~ LG’s Poetry Compilation ~

60333 views 2476 replies
Reply to Topic
London_Girl

Age: 124
Total Posts: 18948
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom
Muskura Kar Mila Karo Ham Se
Kuch KAha Aur Suna Karo Ham Se

Bat KArne Se Bat Barhti Hai
Roz Baatain Kiya Karo Ham Se

Dushmani Se Mile ga Kiya Tum Ko
Dost Ban Kar Raha Karo Ham Se

Daikh Laite Hain Sat Pardon Main
Yun Na parda Kiya Karo Ham Se
Posted 29 Sep 2006

Rehan M Din said:

Very awesome sharing. All are very nice. Can I take something from here?



thanks Rehan

you can certainly take all the poetry from here !!
Posted 23 Nov 2006

~tasha~ says
nice collection yaar
Posted 30 Nov 2006

Kajal tere ankhon ka mere ankh main dher aae


Kajal tere ankhon ka mere ankh main dher aae
main baat karoo tujh sae oor shaam uthar aae

kuch rooz talak anghan begha howa rehta hae
badal ki si shaal uray jabh tu mairay gher aae

hum daikhtay hae tujh ko barish kae maheeno main
bheegay howay balon main tu oor nighar aae

gandam se tere tan main khaito ki si khusbu thi
hum sanse tere gher ki dahleez pae rakh aae

yeh logh mairay dil ko piyaray hae buhat laikan
iss shehr sae kuch pahlay tu mujh ko nazer aae

jis haath pae dharni thi khusbu-e-hina hum ko
hum apni seeyahi hi oss hath pae dher aae

phirtee rehti thi rukhsat ki hawa harr soo
so hum teray kochay sae chup chap guzar aae

sarsabz shajr tujh ko gairay howay rehtay hae bia
haa yaad yeh peela sa dil tujh ko agher aae
Posted 30 Jan 2007

Kyon chalti hai pawan,

Because of evaporation.

Kyon jhoome hai gagan,

Because of earth's revolution.

Kyon machalta hai mann,

Because of excessive respiration.

Na tum jaano na hum.

But I just gave all the reasons!

Kyon aati hai bahaar,

Because of a change in season,

Kyon lutata hai karaar,

Because of mental tension.

Kyon hota hai pyaar,

Because of opposites attraction.

Na tum jaano na hum.

Like I said, these are all science phenomenon!

Kyon gum hai har disha,

Because you have a poor sense of direction.

Kyon hota hai nasha,

Because of drug addiction.

Kyon aata hai maz! aa,

But science gives us all the information.

Na tum jaano na hum.

Posted 30 Jan 2007

"ADHOORAY KHUWAAB"


Aik wahma tha dil main
Shayad kabhi milo tum
kuch dair ruk ker poocho
beetay dinoon ka moosam
aawaz main ho larzish
aankhoon main ho tajassus
Mazay ka koi lamha
shayad atak gaya ho
sab bhool ker bhi shayad
kuch yaad agaya ho
phir main tumhain bataoon
apni khushi ki baatain
har dukh ko chupa ker dil main
aasoodgi ki baatain
wo chand chudhween ka
taroon bhari wo aankhain
dilkash haseen shamain
maasoom wardatain
wo piyaar ka tasawwor
wo bandagi ki batain
Wo rooz rooz marna
Aur zindagi ki baatain
Tum dukh say muskurao
Dheeray say muskurao
Dheeray say paas aao
Sar ko jhuka kay apnay
Chup chaap loot jao
Phir main bhi muskuraon
Man kay diyay jalaon
Duhraon apnay dil main
Taa'luq say haqeeqat
Aik khuwab zindagi ka
Haan umer bhar jo daikha
Kabhi ho saka na pora
Younhi rah gaya adhoora
Aik khuwab-e-zindagi tha

Posted 30 Jan 2007

~*~TUM~*~

Meri Zindagi Ki Zaroorat Ho Tum

Chaha Hai Dil Ney Jis Ko ....

