~ LG’s Poetry Compilation ~

60320 views 2476 replies
Reply to Topic
London_Girl

Age: 124
Total Posts: 18948
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom
Muskura Kar Mila Karo Ham Se
Kuch KAha Aur Suna Karo Ham Se

Bat KArne Se Bat Barhti Hai
Roz Baatain Kiya Karo Ham Se

Dushmani Se Mile ga Kiya Tum Ko
Dost Ban Kar Raha Karo Ham Se

Daikh Laite Hain Sat Pardon Main
Yun Na parda Kiya Karo Ham Se
Posted 29 Sep 2006


Kabhi Aey Haqiqate Muntazar, Nazar Aa Libaase Majaaz Mei(N)
Ke Hazaaro(N) Sajde Tarap Rahe, Hai Meri Jabine Nayaaz Mei(N)

Tu Bacha, Bacha Ke Na Rakh Use, Tera Aaina Hai Woh Aaina
Ke Shikasta Ho To Aziz Tar, Hai Nigaahe Aaina Saaz Mei(N)

Na Woh Ishq Mei(N) Rahi Garmiyaa(N), Na Woh Husn Mei(N) Ho Shaukhiyaa(N)
Na Woh Ghaznavi Mei(N) Tarap Rahi, Na Woh Kham Hai Zulfe Ayaaz Mei(N)

Na Kahi(N) Jahaa(N) Mei(N) Amaa(N) Mili, Jo Amaa(N) Mili To Kahaa(N) Mili
Mere Jurme Khaana Kharaab Ko, Tere Afwe Banda Nawaaz Mei(N)

Jo May(N) Sar Ba Sajdaah Hua Kabhi, To Zami(N) Se Aane Lagi Sada
Tera Dil To Hai Sanam Aashna, Tujhe Kya Milega Namaaz Mei(N)

Posted 16 Feb 2007


Meri Aarzoo, Meri Zindagi, Tera Koocha Tera Diyaar Hai
Mera Dil Fida Tere Naam Par, Meri Jaan Tujh Pe Nisaar Hai

Jisey Mil Gai Ho Teri Nazar, Usey Subho Shaam Ki Kya Khabar
Usey Hosh Kab Hai Jahaa(N) Ka, Jisey Mil Gaya Yeh Khumaar Hai

Saari Rabb Ne Ne’amatei(N) Baant Kar, Rakhkha Na Kuch Apne Liye Magar
Jo Chuna To Apne Liye Chuna, Mere Mustafa Tera Pyaar Hai

Tere Naale Paak Ki Khaak Ka, Shabe Auj Dekha Hai Martaba
Sare Arsh Bhi Jo Paho(N)Ch Gaya, Woh Teri Gali Ka Khumaar Hai

Parhu(N) Jhoom, Jhoom Ke May(N) Durood, Parhu(N) Jhoom, Jhoom Ke May(N) Salaam
Aur Aesi Bandagi Mei(N) Suroor Hai, Aur Aesi Bandagi Mei(N) Qaraar Hai

May(N) Gunahgaar Rakhkhe Sharam, Meri Aas Bas Hai Tera Karam
Kahaa(N) Rehmato(N) Ki Hadd Teri, Kahaa(N) Bakhshisho(N) Ka Shumaar Hai

Teri Chaahato Ne Saja Diya, Diley Daaghdaar Ayaaz Ka
Teri Yaad Se Hi Mere Nabi, Meri Zindagi Mei(N) Bahaar Hai

Posted 16 Feb 2007


Tera Khaawa(N) Te Tere Geet Gaawa(N), Ya Rasoolallah
Tera Milaad May(N) Kyo(N) Na Manaawa, Ya Rasoolallah

Halima Kulli Nu Vey Khe Kadi Sarkaar Nu Vey Khe
Kavey May(N) Keri Sej Tere Lai Sajawaa(N), Ya Rasoolallah

Ya Rasoolallah, May(N) Kuch Vi Naee Jo Tere Naal Meri Koi Nisbat Naee
Par May(N) Sab Kuch Haa(N) Je May(N) Tera Sadaawa(N), Ya Rasoolallah

Ya Rasoolallah, Jagaao Bhaag Merey Vi Abu Ayyub De Vaa(N)Goo(N)
Par Muqaddar Os Da Kiththo(N) Ley Aa(N)Vaa(N), Ya Rasoolallah

Ya Rasoolallah, Mera Vi Dil Te Chah(N)Da Aey Tusi Merey Vi Ghar Aao
Maana Ke Beamal Hu(N), Nihaayat Bura Hu(N) May(N)

