~ LG’s Poetry Compilation ~

60326 views 2476 replies
Reply to Topic
London_Girl

Age: 124
Total Posts: 18948
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom
Muskura Kar Mila Karo Ham Se
Kuch KAha Aur Suna Karo Ham Se

Bat KArne Se Bat Barhti Hai
Roz Baatain Kiya Karo Ham Se

Dushmani Se Mile ga Kiya Tum Ko
Dost Ban Kar Raha Karo Ham Se

Daikh Laite Hain Sat Pardon Main
Yun Na parda Kiya Karo Ham Se
Posted 29 Sep 2006

Sirf tum hi nahi ho

sirf tum hi nahi ho jisay main ne baywaqoof banaya hay

aur bhi kayee masoom hain jinhen main ne phasaya hai

shadi ke wade to kayeon se kiya hai lakin

shadi wahi karonga jaha Amma ne bataya hai

sirf tum hi nahi ho jisay main ne baywaqoof banaya hay

suna hai tum ko ladkey wale dekhne aaye hain

ye muj ko mere doston ne bataya hai

gham mat karna mat ghbrana tum nahi ho to kiya hoa

main ne tumhari padosan ko bhi phasya hai

sirf tum hi nahi ho jisay main ne baywaqoof banaya hay

hazaroo ladkiya msn pe melin

jenhain main ne apni list main add karya hai

tum se chat karta hoon ye Ahsan hai merea

baqi ko to main queue main lagaya hai

sirf tum hi nahi ho jisay main ne baywaqoof banaya hay

aur kiya sunao dosto tumhen main

kal hi main ne ek ladki ko bulaya hai

us ke bahiyo ne bohat mara hai lekin

SaHiL kab in batoon se ghabraya hai

sirf tum hi nahi ho jisay main ne baywaqoof banaya hay

Posted 16 Feb 2007

Jab tumhein yeh yaqeen ho jaye
ke main tumhein kitna chahta hoon
Tumse kitni mohabbat karta hoon
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Jab tumhain aisa lage ke
koi tumhare sang nahi hai
koi tumhara hamdam nahi hai
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Jab tumhain zindagi dushwar lage
Jab koi umeed na koi aas ho
koi bhe na tumhare pass ho
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Agar kabhi yadein bohat dukh de
Tanhai ka ehsas bohat satae
To usi din tum lautt aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi



Jab you lage tumhain ke
Tum ab aik qadam bhe nahi chal sakti
Mazeed is aag main nahi jal sakti
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Jab har saans boojh lagne lage
Tum andar hi andar tootne lago
To ausi din tum lautt aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Na mile panah kisi key banhoon main
Aur shiddat se kisi ke zaroorat ho
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Jab yeh ehsas tumhain tadpane lage
Ke tum ne kabhi tukraya tha kisi ko
Yah phir koi tumhain tukra de
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Aankhoon main ajay agar ashk tumhari
Aur koi shaks pouchne wala na ho
koi ghum bant ne wala na ho
To usi din tum lautt aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Koi tord de agar dil tumhara
Ho agar na koi muqabil tumhara
Tanhai ka ehsas bohat sataee
To usi din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Yeh to dukh deti hain sada
Tumhain bhe yadein sataye jab
Mehfil main bhe khud ko tanha paoo
To us din tum laut aana
Tum mujhe apna muntazir paao gi

Yeh mera wada raha tumse
Jo kuch bhe main ne kaha tumse
Yeh sab na bhool paoo gi
Tum muje sada,sada apna muntazir paoo gi,

