Logo

batbazi

shaair too hum pooranay hein...woo our baat ha shair kabhi koi likha nahi;p

i will be back soon yara...no prob...abhi baas koi perhai our job main buzy shezy hoon

Posted on 3/6/2006 11:05:38 AM

Hai iKhtiyaar mein tere to mojazaa kar de..
Woh shaKhs meraa nahin hai use meraa kar de ..


Posted on 3/6/2006 6:08:50 PM

yeh

"Yeh Aur baat keh Taqdeer Lipat ker Royee
Hum nay Baazoo tou teray Liyey Phailaye thay"

YEH

Posted on 3/6/2006 10:36:51 PM


Ye chaandani bhi jin ko chute hue Dartii hai..
Duniyaa unhi phuulon ko pairon se masalati hai !..

Posted on 3/7/2006 6:31:09 PM

ye bhii kyaa ehasaan kam hain dekhiye na aap kaa
ho rahaa hai har taraf charchaa hamaaraa aap kaa
(wajida tabassum)

Alif

Posted on 3/7/2006 7:57:45 PM

Ik baar chalay aao, Phir aa kay chalay jaana
Hum tum ko na rokainn gay tum aa kay Chalay Jaana

ALIF

Posted on 3/8/2006 9:13:28 AM

aap ki aankh say ghera hai meri rooh ka zakham
aap kia soch sakain gay meri tanhai ko

(alif)

Posted on 3/8/2006 3:45:52 PM

Mishall:
aap ki aankh say ghera hai meri rooh ka zakham
aap kia soch sakain gay meri tanhai ko

(alif)

ALIF nahin WOW

WOW

Woh Jiss aankh mainn tha kabhi sitaray ki tarah
Ab ban gaya aansoo ussi ki Plakon Par

RAY

Posted on 3/8/2006 3:58:43 PM

ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa..

Posted on 3/9/2006 4:09:16 PM

ALIF

Aik Hamainn Aawaara kehna koi Bara Ilzaam Nahin
Duniya Waalay Dil waalonn ko Aur bohat kuchh kehtay Hainn

NUUN

Posted on 3/9/2006 4:36:08 PM

nisaar main teri galiyon ke ae watan, ki jahaan
chali hai rasm ki koi na sar uThaa ke chale
jo koii chaahane waalaa tawaaf ko nikale
nazar churaa ke chale, jism-o-jaan bachaa ke chale

Faiz


Yeh

Posted on 3/9/2006 6:38:33 PM

Yehi kero gay keh ab hum say tum milo gay nahin
Jo Baat hay ik Un kahi woh Kabhi Kaho gay nahin

NUUN

Posted on 3/9/2006 6:46:38 PM

Najane kitne raatian sotey jagtey guzrii..
Tum naa ayee buhat tak palkon main anso biche rahe..

Posted on 3/10/2006 2:08:48 PM

yeh

Yeh kis nay hu, say lahoo ka khiraaj phir maanga
abhi tou soye thay ,aqtel ko surkh roo ker kay

yeh

Posted on 3/10/2006 5:09:25 PM

ye tasalli hai ki hain naashaad sab
main akelaa hi nahin barbaad sab
javed akhtar

Bay


Posted on 3/10/2006 5:24:08 PM

Bay Khudi Bay Sabab Nahin Ghalib
Kuchh tou hay Jis ki Perda Daari hay

YEH

Posted on 3/11/2006 11:22:28 AM

Ye teri aankhen hain ya gehari jheel
Ye teri aankhen hain ya gehari jheel
Big Deal ! Big deal !

(Laam)

Posted on 3/11/2006 2:23:30 PM

jojiiiiiiiiiiiiii
yeh mazahiya mushaira nahin hai bhai


laam

lab-e Khaamosh se afshaa hoga
raaz har rang mainn ruswaa hoga

dil ke sehraa main chali sard hawa
abar gulzaar pe barsaa hoga
(ahmed nadeem qasmi)

ALIF

Posted on 3/11/2006 4:40:08 PM

Insha Jee Utho ab kooch kero, Iss Shehar mainn Jee ko Lagaana Kiya
Wehshi ko sukoonn say kiya matlab, Jogi ka Nagar mainn Thikaana kiya

ALIF

Posted on 3/12/2006 1:43:34 AM

Aur kuch deir mei,, jab phir mere tanha dil ko
fikr aa le gi k tanhaee ka kya chaara kare
dard aae ga dabbe pau,, liye surkh chiraag
woh jo ik dard dharakta hai kahin dil se pare

YEH

Posted on 3/12/2006 3:22:59 PM

Yeh Cheetharonn mainn Phool, Yeh Sar Garam-e-Kaar Log
Yeh Dou Pehar ki Dhoop, Yeh Jalti huiee Hawa

Zinda wohi rahay ga jissay hay Shaoor-e-Zeest
kehti hay rozz rang badelti hui Hawa

ALIF

Posted on 3/12/2006 11:14:41 PM

Lala Moosa Khaariyann
Kithay Gayeeyaabb Sawariyannn

Posted on 3/15/2006 2:53:36 PM

sargodhay

Posted on 3/16/2006 2:13:40 PM

Alif

ab to lay day ke wohi shaKhs bachaa hai mujh main
mujh ko mujh se judaa kar ke jo chhupaa hai mujh main

(krishna bihari noor)

nuun

Posted on 3/16/2006 2:16:28 PM

Najaanay kiyun Humainn Tum pay Bara Bharosa Hay
Khayal Rakhna Qayem yeh Aitbaar Rahay

YEH

Posted on 3/17/2006 1:50:00 AM

yaa rab! Gam-e-hijraan main itanaa to kiyaa hotaa
jo haath jigar pe hai vo dast-e-duaa hotaa
(chitagh hasan hasrat)

Alif

Posted on 3/17/2006 1:08:22 PM

iss shehr-e-bay chiraagh mainn Jaye gi tu Kahann
Aa aay shab-e-Firaaq tujhay Ghar hi lay chalainn

NUUN

Posted on 3/17/2006 3:11:32 PM

new_beau:
iss shehr-e-bay chiraagh mainn Jaye gi tu Kahann
Aa aay shab-e-Firaaq tujhay Ghar hi lay chalainn

NUUN

naya bhai jiiiiii,, yeh ghazalll one of my fav
sar par khayal e yaar ki chadar hi le chalein




issi khushi mei again nasir kazmi
na mila kar udaas logon se
husn tera bikhar na jaae kahin

NUUN

Posted on 3/17/2006 8:12:32 PM

Nasheman per Nasheman iss tarah TAameer kerta jaa
Keh Bijli Girtay Girtay Aap hee bezaar ho jaye

YEH

Posted on 3/18/2006 1:10:14 AM

yaad karanaa har ghadii us yaar kaa
hai vazifaa mujh dil-e-bimaar kaa

aarazuu-e-chashmaa-e-kausar nahin
tishnaa_lab huun sharbat-e-didaar kaa
wali mohammad wali


Alif

Posted on 3/18/2006 12:05:26 PM