Lekin Huzoor Aap Ke Dar Ka Gada Hu(N) May(N)
Aaqa, Mera Vi Dil Te Chah(N)Da Aey, Tusi Merey Vi Ghar Aao

Par May(N) Kerey Maan Te Ghar Vich Bulaa(N)Waa(N), Ya Rasoolallah
Madiney Aake Ho Raat Din Meri Ibaadataei(N)

Tere Roze To(N) Na Ankhiyaa(N) Hatta(N)Waa(N), Ya Rasoolallah
Zamaane Bhar Ka Yeh Qaidaah Hai Ke Jis Ka Khaana Usi Ka Gaana

Tumhaara Sad’qah Hi Kha Rahe Hai(N), Tumhaare Hi Geet Gaa Rahe Hai(N)
May(N) Har Dum Teriyaa(N) Na’ataa(N) Sunaawa, Ya Rasoolallah

Khuda Vi Teri Yaad Karta Sanaawa, Ya Rasoolallah
Ajal De Au(N) To(N) Pehle Je Teri Deed Ho Jaave

May(N) Aesi Maut To(N) Qurbaan Jaawaa(N), Ya Rasoolallah
Jina Ne Tere Yaa(N) Qadmaa(N) Nu Sine Naal Laayaaey

Nasiba Waliya(N) Ho(N)Eeya Oththaawaa(N), Ya Rasoolallah
Keve(N) Sud Aashna Tehrir Ho Jaaey Zahoori Di

Posted 16 Feb 2007


Rehmat Ka Hai Darvaazaah Khula, Maang Arey Maang
Deta Hai Karam Un Ka Sada, Maang Arey Maang

Aajaaega Tai’bah Se, Bulaawa Bhi Kisi Roz
Har Waqt Madiney Ki Dua, Maang Arey Maang

Gulshan Teri Ummid Ka, Khil Jaaega Aey Dost
Sarkaar Ke Kuche Ki Hawa, Maang Arey Maang

Mehroom Rahega Na Koi, Un Ke Karam Se
Hai Josh Pe Daryaaey Sakha, Maang Arey Maang

Bhar Jaaega Kashkol, Murado(N) Se Tera Bhi
Ban Kar Mere Aaqa Ka Gada, Maang Arey Maang

Maayoos Na Ho Yeh Mere, Lajpaal Ka Ghar Hai
Hai Kis Liye Maayoos Khara, Maang Arey Maang

Sarkaar Ko Sarkaar Se, Maangu(N) Gaa Niyazi
Sarkaar Ne Jis Waqt Kaha, Maang Arey Maang
Posted 16 Feb 2007

Safar Tai’bah Par Rawaana Ho Ne Se Pehle



Ashke Peham Ki May(N) Barsaat Lagaalu(N) To Chalu(N)
Apne Daaman Se Har Ik Daagh Mitaalu(N) To Chalu(N)

Choomlu(N) Chash’me Tasawwur Mei(N), Dare Shaahe Umam
Sabz Gumbad Ko Nigaaho(N) Mei(N) Basaalu(N) To Chalu(N)

Tordu Jhuthi "Ana" Ke, Sab Hi Paimaa’noh Ko
Apne Ho Ne Ki Alaamaat Mitaalu(N) To Chalu(N)

Aajzi Ke Phool Hawaao(N) Mei(N) Bikheru(N) Pehle
Maghfirat Ka Saro Saamaan Uthaalu(N) To Chalu(N)

Daamane Arze Hoonar Chaak Hua Jaata Hai
Khushk Ho(N)Tho Pe Zare Na’at Sajaalu(N) To Chalu(N)

Kasare Imaa(N) Pe Musallat Hai, Mufaadaat Ka Jabar
Shehre Ad-Haam Ke Azaam Giraalu(N) To Chalu(N)

Jaan Daidu(N) Sare Dahliz Payambar Mei(N) Bhi, Rasta Koi Hazoori Ka
Har Taraf Phaila Hai Afkaar, Nadaamat Ka Hajhoom
Kar Ke Madd-Haat Ko Ragejaa(N) Mei(N) Chupaalu(N) To Chalu(N)

Saath Leta Chalu(N) Auraaqe Tamanna Ka Nisaab
Johre Ishqe Hawaadas Se Bachaalu(N) To Chalu(N)

Sajdaaey Shukr Bhi Waajib Hai, Mere Ho(N)Tho Par
Jaanibe Shehre Nabi, Naame Khuda Lu(N) To Chalu(N)