Posted 16 Feb 2007

~~~kaho ik din tum aao gey~~~

jhuki hein ab meri nazrein,

tumhe jo yaad kerti hein,

baharein laut lao gey,

kaho ik din tum aao gey.

woh sari teri perchaiyan,

tasawar ki woh tanhaiyan,

jo aankhon se barasti hein

kaho sab chor aao gey.

kaho ik din tum aao gey.

ye arzan hai khazan hum per,

pholon ka hai eeman tum per,

muhabat tor lao gey,

kaho ik din tum aao gey.

kyun nazrein teri piyasi hein,

kaho kis ki matlashi hein,

hakiqat ban ke aao gey,

khawabon ko tor jao gey.

kaho ik din tum aao gey.

Posted 16 Feb 2007

KITNA ACHA LAGTA HAi,,,

Tere pyaar mein Rusva hona kitna acha lagta hai ,

Qadam Qadam par thokar khana kitna cha lagta hai ,

Roo leta hoon Hans leta hoon Tere aane jane par,

Tera ghar mein aana jana kitna cha lagta hai ,

Main apna fsaana khud hi kehta sunta rehta hoon ,

Achi Yaadon ka Duhrana kitna acha lagta hai ,

Buhat bura lagta hai Mujh ko Tera Gharon se milna,

Aur is ka iQrar naa karna kitna acha lagta hai,

Tere hi raste par chalna Teri hi manzil ko jana ,

Tere hi har Dam gun gana kitna cha lagta hai,

Jin Chashmon ka paani Dil duniya seerab kare,

Un Chashmon ka Paani peena kitna cha lagta hai ,

Sab logon ki batein sun na Aur chup rehna ,

Teri khatir har dukh sehna kitna acha lagta hai,

Yuon tu WaSeE duniya mein sab batein hoti rehti hain ,

Laikin kuch baton ka hona kitna acha lagta hai ,

Posted 16 Feb 2007

¤¦¤ Kabhi shab se kabhi sehar se ¤¦¤
Kabhi shab se kabhi sehar se larra karti thee
mudatein huwen ek shamma yahan jala karti thee

Kya baat huee keh aaj sar-e-sham band ho gayee
Ek khirrkee jo kabhi ta sehar khula karti thee

Sehamta hai dil kyoon ab ki bar is toofan mein
Garajte they badal, bijli pehlay bhee gira karti thee

Kuch rang yaas me kusht-e-armaan ka hai warna
Naomeedi is dil se door hee raha karti thee

Khata meri hee thee jo dunya se dil laga baitha
Yeh kambakht zindagi pehlay kab kisi se wafa karti thee

Main un se kah raha hoon mujhe yaad kijiye
Kabhi meri yaad jin ki dharrkan huwa karti thee

Dekho aaj ham un ki dunya me shamil hee nahin
Jin ki dunya kabhi bas ham se huwa karti thee

Posted 16 Feb 2007

Khushbo ki therhaan
¤*.¸¸.·´¨`"*"´¨`·.¸¸.*¤¤*.¸¸.·´¨`"*"´¨`·.¸¸.*¤
¤*.¸¸.·´¨`"*"´¨`·.¸¸.*¤

Khushbo ki therhaan Dil main basaa ker use dekhoon
Hatoon Ki Lakeroon main Saaja Ker Uusee Dekhoon
Dil us ko chahee pher Bhi Zaara Deer Ki Lyiee
Khud Us Se Leroon Our Pher Manna Ker Use DeKhoon
Sheshe saa DiL Hai Us KA Kabhi Jo DukH Jayee
PalKoon Se DuKh CHun Loon Our Pher Use DeKhon
Us Ki KhusHe Ki Khater Main Zaher Hans Ki Peloon
Jub Jaan Nikal Ki Gye Tub Pher Main Use Dekhoon
Us Ki Lout Ane Kie InteZar Ki Khater GHAAZAL
Sare Ummer Main Beta doon OUr Phe rUse Dekhoon
Posted 16 Feb 2007

ACHA LAGTA HAI,,,,

Os ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai,

Khamoshi sey dard ko sehna acha lagta hai,

Jis hasti ki yaad mein Aanso barstey hain,

Samne os ke kuch naa kehna acha lagta hai,

Mil kar os se Bichar naa jaaon darta rehta hon,

is liye bas door hi rehna acha lagta hai,

janta hon keh chahat mein bas Aanso milte hain,

Kuch bhi ho ab is zehar ko peena acha lagta hai,

Je chahey sab khushiyan laa kar os ko de doon,

Os ke pyaar mein sab kuch khona acha lagta hai,

Os ka milna naa milna Qismat ki baat hai,

