~ LG’s Poetry Compilation ~

60336 views 2476 replies
Reply to Topic
London_Girl

Age: 124
Total Posts: 18948
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom
Muskura Kar Mila Karo Ham Se
Kuch KAha Aur Suna Karo Ham Se

Bat KArne Se Bat Barhti Hai
Roz Baatain Kiya Karo Ham Se

Dushmani Se Mile ga Kiya Tum Ko
Dost Ban Kar Raha Karo Ham Se

Daikh Laite Hain Sat Pardon Main
Yun Na parda Kiya Karo Ham Se
Posted 29 Sep 2006

DOST MILTAY HAIN YAHAAN DIL KO DUKHANAY KAY LIAY
DOST MILTAY HAIN YAHAN DIL KO DUKHANAY KAY LIAY

UNGALIYAAN RAKHTAY HAIN WO HAM PAY UTHANAY KAY LIAY

KIA QASOOR UN KA YAH IK RASM CHALEE AYEEE HAY

TOOHMATAIN HOTEEN HAIN DUNIYAA MAIN LAGAANAY KAY LIAY

NAAKHUDA MAAN KAY BAITHEEN HAIN UIN KEE KASHTEE MAIN

WO HAMAIN MOOJOON MAIN LAY THAY DUBAANAY KAY LIAY

WO HAWAOON KEE TARAH RUKH KO BADAL LATAY HAIN

HAM NASEEBOON SAY LARAY THAY JINHAIN PAANAY KAY LIAY
Posted 14 Feb 2007

Raaz mein rakhna aye dost mery dil ka munasra k
tujhy mein apna sharek-e-raat kahti hon

duniya mein faqat tu hi tu hai mera shareek-e-gham
tujh hi ko mein apna shareek-e-raaz kahti hon

tufaan mein gher gai hai kuch as tarha say apni nao k
tujhy mein dobtye ko tinky ka sahara kahti hon

duniya mein khaye hai logo say atnye dokhye k
tujhy mein apna kahtye howy darti hon
Posted 14 Feb 2007

Forever Thankful

Forever thankful within our hearts, we shall never
see another frightful morn, it's time for a happy
celebration, for a child has now been born..

Embracing life, we hold our infant son toward
the heavens, and thank the Lord above, for giving
us a healthy son to cherish..

It's been to many years we have waited to have
a little one, now with prayer and love within, the
Lord has answered our prayers, with a little
son of love, our gift from God..

Forever thankful, we search the heavens for our
angel bright, to take care of our little one, when
stardust clouds his eyes with sleep, may she
hold him close under her wings of white..

Our love we share has grown deeper, with every
breath we take, the Lord has been good again,
and gave us another son..

Posted 14 Feb 2007

Zindagi naam ko hamari hai
Aakhri sans bhi tumhari hai
Tari chaht kahaan pay lay aye
Tujh sa mil kar bhi baykarari hai
Mujh sa poocho chamak sitaron ki
Main na ro ro k shab guzari hai
Aap ka haath main lakirain hain
Werna taqdeer to hamari hai
Dil mera torta ho lo toro
Cheez mari nahi tumhari hai...!!

x............x............x

Posted 14 Feb 2007

UMRA KA YE UTAAR BAAKI HAI
ZINDAGI BESHUMAAR BAAKI HAI
AAYEE PATT.JHAD KATI CHALE GAYE
ABHI BHI KUCH BAHAR BAAKI HAI
TUMSE MIL K BHI MAIN HON KHUSH NAHIN
KISI KA INTZAAR BAAKI HAI
AAJ PHIR AANKH SE GIRE AANSOO
DIL MAIN KOI DARAAR BAAKI HA

Posted 14 Feb 2007

Tujhe Izhaar-e-Mohabbat

Tujhe Izhaar-e-Mohabbat se agar Nafrat hai
Tuu ne Honyon ko Larazne se to Roka hota

Be-Niyaazi se, Magar kaanpti Awaaz ke saath
Tuu ne Ghabra ke Mera Naam na puchaa hota