Saamne Shehre Payambar Ke Guzar Gaa Hai, Riyaz
Zarre, Zarre Ko May(N) Palko Pe Sajaalu(N) To Chalu(N)

Shauq Daaman Ko Nahi(N) Chorta Lekin
May(N) Riyaz Tishnagi Harfe Shataaish Ki Bujaalu(N) To Chalu(N)
Posted 16 Feb 2007

Shehre Konein Jalaalat Teri


Allah, Allah, Shehre Konein, Jalaalat Teri
Farsh Kya, Arsh Pe Jaari Hai Hukumat Teri

Maut Aajaaye Magar Aaye Dil Ko Aaraam
Dam Nikal Jaaye Magar Nikaley Na Ulfat Teri

Dekhne Waale Kaha Karte Hai(N), Allah, Allah
Yaad Aata Hai Khuda, Dekh Ke Soorat Teri

Tuhi Hai Mulke Khuda, Milke Khuda Ka Maalik
Raaj Tera Hai, Zamaane Mei(N), Hukumat Teri

Ham Ne Maana Ke Gunaaho(N) Ki Nahi(N) Hadd Lekin
Tuhe Un Ka To Hasan Teri Hai Jannat Teri

Posted 16 Feb 2007

Madiney Ko Jaaey, Yeh Jee Chaahta Hai

Madiney Ko Jaaei(N), Yeh Jee Chaahta Hai
Muqaddar Banaaei(N), Yeh Jee Chaahta Hai

Jahaa(N) Dono(N) Aa’lam Hai(N), Mehwe Tamanna
Wahaa(N) Sar Jhukaaei(N), Yeh Jee Chaahta Hai

Muhammad Ki Baatei(N), Muhammad Ki Sirat
Nahi(N) Aur Sunaaei(N), Yeh Jee Chaahta Hai

Madiney Ke Aaqa, Do Aa’lam Ke Maula
Tere Paas Aaei(N), Yeh Jee Chaahta Hai

Paho(N)Ch Jaaei(N) Behzaad, Jab Ham Madiney
To Khud Ko Na Paaei(N), Yeh Jee Chaahta Hai

Posted 16 Feb 2007

Tumhari Yaad Ki Shama Hamare
Tumhari Yaad Ki Shama Hamarey Dil Main Roshan Hai...
Issey Khud Hi Bhuja Jana Kabhi Aana Hawa Ban Kar...

Tumhari Aarzo Ki Hai Kabhi Manga Hai Jo Rab Se ...
Merey Hontoon Pe Rahte Ho Meri Jaan Tum Dua Ban Kar...


Tumharey Khuwab Main Dhaikhoon Tumhein Main Raat Din Soochoon...
Ager Yeh Juram Hai Jan! To Aa Jana Saza Ban Kar...

Kaho To Aaj Batla Doon Tumhein Kiun Dhaikhta Hoon Main...
Jo Aati Ho Aadaon Se To Jati Ho Qaza Ban Kar...

Faseel-e-jaan Ager Sir Ho To Pohnchein Terey Koochey Main...
Teri Chokhtat Pe Ja Bhaithoon Muhbbat Ka Gadha Ban Kar...

Yeh Chara Ger Bhala Kaisey Merey Is Marz Ko Samjhein ...
Main Bemar-e-muhabbat Hoon Tum Aa Jao Shafa Ban Kar...

Mujhe Kamil Yaqeen Hai Tum Meray Ho Jao Gi Aik Din ...
Tumharey Dil Main Utroon Gi Muhabbat Ki Sada Ban Kar...

Merey Josh-e-janoon Per Sari Khalqat Muj Ko Takti Hai...
Zara Tum Bhi Nazer Dalo Na Bhaitho Yun Khud Ban Kar...

Tumhein Yeh Raaz Batla Doon K Akser Chaand Ratoon Main ...
Terey Aangan Main Aati Hoon Sitaroon Kia Zaya Ban Kar...

Jiger Ka Khoon Layi Hoon Terey Singhar Ki Khatir...
Hathaili Per Racha Laina Yeh Mahkey Ga Hina Ban Kar...

