~ LG’s Poetry Compilation ~

60319 views 2476 replies
Reply to Topic
London_Girl

Age: 124
Total Posts: 18948
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom
Muskura Kar Mila Karo Ham Se
Kuch KAha Aur Suna Karo Ham Se

Bat KArne Se Bat Barhti Hai
Roz Baatain Kiya Karo Ham Se

Dushmani Se Mile ga Kiya Tum Ko
Dost Ban Kar Raha Karo Ham Se

Daikh Laite Hain Sat Pardon Main
Yun Na parda Kiya Karo Ham Se
Posted 29 Sep 2006

ai dil-e-raayegaaN udaas udaas
phir rahe ho kahaaN udaas udaas




chaaNd ek umr se safar meN hai
aasmaaN aasmaaN udaas udaas

jab bhii dekhaa hai jhaaNk kar dil meN
ho gayaa sab jahaaN udaas udaas

zindagii khel hai udaasii kaa
ham yahaaN, tum vahaaN udaas udaas

kyaa udaasii sivaa nahiiN kuch bhii
ai mere laa-makaaN udaas udaa

Posted 15 Feb 2007

Umer Bhar Seene Se Laga Kar Pala Hai Maa Ne
Ghalat Batoon Pe Thora Thora Mara Hai Maa Ne
Abhi Tak Wo Bachpane Ki Yadein Hain Baqi
Maa Ki Aankhon Mein Bhara Tha Kitna Pyar



Paida Huwa Tha To Kuch Nahi Tha Mein
Maa Ki Wajha Se Aaj Hoon Kya Kya Mein

Lalach To Kuch Nahi Meri Maa Ko Magar
Acha Ho Jo Dedoon Mein Dil Tohfay Agar

Maa Ko Choorte Hain Aise Kuch Log Hotay Hain
Phir Auroon Ke Liyay Wo Hamesha Sog Hotay Hain

Kuch Logoon Ke Liyay Maa Ko Choorte Nahi
Chahay Kuch Ho Jaye Moo Mortay Nahi

Maa Se Hamesha Hamein Sukh Milte Hain
Phir Bhi Us Ko Hamse Dukh Milte Hain

Kash Qurbaan Karoon Mein Sab Us Ki Sada Pe
Aur Wo Mujhe Pyar Karay Meri Issi Ada Pe

Posted 15 Feb 2007

mai jis k dil ki kitaab benta

mai jis ki chahet ka khawab benta

mai hijr k mosem ki lembi raaton mein

yaad ben ker azaab benta

KOI TO HOTA.....

jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota

dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota

mai rooth jata manata mujh ko

k chahe mera kasoor hota

KOI TO HOTA....

mai jis k itna kareeb hota

na paas koi rakeeb hota

mai itna uus ka habeeb hota

ye silsila bhi ajeeb hota

KOI TO HOTA........

KOI TO.....KOI TO HOTA.

Posted 15 Feb 2007

Bheegi Hui Aankhon Ka Yeh Manzar Na Mille Ga
Ghar Chor K Mat Jao Kaheen Ghar Na Mille Ga

Phir Yaad Bohot Aaye Gi Zulfon Ki Ghani Sham
Jab Dhoop Mein Saaya Koi Sar Per Na Mille Ga

Aansoo Ko Kabhi Os Ka Qatra Na Samajhna
Aisa Tumhein Chahat Ka Samandar Na Mille Ga

Is Khowaab K Mahool Mein Be-Khowaab Hain Aankhein
Jab Neend Bohot Aaye Gi To Bistar Na Mille Ga

Yeh Sooch Lo Ab Akhri Saaya Hai Mohabbat
Is Dar Se Utho Gi To Koi Dar Na Mille Ga

Posted 15 Feb 2007

Khoon ke saagar oodeltaa hun mai,
Dard aur tees jheltaa hun mai,
Tum samajhte ho sher kehtaa hun mai,
Apne zakhmon se kheltaa hun mai.

