~ LG’s Poetry Compilation ~

60483 views 2476 replies
Reply to Topic
London_Girl

Age: 124
Total Posts: 18948
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom
Muskura Kar Mila Karo Ham Se
Kuch KAha Aur Suna Karo Ham Se

Bat KArne Se Bat Barhti Hai
Roz Baatain Kiya Karo Ham Se

Dushmani Se Mile ga Kiya Tum Ko
Dost Ban Kar Raha Karo Ham Se

Daikh Laite Hain Sat Pardon Main
Yun Na parda Kiya Karo Ham Se
Posted 29 Sep 2006

Understand Life      

                                          U nderstand life from a far,
                               unknown to us we except
                               what may come our way
                               in time of pain.....

                               We cannot understand
                                  what lies down deep if
                                  eyes are closed to the
                                  mind.........

                               Understanding life is

Posted 02 Mar 2007

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta
Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta

Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai
Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta

Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta

Amal ki sookhti rag mei zara sa khoon shamil kar
Mere humdam faqt batein bana kar kuch nahi milta

Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai
Kisike hijar mei neendein ganwa kar kuch nahi milta

Jiggr ho jayega chalni yeh ankhein khoon royengi
Ae dil Be'faiz logon se nibah kar kuch nahi milta
Posted 02 Mar 2007

patther se wafa butt se sada mang rahi hoon

kiyon aaj main sehra se ghata mang rahi hoon



muddat se koi dil ko dukhane nahi aaya

aa jao koi zakham naya mang rahi hoon

hai chand bohat door mere daste rasa se

jo ghar main jale aisa diya mang rahi hoon

jo jurme mohabat main tujhe mera bana de

aesi hi koi piyari saza mang rahi hoon

maloom hai tum ghair k ho jao ge ik din

phir bhi tumhain pane ki dua mang rahi hoon

x............x............x

Posted 02 Mar 2007

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta
Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta
Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai
Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta
Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta
Amal ki sookhti rag mei zara sa khoon shamil kar
Mere humdam faqt batein bana kar kuch nahi milta
Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai
Kisike hijar mei neendein ganwa kar kuch nahi milta
Jiggr ho jayega chalni yeh ankhein khoon royengi
Ae dil Be'faiz logon se nibah kar kuch nahi milta
Posted 02 Mar 2007

Kuch apnay Darmiyan un kahi bhi Rehnay do,
kuch apnay Darmiyan un suni bhi Rehnay do.




Na karo aayan Har Raz-e-Dil apna,
Kuch tu Pas-e-Parda Bhi Rehnay do.


Her koi Qabil-e-Aitmad Hota nahi,
Kisi ko Be-Aitbar Bhi Rehnay do.


Zarori Hay kia Har koi Ba-Wafa hi ho?
kuch Logon ko Be-Wafa Bhi Rehnay do.


Theher Jati Hay itminan ke Baad Zeest,
Zindagi main kuch intishar Bhi Rehnay do.


Her Baazi Jeet Lena Jeetna Hota nahi,
Kisi Lamhay pay apnay liay Haar Bhi Rehnay do.


Na ho Pareshan gar Chain na aay to,
Dil main kuch Baykali bhi Rehnay do.

