~ LG’s Poetry Compilation ~

60325 views 2476 replies
Reply to Topic
London_Girl

Age: 124
Total Posts: 18948
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom
Muskura Kar Mila Karo Ham Se
Kuch KAha Aur Suna Karo Ham Se

Bat KArne Se Bat Barhti Hai
Roz Baatain Kiya Karo Ham Se

Dushmani Se Mile ga Kiya Tum Ko
Dost Ban Kar Raha Karo Ham Se

Daikh Laite Hain Sat Pardon Main
Yun Na parda Kiya Karo Ham Se
Posted 29 Sep 2006

Nasha

Jise Pia Hum ne teri

Gharam SansoON se,

Sheyar likh sakye na

apni Shayri mein'

esa Nasha hai teri AkhoON mein.

Mae hanye mein Pi sakye

na apne HontoON se'

esa Nasha hai teri AnkhoOn mein.

Chahye pana her koi

dekh ker in ko'

esa Nasha hai teri AnkhoON mein

Jise Pia Hum ne teri

Gharam SansoON se

Posted 27 Feb 2007

Hum manty hain teri ankhaoon main hai jadoo
Abh teri ankhaoon say ankhain millana mushkil ho gya

teri ankhoon ko barsay hoiey mudat hoi
teri ankhoon say ansoo girrana mushkil ho gya

apni zaat pay tum charha rehy ho khool pay khool
tujhy apny zat kay khool say nikalna mushkil ho gya

keyoun barha rehy ho faslay hum say tum
abh to yeh faslay mitana mushkil ho gya

jin naow ko lay kar chally thy khabi hum dono
us naow ko parr lagana mushkil ho gya

tum dety ho awazain hawaoon ko q
abh tu charaghoon ko bachana mushkil ho gya

kittna assan howa karta tha tumhy bullana
abh tumhy payar say bullana mushkil ho gya

humy maloom hai tum humy bhool jao gay
humy tum ko bhullana mushkil ho gya

ik barhossa tha girry to tum uthaoo gay humy
lakun abh tu khud ko uthana mushkil ho gya
Posted 27 Feb 2007

~tasha~ says
London_Girl said:

ACHIEVING DREAMS --

A dream is a seed
The seed of a tree
A tree full of life
And the things you can be
Your dreams are the windows
Through which you can see
A hint of your future
And the things you will be
Each night when you sleep
YOur feeding the seed
The seed of the tree
Of who you will be



Posted 28 Feb 2007

thnx
Posted 28 Feb 2007

hamaare daramiyaa.N aisaa ko_ii rishtaa nahii.n thaa


hamaare daramiyaa.N aisaa ko_ii rishtaa nahii.n thaa
tere shaano.n pe ko_ii chhat nahii.n thii
mere zimme ko_ii aa.Ngan nahii.n thaa
ko_ii vaadaa terii zanjiir-e-paa banane nahii.n paayaa
kisii iqaraar ne merii kalaa_ii ko nahii.n thaamaa
havaa-e-dasht kii maanind
tuu aazaad thaa
raaste terii marzii ke tabe the
mujhe bhii apanii tanhaa_ii pe
dekhaa jaaye to
puuraa tasarruf thaa
magar jab aaj tuu ne
raastaa badalaa
to kuchh aisaa lagaa mujh ko
ke jaise tuu ne mujh se bevafaa_ii kii
Posted 28 Feb 2007

sab se chupa kar dard jo woh muskura diya....
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya.....

lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan...
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya...


aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi...
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya....


jane kya us ko logon se thi shikayatein. ...
tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya...


khud bhi woh hum se bichar kar adhura sa ho gaya....
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya....

Posted 28 Feb 2007

Namm na karna phir ankhein isi nami se kya mila
Dukh hi dukh milte rahe hain zindagi se kya mila

Kuch bhi milta hai nahi zindagi se aey dost
Rone aur rulane se tishnagi se kya mila

Tum jo uski muhabbat mein raat din magan rehte
Bol mujhko yeh bata uss ajnabi se kya mila

Karlena mujhse sara hisab kya khoya kya paya
Chorh dena sab kuch yara dil lagi se kya mila