Woh Chahat Ho Tum

Manga Hai Dil Nay Jis Ko

Woh Khahish Ho Tum

Mehkaya Jis Nay Zindagi Ko

Woh Khushbo Ho Tum

Ankhon Main Basnay Wala

Aik Haseen Khaab Ho Tum

Dil Main Dharaknay Wali

Woh Dharkan Ho Tum

Mera Dil Bhi Ho.....

Meri Jaan Bhi Ho

Mera Piyaar Bhi Ho Tum....
Posted 30 Jan 2007

*Main Hansna Bhool Jata Hoon*

     
Ek Tum Hi Say Hay Mansoob Khushi

Ek Tumharay Rooth Janay Say

Kissi Ko Kuch Nahi Hota

Phool Bhi Mehaktay Hain

Rang Bhi Damaktay Hain

Suraj Bhi Nikalta Hay

Taray Bhi Chamaktay Hain

Lakin Itna Zaroor Hota Hay

Ek Tumharay Rooth Janay Say

*Main Hansna Bhool Jata Hoon*

Posted 30 Jan 2007

Woh kuch sunta to main kuch kehta,mujhe kuch aur kehna tha_+_+_+_Woh pal bhar kay liay ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha_+_+_+_Galat fehmion ne hi baat ko barha dala younhi varna_+_+_+_kaha kuch tha,woh kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha
Posted 30 Jan 2007

HAZAROON DUKH PAREY SEHNA "MOHABBAT MER NAHI SAKTI"
HAI TUM SE BUS YAHI KEHNA "MOHABBAT MER NAHI SAKTI"
TERA HER BAAR MEREY KHAT KO PAHR NA AUR RO DENA
MERA HER BAR YE LIKH DENA "MOHABBAT MER NAHI SAKTI"
KIYA THA HUM NEI CAMPAS KI NADI PER IK HASI WADA
BHALEY PAREY HUM KO MERNA "MOHABBAT MER NAHI SAKTI"
JAHAN MEI JAB TALAK PANCHY CHAHAKTEY URTEY PHIRTEY HAIN
HAI JAB TAK PHOOLON KA KHILNA "MOHABBAT MER NAHI SAKTI"
PURANEY EHAD KO JAB JINDA KER NEY KA KHAYAL AAI
MUJHEY BUS ITNA LIKH DENA "MOHABBAT MER NAHI SAKTI"
WO TERA HIJER KI SHAB PHONE RAKHNEY SE PEHLEY
BAHOT ROTEY HUA KEHNA "MOHABBAT MER NAHI SAKTI"
AGER HUM HASRATOON KI KHABAR MEI DAFAN HO JAAIN
TO KATBOON PE LIKH DENA "MOHABBAT MER BAHI SAKTI"
PURANEY RABTOON KO PHIR NAI WADOON KI KHAWAHISH HAI
ZARA IK BAR TO KEHNA "MOHABBAT MER NAHI AKTI"
GAI LAMHAT FURSAT K KAHAN SE DHUND K LAOON
WO PEHROON HATOON PE LIKH DENA "MOHABBAT MER NAHI SAKTI"
Posted 30 Jan 2007

kabhi yun bhi aa meri aankh main
kay meri nazar ko khabar na ho
mujhay aik raat nawaaz daey
par is kay baad saher na ho
woh bara raheem o kareem hay
mujhay yeh sifaat bhi ataa karay
tujhay bhoolnay ki duaa karoon
toh meri duaa may asar na ho
Posted 30 Jan 2007

