Logo

batbazi

na kar yaqeen hathoon ki lakeeron par k yeh taqdeer nahi hoti
taqdeer to un ki bhi hoti hay jin k haath nahi hote

yay

Posted on 2/10/2006 1:25:08 AM

Yaar nay Mujh ko Mujhay Yaar nay Sonay na diya
raat bhar Ta'ala-e-Baidaar nay Sonay Na Diya

By AATISH


ALIF

Posted on 2/10/2006 8:55:17 PM

aik main hi akela tha, kafla bhe uska tha
saath saath chalne ki sooch bhe uski thi
raah badalne ka faisla bhe uska tha
abb kio akela hon dil sawaal karta hai
loog tu uske the, kia khuda bhe uska tha ??


Posted on 2/13/2006 4:35:23 PM

ALIF...

intahay-e-Ishq Mainn "Ashar", Her khalish Mit Gayee
Aaj tera Humsafar, Jaanaann Mujhay Bhaaya bohat"

TAY

Posted on 2/13/2006 9:16:59 PM

tang aa chuke hain kash-ma-kash-e-zindagi se ham
Thukara na dain jahan ko kahin bedili se ham

sahir ludhiyanwi




MEEM

Posted on 2/15/2006 8:11:26 PM

mansab-e-shoq se uljhi hey sinaan ki khwahish
sar ko sang-e-dar-e-janaan pay na phorda jaye..

ye

Posted on 2/15/2006 8:20:54 PM

yehi bohot hai k dil uss ko dhoond laaya hai
kissi k saath sahi woh nazar to aaya hai
woh samne tha magar yakeen na aata tha
woh aap hai k meri khahishon ka saaya hai

YEH

Posted on 2/16/2006 4:05:27 PM

YEH


Yaqeen nahin hay Magar Aaj bhi yunn Lagta hay
Meri Talaash mainn Shayad BAhaar Aaj bhi hay

YEH

Posted on 2/16/2006 5:10:48 PM

yahi nahi k hamain tord kar gya hey koi
usay bhi khud ko bohat dair jordna hoga..

alif

Posted on 2/16/2006 7:46:44 PM

ALIF


Agarchay Aalam-e-Faani ki her ik cheez faani hay
Magar mainn Hoon keh Aish-e-Jaavidaani lay kay aaya hoon
(Sufi Tabassum)

NUUN

Posted on 2/16/2006 8:11:31 PM

nahi k us ne ganwaye hain maah-o-saal apnay
taman umr kati yun bhi rayegaan Mohsin

noon

Posted on 2/17/2006 7:07:46 PM

na karta zabt main naalaa to phir aisaa dhuuan uthtaa
kay neechay aasmaan ke aur nayaa ik aasmaan hotaa

(zouq)


ALIF

Posted on 2/18/2006 6:06:45 PM

agaaz to hota hai anjaam nahi hota
jab meri kahani mei woh naam nahi hota
jab zulf ki kalak mgi ghum jaae koi raahi
badnaam sahi lekin,, gumnaam nahi hota

ALIF again

Posted on 2/19/2006 2:55:06 PM


Is shaher k bashinday nafratoon ko boo kar bhi
Umeed kartay hain k fasal hoo Mohabbat ki
Chord kar haqeqat ko dhondhna saraboon kaa
Reet is nagar ki hai aur na janay kab say hai


Posted on 2/19/2006 3:04:27 PM

yahan zer-e-zameen basnay ki khwahish
wahan kohsaar par janay ka mosam..

meem

Posted on 2/19/2006 5:09:19 PM

MEEM

Mainn kisi ko Kya Batoonn, Mujhay Yaad Kuchh Nahin hay
Kahann reh gayee Bichhar kay Meri Shaakh-e-Aashiyaana

HAY

Posted on 2/25/2006 10:37:45 AM

new_beau:
MEEM

Mainn kisi ko Kya Batoonn, Mujhay Yaad Kuchh Nahin hay
Kahann reh gayee Bichhar kay Meri Shaakh-e-Aashiyaana

HAY

haasil huay na phool to kaantey hi lay chalain
ay dasht e zindagi teri saughat kuchh to ho

Posted on 2/25/2006 10:30:11 PM

hawwa ki beti:
new_beau:
MEEM

Mainn kisi ko Kya Batoonn, Mujhay Yaad Kuchh Nahin hay
Kahann reh gayee Bichhar kay Meri Shaakh-e-Aashiyaana

HAY

haasil huay na phool to kaantey hi lay chalain
ay dasht e zindagi teri saughat kuchh to ho


A PERFECT REPEAT...


Anyways...last harf wass WOW

Woh aankh ki inn dehleezonn per ik khuwab ki manind utra tha
ab ja ker yeh maaloom hua yeh khuwab tou aanay jaanay hainn

NUUN

Posted on 2/27/2006 8:11:04 PM

na jaane aaj ye kis kaa Khayaal aayaa hai
Khushii kaa rang liye har malaal aayaa hai
(faraz)


yeh

Posted on 2/28/2006 12:51:43 PM

yeh bhi aadab hamarey hain tumain kia maloom
hum tumain jeet ke harey hain tumain kia maloom
ik tum ho ke samajte nahin apna hum ko
ik hum hain ke tumare hain tumain kia maloom

MEEM

Posted on 2/28/2006 9:58:45 PM

Mohabbat ka samar milta nahi hey
ye sikka ab kahien chalta nahi hey...

ye

Posted on 2/28/2006 11:12:20 PM

YEH

Yeh aur baat keh Khud ko Bohat Tabaah kiya
Magar yeh dekh teray saath tou Nibah Kiya

ALIF

Posted on 3/1/2006 8:00:10 PM

aik sawal mila tha, mujh ko
main ne tujh ko maang liya hey..

ye

Posted on 3/1/2006 8:04:00 PM

Yaadonn kay Dareechonn ko zara khol kay dekho
Hum log wohi hainn keh nahin bol kay dekho

WOW

Posted on 3/2/2006 11:07:36 AM

wo pathar tha main sheesha tha nateeja kion nahi nikla.
usay thokar lagana thi, mujhe bhi toot jana hey..



i hope ye pehle main ne post nahi kiya...

Posted on 3/2/2006 5:47:07 PM

ye jo ham hijr main diivaar-o-dar ko dekhate hain
kabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko dekhate hain
Mirza ghalib



Nuun

Posted on 3/2/2006 6:39:56 PM

Narm lafzon say bhi lag jaati hay thhokar aksar
Dosti ikk barra naazuk sa hunar hoti hay

Posted on 3/5/2006 12:37:01 AM

Yeh Duniya tou Khu'Gar hay AALAAT ki
Yahan ab Qader nahin Jazbaat Ki

YEH

Posted on 3/5/2006 9:13:15 AM

yeh ankh us ankh say keh rahi ha
abay naak saaf ker...bohat beh rahi ha

Posted on 3/6/2006 3:05:20 AM

welcoem joji jee nice 2 c u again
pata nahi ab dobara kab se a rahye ho per mainne aj dekha hia ap ko


and atye hi shayeri
kiya baat hia

Posted on 3/6/2006 3:27:08 AM