Doori to theherti hai magar waqt to nahin,
Samundar to rehte hain wahin, par ashk to nahin.
Khanjar to seene ko chhoo kar phir chale gaya,
Khoon-e-jigar hi hai idhar, koi dard to nahin

Kabhi jajbaat to kabhi yaado ko dafn kia kerte hai,



kabhi aansu toh kabhi dard pia kerte hai,

mohtaj toh nhi hum phir bhi,

aapke aane ka intezaar kia kerte hai
Posted 15 Feb 2007

Tere Bina

Hum ju kehty they zindagi kuch nahi hay terey bina
laikin yeh kia kay zindagi sub kuch hay terey bina

ab tu raat bi kut jati hay din bi guzer jata hay
sub waisa hi hay kuch bi tu nahi badla terey bina

terey janey pey ju rim jim si thi ankhoon mein ab
thaher gia hay ankhoon ka woh samander terey bina

waqt nay bohut kuch sikhla dia hay mughey
ab tu wuqt bi guzar jata hay terey bina

shahid muhabbat kereny kay adaab hi na they
ab zindagi nay woh bi sikhla diey terey bina

ju guzar gia hay waqt, so guzar gia dost

ju reh gia hay, guzar jaey ga terey bina



x............x............x
Posted 15 Feb 2007




~*~Sochti Ankoon Mein~*~

In Sochti Ankoon Mein
Na Janay Kia Baat Hay
Eik Lamhay Ko Jo Mein
In Mein Dekh Loon
To Dobnay Lagta Hon
In Naraz Rawion Mein
Na Janay Kia Baat Hay
Eik Saniay Ko Jo Mein
In Per Ghor Karon
Tu Bhataknay Lagta Hon
In Kuch Kehtee Adaoon Mein
Na Janay Kia Baat Hay
Eik Pal Ko Jo Mein
In Mein Khoo Jaon
Tu Bhaknay Lagta Hon


Posted 15 Feb 2007

MAA yaad ati hain bohat

""Meri MAA ko bulaa de koi
Warna mujhko hi sulaa de koi
Mujhko bistar ki to aadat hi nahin
Apni godi main jhulaa de koi
Shayad aa jaayen wo rona sunkar
Mujhko bewajah rulaa de koi
Mainey kayee roz se nahin khaya
Us mohabbat se khilaa de koi
Mujhko khwaahish nahin miley duniya
Mujhko MAA se milaa de koi....!!!!
Posted 15 Feb 2007

Some One

is Loving You

Caring for You

Watching over You

Protecting You

Guess Who???

ALLAH


Posted 15 Feb 2007

Ik WO Hai Jo Hum Pe Mur Mitnay Ko Tayaar Hai
Ik Wo Hai Jisay Hamari Kuch Bhi Khaber Nahin
Hum Se Pyaar Ke Jo Waday Kiya Kerta Tha
Ussay Aj Hamari zara Bhi Fiker Nahin
Posted 15 Feb 2007

ZINDAGI KA ZINDAGI SE FASLA REH JAEY GA,
ROSHNI KHU JAEY GI OR AAINA REH JAEY GA,
TUM CHALY BHI JAO GE LAKIN TUMHARI YAAD KA,
DOOR TAK PHELA HOWA EK SILSILA REH JAEY GA.

Posted 15 Feb 2007

Itni haseen larki kabhi dheki na thi
Jis ki ankhoon main sharam thi

baato main jado tha
us ki Itni kobsort awaz thi

Jo us ki awaz sune sunta reh jata
us ki muskrahat jab wo muskrati Thi

main appna sare gham bhool jata
us ki ankhoom main ek nasha tha

dil kartaa tha us ki ankhoon main doob jane ka
jab se us ko dheka hain need nehi ati

us ki tasveer mere dil main utar gaye hain
dil kartaa hain dhekta rehoo use zindagi bhar

sayad wo pari hain itna kobsort
pari kabhi insaan ko mil nehi sakti
Itni haseen Larki kabhi dheki na thi
Posted 15 Feb 2007

APNEY HAATHON SE YUN CHEHREY KO CHUPAATEY KYON HO
MUJH SE SHERMATEY HO TO SAMNEY AATEY KYON HO..........