Pal Pal os ki yaad mein roona acha lagta hai,

Os ke bina sab khushiyan WaSeE Ajab si lagti hain,

Roo Roo kar os ki yaad mein sona acha lagta hai,

Posted 16 Feb 2007

Ek gulab Tha Bara Udaas Tha

Rang bhi us ka tha kuch ora ora sa
Shabnam ke ansoo rawan they us k
Dil tha us ka kuch bujha bujha sa
Bahar ka tha mosam phir bhi na khila tha
Dali se tha who apni kuch jhuka jhuka sa

Main ne jho dekha usse
Pass jha ke pocha usse
Kyu hai Udaas to?
Kyon kerta ha dil barbad to?
Kis ko kerta ha yaad to?
Yeh sun ker who rone laga

Shabnam ke ansoo se moon dhone laga
Aur rote rote bas yeh kehne laga
Mera yaar mugh ko chor gaya hai
Mera pyaar mujh se muh mor gaya hai
Ab main kis ke liye khil jaoon
Ab main kis ke liye khushboo mahkaoon

Mujhe koun apne dil se lagaye ga
Mujh ko koun apni sansoon may basaye ga
Mera chaman ojar gaya hai
Mera yaar mujh se bichar gaya hai
Bas ab to her lamhe us ki yaad hai
Bas baqarari hai, tarap hai faryad hai

Mujh ko koye mere yaar se mila de
Mujh ko koye mera pyar lauta de
Woh ayey ga tho khil jaoon gi main
Apni zindagi se mil jaoon gi main

Posted 16 Feb 2007

Kaha Na Piyaar Hien

kaha naa piyar hay tum say
tu phir kiyo zid tumhari hay
kay jab bi tum milo muj say
yahi iqrar ho lab par
mujay tum say mohabbat hay
tumhay maloom hay jaana!!
mohabbat to mohabbat hay
yea tu Aankhoo may dhikti hay
haseen say Khwab ki soorat
yea tu aik phool sa jazba hay
kay jis may rang bi aur khushboowo ka sath hota hay
bohat inmool jazba hay
yea izhaar ki shidat ka talib bi nahi hota
bohat chup chaap jazba hay
dabay pawoo hi chala aata hay
magar jo naksh iss kay hay bohat hi gahray hotay hay
inhay kahna nahi parta
lab tu khamosh hotay hay magar izhaar hay hota
kabi Aankho ki shookhi say
kabi batoo ki khoshboo say
yea jazba chuup nahi pata
yea sab batain hay mairi jaana, tumhay maloom hi tu hay
tumhari hi kahi tu hay
tu phir kiyo zid tumhari hay kay jab bi
mea miloo tum say yahi izhaar ho lab par
mujay tum say mohabbat hay
magar tum janti ho na tumhari baat ko jaana
nahi main taal sakta hoon
chaloo ikrar karta hoon
mujay tum say mohabbat hay

Posted 16 Feb 2007

Dard Kaisa Bhi Ho Ankh Nam Na Karo
Raat Kaali Sahi Koi Gham Na Karo



Ik Sitara Bano Jagmagatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskuratay Raho



Baant'ni Hai Ager Baant Lo Her Khushi
Gham Na Zahir Karo Tum Kisi Per Kabhi



Dil Ki Gehraai Mein Ghum Chupatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskuratay Raho



Ashk AnMoL Hain Kho Na Dena Kahin
In Ki Her Boond Hai Motiyoon Se Haseen


In Ko Har Ankh Se Tum Churatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskuratay Raho



Faasley Kam Karo Dil Milatey Raho
Zindagii Mein Sada Muskuratay Raho

Posted 16 Feb 2007

Phool or Kantey
Ek Din Kantay Ney Phool Sey Poocha Key "Aey Phool!"
Mujhey Tumhari Mohabbat Sey Kya Haasil Howa?
Mujhey Dekhtay Hi Har Koi Apney Tevar Badal Leta Hai Shayad
Is Liye Key Main Unhain Zakhmi Kar Deta Hoon
or Duniya Tum Par Marti Hai,
Tumhari Khushboo Lenay Ko Tarasti Hai,
Lakin Mujhe Tumhari Mohabbat Sey Kya Mila?
Phool Yeh Sada Sun Kar Muskuraya or Kehnay Laga
Tumhain To Khush Hona Chahiye Jis Par Duniya Marti Hai !
Woh Tumharey Bagair Aik Pal Bhi Nahi Reh Sakta.
Jab Mujhey Koi Tum Sey Juda Karta Hai,
To Main Mar Jata Hoon!
Q Key Main