Tere bas mai thi agar Mash'al-e-Jazbaat ki Lau
Tere Rukhsaar mai Gulzar na Bharka hota

Yun to Mujh se hoi sirf Aab-o-Hava ki Baatein
Apne Toote hoe Fiqron ko to Parkha hota

Yun hi Be-wajah Thithakney ki Zururat kya thi
Dam-e-Rukhsat mai agar Yaad na aaya hota

Tera Ghammaz bana khud Tera Andaaz-e-Khiraam
Dil na Sambhlaa, to Qadmon ko Sambhala hota

Apne badle Meri Tasveer Nazar aa jaati
Tuu ne us waqt agar Aainaa dekhaa hota




x............x............x
Posted 14 Feb 2007

Pyaar Chupta Nahi Chupane Se

Puch Lo Tum Bhi Is Zamane Se
Pyaar Chupta Nahi Chupane Se


Paas Aatey Ho Choote Ho Baat Karte Ho
Kabhi Matlab Se, Kabhi Bahaaney Se


Pyaar Dil Mai Hai To Lao Zubaan Per
Aag Barhti Hai Ye Bujhaney Se


Tumhein Na Paana Shayad Behter Hai
Paa Ker Phir Se Tumhein Ganwane Se


Chalo Ek Dua To Apni Puri Hoi
Mil Liye Apne Ek Deewane Se


Roye Jatey Ho, Bas Roye Jatey Ho
Kya Hoga Ye Dhan Lutaney Se


Karo Koshish Ki Qurbatein Hi Rahein
Dooriyan Barh Jaati Hain Barhaney Se


Kya Sunayein Kisi Ko Raaz-e-Dil Chishty
Dard Bhi Barhta Hai Sunane Se


Bhool Jaao Kar Ke Acha Hai,
Ehsaan Rehta Nahi Jatane Se   
Posted 14 Feb 2007

Pyaar Chupta Nahi Chupane Se

Puch Lo Tum Bhi Is Zamane Se
Pyaar Chupta Nahi Chupane Se


Paas Aatey Ho Choote Ho Baat Karte Ho
Kabhi Matlab Se, Kabhi Bahaaney Se


Pyaar Dil Mai Hai To Lao Zubaan Per
Aag Barhti Hai Ye Bujhaney Se


Tumhein Na Paana Shayad Behter Hai
Paa Ker Phir Se Tumhein Ganwane Se


Chalo Ek Dua To Apni Puri Hoi
Mil Liye Apne Ek Deewane Se


Roye Jatey Ho, Bas Roye Jatey Ho
Kya Hoga Ye Dhan Lutaney Se


Karo Koshish Ki Qurbatein Hi Rahein
Dooriyan Barh Jaati Hain Barhaney Se


Kya Sunayein Kisi Ko Raaz-e-Dil
Dard Bhi Barhta Hai Sunane Se


Bhool Jaao Kar Ke Acha Hai,
Ehsaan Rehta Nahi Jatane Se   
Posted 14 Feb 2007

Meri un likhi tehreerain...

Meri zindagi ka hasil..

Meri souch ka nazarya..

Meray ahsaas ki shiddat..

Meray jazbaat ki zillat..

Meri unlikhi tehreerain

Meray dil ki rukti dharkan..

Meri ankhon ka khushk pani..

Meray alfaz jo bemaani

Meri unlikhi tehreerain..

Meri na mukammal khuahishain..

Meri door hoti manzilain..

Meri unkahi si chahatain..

Meri zindagi ka hasil..

Hain yahi meri liye bas..

MERI UNKAHI TEHREERAIN..
Posted 14 Feb 2007

Kuch udaas kuch khamosh

Kuch bebas see lakeerien merey



haath ki?

Dhoondta Rehta hoon aksar in Lakeeron main

Aik lakeer tere naam ki

Kuch maloom bhi hey

Kuch dil bhi janta hey

Ke in lakeeron main koi lakeer Nahi tere naam ki

Phir bhi naa jane kion dhondta Rehta hoon

Aksar ek lakeer tere naam ki

Aik lakeer



terey naam ki....