Tumhein Jab Yaad Karti Hoon To Kaisey Jaan Sulagti Hai...
Tumhein Bhi Tars Aaye Ga Kabhi Socho Raza Ban Kar...F...
Posted 16 Feb 2007

Acha Nahi Lagta

Har Bat Pay Ab To Hasna Acha Nahi Lagta.
Gham_E_Ashiqi Say Hatna Acha Nahi Lagta.
Khirki Mai Mera Koi Intezar Nahi Karta Ab.
Teri Ghar Say Ab Guzarna Acha Nahi Lagta.
Rahoon Mai Teri Yad Kay Jugnoon Hain Ja Baja.
Ab Saath Kisi Kay Chalna Acha Nahi Lagta.
Aye Jan Tumhain Kab Tak Har Bar Manaon Mai.
Har Bat Pay Bigarna Acha Nahi Lagta.
Sono Kabhi Ankhoon Ko Khay Detin Hain Yeh Bohot Kuch.
Har Bat Zaban Say Kehna Acha Nahi Lagta.
Sawan Ki Rutoon Ko Chup Chap Ganwa Deta Hun.
Darakhtoon Say Ab Lipatna Acha Nahi Lagta.
Dastor_E_Zaban Bandi Seekhi Hai Chot Kha Kar.
Halay Dil Sabhi Say Kehna Acha Nahi Lagta.
Ab Kisi Nigah_E_Shoq Ko Intezar Nahi Hai Mera.
Ab Ass Kisi Ki Rakhna Acha Nahi Lagta.
Mai Janta Hun Wafa Ki Manzil Nahi Hai Koi.
Par Is Ab Rah Say Palatna Acha Nahi Lagta.

Posted 16 Feb 2007

DUKH ANMOL HOTEY HAI
Kudrat Ka Atiya Hotey Hai


Kabhi Kuch De ke Jatey Hai
Kabhi Sub Cheen Leitey Hai


Kabhi Be-Chain Kartey Hai
Kabhi Jeena Sikhatein Hai



Kabhi Bantey Hai Jab Ansoo
Umar Bhar Rulatein Hai



Kabhi Lab Ke Hussi Banker
Nayi Duniya Sajatey Hai


Kabhi Meethi Yaad Banker
Anjani Khalish Banker



Makeen-e-Dil Banker
Kissi Surat Nahee Mittey


Jo Insey Door Bhagoo Tum
Kaheen Janey Nahee Detey


Na Zinda Rehne Detey Hai
Na Yeh Azaad Karte Hai


Yeh Aisa Dard Hote hai
Magar Yeh bi Haqiqat hai

DUKH ANMOL HOTEY HAI
Posted 16 Feb 2007


Woh La Makaa(N) Ke Maki(N) Huey

This Na’at Is Also Composed In The Memory Of "Me’raaj Sharif".

Woh La Makaa(N) Ke, Maki(N) Huey
Sare Arsh Tak, Nashi(N) Huey
Woh Nabi Jis Ke Hai, Yeh Makaa(N)
Woh Khuda Hai Jis Ko, Makaa(N) Nahi(N)

Sare Arsh Par Hai, Teri Guzar
Dile Arsh Par Hai, Teri Nazar
Malakuto Mulk Mei(N) Koi Shay Nahi(N)
Woh Jo Be-Ayaa(N) Nahi(N)

Jaise Mera Sarkaar Hai, Aisa Koi Nahi(N)

Ab Meri Nigaaho(N) Mei(N), Jachta Nahi(N) Koi

Tumsa To Hasi(N) Aankh Ne To, Dekha Nahi(N) Koi

Kya Shaane Lataafat Hai, Saayaah Nahi(N) Koi

x............x............x
Posted 16 Feb 2007


Rehmat Baras Rahi Hai



Rehmat Baras Rahi Hai, Mehfil Bari Saji Hai
Anwaar Ki Ghari Hai, Mehfil Bari Saji Hai

Faizaane Mustafa Hai, Har Ek Simt Jaari
Lab Par Nabi, Nabi Hai, Mehfil Bari Saji Hai

Qaadiro; Abde Qadir, Ke Chaaye Ham Pe Saaye
Bigri Bani Hui Hai, Mehfil Bari Saji Hai

Khush Bakht Hai Yeh Saare, Jo Hai(N) Sharike Meffil
Hai Jis Ke Mustafa Se, Saari Fiza Muattar
Har Simat Roshni Hai, Mehfil Bari Saji Hai

Akhtar Saji Thi Kehde, Duniya Se Barmala Tu
Yeh Dore Qaadri Hai, Mehfil Bari Saji Hai

x............x............x
Posted 16 Feb 2007

Tere Mehboob Ka, Jalwa Nazar Aaey


Ya Rabb, Tere Mehboob Ka, Jalwa Nazar Aaey
Us Noore Mujassim Ka, Saraapa Nazar Aaey