BOHUT DINOON KI BAAT HAI
Bohat dinoon ki baat hai

Ye baat ajj ki nahi

Faza ko yaad bhi nahi

Ye un dinoon ki baat hai

Shabab per bahar thi

Faza bhi khushgawar thi

Na janey kiun machal para

Main apney gher se chall para

Kisi ne mujh ko rok ker

Bari ada se tok ker

Kaha tha loot aiyee

Mari qassam na jaiyee

Mari qassam na jaiyee

Halat per nazar na thi

Per mujhey kuch khaber na thi

Ek roz tha ke main agiya

Khial tha ke paa giya

Woh mujh se door thi

Magar mari zaror thi

Aur ek haseen sham ko

Main chall para salam ko

Gali ka rang dekh ker

Nai tarang dekh ker

Kisi ne jhank ker kaha

paraeyy gher se jaiyee

Mari qassam na ayee

Aur ek hasen sham hai

Pyar jis ka nam hai

Main apney gher ko choor ker

Na janey jaoon ga kidher

Koi nahi jo rook ker

Bari ada se took ker

Kahey ke loot aiyee

Mari qassam na jaiyee

Mari qassam na jaiyee
Posted 30 Jan 2007

~~FRIENDS WITHOUT FACES~~

We sit and we type, and we stare at our screens
We all have to wonder, what this possibly means.

With our mouse we roam, through the rooms in a maze
Looking for something or someone, as we sit in a daze.

We chat with each other, we type all our woes
Small groups we do form, and gang up on our foes.

We wait for somebody, to type out our name
We want recognition, but it is always the same.

We give kisses and hugs, and sometimes flirt
In Palace we chat deeply, and reveal why we hurt.

We do form friendships - but - why we don't know
But some of these friendships, will flourish and grow.

Why is it on screen, we can be so bold
Telling our secrets, that have never been told.

Why is it we share, the thoughts in our mind
With those we can't see, as though we were blind.

The answer is simple, it is as clear as a bell.
We all have our problems, and need someone to tell.

We can't tell real people, but tell someone we must
So we turn to the computer, and to those we can trust.

Even though it is crazy, the truth still remains
They are Friends Without Faces, and odd little names.
Posted 30 Jan 2007

To Touch A Heart Of Someone

To touch the heart of someone dear,
Though it might sometimes cause a tear,
To fall or rest upon the cheek,
Should be something all should seek.
For often hearts, not touched at all
Start hardening and shrinking small.
And then the time it takes to grow
A loving heart is very slow.
For hearts expand as those who care
Extend their love and let us share
A moment, space or special phrase
That eases pain on dreary days.
Or simply starts our lips to smile,
And brightens time for just a while.
The ways and kinds and means of sharing
It seems to me, are based on caring.
And though we're often worlds apart,
You still can touch my very heart.
You make me smile or shed a tear,
And I'll remember year to year,
Just how your touching helped me grow.
I just thought I'd tell you so.
Posted 30 Jan 2007

~tasha~ says
Posted 30 Jan 2007

~Forever together~


Hold me my dearest
Never let me go
Our love is so wonderful
We can watch it grow.


Here we are together
Just you and me
Loving each other
The way it was meant to be.


A lifetime of wonder
With you by my side
A love that is so special
Together we will reside.


In our special little love nest
So happy we will be
Always and forever
Just you and me.
Posted 30 Jan 2007

Pyaar Hai Tum Se


Sirf Itna Kehna Hai Pyar Hai Tum se
Jazbaton ki Koi Numaish nahi ki Hum ne

Pyar ke badle sirf Pyar manga hai Hum ne
Rishte ki to Koi Guzarish Nahi ki Hum ne

Chatey Ho To Bhoola Dena Humain Dil se
Sada Yaad Rakhne Ki Sifarish Nahi Ki Hum ne

Khamoshi Se ToofaN Seh Lete Hain Hum to
Un Badalon Ne Izhar Ki Barish Nahi Ki

Tumhain Hi Mana Hai Rehbuma Apna
Aur Tu Kisi Cheez Ki Khuwahish Nahi ki

SirF ItnA KehnA hai Pyaar Hai Tum Se
Posted 30 Jan 2007

GumNam           
             
Lafz Gumnam ki tarah gumnam hain       
Jese hawa ki lehrein benam hain       
            
Kash main kuch esa ker sakta       
Apni sansein us ke nam ker sakta       
De ker zindagi use apni             
Us ki mot ko main apna jata       
            