Posted 14 Feb 2007

YEH ZINDAGI

Yeh zindagi bari ajeeb si

Kabhi gulzar si kabhi bezar si

Kabhi khushi hamaray sath sath

Kabhi gammon ki barsat si

Yeh zindagi bari ajeeb si


Kabhi tofanon main bhi hain rastay

Kabhi manzilon ka pata nahi

Kabhi do kadam pay zindagi

Kabhi saddeuon tak intizar si

Yeh zindagi bari ajeeb si

Kabhi her pal emtihan hai

Kabhi bin mangay enam hai

Kabhi kuch nahi

Kabhi sab kuch si

Yeh zindagi bari ajeeb si

Kabhi gulzar si kabhi bezar si

KYA KARE....

Posted 14 Feb 2007

Meri wafa ko thokra ker meri roh ko na nochty
Mujh mein kuch khamy thi ya teri tammana aur thi

Kismat hay mujh ko kosty
Zahir hay teri dosti
Terey samnay haazir tha main
Ager tu mera sochty
Meray dil ko na tu todty
Zahir hay teri dosti
Pehlay zindagi ka peecha raha
Ab zindagi mujhay khojty
Guzri zindagi na kabhi loutty
Zahir hay teri dosti
Ager tujhay mera malal tha
Mujh se bolty, mujhay rokty
Mujhay apna samjh ker tokty
Zahir hay teri dosti
Main ager bolo, main ager chahon
Ek bewafa, BAwafa ko bewafa hay bolty
Aftab tu apni aadat se hay majboor
Talouq banaya hava se aur jaltay charagho se dosti.

Posted 14 Feb 2007

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

Yaadon ke khuwaab dikhati hain
Mujhe saari raat jagati hain
Kab Dil ke raaz chhupati hain
Palkon ke dareeche kholti hain
Kuch apni zaban main bolti hain
Bas apni baat manwati hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

Ek aan main faisla karti hain
Yeh kab ruswayi se darrti hain
Yeh ghungroo baandh nachati hain
Her waqt yeh jaagti rehti hain
Ek khoj main bhaagti rehti hain
Thak haar ke wapis aati hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

Chupke se kahin larr jaati hain
Phir khuwabon se bhar jaati hain
Jab toote shor machati hain
Yeh royen to Dil bhi rota hai
Kab in se judda yeh hota hai
Yeh Dil ko rog lagati hain
Kyun pyaar kiya pachtati hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Posted 14 Feb 2007

Youn to laakh guzray hain chehray in nighahoon main
Naqsh hoo gaya chehra Aik bas khialoon Main

Uss taraf qadam Uthay to mujhay laga aisay
Lamha Lamha guzra hai woo saffar Ujaloon main

Hum nay aazmanay ko kuch saal poochay Thay
Kis qaddar malahat thee uss k sab jawaboon main

Daikhti rahoon uss ko soochti rahoon uss ko
Kia nasha sa hoota hai uss ki naram batoon main

Hum say poochiay kooi' kis terhan ka hai sajjan
Hum batain gay wo ik chand hai sitaroon main
Posted 14 Feb 2007

aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere terii 'Yamini' kam hai
Posted 15 Feb 2007


Tumhaari mohabbat mein aisa kaam kar jaate,
Junoon itna dekh kar zamaane waale dar jaate,

Aaye agar paigham tere raaho se guzarne ka,
raaho par nahi unki aankhon mein basar jaate,

aata nahi hain kayi din seh unka naama-e-dildaar,
ek khabar aati toh hum khud banke khabar jaate,

unke haath mein hay yeh kaisi jaadugari dostoN,
bikhare pade ho, woh haath lagaaye to savar jaate,

Aaj aaya unki aawaaz suni kayi sadiyo ke baad,
ki kuch der aur na sunte toh shayad mar jaate.


wo kehte hai ki unki adda hai muskurane ki,
per unhe kya pata ye bhi ek adda hai gum chupane ki.