x............x............x

Posted 02 Mar 2007

HOPE

An inspring hope in the depth of your heart

Makes u more determine motivates you

A deep existing hope i like a sunshine

Which enligtens your heart's shine

If you wish to have a fortune and fame

"Hope"is the way to fulfil your aim

When the forceful hope surrounds you

Take only few stepts more,to reach your destiny

If hope dosent exist in your heart,in you

Only darkness,grief and misfortune are there to face

Believe in Allah,hope for His mercy

You will be grantedlove,peace and prosperity.
Posted 02 Mar 2007

Hamari eid hum har tarha manaengay
Hamra shaikh kay fatway per atbar nahi
hamaray dupty comishnar nay chand dekha hay
hamen khabar hay kay woh gair zimay dar nahi
------------------------------------------------------------ --------
Yea rabay dily jeady ko zinadha tamna day
Tu khwab kay pyasay ko tabeer ka darya day
Iss bar makan badllon tu asi parosan hoo
jo kalab ko garam day or rooh ko tarpa day
------------------------------------------------------------ --------
way say tu zindagi may kuch bhi us nay na payea
jab dafan howa tu shair kay bhaag jagay
woh sadgi may in ko doo sameen samjha
bas athween ghazal per munka nakir bhagay
------------------------------------------------------------ --------
Iss ko apnay hussun ka fitrana kah
Fees baboo ko ager deni paray
is ko rishwat mat samajh nazrana kah
hussn ki gur dekhni hoo barhami
aek din nasreen ko rukhsana kah
har jawan orat ko baji mat bana
jo moamar kah appa na kah
sirf itna kar kay mujhko mat suna
20gazlen rozana shooq say kah

Posted 02 Mar 2007

TUM SE MILNE KE BAAD



Yeh halat hamari hogayi tum se milne ke baad

Zindagi pyaari hogayi hai tum se milne ke baad

Her cheez main ek ajab rang hai Mohabbat ka

Her cheez pyaari hogayi hai tum se milne ke baad

Chaand taaron ko chooliya main ne bhi aaj

Duniya hamari hogayi tum se milne ke baad

Tumhain yaad karke karwate badalte rahe

Raat yun hi saari guzar gayi tum se milne ke baad
Posted 02 Mar 2007

Complications



Where densness combines faith heals
when admiration conquers it really lives
admister poisen it leaves a nasty taste
learning tranforms eternal growth with ease
Laughter lessons thoughts of discontentment..

Liquid willingness spills over edges of grief
nothing speaks no nonsense just common sense
fresh rivers flow upward where complications live
answers appear while questions lie dormant
never say never it never began till thoughts happened
so capture your mind collect thoughts leave complications
in the vault not important in the century of growth..

Soar forward not upward, those dreams tend to pull
dreams are lovely but weaken the soul that should live
make things come true don't pull them in till cir
Posted 02 Mar 2007

KABHI YOON BHI AA MERI AANKH MAIN
KE MERI NAZAR KO KHABAR NA HOO
MUJHE EK RAAT NAWAZ DE
MAGAR US KE BAAD SEHER NA HO

WOH BARA RAHIM-O-KAREEM HAI
MUJHE YEH SIFT BHI AATA HAI
TUJHE BHOLNE KI DUA KAROON
TU DUA MAIN MERI ASAR NA HOO

KABHI DIN KI DHOOP MAIN JHOOM KE
KABHI SHAB KE PHOOL CHOOM KAR
YOHEIN SAATH SAATH CHALE SADA
KABHI KHATAM APNA SAFAR NA HOO

MERE PASS MERE HABIB AA
ZARA AUR DIL KE KAREEB AA
TUJHE DHARKANO MAIN BASALOON MAIN
KE BICHERNE KA KABHI DAR NA HOO

x............x............x

Posted 02 Mar 2007

ye jiit-haar to is daur kaa muqaddar hai
ye daur jo ke puraanaa nahiiN nayaa bhii nahiiN
ye daur jo ke sazaa bhi nahiiN jazaa bhii nahiiN
ye daur jiskaa ba-zaahir ko'ii Khudaa bhii nahiiN



tumharii jiit ah'm hai na merii haar ah'm
ke ibtidaa bhii nahiiN hai ye intihaa bhii nahiiN
shuruu ma'arka-e-jaaN abhii hu'aa bhii nahiiN
shuruu ho to ye hangaam-e-fasilaa bhii nahiiN

payaam zer-e-lab ab tak hai Suur-e-Israafiil
sunaa kisii ne kisii ne abhii sunaa bhii nahiiN
kiyaa kisii ne kise ne yaqiiN kiyaa bhii nahiiN
uThaa zamiiN se ko'ii, ko'ii uThaa bhii nahiiN

qadam-qadam par diye haiN vo rahzanoN ne fareb
ke ab nigaah meN tauqiir-e-rahnumaa bhii nahiiN
use samajhte haiN manzil jo raastaa bhii nahiiN
vahaaN lagaate haiN Deraa jahaaN vafaa bhii nahiiN

ye kaarvaaN hai to anjaam-e-kaarvaaN maaluum
ke ajnabii bhii nahiiN ko'ii aashnaa bhii nahiiN
kisii se Khush bhii nahiiN hai ko'ii Khafaa bhii nahiiN
kisii kaa haal ko'ii muR ke puuchtaa bhii nahiiN