Hum kese khud gerz nikle hain       
Na Use wapas bula sakte hain       
Us ke tu misl iss jahan main hai hi nahin       
Na hi misl kissi ke ker sakte hain       
             
Ishq us ka bhi humara bhi       
Nawazish us ke sath humara bhi       
Misl-e-pyar koi ab nahin       
Bin us ke na hum jee sakte hain       
Posted 30 Jan 2007

Kassh

KitnA Pyaar Karte hain tumse
Kaash TumkO bhi yeH ehsaaS ho JayE


Magar AisA na Ho Ke Woh hosH mein tab Aaaye
Jab HuM gehri neenD mein so JaayE"


"Ujdha Sansarr Lag Rahi Hay Duniya
Bhojal Beemar Lag Rahi Hay Duniya


Jiss Din Say Gaye Ho Tum Uss Din Say Mujhey
"Baasi Akhbar" Lagg Rahi Hay Duniya"


"hichikiyon se ek bat ka ehsas hota hein
ki shayad koi humhein bhi yad kartaa hein


beshak milne naa aaye par
char lamhein humpar barbad to karta hein"
Posted 30 Jan 2007

Meray Dil Ko

mohabbat ko baraye naam rehnay do
sabhi kuchh chheen lo mujh se magar ye shaam rehnay do...
meray maazi ki kuchh kalyaan khizaan main jhad na
paain gee meray maazi ko band kalyon ko
band kalyon main tum gumnaam rehnay do...
na poochho mujh se meray dil ka haal reh reh kar meray ashkon ko
aqat bar sar-e-kalaam rehnay do...
najanay aas paas kyun lagay adhoora kuchh?..
meri iss zaat ko mehdood-e-ishq ilzaam rehnay do...
meri hasti kay kuchh oaraaq khaali khaali hain MISHILL...
meri yaadon kay kuchh asbaaq bas benaam rehnay do...!
Posted 30 Jan 2007

Milain hum kabee to aisay kayhajab bool jaee


Milain hum kabe to aisay kay hijab bool jaee
Main sawal bool jaoon tu   jawab bool jaee

Tu kisee khiyal main ho aur usee khiyal hi main
Kabee meray rastay main tu gulab bool jaee

Kabee tu jo parnay bethay mujay harf harf dekhay
Teree aankhain beeg jaeen tu kitab bool   jaee

Teray zahn pay ho haawee mere soch is tara say
Kay tu apni ziandagee ka ya nisab bool jaee

Tu jo dekhay meree janab to bachon main ek guna say
Tujay dekhloon main itna kay   sharab bool     jaee

Mujay gam tu de raha hai magar is pay chahta hai
Main hisab rakh na paaoon tu hisab bool jaee

Mujay SAAD jatay jatay faqat itna kah gaya hai
Jisay day dikhaee acha wo kharab bool jaee
Posted 30 Jan 2007

You Are
You are my inspiration,
My love education,
My one and only vocation,
A love of all ramification.
You are my destiny,
My love chemistry,
My one and only electricity,
A feeling beyond capacity.