Sirf Tum Sey Mohabbat Karta Hoon!!!
Posted 16 Feb 2007

*:*:*Kabhi Na pochiyay*:*:*


*Kisi mard say os ki salary.

*Kisi student say koi sawal.

*Kisi shair say os ka haal.

*Kisi scince dan say koi formula.

*Kisi politics say koi poilcy.

*Kisi doctor say healty rehnay ka tareeka.

*Kisi hakeem say koi noskha.

*Kisi haseena say is ki khubsurti ka raaz.

*Kisi police walay say maal banany ka tareeka.

*Kisi say net par real ASL mat pochiyay.

Hargiz Mat Pochiyay................

Posted 16 Feb 2007

DIL UDDAS REHTA HAI


Bohat dino se mera Dil uddas rehta hai

Main kya karoon bas ek hi shaks yaad rehta hai


Kabhi khayaal hi nahi aata ke main akeli hoon

ab to mera dost mere saath rehta hai



tum se baat karte hue halat ajeeb hoti hai

mujhe to kuch bhi na hosh-o-hawaas rehta hai


kahin tum badal na jao kahin tum mujhe bhool na jao

na jaane kyun mujhe ab yeh khauf her waqt rehta hai



naa jaane mere Dil ko kya hogaya hai

kyun ab yeh her waqt uddas rehta hai

Posted 19 Feb 2007

CHAHAT KA SILA,,,,,
Humesha muskura key aansoon ko chupaya
Ghum ko chupaney ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Keh derd-e-dil dil mein kis ney jagaya

Mehfilon mein kahin bhi maza na raha
Rakha dil peh pather to khud ko sajaya

Baat be baat apni aahein daba kar
Yaron ke dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujhey mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi be wafa ney pilaya

Kya muqadar sey shikwa kartey rahein
Jo qismat mein tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor peh aagaye hain umeedain
Keh saaya-e-manzil nazar mein na aaya

Apnon ney palat key dekha tak nahi
Ghairon ney aaker galey sey lagaaya

Acha huwa keh raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan peh khanjar kis ney chalaya

Shab-o-roz ki chahat ka sila yeh hai Chishty*
Dil ke tukrey huwey wo chun ney na aaya
Posted 19 Feb 2007

KOI BOHLA SAKTA

Koi bhoola sekta kissi ko bhool jane ke baad !
Koi samane aa jaye kissi ko yaad kerna ke baad

Kyun chuorr diya hamara saath kyaa hum ne galati ki!
Khudaa bhi maaf ker dayta hai gunaa hone ke baad

Kyun aate ho hamein yaad kyun terpate ho mujhe
Aadmi khushh hota nahin her ik khushi milne ke baad!

Mohabbat ke safar mein kitne door chale gaye hein jab hum
Kyun wapis pukarte ho manzil ke qareeb aane ke baad

Aansoo hein kumzor saahara mere jeewon ka
Kyun aate ho pouchane aankhein sookh jane ke baad!

Na manaa kero hamein pyaar kerne se tujh ko
Kyun loag baagawat kerte hain pyaar kerne ke baad !

Ker le deedaar apne mehboob ka gi bhar ke kar!
Koi aata nahin milne qabarr mein jane ke baad!

Koi kissi ka haal-e-dil jaan nahin sekta
Murdaa jism hi jaanta hai qabarr mein jane ke baad!

Eazat , zilat , gunaa , sawaab kyaa hai koi baata de !
Na aana chahta koi duniya mein qayamat dekhne ke baad!

Koi bhoola sekta kissi ko bhool jane ke baad!
Koi samane aa jaye kissi ko yaad kerne ke baad
The World Of Entertainment And Fantasy Which You Dream Straight To Your Inbox.

Only On
Posted 19 Feb 2007

Bin us key Zindagi Dard Hai Tanhayi Hai
Meri Aankhon Mein Kiyon Mout Simat Aaye Hai

Kehtey Hain Loog Ishq Ko ibadat Yaro
Ibadat Mein Phir Kiyon Ruswaye Hai

Wo Na Aaya To Dil Ko Lubhaney Ko Mere
Shab- e -Hijar Mein us ki Yaad Chali Aaye Hai

Mehfil Mein Reh Kar Bhi Tanha Rehna