TUM KABHI MERI TARAH KAR BHI LO IQRAR-E-WAFA..............
PYAR KARTEY HO TO PHIR PYAR CHUPAATEY KYON HO.........

ASHQ AANKHON MAIN MERI DEKH KE ROTEY KYON HO...........
DIL BHER AATA HAI TO PHIR DIL KO DUKHATEY KYON HO.......

ROZ MER MER KE MUJHEY JEENEY KO KEHTEY KYON HO.........
MILNEY AATEY HO TO PHIR LOAT KE JATEY KYON HO.............
Posted 15 Feb 2007

Aata hai Yaad Mujh ko


Aataa hai Yaad Mujh ko Guzara hua Zamanaa
Wo Baagh ki Bahaarein wo sab ka Chah-Chahanaa

Aazaadiyan kahan wo ab apne Ghonsle ki
Apni Khushi se aanaa apani Khushi se jana

Lagti ho Chot Dil per, Ataa hai Yaad jis dam
Shabnam ke Aansuuon per Kaliyon ka Muskuranaa

Wo Pyaari Pyaari Surat, wo Kamini si Murat
Aabaad jis ke Dam se tha Mera Aashiyanaa

Posted 15 Feb 2007

Yaad Aaon Ga ...

Tum merii aankh ke tevar na bhulaa paao ge
Ankahii baat ko samajho ge to yaad aaoon gaa

Ham ne khushiyon kii tarah gham bhii ikatthe dekhe
Safaah-e-zeest ko palato ge to yaad aaoon gaa

Isii andaaz main hote the mukhaatib mujh se
Khat kisii aur ko likho ge to yaad aaoon gaa

Sard raatoon ke mahakate hue sannaatoon main
Jab kisi phool ko choomo ge to yaad aaoon gaa

Ab tare aashk main hoontoon se churaa leta hoon
Haath se Khud inhain poonchho ge to yaad aaoon gaa

Shaal pehnaa-e-ga ab kaun december main tumhain
Baarishoon main kabhii bheego ge to yaad aaoon gaa

Aaj to mahafil-e-yaaran pe ho maghroor bohat
Jab kabhi toot ke bikhro ge to yaad aaoon gaa

Haadse aayen ge jeevan main to tum hoke nidhaal
Kisi deevar ko thaamo ge to yaad aaoon gaa

Iss main shaamil hai merii bakhat kii taariikii bhii
Tum siyaah rang jo pahano ge to yaad aaoon gaa

Posted 15 Feb 2007

BisMa says
4 sum poems
4 sum poems
4 sum poems
and again 4 sum short ashaar
Posted 15 Feb 2007

~tasha~ says
gr8 work
Posted 16 Feb 2007

~tasha~ says

London_Girl said:

Some One

is Loving You

Caring for You

Watching over You

Protecting You

Guess Who???

ALLAH




Posted 16 Feb 2007

BisMa said:

4 sum poems
4 sum poems
4 sum poems
and again 4 sum short ashaar



yea very true!
soem are very sad
soem are very nice/funny
and some are ok wala ok


THANXXXXX
Posted 16 Feb 2007

KING OF JB said:





thanx
Posted 16 Feb 2007

~tasha~ said:


London_Girl said:

Some One

is Loving You

Caring for You

Watching over You

Protecting You

Guess Who???

ALLAH






one of my fav too
Posted 16 Feb 2007

Wo Dil Nahi Hota

In Shokh Haseenon per jo Mayil nahi hota
Kuch aur Bala hoti hai, wo Dil nahi hota

Kuch Wisal k Wadey se b Hasil nahi hota
Gardan Tan-e-Bismil se juda ho gayi kab se
Gardan se juda Khanjar Qatil nahi hota

Duniya mian Pari-Zaad diye, Khald mai Hoorein
Bandon se wo apne kabhi Ghafil nahi hota

Dil Mujh se lya hai to zara Bolye, Hansye
Chutki mai Masalne k liye ye Dil nahi hota