x............x............x

Posted 02 Mar 2007

Hamari eid hum har tarha manaengay
Hamra shaikh kay fatway per atbar nahi
hamaray dupty comishnar nay chand dekha hay
hamen khabar hay kay woh gair zimay dar nahi
------------------------------------------------------------ --------
Yea rabay dily jeady ko zinadha tamna day
Tu khwab kay pyasay ko tabeer ka darya day
Iss bar makan badllon tu asi parosan hoo
jo kalab ko garam day or rooh ko tarpa day
------------------------------------------------------------ --------
way say tu zindagi may kuch bhi us nay na payea
jab dafan howa tu shair kay bhaag jagay
woh sadgi may in ko doo sameen samjha
bas athween ghazal per munka nakir bhagay
------------------------------------------------------------ --------
Iss ko apnay hussun ka fitrana kah
Fees baboo ko ager deni paray
is ko rishwat mat samajh nazrana kah
hussn ki gur dekhni hoo barhami
aek din nasreen ko rukhsana kah
har jawan orat ko baji mat bana
jo moamar kah appa na kah
sirf itna kar kay mujhko mat suna
20gazlen rozana shooq say kah
---------- ------------------------------------------------------------ --------
Posted 02 Mar 2007

Zindagee kiya hai?
Kabhi iss haqiqat koo jaan sako gay tum?
Hai sehra ki turhan lumbi.
Ragista'n ki jaisi bunjer
Rait ki turhan sakhat naa haath mien anay wali
Suraj ki tapish jaisi
Gaar mil jaye kahien a'ass koi sahr'ab ki turhan thundi
Barish ki pehli bond jaisi shafaf
Suraj ki pehli kiran jaisi
Chand ki chudhwien raat jaisi
Lakin kiya hai yeh saab??
Apnay app ko khatum kernay kay liya kharida hoya yeh waqt
Baas kuch dair kaa dhokaa
Or phir lafani zindagee
Kiya kuch paa liya or kiya kuch kho diya
Kuch nahi jaan sakey
Akhiree waqt bas a'ik khalish kaa ahsas raha
Joo waqt guzer gaya hai
Kiya woo abb
Meri zindagee mien
Joo yaad bun ker reh chuka hai
Kiya??
Meri grif't mien aa sakta hai
Dobara…
Zindagee kaa na tamam safer
Joo shayad
Hi kabhi khatam hoo
Meri zindagee ki woo ronaqien
Shayad hi kabhi wapis aien
Baas kuch din kaa or dhoka hai
Meri zindagee kaa khail bhi
Phir khatam ho jaye gaa
Abb kiya mila
Iss zindagee kay hathoon humien
Kuch nahi kuch nahi

Posted 02 Mar 2007

Aj ki raat buahat bhaari hai
Aj ki raat buahat udas hoon mein
Aj bewaja pareshan sa hoon
Koi anjan sa andhera hai
Koi benaam si veerani hai
Kucch ghutan si hai aj mehfil mein
Jismein apne bhi gair lagte hain
Aj mausam bhi kucch ajeeb sa hai
Yoon lagta hai jaise sawan bhi mere angan mein
aag barsaye...
Kitna hassas hogaya hoon mein



Bahar bhi khizaan khizaan si lage
Aey meri jaan mere dil ke makeen
Tumne dekha bahar kucch bhi nahi

Rung-o-khuhboo nikhaar kuch bhi nahi
Bass ik lamha tu nahi ayi
Aur mein kya se kaya hua joa

x............x............x

Posted 02 Mar 2007

Chehre pe khushi chah jati hai
ankhon mein suroor aajata hai
Jab tum MuJhe apna kehte Ho
apne pe guroor Aajata hai

Tum husn ki khud ek dunya Ho,
shayad yeh tumhain maloom nahi
Mehfil Mein Tumhare Aane Se ,
Har Chiz Pe NooR Aajata Hai


Hum pass se tum ko kiya dekhen
JaB TuM MukaBiL HotE HO
BetaaB NigHaooN Ke AaGe ,
Parda sa Zaroor Aajata Hai


