Logo

batbazi

"Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultaani kay Gunbad per"
"Tu Shaheenn hay Basera ker Paharonn ki Chataanonn mainn"

NUUN

Posted on 1/9/2006 7:02:45 PM

na kar yaqeen hatonn ki lakeeron par k yeh taqdeer nahi hoti
taqdeerain to un ki bhi hoti hain jin k haath nahi hotey

yay

Posted on 1/10/2006 2:44:21 AM

yaa mujhe afsar-e-shaahaa na banaayaa hotaa
yaa meraa taaj gadaayaa na banaayaa hotaa



ALIF

Posted on 1/10/2006 3:05:24 PM

"ik Sa'at-e-Giraann hoonn, Mujhay Bhool Jayeeyey"
"Beeta Hua Samaann hoon, Mujhay Bhool Jayeeye"

YEH

Posted on 1/11/2006 2:46:39 AM

yeh khule khule say gaysu inhe lakh tum sawaro
mere haath say sawartey to kuch aur baat hoti.
yeh.

Posted on 1/12/2006 2:16:10 AM

yun jazb ker liya hai tujhe rooh mein k ab
ay dost tujhe paaney ki hasrat nahi rahi..!
again yeh..

Posted on 1/12/2006 2:19:45 AM

yaadon k phool sookh na jayien is liye
aankhon ko ashkbaar kia hai kabhi kabhi
hum say janun-e-ishq ka alim na pochhiye
apna hi intezaar kia hai kabhi kabhi..!
yeh.

Posted on 1/12/2006 2:21:57 AM

yeh aur baat hai k taaqab na ho saka lakin
hum zindagi k saath bari door tak gaye..!
phir yeh...yaar yeh baar baar yeh hi aata ja raha hai plz ab koi aisa sher kaho jis k end per koi aur word aata ho..kiun k hun gal wad gai ay.

Posted on 1/12/2006 2:26:24 AM

yeh zarori to nahi k har koi roo k dikha day
khushk aankhon may bhi sailab howa kartey hain

loo jee noon

Posted on 1/12/2006 9:41:29 AM

na tera qarb na bada hai kia kia jaye..?
phir aaj dukh b ziada hai kia kia jaye..?
hume b arze tamanna ka dhab nahi aata..
mizaje yaar b sada hai kai kai jaye..?
yeh..
ONLYARBAB jee maine to noon lay lia but phir yeh aa gaya hai..yeh aap lay lo.. .

Posted on 1/13/2006 1:16:45 AM

no problem ots ok

yeh alag baat hay k tameer na honey pain
warna har zehn may taj mehal howa kartey hain


noon again

Posted on 1/13/2006 3:16:46 AM

new_beau:
"Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultaani kay Gunbad per"
"Tu Shaheenn hay Basera ker Paharonn ki Chataanonn mainn"

NUUN


ye repeat hua hey shayad...

Posted on 1/13/2006 5:30:17 PM

ONLYARBAB:
no problem ots ok

yeh alag baat hay k tameer na honey pain
warna har zehn may taj mehal howa kartey hain


noon again


NA pooch apni taraf phir se lotnay ka amal
main jo pahard tha,simta to musht-e-khaak hua..

ALIF

Posted on 1/13/2006 5:31:44 PM

Doctor Sam:
new_beau:
"Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultaani kay Gunbad per"
"Tu Shaheenn hay Basera ker Paharonn ki Chataanonn mainn"

NUUN


ye repeat hua hey shayad...


I dont think so..If It is...sorry..

KOOL HEER...aapas mainn hi kheli ja rahi ho..doosronn ki baari ka bhi wait kero

Posted on 1/13/2006 10:49:03 PM

ONLYARBAB:
no problem ots ok

yeh alag baat hay k tameer na honey pain
warna har zehn may taj mehal howa kartey hain


noon again


Naghma-o-Mayy ka yeh Toofaan-e-Tarab kiya kehna
Mera ghar ban gaya Khayyam ka ghar aaj ki raat

TAY

Posted on 1/13/2006 10:49:51 PM

Tumhari yaad k jab zakhm bharne lagte hein
kissi bahaane tumhein yaad karne lagte hein
har ajnabi humein mehram dikhaee deta hai
jo ab bhi teri gali gali se guzarne lagte hein



NOON gunna

Posted on 1/15/2006 4:27:52 PM

very difficult one Sall

any way sorry ya



sorry again

choti yae

Posted on 1/16/2006 9:57:10 PM

Noon ghunna means NooN..

SO..

na pooch pehli mulaqat main mizaaj uska..
wo rang rang main simta,kiran kiran main khula.

alif..

Posted on 1/16/2006 11:03:12 PM

ik wada hai kisi ka jo wafa hota nahi!!!
warna taaron bhari raat mein kia hota nahi.


ok new_beau...woh actually us time kafi sher zehan mein they...is liye..waise m sori..ab nahi karti.

Posted on 1/17/2006 9:49:44 AM



Alif

Posted on 1/17/2006 11:58:54 AM

Sorry I opsted wrongly with YE It should be with Noon.

Here it is!



Waoo

Posted on 1/17/2006 12:02:30 PM

wafa kay bhais mainn koi raqiib-e-shahar bhi hai
hazar! kay shahar ke qaatil tabiib-e-shahar bhi hai

yeh

Posted on 1/17/2006 7:30:30 PM

yaaro isi k damm se hain maqtal ki ronaqain
qatil ko zindagi ki duaa dena chahiye

ye

Posted on 1/17/2006 7:37:58 PM

"Yeh kis nay hum say Lahoo ka Khiraaj phir maanga
Abhi tou soye thay Maqtel ko Surkhroo ker kay

YEH

Posted on 1/18/2006 10:55:57 PM

ye kya k doosron ko sunaien hadees-e-gham
ik roz khud ko hans k rula dena chahiye..

ye

Posted on 1/19/2006 12:13:31 PM



Alif

Posted on 1/19/2006 12:14:35 PM

aag ho to jalane mainn dair kitani lagati hai
barf ke pighalane mainn dair kitani lagati hai


yeh

Posted on 1/19/2006 12:57:25 PM

Yeh Aik Hum Hain Jo Teray Liya taraptay hain
Yahain Kisi Kay Liya Kon Ghum uthata Hai ?

yeh again

Posted on 1/20/2006 3:55:07 PM

yaa to mit jaaiye yaa miTaa dijiye
kijiye jab bhi saudaa, kharaa kijiye(wajid tabassum)


Yeh


Posted on 1/20/2006 7:43:43 PM

Yun teri rahguzar se deewanavaar guzre
kaandhe pe apne rakh k apna mazaar guzre

damn,,,,
this ghazal is soooo depressing




YEH

Posted on 1/21/2006 1:15:44 PM