You are my one and only,
My love pony,
My one and only folly,
The one that makes me homely
Posted 30 Jan 2007

ACHIEVING DREAMS --

A dream is a seed
The seed of a tree
A tree full of life
And the things you can be
Your dreams are the windows
Through which you can see
A hint of your future
And the things you will be
Each night when you sleep
YOur feeding the seed
The seed of the tree
Of who you will be
Posted 30 Jan 2007

AIK DOOR AISA THA'''''''''

Tu Akelay Milta Tha Aik Dorr Aisa Tha
Dil Bhout Machalta Tha Aik Dorr Aisa Tha
Bey Khudi Ka Woh Mausam Kitna Acha Lagta Tha !
Har Qadam Behakta Tha Aik Dorr Aisa Tha
Kis Tarhan Buhladoon Teray Wisal Ki Ratin ?
Chand Hum Say Jalta Tha Aik Dorr Aisa Tha
Tu Udass Lamhoon Main Mujh Ko Ourr Leti Thi
Main Tujhe Pehanta Tha Aik Durr Aisa Tha
Mujh Say Teri Duri Ka Ghum Saha Na Jata Tha
Sab Say Main Ulajta Tha Aik Dorr Aisa Tha
Tum Tu Sab Baharoon Ko Saath Apnay Lay Gay
Apna Ghar Mahakta Tha Aik Dorr Aisa Tha
Sab Andehri Ratoon Ko Main Saath Chor Detay Thay
Tu Nahi Badalta Tha Aik Dorr Aisa Tha
Uss Kay Hijar Main Bey Kuli Si Rehti Thi
Dil Kahin Na Lagta Tha Aik Dorr Aisa Tha
Posted 30 Jan 2007

Raat ki tanhayon main awaz diya karte hai

chand or sitaron se tumhari baat kiya karte hai
mujhe nahi pata mere ghar wale kahte hai
hum raat main bhi tumhara naam liya karte hai

Yun to pyar karne waale tumai kam na milengay,
Mil jaingay hum jaise bohot ,,, per hum na milengay.

ye khwaab hi hai jo humen unka ehsaas dilaten hai.
sapno main sahi wo aankhon se pyar ki sharaab pilaten hai.
wo lambye baalon ka ulajhna,wo pyari si muskaan
.unke chahre ki wo shokhi,ye dil mera kurbaan.
wo laal libaaz main lipta hua husn kya kamaal tha.
jiski koi misaal nahi wo mera yaar bemisaal tha.

Tera daman na Chhodege hum tere chahane wale hain
ullfat ki rah main khud ko mitane wale hain
Chahe jitane bhi kar le tu julmo sitam
Hum her Haal main Nubhane wale hain.

Yeh dosti meri nahi hamaari hai,
Isliye toh saab rishton si pyaari hai.
Zaroori nahi doston ka roz milna,
Tabhi toh sms ka silsila jaari hai!

Hum Raat Ki Tanhai Me Tumhe Awaz Diya Karte Hai
Aur Sitaron Se Apka Jikr Kiya Karte Hai
Naa Aao Khwabon Me Humare
Hum Bhoot Se Dara Karte Hai

Kabhi unki palko se unka izhaar hoga
Dil ke kisi kone mein unke hamare liye pyar hoga
Guzar rahi hai raat unki yaad mein
Kabhi unko hamara bhi intezaar hoga
Posted 30 Jan 2007

Sab kuch to tere pass hai

Tu phir kiyon dil udass hai?

Hai piyar bhi tere liye

Khayal bhi tere liye

Ye dil bhi tere pass hai

Tu phir kiyon dil udass hai?

Main sochta hoon bas tujhe

Main dekhta hoon bas tujhe

Jab mujh pe etebaar hai

Tu phir kiyon dil udass hai?

Hai zindagi tere liye Ye dil, khushi tere liye

Ye sab jo tere pass hai

Tu phir kiyon dil udaas hai?

Too neend main, tu khwab main

Too mere dasht-o-aab main

Har pal too mere saath hai

Tu phir kiyon dil udass hai?

Har simt hain gul khile houe

Hain dost bhi mile houe

Har simt piyar hi piyar hai

Tu phir kiyon dil udass hai?