Jab Tumse MohabbaT ki Humne
Tab jake kahin yeh raaz khula
Marne ka Saliqa Aata hi nahi
Jeene ka Shaoor Aajata Hai

x............x............x
Posted 02 Mar 2007

Mohabbat Maqsad Hai Zindagi Ka
Mohabbat Muqaddar Hai Her Kisi Ka
Mohabbat Pakeezai Ka Naam Hai
Mohabbat Her Khushi Ka Pegaam Hai
Mohabbat Hai To Rehmat Hai
Mohabbat Hai To Chahat Hai
Mohabbat Pyar Ish-o-Lagan Hai
Mohabbat Main Her Shakhs Magin Hai
Mohabbat Main Zindagi Kho Jati Hai
Mohabbat Haar Hai Mohabbat Jeet Hai
Mohabbat Hi Dil Ka Sacha Meet Hai
Mohabbat Phoolo Ko Hui Kantoo Se
Mohabbat Palkoo Ko Hui Aankhoo Se
Mohabbat Chand Ko Hui Chandni Se
Mohabbat Rooh Ko Hui Ragni Se
Mohabbat Subha Ki Pehli Kiran Hai
Mohabbat Do Diloo Ka Millan Hai
Mohabbat Hi Meri Manzil Hai
Mohabbat Hi Mera Dil Hai...!!!

Mohabbat Hi Majbori Hai..
Mohabbat Hi Kamzori Hai...!!! Khushi Mili To Has Na Sake
Ghum Mile To Roo Na Sake
Zindagi Ka Kya Yehi Dastoor Hai..!
Jise Chaha Use Pa Na Sake Jise Paya Use Chaha Na Sake
Posted 02 Mar 2007

"Mask Of Smiles"
Some days are so hard for me.
They cause me pain that you can't see.
Often I'm suffering with it alone.
Because these pains are my own.

My pains aren't always physical.
They can be mental or emotional.
So I hide them well.
I put on my MASK OF SMILES
'Cause I don't know what else to do.

Posted 02 Mar 2007

Night falls upon cities, vast, unknown
capturing souls, memories thunder
by, a moment when thoughts
were true, blissful nights beauty,
laughter a thing to be remembered
among lost ashes..

Night, playing with yesterdays beliefs,
now a question, was it lived good?
maybe just a gesture, maybe a dream,
maybe never happened! maybe all
beliefs changed overnight in it's
hellish dance to survive..

Night reveals substance, light, cool,
fresh, a release, a understanding
how it all worked when silence drifted
from afar,distant druming of emotion
linger through coves, that once brought
beauty amongest the peaks where
birds nested undistrubed..

Night quietly falls where only danger
survives, spirits of our fathers softly
lay there hands upon a dying world
of confusion, tears soak the thirsty
grounds of memories green with
understanding treasures of what
was once upon a time
Posted 02 Mar 2007

A Special Boy
God designed you just as you are.
With a bright smile, and a big heart.
Two strong arms, to give big hugs.
Two beautiful eyes to hunt for bugs.
You are full of hope, and hold such joy.
You are a child of God, A Special Boy!

Posted 02 Mar 2007

Life itself is a fact
Love is a dream
We often open the door to look back--
but find it difficult to clearly see.
Sometimes we're like the fish--
that swims up stream.
It's all an ILLUSION.

Time goes on forever.
Space is never ending.
While you're there with her--
instead of being here with me
You're only an ILLUSION.

I was the magic.
You were the act.
our love was a trick
What did it lack?
It was just an ILLUSION.
Posted 02 Mar 2007

cutefriend says
zaberdast
Posted 03 Mar 2007

cutefriend said:

zaberdast




thnx
Posted 05 Mar 2007

KING OF JB said:

nice one Lg




Posted 05 Mar 2007

Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke

Viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain
Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke

Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din
Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke

Duniya ne teri yaad se begaana kar diya
Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar ke

Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz
Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke
Posted 05 Mar 2007

Nigahein daal ke mujh pe yeh kaisa vaar kar daala
ke lab khole bina hi tum ne to izhaar kar daala

na khwaboon mein bhi tum aaye aur na hui tum se mulakaatein
arey kya khoob hain aap...lamhe mein hi pyaar kar daala
shararat tum mein bhi hai aur shararat hum mein bhi aey dost
shararat hi shararat mein dilon ko paar kar daala

zamana bhar to soche ga ki peche hai koi saazish
ke baithe hi bithae pyaar be shumaar kar daala
Posted 05 Mar 2007