Jis gali se tum subh-o-sham guzarte they
Uske rehne walon se ya uss gali se kya mila
Posted 28 Feb 2007

~~~~~~~~~~~~~~

Woh Dekhoo!

Mohabaat k Daweey kerney wala


sath na chorney ki baatain kerney wala
Anjani rahoon main rehber bananey wala
Dukh Sukh main sath dainey ki baatain kerney wala
Aaj Woh Dekho!


Pathar ka khuda ban betha
Posted 28 Feb 2007

Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty
saahil pe samundar ke hazane nahi aaty
palkein bi chamak uthi hen sote hi hamari
aankho ko abi khawab chupane nahi aaty
dil ujri hoi ik saraye ki terha hai
ab loogh yahan raat jagane nahi aaty
yaaro naye mousam ne yeh ahsaan kiye hen
ab yaad samje derd porane nahi aate
urny do abi parindo ko shoh hawa men
phir lout ke bachpan ke zamane nahi aaty
is shehar ke badal teri zulfon ki terha hen
yeh aag lagate hen per bojane nahi aaty
ahbaab bi gharon ki terha ada seekh gye hen
aaty hen magar dil ko dukhane nahi aaty

Posted 28 Feb 2007

Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai
Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai
Posted 28 Feb 2007

Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai



Jo khud ko kostey hain woh shayed bekhabar hain
Kuch paalene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai



Har aik ko barsar-e-ilzam kiun thehrayein hum
Apne samne bhi tou aik ayeena hota hai



Hum apni zindagi se kiun haar jayein
Gar doobta hai sooraj tou kal bhi ujala hota hai

Posted 28 Feb 2007

Band Dareechey <<~!~>>

Band Dareechey, sooni Galyaan an-dekhey anjaney log
kis nagri mai aa nikley hein Hum jesay Deewaney log


<<~!~>> <<~!~>>


Ek Hum hi Na-Waqif there Roop nagar ki Galyon se
Bhess badal kar milney waley sab janey pehchaney log

<<~!~>> <<~!~>>


Din ko Raat kahein so Barhaq, Subha ko Shaam kahein so khoob
Aap ki Baat ka kehna hi kya, Aap hoye Farzaney log

<<~!~>> <<~!~>>


Shikwa kya aur kesi Shikayat, Aakhir kuch Bunyad to ho
Tum per Mera haq hi kya hai, Hum there Beganey log

<<~!~>> <<~!~>>


Shehar kahan khali rehta hai, ye darya har dam behta hai
Aur boht se mil jayein gay, Huim aisey Deewaney log

<<~!~>> <<~!~>>


Suna hai usske Ahd-e-wafa mai Hawa bhi Muft nahin milti
un Galyon mai har har Saans pe bhartey heinJjurmaney log
Posted 28 Feb 2007

Aik Lakeer Terey Naam Ki

kuch udaas kuch khamosh
kuch bebas see lakeerien merey

haath ki?
Dhoondta Rehta hoon aksar in Lakeeron main
Aik lakeer tere naam ki
Kuch maloom bhi hey
Kuch dil bhi janta hey
Ke in lakeeron main koi lakeer Nahi tere naam ki
Phir bhi naa jane kion dhondta Rehta hoon
Aksar ek lakeer tere naam ki
Aik lakeer terey naam ki....

Posted 28 Feb 2007

x............x............x

ßÎÇHÂRR KÂR



Bicharr ke mujh se tum bhi jee na paoge
Sach kehti hoon mere bin bohat pachtaoge
Bardasht ka paimaana hai mera bhi bohat wasi
Bolo kitna rulaoge bolo kitna sataoge
Yaadein meri satayengi baatein meri rulayengi
Meri nigahon se tum khud ko kahan tak chhupaoge
Saaya bhi hua karta hai kya kabhi Insaan se judda
Tum jahan bhi jaoge saath mujh ko paoge
Kardega mera khaloos yeh haalat tumhari
Raaz e Dil zaban tak laoge aur keh na paoge
Karti hoon intezaar us lamhe ka main
Jab mujhe apna keh ker paas bulaoge

Posted 28 Feb 2007

zindagi aaj meri jaan ki dushman bani hai,
mere khabon ki rani aaj kisi aur ki dulhan bani hai.

aisi zindgi se kya faayda maula,
le kyon nahi leta ye jaan jo chand saanso ki mehman bani hai.

kya kahun kitni mahir hai wo chehre badalne me,
kar ke khoon mere jazbaton ka dekho kitni nadaan bani hai.

socha na tha meri mout ka bhi faayda utha legi wo,
mere khoon ki mehndi aaj uske sajne ka saaman bani hai.

jise kahta tha main kabhi mohabbat ki devi,
wahi devi aaj mere liye haivaan bani hai.

humsafar tha main jiske liye kabhi,
hoke begane ki wo mujhse aaj anjaan bani hai.

kaash ki main tere sehre ka phool hota
to choom leta tere maathe ko ki tu aaj malikae paristan bani hai.

yoon to dono ne ghar badle hain aaj,
wahan tujhe mahal mile,yahan kabr hamara makaan bani hai.

Posted 28 Feb 2007

PAYYAR MEIN

Duniya kisii ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN
ik dilruba hai dil meiN jo hooroN se kam nahiN

Tum baadshaah-e-husn ho husn-e-jahaan ho
jaane wafa ho aur mohaabat ki shaan ho

Jalway tumhare husn ke taaroN se kam nahin
duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN

Bhoolay se mushkuraaO to moti baras paray
palke utha ke dekho to kaaliyaan bhi hans paray

Khusboo tumhaari zulf ki phoolon se kam nahin
duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN

Posted 28 Feb 2007

Kaun Kiske Kareeb Hota hai, Apna Apna Nasib Hota Hai,,,



jab Yaad Karta Hai Koi To Dard Dil Ke Kareeb Hota Hai...

Saans Lene ka Naam Zindagi Hain To Jiye Jate Hain,,

Dusro ko to Kyaa Hum Khud Ko Dhoukha Diye Jate Hain.

------------------------------------------------------------ ---------

Dil To Chamak Sakey Ga Kai Phir Bhi Tarah K Dhaikh Lian

Seesha Giraan Sheher K Haath Ka Yeh Kamaal Bhi

Is Ko Pa Na Sakey They Jab Dil Ka Ajab Haal Tha Ab Jo Palat K Dhaikhye Baat Thi Kuch Muhal Bhi

Meri Talab Tha Aik Shekas Wo Jo Naheen Mila Tha Phir

Hath Dua Se Yun Gira Bhool Gaya Sawal Bhi.

------------------------------------------------------------ -----------

Kia Khaber Jab Kabhi Lout Kar Aao Tum

Meri Turbat Ka Tum Ko Nishan Na Miley

Thak Kar Dam Tour Daye Shair-e-be-sakoon

Piyar Ka Jab Ussey Saiban Na Miley.

------------------------------------------------------------ ----------

Hum Nay Tou Apnay Dil Ko Tera Ghar Bana Diya

Aye Ishq Na Tamam To Bad Nam To Na Kar

Aye Dil Teri Murad Hai APni Pouhch Say Dour

MumkiN Na Ho Jahan Main Woh Kaam To Na Kar.

------------------------------------------------------------ --------------

MuJheY Chandin Rat Ki Woh Haseen Ghari Yaad Hai

Jab Uzne Mere Hathon Ko Apne Haath Men Lekar Kaha tHa Keh

Jante Ho Garam Haath Wafa Ki Alamat Hote Hain...Men Uzki Yeh Bat SunKer Khushi Se Jhoom Utha Tha..MaGer Aaj Shab-e-Tanhai Men Betha Soch Raha Ho0n Ke Uz WaQt Uz Ke Haath Kitne Sard The

Posted 28 Feb 2007

Agar Talash Karon Koi Mil Ga
Magar Tumhari Tarhan Kon Mujhe Chahiay GA



Mujhe Zaror Koi Chahaton Say DekhayGa
Magar Woh Ankhin Kahan SaY Tumhari Lai GA



Janay Kab Meray Dil Pay Nai Dastak Hoo
Maqan Khali hoa hai,Koi Tu Ai Ga



Tumharay Saath Yeh Mausam Farishton Jaisa Hai
Tumharay Baad Yeh Mausam Bhout Satay GA

Posted 28 Feb 2007

Us Ko


Woh Meray Pass Hai Kya Pass Bulaon Us Ko
Dil Main Rehta Hai Kahan Dhoondhnay Jaon Us ko
Aaj Phir Pehli Mulaqat Say Aghaz Keroon
Aaj Phir Door Say Hi Dekh Kay Aaon Us Ko
Chalna Chahay To Rakhay Paon Meray Seenay Par
Bethana Chahay To Aankhoon Pay Bithaon Us ko
Woh Itna Subuk , Itna Subuk Lagta Hai
Kabhi Gir Jayay To Palkoon Say Uthaon Us Ko
Yeah Mera Dil , Mera Dushman , Mera Dewana Dil
Chahta Hia Kay Sabhi Zakhm Dikhaon US ko
Aaj To Dhoop Main Taizi Hi Bohat Hia Warna
Apnay Sayay Say Bhi Main Bachaon Us Ko

Posted 28 Feb 2007

Aankh Eik Dard Pehchan Ai Hai

Aankh Eik Dard Pehchan Ai Hai
Jaan Main Meri Jaan Ai Hai

Tum Hotay Tu Ronaq Hoti
Tum Bin Shaab Veeran Ai Hai

Jungle Ki Masoom Hawa Thi
Basti Say Heeran Ai Hai

Umar Guzari Dohkay Khatay
Phir Bhi Kahan Pehchan Ai Hai

Shehar Aya Tu Dil Nay Pocha
Raah Koi Sunsaan Ai Hai

Shehar Aya Tu Dil Nay Pocha
Rah Koi Sunsaan Ai Hai

Farhat Shaam Hans Kar Bolo
Pal Do Pal Mehman Ai Hai

Posted 28 Feb 2007

naaraz hum, naaraz tum,
kaisay mitay phir dooriyan,
hum muntazir, tum bekhabar,
donon ki hain majboorian,

kuch khonay ka gar tumhay ehsaas ho,
beetay dino kay lotnay ki tum ko bhi aas ho
to chalay aanaa ....
chalay aanaa....
mut sochna, mut poochna,
uthtay qadam mut rokna ...
naata hamara dil ka tha,
kehna bhi dil ka maan na ......
Posted 28 Feb 2007

Suna hai waqt ke saath halat badal jate hain
Insan badal jate hain, jazbat badal jate hain
Par tum na badloge, ye aitbar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon





In haseeniyon se pyaar kya karna...
In adayon se pyaar kya karna...
Yeh Zakhm de kar hasa karti hain....
In bewafayon se pyaar kya karna





ye mera dil is dil ki halat kaise bataun tumhe
ye dil ab dil na raha di ki awaz kaise sunaun tumhe
kishi ke mohabat main thukraya gaya hai ye
ye dil mein jo dard hai kaise dekhaun tumhe




Tu Mili to zindigi mili
Tujako dekha to zindagi ko dekha




TUTE HUA DIL KE DARD KA BHI ALAG MAZA HAI ,
JO USKO MEHSUS KARTA HAI VO USHI KO PATA HAI.





kisi bhi mausam ka asar abb humpe hota nahi,
yaro hum ne tau registan(desert) ki aadat dal rakhii hai




Hum se kya khathaa huvien, mail aanaa bandh hai...
Aap hi humse naaraaz hai, ya mail server bandh hai?!




MOHABBAT KE LIYE KUCH KHAAS DIL MAQSOOS HOTE HAI
YEH WOH NAGMA HAI JO HAR SAAZ PE PAAYA NAHI JAATA




Dil ki lagi kuch asi lagi, hum dil hi gawa bhetain,
ye dil ka lagana kya hua ek rog laga bhetain




har rahi ko manzil nahi milti,
har mujrim ko saza nahi milti,
mera bhi khwaish hai TajMahal banane ki,
magar har kisi ko Mumtaz nahi milti
Posted 28 Feb 2007