Posted 15 Feb 2007

yehe hai bus mere kahani main b thi kisi ke deewane
ik ajnabe raaste main mila

main ye samjhe mera mukadar mila
main rooz sajne sanwarne lagee

kal jo mera tha wo aaj mera nahi
yon hee badal jatie hain rahe wafa main log
phir kyun kisi ke chahat karte hain log

tum ne kaha tha sada sonia ka rahon ga
phir main to aaj wohi hoon per tum ho kahan

Posted 15 Feb 2007

Chalo mein bataoun kya ho tum,

Chalo mein bataoun kya ho tum,

Mere liye meri duniya ho tum,

Chhoo kar jo guzri woh hawa ho tum,

Main ne jo mangi woh dua ho tum,

Karey mujhko jo roshan woh diya ho tum,

Dil yeh kahey mera jiya ho tum,

Kiya main ne mehsoos woh ehsaas ho tum,

Mere honton ki pyaas ho tum,

Mere baanhon ki Aas ho tum,

Meri nazar ki talash ho tum,

Meri zameen ka aakash ho tum,

Mere chehrey ki kashish ho tum,

Mere sitaron ki gardish ho tum,

Meri zindagi ka qarar ho tum,

Main ne jo chaha woh pyar ho tum,

Mere intizar ki raahat ho tum,

Mere dil ki chahat ho tum,

Tum ho to yeh duniya hai meri,

Kaisey kahoon ke meri jaan Ho Tum!!!

Posted 15 Feb 2007

Har Nafs ranj ka ishaara hai

aadmi dukh ka istaa'ara hai

mujh ko apnee hadon main rehnay do

main samandar hon too kinaara hai

ajnabhi ! shab ko raasta na badal

tuu meri subha ka sitaara hai

yaa samaa'at ki khud farebi thee

yaa teri yaad ne pukaara hai

sham e shab khoo ne dasht se poocha

kis ne rakht e safar utaara hai

jaanay kion sogwaar ......sanaata

maut ki zindgee se pyara hai

umar barh be charaagh raston main

zindgee ne hamain guzara hai

chahton ki basaat par

Posted 15 Feb 2007

Mohabaat kya hey????

Aaj main iss mozoo per ik new discussion start kerney laga hoon. Aur main chahoon ga k aap tammam members bhi iss mozoo per apney views dain.

Mohabaat sab se pheley ALLAH PAK ne apney Aap se ki. ALLAH PAK ne aapne aap ko dekha aur apney aap per hi Ashaq ho giya.

QURAN PAK main Irshadh hey;

"ALLAH haseen hey aur (Apney) Husaaan se mohabaat kerta hey"

Mohabaat ik bohat khoob soraat jazbah hey. Jo dil main kudh ba kudh perwaan cherhata hey. Aur waqat k sath sath ik tanawaar darakhat ban jata hey. Mohabaat main hawas ki halki si bhi jhalak nahi hoti. Jiss mohabaat main hawas ah jayee woh mohabaat nahi rehti.

Mohabaat kerney waley ko apney mehboob se koi gharzah aur na koi talab hoti hey. Woh badley main apney Mehboob se kuch nahi magta hata k ulfat ki ik nazr bhi nahi. woh bass mohabaat kiya jata hey. kyun k mohabaat ik kudh ba kudh janam leney wala jazbah hey. Yeh kudh ba kudh janam leyta hey. Tuu mohabaat kerney wala tuu mohabaat kerney per majboor hota hey woh koi shartah nahi aiyeedh kerta aur na ker sakta hey yeh mohabaat nahi k mehboob jawab main mohabaat na deyy tuu usey choor ker kisi aur se mohabaat ker loo.

yeh tuu phir karoo bar ban jata hey!!!!

Yehan kai sawal members k mind main uthain geyy???