Yeh Ada us ki Muhabat Ney Sikhlaye Hai

Yeh Bhi us ki Mohabat Ki Ainayat Hai Yaro
Main Tamasha Bana or Dunia Tamashaye Hai

Intezaar Mein Kisi Ke Na Raat Ko Barbad Karna
Dobtey Taroon Ney Mujhe Baat Yeh Samjhai Hai

Us Sey Taluk Hi Kuch Aisa Raha Hai Dosto
Jab Bhi Socha usey Aankh Bhar Aaye Hai ....
Posted 19 Feb 2007

Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Duniya Ko Dil Ke Daagh Dikhaon To Kis Tarah
Aye Zindagi Yeh Raaz Chupaon To Kis Tarah

Apni Tabahiyoon Mein Mera Haath Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Toota Jo Dil Ka Aaina Tootay Sabhee Bharam
Hoti Hai Umar Pyaar Ki Jeenay Ke Liye Kamm

Marnay Ke Liye Dard Ki Raat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Ek Bewafa Se Ik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
Posted 19 Feb 2007

dil-e-nadan bara beqarar hay
lagta hay kisi sangdil ka intizar hay
wapsi ka jis ka koi sawal nahe
lagta hay usay pyar tha hi nahe
khuch zid ki woo bhe pakki the
khuch anna hamaray mein bhe the
rafta rafta us ka itbar uthnay laga tha
baat bay baat mein bhe rothnay laga tha
fasalay atay na kaisay hamary deermiyan
pakernay lagay thay jo ik dosray ki khamiyan
aab kuin mere ankhoon mein weranni si hay
chayee meray her taraf kuin udasii si hay
dil-e-nadan bara beqara hay
lagta hay kay kisi sangdil ka intizar hay
Posted 19 Feb 2007

Tumse mohabbat karti hoon, na aaya bataana mujhe
Mohabbat to bohot ki maine, na aaya jataana mujhe

Kehte hain log mujhse, ek baar izhaar karke to dekho
Afsos hai apni kismat ko, na aaya aazmaana mujhe

Is paagalpan ko chhod doon, yeh koshish bhi ki maine
Magar yeh bhi hai ki tumko, na aaya bhulaana mujhe

Shaayad ban rahi thi meri, tumhaare dil main koi jagaa
Aakhir main tumhaare dil ko, na aaya behlaana mujhe

Aaj tay kar liya tha, ki ab haal-e-dil keh doon tumse
Waqt ko kuch der ke liye, na aaya barhaana mujhe

Aur bhi bahut mil jaayenge, kya ghum hai
Kahi aur bhi apne dil ko magar, na aaya lagaana mujhe.....
Posted 19 Feb 2007

ÇHÄHÄ TÜMH£ TÖ

ham apne ikhtiyar ki had se guzar gaye
chaha tumain to pyar ki had se guzar gaye

likhe gayeen naseeb main kuch aise hijratain
har ajnabi dyar ki had se guzar gaye

jagi hai apne dil main gulabon ki arzuu
jab mosam e bahaar ki had se guzar gaye

ab zakhm haye dil ka kahan tak shumar ho
yeh zakhm to shumar ki had se guzar gaye

teri nigah e mast se ham itni pee gaye
itni kay har khumar ki had se guzar gaye

ahsas mar chuka hai khushi hai na gham koee
jaise kay jeet haar kee had se guzar gaye

hasrat se moj e gham be hamain dekhti rahee
ham behr e b kinaar ki had se guzar gaye

ati hain saaf saaf nazar gham ki manzilain
yeh qaflay ghubaar ki had se guzar gaye

ADE woh log roz e qyamat se kia darain
jo teray intzaar ki had se guzar gaye
Posted 19 Feb 2007

Kon rakh ta hai yaad naamo ko,
logh chaharo ko bhool jatey hai,
tum samader kee baat karti ho,
logh ankho mein doob jatey hai,
Mohabat jisney ker ni ho.
wo mohabat kya janey,
Mera dil tumhi ab bhi chahata hai...
teray dil ko khuda jaanay!!

------------------------------------------------------------ --------------------

Shareefo mein koyi chor nahi hotha
Kavvo mein koyi mor nahi hotha
Naya patang ko koyi dor nahi hotha
Naya patang ko koyi dor nahi hotha
Arre yaaro... ishq par koyi zor nahi hotha" !