~~~ USAY KEHNA ~~

Usay kehna kitaabuN meiN rakhay sookhay hoye kuch phool
Us kay lout aanay ka yakeeN ab tak dilaatay haiN
Usay kehna kay uski jheel sy aankhaiN kisi manzar par chaa jaeN
To sab manzar yohiN phir bheeg jatay haiN
Usay kehna kay thundy baraf par koi kisi kay saath chalta hai to
QadmuN kay nishaaN phir say usy kay lout aanay kay nishaaN
dil par banaatay haiN
Usay kehna kay uski bheeghy aankhuN ka wo aansu
Sitaaray ki taraH ab bhi hamaiN shab bhar jaghaata hai
Usay kehna kay baarish khirkiyuN pay us kay aansu paint kerty hai
Usy ka naam likhty hai
Usay hi gungunaaty hai
Usay kehna kay khushbu 'chaandani ' taaray ' saba ' rastay ' ghata ' kaajal '
Muhabbat ' chaandani 'shabnam ' hawaiN ' raat din ' baadal
Sabhi naraaz haiN hum say
Usay kehna judai kay darakhtuN par jo sookhy tehniyaN haiN
Wo saary baraf ki chaadar main kab ki dhak chuky haiN
Aur un shaakhuN pay yaaduN kay
Jo patay thay sunehry ho gay haiN
Usay kehna december so gaya hai
Aur yakh basta wo bheegy January phir lout aaey hai
Usay kehna kay lout aaey...
Posted 28 Feb 2007

