/1/2006 1:12:36 PM

Naveed Neela Samandar kahan say aaya hay
Or is pay sham ka manzar kahan say aaya hay
Najoom-o-Maah kay ye silsilay kahan tak hain
Ye meray dil ka musafir kahan say aaya hay

Posted on 1/2/2006 7:26:08 PM

yeh

Yunn Hosla Dil nay Haara Kab tha
sartaan mera Sitaara kab tha

Hum khud bhi Judayee ka Sabab thay
Qasoor uss ka Saara kab tha

ALIF

Posted on 1/2/2006 11:12:32 PM

ishq pahale bhii kiyaa hijr kaa Gham bhii dekhaa
itnay tarape hain na ghabaraaye na tarase pahale
(ibn e insha)



YEH

Posted on 1/3/2006 2:17:13 PM


ye mere dard ki dolat, meri mata-e-firaaq
in aansuon ki wazahat main umr bhar na karoon

Noon

(i love this)


Posted on 1/3/2006 3:38:47 PM

Na Jaanay Kon sa Aasaib dil mainn Basta hay
Jo bhi Thehra, Aakhir Makaan Chhor gaya"

ALIF

Posted on 1/5/2006 2:24:20 PM

is sharafat nay agar aab or bhee ruswa kiya
aik din ghar say chalain gay shula samanee say ham

Meem

Posted on 1/5/2006 5:15:59 PM

Muddeton baad us nei aaj mujh say koi gila kia
Mansab-e-dilberi pay kia mujh ko behal ker dia

Posted on 1/5/2006 5:21:36 PM

Alif


ashaar mere yuun to zamaane ke liye hain
kuchh sher faqat unako sunaane ke liye hain


ab ye bhi nahin Theek kay har dard mitaa dain
kuchh dard kaleje se lagaane ke liye hain


nuun



Posted on 1/5/2006 6:51:15 PM

Naseeb aazmaane k din aa rahe hehin
kareeb unn k aane k din aa rahe hein
jo dil se kaha hai jo dil se suna hai
sab unn ko sunaane k din aa rahe hein




NUUN

Posted on 1/6/2006 2:59:53 AM

NUUN


Na dekh hum ko zamaanay ki Gard Aankhonn say
Tujhay Khabar nahin tujh ko kitna Chahtay hainn Hum


MEEM

Posted on 1/7/2006 10:51:58 PM

mana k buaht qeemti hai waqt tuhara...........
anmol to hum bhi buhat hain tuim hi ne kaha tah.
alif.

Posted on 1/9/2006 1:42:54 AM

ik khawaab hai is khawaab ko khona b nahi hai
taabeer k dhaagey mein pirona b nahi hai...
lipta hai mere dil say kisi raaz ki surat..
woh shakas k jis ko mera hona b nahi hai..
yeh.

Posted on 1/9/2006 1:51:49 AM

koolheer:
mana k buaht qeemti hai waqt tuhara...........
anmol to hum bhi buhat hain tuim hi ne kaha tah.
alif.



abhi is taraf na nigaah kar main Gazal ke palkain sanvaar luun
meraa lafz lafz ho aaeenaa tujhe aaeenay mainn utaar luun


NUUN


Posted on 1/9/2006 6:56:59 PM