Aey Kaash Kabhi Aisa Bhi Ho, Khwaab Mei(N) Mere
Hu(N) Jis Ki Ghulaami Mei(N), Woh Aaqa Nazar Aaey

Roshan Rahe(In) Aankhei(N), Yeh Meri Baa’de Fana Bhi
Gar Waqte Niz’a Woh, Shahe Waala Nazar Aaey

Ta Hashr Meri Qabr Mei(N), Ho Jaaye Ujaala
Marqad Mei(N) Jo Un Ka, Rukhe Zaiba Nazar Aaey

Jis Dar Ka Banaaya Hai, Gada Mujh Ko Ilaahi
Us Dar Pe Kabhi Kaash, Yeh Mangta Nazar Aaey

Kaa’bah Aey Riyaz, Us Ko Bana Lunga May(N) Dil Ka
Agar Naqshe Qadam Mujh Ko, Nabi Ka Nazar Aaey
Posted 16 Feb 2007

Aaqa Ke Ghulaamo(N) Ko Ab Eid Mana Ne Do
Sarkaar Ki Aamad Hai, Raaho(N) Ko Saja Ne Do

Charcha Hai Yehi Har Su, Kehta Hai Yeh Har Koi
Tashrif Nabi Laaey, Mehfil Ko Saja Ne Do

Ghar, Ghar Mei(N) Charaaghaa(N) Hai, Rehmat Ka Ujaala Hai
Aaqa Ki Sana Kar Ke, Taqdir Jaga Ne Do

Khushiyaa(N) Hai Sab Hi Karte, Sarkaar Ki Aamad Par
Ik Naghma Hai Laahuti, Mujh Ko Bhi Suna Ne Do

Posted 16 Feb 2007


Aaqa Bemisaal Aa Gaya, Aminah Ka Laal Aa Gaya


Jalwe Har Taraf Bikhar Gaye, Saahibe Jamaal Aa Gaya
Bol Sach Nabi Ko Dekh Kar, Husne Bemisaal Aa Gaya

Unki Rehmatei(N) Hai(N) Is Qadar, Kufr Par Zawaal Aa Gaya
Zikr Hai Nabi Ke Ishq Ka, Yaad Yu(N) Bilaal Aa Gaya

Rakh Liya Huzoor Ne Bharam, Lab Pe Sawaal Aa Gaya
Daamane Nabi Mila Usey, Jo Bhi Khasta Haal Aa Gaya

Posted 16 Feb 2007

Bholna Itnaa Asan Nahi.....
ke main tujhay bhool jaon
Aaj phir dil bohat ghabraya
Maiany usko ye samjhaya
Ke bholna itnaa asan nahi
Tu ager dil ki dhadken hota
Tou mera dil dhadkna bhool jata
Tu ager sanso main ji raha hota
Tu sansoo ki dour tou hoti hi kachi hay
Tu ager khayalon ka markaz hota
Tou main hosh-o- khird say baygana hota
Mager afsos
Tu tou meri rooh ka hamzaad hay
Us main azal say layker abd tak abaad hay
Or Rohh kabhi fana hoti nahi
Kabhi miti main ja ker soti nahi
Kabhi dil ki taraha roti nahi
Sans ki dor ki taaraha kachi hoti nahi
Jab rooh say talaq toot sakta nahi
Or Khuda bhi usko bhool sakta nahi
Tou ayay qarar-e- dil
Aaj tu itna jaan lay k
Bhoolna itna aasaan tou nahi....
Posted 16 Feb 2007

Daikh K Tum Ko Hosh Main Aana Bhool Gaye
Yaad Rahay Tum Aur Zamana Bhool Gaye

Jab Samnay Tum Aa Jatay Ho
Na Janaye Kia Ho Jata Hay
Kuch Mill Jata Hay,Kuch Kho Jata Hay
Kia Janaye Kia Ho Jata Hay

Chaha Tha Yeh Kahain Gay
Socha Tha Who Kahain Gay
Aaye Who Samnay Tu,Kuch Bhi Na Kaih Sakay
Bus!Daikha Kiye Unhain Hum

Daikh Kar Tum Ko Yaqeen Hota Hay
Koi Itna Bhi Haseen Hota Hay
Daikh Patay Hain Kahan Hum Tum Ko
Dil Kahin Hosh Kahin Hota Hay

Jab Samnay Tum Aa Jatay Ho
Na Janaye Kia Ho Jata Hay
Kuch Mill Jata Hay,Kuch Kho Jata Hay
Kia Janaye Kia Ho Jata Hay..!!