ek vaadaa hai kisii kaa jo vafaa hotaa nahii.
marmarii taaro bharii raatoN me kyaa hotaa nahii

jii me.n aataa hai ulaT de.n un ke chehare se naqaab
hausalaa karate hai.n lekin hausalaa hotaa nahii.n

shamaa jis kii aabaruu par jaan de de jhuum kar
vo patangaa jal to jaataa hai fanaa hotaa nahii.n

Posted 28 Feb 2007

duur tak ko_ii sitaaraa hai na ko_ii juganuu
marg-e-ummiid ke aasaar nazar aate hai.n

mere daaman me.n sharaaro.n ke sivaa kuchh bhii nahii.n
aap phuulo.n ke Khariidaar nazar aate hai.n

Posted 28 Feb 2007

mere daaman me.n sharaaro.n ke sivaa kuchh bhii nahii.n
aap phuulo.n ke Khariidaar nazar aate hai.n

kal jise chhuu nahii.n sakatii thii farishto.n kii nazar
aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aate hai.n

---------------

hashr me.n kaun gavaahii merii degaa 'Chishty'
sab tumhaare hii taraf_Daar nazar aate hai.n

----------------

terii duniyaa me.n yaa rab ziist ke saamaan jalate hai.n
fareb-e-zindagii kii aag me.n i.nsaan jalate hai.n

dilo.n me.n azamat-e-tauhiid ke diipak fasurdaa hai.n
jabiino.n par riyaa-o-kubr ke saamaan jalate hai.n

Posted 28 Feb 2007

havaadis raqs-farmaa hai.n qayaamat muskuraatii hai
sunaa hai naaKhudaa ke naam se tuufaan jalate hai.n

shaguufe jhuulate hai.n is chaman me.n bhuuk ke jhuule
bahaaro.n me.n nasheman to bahar-e-unavaan jalatae hai.n

x............x............x

Befikar Dhan Daulat Walay
Yeh Aakhir Kiun Khush Rehtay Hain
In Ka Sukh Aapas Main Baantain
Yeh Bhi Aakhir Hum Jaisay Hain

x............x............x

Mera Dil Ghamgeen Hai To Kya Hai
GhamgeenYeh Duniya Hai Saari
Yeh Dukh Tera Hai Na Mera Hai
Hum Sab Ki Jageer Hai Pyaari

x............x............x

Posted 28 Feb 2007

Terey her qadam key mey sath cahloun

Her din her raat her lamha terey sath rahoun

Too meri her sans mey khusboo bana rahey

Zindagi jo yuen guzer rahi hey her pal derti houn

x............x............x

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi….

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi….

x............x............x

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi….

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi….

Posted 28 Feb 2007

Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi….

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi….

x............x............x

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi….

Kiskii majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi….
Posted 28 Feb 2007


MERAY KHWAB

may to kabhi na sota agar khwabo may tum na atay
mayri nind to bas tum say mulakat ka ek bahana hay
khwab jo daykhta hun wo puray honagay ya nahi
sochta hun tum ko muhabbat ki wadio may lay kay jana hay
dost kehtay hayn nasha darde ghame ishq ko mitata hay
mujhay to mehsos ya hota hay   tu hi mayra paymana hay
mujhay suko nahi kahi bhi tayray qurb kay siwa
lagta hay tayra dil hi ab mayra ghreb khana hay
tayri muhabbit jo na mil saki to zamana thukra dia ham nay
kio kay mayray khayal may tu hi sara zamana hay
mayray khwbo ki haday to yaha tak pohanch gai hayn sham
ham ko ab nilay gagan kay us par bhi ek sath jana hay

Posted 28 Feb 2007

Reply to Topic