Aashiq ky behl jane ko itna b hai kafi
Gham Dil ka hota hi agar Dil nahi hota

Posted 16 Feb 2007

Hamaare un ke maraasam kee baat mat poochoo
yeh silsila to kaheeN door jaaN se milta hai

hai apne muqaddar kee baat kya kahy'e
hamaare zakham ko marham kahaaN se milta hai

hamaare piyar ke qixe galee galee bikHre
yeh martaba baRe sood-o-ziyaaN se milta hai

sitarooN jesee yeh AankHeeN yeh chaand sa chehra
tumhaara silsila kuch AasmaaN se milta hai

hamaara zikar kitabooN meiN DHoonDne waalo
hamaara zikar to sare jahaaN se milta hai
Posted 16 Feb 2007

Wahdate Zaat Ki Tabligh Saraapa Tum Ho
Jis Ki Har Lehr Hai Tawhid Woh Darya Tum Ho

Arzo Adam-O-Isa Ne Tumhaari Ki Hai
Kitni Ma’soom Rasoolo(N) Ki Tamanna Ho

Ek, Ek Baat Zamaane Pe Asar Karti Hai
Haqq Ki Aawaaz Ho, Allah Ka Lehja Tum Ho

Koi Saani Hai Tumhaara Na Khuda Ka Hai Sharik
Jaise Yakta Hai Khuda Waise Hi
Posted 16 Feb 2007

Huey Jo Haazir, Dare Nabi Par, Tasawwur Un Ka Jama, Jama Kar
Bare Adab Ka Maqaam Hai Yeh, Chale Hai Sar Ko Jhuka, Jhuka Kar

Madinah Ya Rabb Ho Mera Maskan, Madinah Ya Rabb Ho Mera Madfan
Dua Khuda Se Yeh Maangta Hu(N), May(N) Haath Apna Utha, Utha Kar

Jo Bargaahe Nabi Mei(N) Aaye, Durood Le Kar Salaam Le Kar
Karim Ne Phir Nawaaza, Karam Ke Jalwe Dikha, Dikha Kar

Ilaahi Jab Maut Mujh Ko Aaye, Huzoor Ki Na’at Ho Zubaa(N) Par
Jahaa(N) Mei(N) Jab Tak Ho Mera Jeena, Jiyu(N) May(N) Na’atei(N) Suna,
Suna Kar

Nadim Kuch Bhi Nahi(N) Hai Lekin, Agar Hai Kuch To Karam Hai Un Ka
Nabi Ne Bakhshi Hai Sarfaraazi, Gire Huwo(N) Ko Utha, Utha Kar

x............x............x
Posted 16 Feb 2007


Badi Ummid Hai Sarkaar Qadmo(N) Mei(N) Bulaaei(N) Ge
Karam Ki Jab Nazar Hogi, Madiney Ham Bhi Jaaei(N) Ge

Agar Jaana Madiney Mei(N) Hua, Gham Ke Maaro(N) Ka
Makine Gumbade Khadra Ko Haale Dil Sunaaei(N) Ge

Qasam Allah Ki Hoga Woh Manzar Deed Ke Qaabil
Qiyaamat Mei(N) Rasoolallah Jab Tashrif Laaei(N) Ge

Gunahgaaro(N) Mei(N) Khud Aake Shaamil Paarsa Ho(N) Ge
Shafiye Hashr Jab Daamaane Rehmat Mei(N) Chupaaei(N) Ge

Ghame Ishqe Nabi Se Hoga Jab Maamoor Dil Nayyar
Tere Jhurmat Qade May(N) Bhi Sitaarei(N) Jagmagaaei(N) Ge
Posted 16 Feb 2007


Ishqe Ahmad Chaahiye, Hubbe Madinah Chaahiye
Jo Unhe Dekha Kare, Woh Chash’me Bina Chaahiye

Zindagi Aur Maut Dono(N) Un Ke Gham Mei(N) Ho(N) Basar
Aisa Marna Chaahiye Aur Aisa Jeena Chaahiye
Jo Unhe Dekha Kare, Woh Chash’me Bina Chaahiye