Aa Kar Chalay Na Jana,Aaisay Nahi Satana
Day Kar Haseen Labon Ko,Aankhon Ko Mut Rulana
Daina Na Bayqarari Dil Ka Qarar Ban K
Yadoon Main Kho Na Jana Tum Intezar Ban K

Bhool Kar Tum Ko Na Jee Payein Gay
Saath Tum Hogi Jahan Jayein Gay
Hum Koi Waqt Nahi Hain Humdam
Jab Bulaio Gay Chalay Aayen Gay

Jab Samnay Tum Aa Jatay Ho
Na Janaye Kia Ho Jata Hay
Kuch Mill Jata Hay,Kuch Kho Jata Hay
Kia Janaye Kia Ho Jata Hay..!!

Posted 16 Feb 2007

Bikhrey Ansoo

Bikhrey Aansoo Key Moti Hum Pee Na Sakey
Teri Yaad Main Sari Raat So Na Sakey
Beh Na Jaye Aansoo Main Tasvir Teri
Bas Yahi Soch Kar Hum Ro Na Sakey
Woh Mil Jatey Hain Kahani Ban Kar
Dil Main Bas Jatey Hain Nishani Bankar
Jinhey Hum Rakhtey Hain Apni Aankho Main
Q Nikal Jatey Hain Woh Pani Bankar
Khayalon Ko Kisi Aahat Ki Aas Rehti Hai
Nigaahon Ko Teri Talaash Rehti Hai
Terey Bina Koi Kami Nahi Lakin
Terey Bagair Tabiyat Udaas Rehti Hai
Samjha Na Koi Dil Ki Baat Ko
Dard Duniya Ney Bin Sochey Hi Dey Diya
Seh Gaye Jo Hum Aghar Dard Ko Chupkey Sey
To Phir Hum Ko Pahtar Dil Keh Diya
Aghar Hum Na Hotey To Ghazal Kon Kehta
Aap Key Chehrey Ko Kamal Kon Kehta
Yeh To Karishma Hai Mohabbat Ka
Warna Pahtar Ko TAJ-MEHAL Kon Kehta
Dard Sey Dosti Ho Gayi Yaaron
Zindagi Bedard Ho Gayi Yaaron
Kya Huwa Jo Jal Gaya Aashiyana Hamara
Door Tak Roshni To Ho Gayi Yaaron
Posted 16 Feb 2007

Aab key Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay

Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay

Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya

Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay.


Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain

Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay

Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua

Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay.


Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh

Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay

Koi To Baat Hia Us Main faraz

Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay.

Posted 16 Feb 2007

Aansoo



Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Se Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker




Chand Nikla Hai Meri Ankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehke Hai Meri Zulf Ka Saya Banker


Meri Jaagi Hoye Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker


Dil Ke Kaghaz Per Utarta Hai To Sheron Ki Tarah
Mere Hontoon Pe Machalta Hai To Naghma Banker




Raat Bhi Aaye To Bujhti Nahii Chehre Ki Chamak
Ruh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Banker


Mera Kya Hall Hai Yeh Ke Kabhi Dekh To Le
Jee Rahii Hoon Tera Bhoola Howa Wada Banker




Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Ker
Gher Se Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker


Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Se Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Posted 16 Feb 2007

Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin
ik pal nahin jab tumhe humne pukaara nahin

meri naakaamiyon ka itna bhi gam na kijiye
agar aap jeete hain to main haara nahin
ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
maine abhi aapka gam dil se utaara nahin

tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein
kashti bhi hai maajhi bhi hai,kinaara nahin
kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala
aansu hai mera ye koi toota hua taara nahin
kisko gale lagaa ke rooyen na-muraad hum
is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin

mareez-e-ishq hai tamannai khudkushi ka ab
gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin
wo aa ke poonchh den aansu hamari aankhon se
itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin

itna hai bad-naseeb "KaMaL" ka ye jaha.n
loota hai zindagi ne jise maut ne maara nahin
Posted 16 Feb 2007