Ab sab apney views dain aur question poochain joo aap sab k mind main hain yeh ik open discussion hey.
Posted 15 Feb 2007

rone se kabhi gum hanste nahi

tum lakh behlao dil ko

magar sheshe se pathar tot te nahi

dil pe ikhtiyaar ki baten karo

ye na kaho insaan bhatakte nahi

gul beshaq khoobsurat hi sahi magar

khaar iske daman se magar choot te nahi

milenge wo humse to poochenge jaroor

honth ye tumhare kyun hanste nahi

shikve hain bahut dil mein unke lekin

shikayat kabhi kisi se karte nahi

baad e muddaat mile usi aziz se

jise aaj tak abhi hum jante nahi

usse dekh ke udas is haal mein

kya gum kabhi udaas rehte nahi

dekhkar jalte hue usse bebasi royee humari

bankar sukoon hum baras sakte nahi

hai bahut ameer gum e basti mein

wo magar wasiyat naam humare karte nahi

dekh kar haal-e-khushboo ab khayaal kar

gamon ke kad itne chote nahi

Posted 15 Feb 2007

Kaash tum mere hotay...
To tumhain is duniya se chhupaata...
Palkon pe rakhta, tumhain dharkan banata...
Tumhain le kar kahin door chala jaata.
Kaash tum mere hotay...
To ik ghar main banaata...
Mohabbat se rangta usay pyaar se sajaata...
"TUMHARA AUR MERA GHAR" ik takhti baahar lagaata.
Kaash tum mere hotay...
To tumhain khoob baatain batata...
Thak ke jo rakhtay tum mere kandhay pe sar...
Bohot pyaar se tumhain baahon main sulaata.
Kaash tum mere hotay...
To ik chai ka cup main banaata...
Sardion main baith ke ik shawl main tumhare saath...
Woh chai tumhain khud pilaata.
Kaash tum mere hotay...!

Posted 15 Feb 2007

tum ko jab milain kabhi fursutain mere dil say bojh utar do
main bohat din on say say udas hooun mujhay koi sham udhar do

mujhay apnay roop ki dhoop do,kay chamak sakain mere khad O KHAL
mujhay apnay rang main rang do,mere saray zang utar do

kisi or ko mere hall say na garz hai koi na wastah
main bikhar gaya hooun samate lo,main bigurr gaya hooun sanwar do

meri wehshatoan ko burrha diya , hai judaioan kay azab nay
mere dil pay haath rakho zara ,meri dhadkanoan ko qarar do

tumhain subah kaisi lagi kaho, meri khawishoan kay diyar ki
jo bhali lagi to yaheen raho,isay chahtoan say nikhar do

wahan ghar main koan hai muntazir,kay ho fikr dare saware ki
barri mukhtasir si yeh raat hai, isi chandni main guzar do

tum ko jab milain kabhi fursutain mere dil say bojh utar do
main bohat dinon say udas hoon mujhay koi sham udhar do
Posted 15 Feb 2007

Mein Ne Us Ko Salam Likh Bhejja,
Haal-e-Dil Tamaam Likh Bhejja..

Mein Ne Poocha Tere Hont Kaisey Hain,
Us Ne Ik Lafz Jaam Likh Bhejja..

Mein Ne Poocha Tere Baal Kaisey Hain,
Us Ne Qudrat Ka Inaam Likh Bhejja..

Mein Ne Poocha Kab Ho Gi Mulaqaat,
Us Ne Qayamat Ki Sham Likh Bhejja..

Mein Ne Poocha Itna Tarpaati Kyon Ho,
Us Ne Jawani Ka Intiqaam Likh Bhejja..

Mein Ne Poocha Tere Khad-o-Khaal Kaisey Hain,
Us Ne Husn Tamaam Likh Bhejja..