------------------------------------------------------------ --------------------
Mere dil mein mohabbat yaar ki
Aankhon mein chamak pyaar ki
Dil mein dhadkan mehboob ki
Aur yaadon mein yaad aap ki

------------------------------------------------------------ --------------------
Teri Ik jhalak ke liye tarapna
Pyaar mein hadh se guzarna
Har ek ada pe teri marna
Aye dil, yeh mohabbat nahin to kya hai
------------------------------------------------------------ --------------------

Mohabbat sabhi karlete hain
Dilbar ke dil mein dhadakna aasan nahin
Vaade sabhi karlete hain
Unhe Nibhana aasan nahin
Pyar mein dil sabhi jeet lete hain
Magar dil har ke jeetna aasan nahin
Zindagi mein to sabhi pyar karlete hain
Pyaar mein ise qurban karna aasan nahin

------------------------------------------------------------ --------------------
Banane mein mazaa hai wo karkhaane jaanthe hai
Pilane mein jo mazaa hai wo meh khaane jaanthe hai
Jalne mein jo mazaa hai wo parwaane jaanthe hai
Arre yaaro pyar mein jo mazaa hai wo deewaane jaanthe hai
------------------------------------------------------------ --------------------

Dil ne jiska naam liya uska daman tham liya,
Jab jab dard utha hai dil mein maine to tera naam liya,
Is bhari duniya mein koi bhi hamara nahi hua,
Gair to gair the apno ka bhi sahara na hua!!

------------------------------------------------------------ --------------------
Kya likhu shayari ab itna khafi hai,
Sab kuch to likh diya milna baki hai!!
------------------------------------------------------------ --------------------

ek masoom si gheri khai hai
jisse dil ka nam bhi detey hain
is khai main apnaiat hai
issey log mohabbat kehte hain
apnaiat main ek saya hai
tasweer jissey ham kehte hai......
us saye main jo tasweer hai
wo teri hai sab kehtey hain
Posted 19 Feb 2007

MeRi ZiNDaGi,,,
ik SaraB Hai Meri ZinDagi,

GhaM Ki KitaB Hai Meri ZinDagi,

Kisi Ko Bhi Khushi Na Dey Saka,

Bari Khana KharaB Hai Meri ZinDagi,

KhsaroN Ki ZanjeeR Hai PaiRon Mein,

Beri NakamYaaB Hai Meri ZinDagi,

ZeeNat Na Ban Sake Jo Kisi Mehfil Ki,

Aisa Sokha GuLaaB Hai Meri ZinDagi,

Taras Gaya Hon Sakon Ke PaL Ko,

TakLeeF-e-Be HisaaB Hai Meri ZinDagi,

Kis Se Kahon Kis Ko SunaaoN,

TooTa RuBaaB Hai Meri ZinDagi,

Her Kisi Ke Liye MoaT Ka JaaM Bani,

Woh SharaB Hai meri ZinDagi,

Aankh KhuLey Tu SaB Thek Ho Ga Chishty*

ShayaD KhawaaB Hai Meri ZinDagi,

Posted 19 Feb 2007

Bohot kuch badal jata hai
Tere aane ke baad,
Bohot kuch bichad jata hai
Tere jaane ke baad,
Wo samandar ki leherey,
Wo rait ke mehal,
Bohot kuch beh jata hai
Saahil se takra jaane ke baad,
Wo baarish ke moti,
Wo taaro ki khuwahish,
Bohot kuch bikhar jata hai
Khuwaab toot jaane ke baad,
Wo teri parchaiyon se takrana,
Wo saayon ka lehrana
Bohot kuch mit jata hai andhera chaa jaane ke baad.
%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%
Kabhi dukh ki aanh kisi pe na anay dena
Aaya hai mehmaan koi to na jaaney dena
Har ghari khud say ulajh jata ho may
Agar koi manaaye tu mananay dena
May jo aksar tanhaaye may ro parta hoo
Qisa-e-ghum sunaav tu sunanay dena
Us ne bheja hai yeh peghaam ba zaroor
Hawa zulf tumhari lehraaye tu lehraaney dena
Har baat ka matlab gatal na nikala karo
Jab may samjhaav tu samajhanay dena
%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%%
Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya.
Mere jevan ki her khushi main wohi tha bus
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya.
Posted 19 Feb 2007

Main Yeh soch kar us ke dar se utha tha.
ke woh rok legi , mana legi mujhko ..
Hawao me lehrata ata tha daman ..
Ke Daman pakar ke bitha le gi mujhko.
Kadam Aise andaz se uth rahe the.
Ke Awaz de kar bula le gi mujhko.
Magar Us ne roka na mujhko manaya.
Na Daman Hi Pakra Na MujhKo bulaya.
Main ahista ahista bartha hi aya.
Yahan tak ke us se juda ho gaya main.
Mein
Kuch kehne ko jaane kyon dar lagta hai,
Shikayato ke katghare mein mujhko khada kar,
Har koi illzaam lagaye ja raaha hai,
Apni zindagi, apna wajood, sab dao par laga hu hai,
Bhari mehfil mein khod ko akela khada pate hai
Posted 19 Feb 2007


Qalam uthaa ke socha..
kuch aisaa likhoon…
kuch nayaa saa..
kuch nayaab..
kuch mere ehsasaat se labrez..
kuch mere jazbaat se chalakta hua…
kuch mere khaahishon ka rang liye.
Alfaaz ke muaamle main…
pehli dafaa apni mehroomi se saamna huaa.
Kyaa likh doon…
jo tumhare dil main youn utar jaaye..
jaise khushboo kisi phool main samaa jaaye
kuch aisaa jo tumhare honthon pe thirke to..
sargam ban jaaye…
jisse tum gaao to ghazal ban jaaye.
Kuch aisaa jisse tum odh sako…
apni muattar jild ke itne nazdeek rakho..
ki main sharmaa jaoon.
Dil chaahe..
ki kuch aisaa hi likh doon ki tumare chehre pe
Vo tamaam rangat bikhar jaaye..
jo mere wujood ka haasil hai.
Vo muskurahat..
jo jeene ka sabab bann chuki hai…
vo hansi jo mere sukoon ka baais…
tumhari ho jaaye..
tum main kho jaaye..
jabb tum paRho..
mere alfaaz ko
Mehsoos karo unhen…
us shiddat se..
jo mehsoos ki mere qalam ki jumbish ne.
Us kaghaz ke purze main..
chupi meri duaaon ko tum apne daaman me chupaa lo…
ik ansoo us pe tapkaao..
unhen zindaa karo do.
Mere alfaaaz ko padh kar..
unhen zindagi bakhsho
Posted 19 Feb 2007

WOH NA BAN SAKA HUMARA

Kiya hai humne pyaar jisse zindagi ki tarhan

Woh aashna bhi mila hum se ajnabi ki tarhan

Barhake pyaas meri us ne haath chor diya

Woh karaha tha Mohabbat bhi Dil lagi ki tarhan


Sitam to yeh hai ke woh bhi na ban saka humara

Humne jis ke sahe ghum bhi Khushi ki tarhan


kabhi na socha tha humne "Chishty" us ke liye

Karega hum pe sitam woh bhi her kisi ki tarhan

Posted 19 Feb 2007


"Kash Mein Teri Ankh Ka Kajal Hota
Teri Ankh Ki Jheel Ka Sahil Hota
Kash Mein Tere Honton Ki Lali Hota
Kash Mein Tere Kanon Ki Bali Hota
Tere Husn Ka Her Dam Sawali Hota
Kash Mein Teri Payal Ka Ghungru Hota
Her Waqt Tere Kadmon Mein Surkhuru Hota
Kash Mein Tere Hath Ki Lakeer Hota
Teri Kismat Khud Badalta
Kash Mein Tere Kadmon Ki Dhool Hota
Lakh Hatane Se Tere Mein Na Jata
Kash Mein Teri Sanson Ki Mehak Hota
Teri Baton Ki Chehak Hota
Kash Mein Tere Hath Ka Kangana Hota
Bas Her Pal Tujhe Dekhta Rehta
Kash Mein Tera Aaina Hota
Tera Aks Apni Ankhon Mein Utar Leta
Kash Mein Sahil Ki Rait Hota
Tere Kadmon K Parne Ka Intezar Kerta
Kash Mein Tere Labon Ki Muskan Hota
Her Pal Tere Labon Pe Chaya Rehta
Kash Mein Tere Mathey Ki Bindiya Hota
Tere Husn Mein Aur Izafa Kerta
Kash Mein Tera Anchal Hota
Tere Husn KO Sab Ki Nazar Se Bachaye Rekhta
Agar Tere Sath Koi Bhi Mera Bandhan Hota
Mein Her Pal Rab Ka Shuker Ada Kerta
Posted 19 Feb 2007


"MUJHE SANDAL KARDO"