MERE ARMAAN

Apne honton se lagana chahta hun,
tere dil me samana chahta hun,
tumhe apne pyaar me rang kar,
apna ghar basana chahta hun,
main tumse pyaar karta hun,
haan main tumhen ye jatana chahta hun,
tere anchal se apna anchal bandh kar,
tumhen main apna banana chahta hun,
gawahi denge hamari mangal suutr or sindhoor,
jinse main teri khobsoorti badhana chahta hun,
tere daaman per upna sar rakh ker ,
main khudko bhool jana chahta hun,
tera pyaar is {gareeb} k liye hai ya nahi ,
aaj main ye aazmana chahta hun,
ye hain mere dil k kuch armaan,
jo main es zindgi se chhahta hun
Posted 16 Feb 2007

~ Jis Ko Dil Ne ~


Jis Ko Dil Ne Apna Maan Liya
Us Ko Dil Torney Ki Aadat Thi

Hamain Dil Jorna Aata Tha
Us Ko Tanz Karney Ki Aadat Thi

Hamain Bardasht Kerna Aata Tha
Usey Mazak Uraney Ki Aadat Thi

Hamain Sabar Kerna Aata Tha
Usey Doosron Ki Khushiyoun Ko
Ghum Mein Badalney Ki Aadat Thi


Hamain Ghum Ko Bhi
Khushi Mein Badalna Aata Tha
Usey Kisi Ke Dard Ka Ahsaas Naa Tha

Hamare Pass Dard Hi Dard Tha So Saare Dard
Ham Ne Dil Mein Chupa Liye Seh Liye

Bas Bewafai Naa Seh Sake
Aur Itni Door Ja Basey

Jahan Us Ki Yaadain Bhi Naa Aa Paayen
Magar Yaadon Per

Kis Ka Bas Chala Hai So Ham Bhi
Un Ko Naa Bhool Paayen Hain
Posted 16 Feb 2007

Agar Yakeen Ho To Laot Anna

jab tumhein yeh yaqeen ho jaye
ke main tumhein kitna chahta hoon
tumse kitni mohabbat karta hoon
to usi din tum laut aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
jab tumhain aisa lage ke
koi tumhare sang nahi hai
koi tumhara hamdam nahi hai
to usi din tum laut aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
jab tumhain zindagi dushwar lage
jab koi umeed na koi aas ho
koi bhe na tumhare pass ho
to usi din tum laut aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
agar kabhi yadein bohat dukh de
tanhai ka ehsas bohat satae
to usi din tum lautt aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
jab you lage tumhain ke
tum ab aik qadam bhe nahi chal sakti
mazeed is aag main nahi jal sakti
to usi din tum laut aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
jab har saans boojh lagne lage
tum andar hi andar tootne lago
to ausi din tum lautt aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
na mile panah kisi key banhoon main
aur shiddat se kisi ke zaroorat ho
to usi din tum laut aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
jab yeh ehsas tumhain tadpane lage
ke tum ne kabhi tukraya tha kisi ko
yah phir koi tumhain tukra de
to usi din tum laut aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
aankhoon main ajay agar ask tumhari
aur koi shaks pouchne wala na ho
koi ghum bant ne wala na ho
to usi din tum lautt aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
koi tord de agar dil tumhara
ho agar na koi muqabil tumhara
tanhai ka ehsas bohat sataee
to usi din tum laut aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
yeh to dukh deti hain sada
tumhain bhe yadein sataye jab
mehfil main bhe khud ko tanha paoo
to us din tum laut aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
yeh mera wada raha tumse
jo kuch bhe main ne kaha tumse
yeh sab na bhool paoo gi
tum muje sada,sada apna muntazir paoo gi
Posted 16 Feb 2007

!*chupke chupke roo lenaa...........

jub scene gum se bhoujel ho aor yad kisi ki ati ho
tub bund kumre mein hojna aor chupke chupke roo lena

jub ankhain bagi hojayain or yaad mein bher ayaiin
phir khud ko dhoukha mut dena or chupke chupke roolena

jub pulkain kerb se moundi hoon or sub sumjhe tum sote ho
tub muu per takiya rukh lena aor chupke chupke roo lenaa

ye duniya zulum duniya haii,ye baat bohat phelayee gi
tum samne chup rehena aor chupke chupke roo lena

jub barish cheara dhou dale aor aushk bhi bondain lugtain hon
wo lumha her giz mut khouna aor chupke chukpe roo lenaa..!!
Posted 16 Feb 2007

!*THEEK HOJAYE GA WO.....

phir kabhi logo ke baton mein nahin aye ga wo
deakh lena mujh se mil ker theek hojaye ga wo

mere us ke dermiyan koi burha jughrhaa nahin
lekin uski tol de ga jub phealye ga wo

chouti chouti runjishon ko bhoul jana chaiyee
jane es nukte ko akhir kub sumjh paye ga wo

us ki khatir main to duniya se kut ker rehe agi
wo zamana saz hai aucha to kehelaye ga wo

sulhaa to kare ga ake mujh se lekin us ke bad
jub mile ga bus yehi ehsan jutlayee ga wo

main bhi kuch aesi gaiguzri nahi kehe do use
ankh utha ker bhi na ub deakhoun gi puchtaye ga wo

deakho shubnum ye ghazal es tuk bhi pounche gii zaror
phir na kurhna beath ker jub or etraye ga wo!!