Mein Ne Poocha Tujhey nafrat Kiss Se Hai,
Us Ne MERA Hi Naam Likh Bhejja

Posted 15 Feb 2007

na ravaa kahiye na sazaa kahiye
kahiye kahiye mujhe buraa kahiye

dil me.n rakhane kii baat hai Gam-e-ishq
is ko hargiz na barmalaa kahiye

vi mujhe qatl kar ke kahate hai.n
maanataa hii na thaa ye kyaa kahiye

aa ga_ii aap ko masihaa_ii
marane vaalo ko marhabaa kahiye

hosh u.Dane lage raqiibo.n ke
"Daag" ko aur bevafaa kahiye

Posted 15 Feb 2007

kitnay he bar tumhara naam
likh kar mitaya hay may nay
apne dukh ko zahir honay say
bachaya hay may nay
zindagi may khushi se ziyada
dukh bhar poor miltay hay
inhie dukhon say daman apna
bhara hay may nay
jab jab udaas hotay hay too
mosam-e-baharr bhi
khizan ka mosam lagta hay
yeh dil kyun udaas rehta hay
sayad dukh say dostana rehta hay
dost kehtay hay na karo
dukh ki baat
kesay na karon jab dukhon say
dil bhara rehta hay
khushi too pal bhar kay leye
saath deti hay
dukhon ka saath hamesha rehta hay

Posted 15 Feb 2007




~*~Tum jaa to rahe ho~*~
tum jaa to rahe ho
par itna to bata do is dil se kya kahun ise kaise samjaun iske tootne ki awaz to na ayegi tumhe par uske tukdon ko le kar mai kahan jaoon

tum jaa to rahe ho par itna to bata do
un yaadon ka mai kya karun
tumhare likhe khaton ko mai kahan jalaun kahan dafnau
kisey baar baar sataoon kisey manaoon



tum jaa to rahe ho par itna to bata do meri siskiyon mein bhi tumhara hi naam hai
in ashkon ko mai kahan chhupaun tum shumaar ho abhi tak pardanasheeno mein log sabab puchenge to bolo mai kya bataun

tum jaa to rahe ho par itna to bata do
tujhe bhulaane ke kaunse tareeke apnaoon
meri dhadkan, har saans ki rawangi ho tum
tujhe bhoolane ki koshish mein kahin mar na jaoon
Posted 15 Feb 2007

Meri Nazar

Tum kia ho Duniya ki nazar main
aik aam insan
ya ziada say ziada achay ya buray
per
meri nazar main tum seep may moti hou
tum lehro ki shararat ho
tum thandi dhoup ki hararat hou
tum barisho ki sada hou
tum ghamo main khushiyo ka ahsas hou
tum dharkano ki awaz hou
tum sada ho mairay piyar ki
tum hi humsafer tum hi manzil ho zindaygi ki
tum khud ko kabhi mat daikhna duniya ki nazar say
kiun kay tum khas ho
sansou ki saaz hou

Posted 15 Feb 2007

~*Barish*~

Ajj barish mujhey afsurda kar gayi
iski hawa saari kushi uraha ley gayi
kuin! pata nahi
meara dil dukha gayi
ajj barish mujhey afsurda kar gayi
laga easey,jeasey
roya ho aasman meari tarhan
nahi samajh ayaa,howa kia
bas meri aankh num kar gayi
mera dil tarpa gayi
ajj barish mujhey afsurda kar gayi
ajj barish ko choowa bhi nahi
phir bhi !!
mujhey yaadon sey bheego gayi
ajj barish mujhey afsurda kar gayi
kar gayi mujhey gum sum
kyon howa easa,nahi maloom
har aahat par chonkti hoon
kaheen na kaheen hoo tum
par !!
nahi thae kaheen tum
yah baat afsurda kar gayi
ajj barish mujhey afsurda kar gayi...
Posted 15 Feb 2007

~*~ Aaj Kuch Likhny Ko dil Chaa~*~

Aaj kuch Likhny ka Dil Aya Socha kia Likhoo

Tery Wo Batein Likhoo Ya Tery Wo yadein Likhoo

Ya To Ney Kiye Thy Jo Mujh Say Wo Wadey Likhoo

Phir Main Ney Socha Wo Batien Wo Yadien

Wo Mujh Say Tumarey Tomam Wadey Likh Raha Hoo Q?

Shaihid Tum Ney Batien Mujh Say Waqat Guzarny k liye Ki Thi

Aur Yadein Iss Liye Dii Thi K Main Tum Ko Hamesha Yad Rakhoo

Main Hi Pagal Tha Key Tery Har Wadey Par Eitbar Kiya

Halan Key Main Janta Tha

Key Mohabat Key Wadey Porey Nahi Hotey










Posted 15 Feb 2007

Reply to Topic