Us Simt Mujh Ko Yaar Nay Jaanay Nahin Diya
Ek Aur Shahar-E-Yaar Main Aanay Nahin Diya

Kuch Aur Waqt Chahatay Thay K Sochon Terey Liey
Tu Nay Woh Waqt Hum Ko Zamaanay Nahin Diya

Manzil Hai Is Mahak Ki Kahaan Kis Chaman Main Hai
Is Ka Pata Safar Main Hawa Nay Nahin Diya

Rooka Aana Nay Kaavish-E-Besud Say Mujhay
Us Baat Ko Apna Haal Sunanay Nahin Diya

Hai Jis K Baad Ehad-E-Zawaal Aashna "Munir
Posted 05 Mar 2007

LOVE KA IZHAR KAR DALA



Nigahein daal ke mujh pe yeh kaisa vaar kar daala
ke lab khole bina hi tum ne to izhaar kar daala

na khwaboon mein bhi tum aaye aur na hui tum se mulakaatein
arey kya khoob hain aap...lamhe mein hi pyaar kar daala
shararat tum mein bhi hai aur shararat hum mein bhi aey dost
shararat hi shararat mein dilon ko paar kar daala

zamana bhar to soche ga ki peche hai koi saazish
ke baithe hi bithae pyaar be shumaar kar daala
Posted 05 Mar 2007

Nikla subha ko jo sar e sham un ko dhulna hai
her aik ko yahan apni manzal tarak palatna hai
bus itna qurb tera mere liaye kafi hai
aik patri ki tarah sath sath chalna hai
apny gasoon main saja lo enayat ker do
phool hon meri qismat to bokhaerna hai
mil gaya jo achanak usay na jany do
kitna mushkil yahan khoye hoye milna hai
kuch nahi ho ga tera jawo Najam kam karo
teri fitrat main kahan apni khudi se hutna hai
Posted 05 Mar 2007

Masoom Mohabbat

       

Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hay,
Kaghaz ki Hawaili hay aur Baaish ka Zamana hay...



Kya shart-e-mohabbat hay, kya shart-e-zamana hay,
Awaz bhi Zakhmi hay aur Geet bhi gaana hay...



Us paar utarnay ki Umeed bohat kam hay,
Kashti bhi Puraani hay aur Toofan ko bhi aana hay...



Samjhay ya na samjhay wo Andaaz Mohabbat kay,
Aik shakhs ko Aankhon say Shair sunana hay...



Bholi si Adaa koi phir 'Ishq' ki, zidd par hay,
Phir 'Aag ka Darya' hay aur 'Doob' kay jana hay...!!!

Posted 05 Mar 2007

Wo Apnay Ishq Main Kaisa Kamaal Rakhti Hai

"Wo Apnay Ishq Main Kaisa Kamaal Rakhti Hai
Ke Be-Rukhi Main Bhi , Mera Khayaal Rakhti Hai

Jo Aaj Meri Nahien Hai Wo Kal Meri Ho Gi
Key Har Zamaana Urooj-o-Zawaal Rakhti Hai

Ajab Nahi Wo Jahaan Bhar Ko Bewafa Samjhe
Nazar Mein Meri Wafa Ki Misaal Rakhti Hai

Kahan Talak Koi Dast-e-Karam Ko Zehmat Dey
Tamaam Shaher Hi Dast-e-Sawaal Rakhti Hai

Meri Uraan Ke Aagey Hai Kis Qadar Bey-Bas
Yee Aasmaan Jo Sitaaroon Ki Jaal Rakhti Hai

Tera Khayaal Hi Kuch Meherbaan Hai Warnaa
Jahaan Mein Koun Kisi Ka Khayaal Rakhti Hai

Woh Apnay Ishq May Kaisa Kamaal Rakhti Hai
Ke Be-Rukhi May Bhi , Mera Khayaal Rakhti Hai

me uss kai gham me marjayon ga ak din imran
uss larki kai piyaar par jo atna atbaar rahta hai


Posted 05 Mar 2007

Reply to Topic