Posted 16 Feb 2007

!YAAD KA LUMHA............

WO EK YAADGAR LUMHA JO HER LUMH ZEHEN MEIN JAGE
WO EK ZIKER K LEHEJA BHI HUM BADUL NA SUKE
WO EK NAAM K JIS KO NA HUM BHOULE KABHII
WO EK RAHA KE JIS SE kabhi NIKUL NA SUKE
WK EK ZUKHUM KE HER LUMA TAZA TAZA RAHAA
WO EK DERD KE JIS SE KABHISUMBHEL NA SUKE
WO EK SHUKSE K HER RAHA MEIN JISE DHOUNDAA
JO SATH SATH KABHI DO QADUM BHI CHUL NA SUKE!!

Posted 16 Feb 2007

App Bohat Yad Aate Hein"



Ghanghoor Ghataey Aate Hain Jab
Nadyaan Jhomte Gaate Hain Jab
Lahrain Shoor Machate Hain Jab
Aap Bohat Yaad Aatay Hain


Badal Baras Kar Chat Jatay Hain
Qatray Mouti Ban Jatay Hain
Kirnay Rang Bikhrate Hain Jab
Aap Bohat Yaad Aatay Hain


Do Dewanay Jab Miltay Hain
Phool Mohabbat Kay Khiltay Hain
Dewaray Bhi Gaate Hain Jab
Aap Bohat Yaad Aatay Hain

Chanda Tumhari Yadain Lay Kar
Kirnoon Ke Barsatain Lay Kar
Chaandni Ratain Aate Hain Jab
Aap Bohat Yaad Aatay Hain

Posted 16 Feb 2007

Ajeeb shakhs tha kuch ajeeb se us ki kahani thi
Yeh dor ab muhabbaton ka naheen raha
Milan ke bagir muhabaton ka kiya tasawar hai
Deed key baghair chahaton ka kiya rang hai
Meri mohabbat bhi sirf char din ki kahani thi

Koi gari ik hi station peh humesha nahin rukti
Waqt ke sath khayalat badalte jate hain
Mohabbat baqi rehti hai mehboob badalte jate hain
Meine chaha ke khayalat us ke badal dalo aur
Muhabat ki haqeeqat tasweer dikha do us ko

Woh mohabbat ka pujari tha maine
Us ko tanhai ki saza de dali

Mujhe yakeen hai woh sota to hoga magar
Neend us ki ankhoon mein na utarti hogi
Mehfil main woh muskurata to hoga magar
Us tabassum mein aik tees see uthti hoge
Aankh main aansoo to nazar na ate hoge

Palko tale ik barish zarror hoti hogi
Meri yaad to us ki khon ki gardish ke saath thi
Dil dharakta to hoga magar ik aah bhi nikalti hogi
Kyun sochta ho yeh sab kuch main
Jo talluq tha woh to main ne toor diya

Woh zinda rahe na rahe mujhe is se kiya
Us ki saans ruke ya chale mujhe kiya lena
Mere liye to faqt yehi kaafi hai
Posted 16 Feb 2007

Kabhi shab se kabhi sehar se larra karti thee
mudatein huwen ek shamma yahan jala karti thee

Kya baat huee keh aaj sar-e-sham band ho gayee
Ek khirrkee jo kabhi ta sehar khula karti thee

Sehamta hai dil kyoon ab ki bar is toofan mein
Garajte they badal, bijli pehlay bhee gira karti thee

Kuch rang yaas me kusht-e-armaan ka hai warna
Naomeedi is dil se door hee raha karti thee

Khata meri hee thee jo dunya se dil laga baitha
Yeh kambakht zindagi pehlay kab kisi se wafa karti thee

Main un se kah raha hoon mujhe yaad kijiye
Kabhi meri yaad jin ki dharrkan huwa karti thee

Dekho aaj ham un ki dunya me shamil hee nahin
Jin ki dunya kabhi bas ham se huwa karti thee

Posted 16 Feb 2007

Reply to Topic