Ye dil, khushi or etebaar

Ye dost, khwab or ye piyar

Sab kuch tu tere pass hai

Tu phir kiyon dil udass hai?
Posted 31 Jan 2007

Suna hai waqt ke saath halat badal jate hain
Insan badal jate hain, jazbat badal jate hain
Par tum na badloge, ye aitbar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon



In haseeniyon se pyaar kya karna...
In adayon se pyaar kya karna...
Yeh Zakhm de kar hasa karti hain....
In bewafayon se pyaar kya karna



ye mera dil is dil ki halat kaise bataun tumhe
ye dil ab dil na raha di ki awaz kaise sunaun tumhe
kishi ke mohabat main thukraya gaya hai ye
ye dil mein jo dard hai kaise dekhaun tumhe


Tu Mili to zindigi mili
Tujako dekha to zindagi ko dekha


TUTE HUA DIL KE DARD KA BHI ALAG MAZA HAI ,
JO USKO MEHSUS KARTA HAI VO USHI KO PATA HAI.



kisi bhi mausam ka asar abb humpe hota nahi,
yaro hum ne tau registan(desert) ki aadat dal rakhii hai


Hum se kya khathaa huvien, mail aanaa bandh hai...
Aap hi humse naaraaz hai, ya mail server bandh hai?!


MOHABBAT KE LIYE KUCH KHAAS DIL MAQSOOS HOTE HAI
YEH WOH NAGMA HAI JO HAR SAAZ PE PAAYA NAHI JAATA


Dil ki lagi kuch asi lagi, hum dil hi gawa bhetain,
ye dil ka lagana kya hua ek rog laga bhetain


har rahi ko manzil nahi milti,
har mujrim ko saza nahi milti,
mera bhi khwaish hai TajMahal banane ki,
magar har kisi ko Mumtaz nahi milti
Posted 31 Jan 2007

The Rose

A ROSE, as fair as ever saw the North,
Grew in a little garden all alone;
A sweeter flower did Nature ne'er put forth,
Nor fairer garden yet was never known:
The maidens danced about it morn and noon,
And learned bards of it their ditties made;
The nimble fairies by the pale-faced moon
Water'd the root and kiss'd her pretty shade.
But well-a-day!—the gardener careless grew;
The maids and fairies both were kept away,
And in a drought the caterpillars threw
Themselves upon the bud and every spray.
God shield the stock! If heaven send no supplies,
The fairest blossom of the garden dies.
Posted 31 Jan 2007

Thodi Si Khushi
---------------

thodi si hai zindagi

jismain hai thodi si khoshi

kitna khali hai ye daman

kitni bechain hai ye kami

hai udasiya bhut waqt kitna hai kam

tu khushi ko gale laga chord ye badnasibi

gam hai suraj se roshni tu

khushi ki chandni raat hai

tu chora le wo lamha

jismain shamil hai ye raoshni

chaar din main tu apni zindagi ji le

dard ko na bada apne hatho se si le

chord ye mayosiya hata de her bebasi

himat se tu qadam utha raasta apna bana

na ker kisi ki aas tu sapna apna tu khud saja

kamzoor ker na de tujhe in aankho ki nami

thodi si hai zindagi
jismain hai thodi si khoshi
Posted 31 Jan 2007

Had A Dream

          
Had A Dream

I flew with the birds
so free and fearless
in my mind

Walked along the
untouched forests
of each silent
thought

Drank from the
streams of youthful
desires

Watched the animals
follow me walking down
the path of life

Walked the sea shores
of eternal bliss, in the
dead of night

Sang my songs
under the glow of
the moon, while watching
each star sparkle one
by one

Dressed in the beauty
of the sun, with warmth
flowing threw my soul

Had a dream I never
woke, just saw the
angels flying by

Never woke from my
sweet sweet dream, I
was sitting next to heavens gate
Posted 31 Jan 2007

Keep walking

Though there's no place to get to.

Don't try to see through the distances.

That's not for human beings.

Move within

but don't move

The way that fear makes you move.
Posted 31 Jan 2007

Reply to Topic