APNE AHSAAS SE CHHOOKAR MUJHE SANDAL KARDO
MAIN KE SADYON SE ADHOORA HOON MUKAMMAL KARDO


NA TUMHAIN HOSH RAHE OR NA MUJHE HOSH RAHE
IS QADAR TOOT KE CHAAHO MUJHE PAAGAL KARDO


TUM HATHELI KO MERE PYAR KI MEHNDI SE RANGO
APNI AANKHON MAIN MERE NAAM KA KAJAL KARDO


JAISEY SAHRAAON MAIN HAR SHAAM HAWA CHALTI HAI
IS TARHA MUJH MAIN CHALO OR MUJHE THAL KARDO


DHOOP HI DHOOP HON MAIN TOOT KE BARSO MUJHPER
IS QADAR BARSO MERI ROOH MAIN JAL THAL KARDO


TUM CHUPA LO MERA DIL OT MAIN APNE DIL KI
OR MUJHE MERI NIGAAHON SE BHI OJHAL KARDO


MASLA HON TO NIGAAHEIN NA CHURAO MUJHSE
APNI CHAAHAT SE TAWAJA SE MUJHE HAL KARDO


APNE GHAM SE KAHO HAR WAQT MERE SAATH RAHE
AIK AHSAAN KARO IS KO MUSALSAL KARDO


MUJH PE CHHA JAO KISI AAG KI SOORAT JAANA
OR MERI ZAAT KO SOOKHA HUA JANGAL KARDO
Posted 19 Feb 2007

dhoka na dena ke tujh pe aatbar bohat hai
ye dil teri chahat ka talabgar bohat hai
tu je na dekhon to kuch dekahi na deyta
kiya keron jane janha ke tum se peyar bohat hai

***************************************
mohabbat karne wale bhi bohat magror hote hain
kudh hi karte hain ruswai kudh hi mashor hote hain
taajub kiya aghar tota mera dil aap ke hatoon
ke jab takrain pethar se sehse chor hote hain

**************************************
mohabbat me or na azmana hume
dil to tarpe ga megar na tarpana hume
hum se ishq ke or rog nahi sahe jate
intezar ki aag me or na jalana hume

***************************************
Aye sana tere jenazha par sara jnha nekh la
per wo na nikhla jis ke liye jenazha nikh la

***************************************
mot se kis ki yari hai
aaj meri to kal sab ki bari hai

***************************************
tum ne jo A kar meri kaber par muskora deya
bajli chmak ke ger peri sara kefan jela deya
chan se so rehi thi ohre kefan mezar mein
wenha bhi setane a geye kis ne peta beta
deya

*****************************************
mein ne kati hai seza umer ki tanhai ki
ye alag baat hai katil ne masihai ki
mein ne jalte hoye soloon se tera naam likha
ek tohmat hai mere naam par harjai ki

*****************************************
peyam aye hain is yaar bewefa ke muje
jyse kerar na a ya knhi bula ke muje
judayaan hon to aysi hon ke umer bar na melen
ferab do to zera silsyle berha ke muje

*****************************************
tum yaad kero na kero hum yaad karen gye
mar bhi gaye to jenazhe pe tumara intezar kareen gye
*****************************************

Tanha Soch Kar Behlaenge Log
Chalo Khud Ko Behlaya Jaye
Chal E Dil Chalte Hai Waha
Jaha Yeh Sharif Aye Na Jaye
Posted 19 Feb 2007

BAARISH THI BHEEGI

baarish thii bheegi raat thii ,main bheegta raha
qadmoon k tery sab nishaan main khoojta raha
janay ka tery ho ga ,koi sabab zaroor
aisa bhi main nay kia kaha, yeh soochta raha

panchi bhi sogwaar thyy,thyy phool ghamzada
hansti thin jo baharain, thin aaj ghamzada
mujh ko to aasmaan bhi khamoosh sa laga
khamoosh is paheeli ko ,main boojhta raha

aankhoon main tera aks hay ,ab khoo sa jayy ga
ro raha hay man mera behal hi jayy ga
likhta rahoon ga geet main, jab tak yeh saans hay
gayy ga koon in ko ,yeh soochta raha

dard kitne hain bata nahi sakta
zakhm kitne hain dikha nhai sakta
ankhon se samjh sako to samjh lo
ansoon gire hain kitne gina nahi sakta
Posted 19 Feb 2007

Reply to Topic