Baarishe Anwaar Ki, Barsegi Musalsal Subho Tak
Aur Zikre Noore Mustafa Mei(N), Ek Shabina Chaahiye
Jo Unhe Dekha Kare, Woh Chash’me Bina Chaahiye

Mushko Ambar Ko May(N) Lekar Kya Karu(N) Aey Dosto
Mujh Ko Sarkaare Madinah, Ka Pasina Chaahiye
Jo Unhe Dekha Kare, Woh Chash’me Bina Chaahiye

Hai Teri Dargaah Mei(N), Ya Rabb Tamannaaey Riyaz
Dafan Ho Ne Ke Liye, Khaake Madinah Chaahiye
Jo Unhe Dekha Kare, Woh Chash’me Bina Chaahiye

Posted 16 Feb 2007


Saayei(N) Mei(N) Tumhaare Hai(N), Qismat Yeh Hamaari Hai
Qurbaan Dilo Jaa(N) Hai(N), Kya Shaan Tumhaari Hai

Kya Pesh Karei(N) Tum Ko, Kya Chiz Hamaari Hai
Yeh Dil Bhi Tumhaara Hai, Yeh Jaa(N) Bhi Tumhaari Hai

Go Laakh Bure Hai(N) Ham, Kahelaate Tumhaare Hai
Ek Nazar Karam Karna, Yeh Arz Hamaari Hai

Ham Chod Ke Is Dar Ko, Jaaei(N) To Kahaa(N) Jaaei(N)
Yeh Umr Tumhaare Hi, Tukro(N) Pe Guzaari Hai

Posted 16 Feb 2007


Tere Aastaa(N) Pe Aaey, Teri Yaad Khe(N)Ch Laaee
Rakhkhe Khuda Salaamat, Tere Dar Se Aashnaaee

Huzoor Noor Hai, Mahmood Hai, Muhammad Hai
Jagaah, Jagaah, Naye Unwaan Hai Sana Ke Liye

Ajab Nasha Benaam Sa Hua Mehsoos
Zubaa(N) Jab Bhi Khuli Hai, Teri Sana Ke Liye

Teri Gali Ke Pherey, Meri Zindagi Ka Haasil
Tere Gham Se Aashna Hu(N), Yeh Hai Meri Paarsaai

May(N) Kahi(N) Jo Larkhraaya, May(N) Kabhi Jo Dagmagaaya
Teri Masti-Aey Nazar Hi, Mujhe Thaamne Ko Aai

Meri Manziley Simat Kar, Aai(N) Qarib Mere
Yu(N) Hi Har Qadam Pe Ki Hai, Tere Gham Mei(N) Rehnumaai

Tere Naam Se Zahoori, Ko Yeh Jaanti Hai Duniya
Tera Jab Se Ho Gaya Hu(N), Meri Ho Gayi Khudaai

x............x............x
Posted 16 Feb 2007


Yu(N) To Saare Nabi Mohtaram Hai Magar
Rehmate Do Jahaa(N) Ik Teri Zaat Hai
Aey Habibe Khuda Teri Kya Baat Hai

Roohe Kau’no Makaa(N) Pe Nikhaar Aa Gaya
Roohe Insaaniyat Ko Qaraar Aa Gaya
Har Kisi Ne Kaha, Marhaba, Marhaba
Aamade Mustafa, Teri Kya Baat Hai

Hazrate Aminah Ke Dulaare Nabi
Ghamzadaah Ummato(N) Ke Sahaare Nabi
Roze Mehshar Kahegi, Yeh Khalqe Khuda
Sab Ke Mushkil Kusha, Teri Kya Baat Hai

Chaar Su Rehmato(N) Ki Ghata Cha Gayi
Baaghe Ahmad Mei(N) Fasle Bahaar Aa Gayi
Dil Ka Guncha Khila, Isme A’zam Mila
Zikre Salle Ala, Teri Kya Baat Hai

Posted 16 Feb 2007

Reply to Topic