~ LG’s Poetry Compilation ~

60328 views 2476 replies
Reply to Topic
London_Girl

Age: 124
Total Posts: 18948
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom
Muskura Kar Mila Karo Ham Se
Kuch KAha Aur Suna Karo Ham Se

Bat KArne Se Bat Barhti Hai
Roz Baatain Kiya Karo Ham Se

Dushmani Se Mile ga Kiya Tum Ko
Dost Ban Kar Raha Karo Ham Se

Daikh Laite Hain Sat Pardon Main
Yun Na parda Kiya Karo Ham Se
Posted 29 Sep 2006

Dil ki baat dil mein na rahe
aankhon ke khwaab aankhon mein na rahe
Dil ki baat isi liye keh di aap ko...
Ke galti se aap kisi aur ke dil mein na rahe..!!

tujh se bicharne ka khayal seh nahi paata
phir bhi dil ki baat keh nahi paata
kyun hain aakhir zindagi mein is qadr majbooriaan
maut bhi nahi aati, zinda bhi reh nahi paata ..!!

Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai..!!

Posted 27 Feb 2007

Khuda karay tairi aakhain kabhi

Ansoon kay zaikay say aashna na hoon


Khuda karay keh dhoop lamhoon main

Meri duwaoon ka saya rahay

Tum jo zeest ki rah main kabhi


Akailay nikal jawoo tou


Khuda karay tujhay rastay na bhatkain

Khuda karay tujh ko manzilain mil jain


Meray pass tumaray liyee

Duwaoon kay kuch phool hain

Khuda karay keh yeh phool kabhi na murjhain

Meray pass tou bas tumharay liyee


Chahatoon kay jugnou hain



Inn jugnoun ko sambhal kar rakhn


Meray pass mohabaat ki titli hay


Khuda karay keh yeh titli tujhay

Khusyoon kay gulshan main mehkati rahay


Tum zindagi main har lamha muskurati rahoo

Is titli ko ambhal kar rakhna

Zindagi main har lamha tum apna khyal rakhna
Posted 27 Feb 2007

Bas jiye jaa rahe hai hum

dil main sameta hua hai samundar humne dard ka
fir bhi jaane kaise muskura paa rahe hain hum
log kehte hain bade khush hain aap to
wo kya jaane is dil ko kaise jala rahe hain hum

socha tha na girne denge in ashkon ko kabhi
kahi humare ashk na de jaaye unko koi gum
magar kitna piye in ashkon ko
ab to inmain doobte jaa rahe hain hum

toote sapne, bikhri chahat aur bhi bahut kuch mila hume
in tohfon ko daman main samete bas jiye jaa rahe hai hum...
Posted 27 Feb 2007

Tumhein sari dunya se chupar apne pass rakhna chahti hun
Dunya ke nazaron se durr le jana chahthi hun

Yeh mat samghna mughe tumse bewafai ka dar hai
Bas meri mohabaat mein kabhi kisi kami ka dar hai

Tumhein chura le koi mughse yeh darr laga rehta hai
Mughse meri zindegi koi le le yeh darr laga rehta hai

Tumhein apni dhadkan se bhi kareeb rekhna chahti hun
Lamha Lamha zindegi ka tumhare saath jeena marna chahti hun
Posted 27 Feb 2007

kaheen durr wadion mein kash humtum hotey
Intehaye mohbaat ki kashish humtum ankhon se kehtey

koi na dekhey na kisi ki ho parwah
hum duno hojaye chalo kuch deyr ke liye gumrah

teri arzoo thi kab se tughe paya hai aaj
kisey sunao mein kaise dil jhoom utha hai aaj

tughse do ghadi baat karle tau machal utha hai yeh dil
samghatey nahi samaghta kyun hai yeh itna gafil

Aao na itne kareeb ke hum durr na ho paye tumse
Azmao na hume itna kaheen hum darr na jaye tumse
x............x............x
Posted 27 Feb 2007

har ek chehare ko zaKhmo.n kaa aa_iinaa na kaho
ye zindagii to hai rahamat ise sazaa na kaho

na jaane kaun sii majaburiyo.n kaa qaidii ho
vo saath chho.D gayaa hai to bevafaa na kaho

tamaam shahar ne nezo.n pe kyuu.N uchhaalaa mujhe
ye ittefaaq thaa tum is ko haadasaa na kaho

ye aur baat ke dushman huaa hai aaj magar
vo meraa dost thaa kal tak use buraa na kaho

hamaare aib hame.n ungaliyo.n pe ginvaao
hamaarii piiTh ke piichhe hame.n buraa na kaho

mai.n vaqiyaat kii zanjiir kaa nahii.n qaayal
mujhe bhii apane gunaaho.n kaa silsilaa na kaho

ye shahar vo hai jahaa.N raakshas bhii hai "Rahat"
har ek taraashe huye but ko devataa na kaho

Posted 27 Feb 2007

farz karo tum chat per baithe
apne baal sukhatey hoo.
farz karo ke dhoop
ka us din kuch kuch rang gulaabi hooo.
farz karo tum baithe
baithe gehri souch main kho jao.
baal sukhana choord ke sar
ghutnoon pe rakh kar so jao.
farz karo us neend main
tum ne dekha asai sapna hooo.
bekal hokar man ye chahey
kaash ye sapna apna hooooo.
farz karo tum khat likhne ko
kaghaz qalam uthatey hoo.
khat likhne se pehle kaghaz
ko khushboo khoob lagatey hooo.
farz karo alqaab pe aakar
qalam tumhara ruk jaey.
nazar tumhai dhak dhak
karke dil ki janib jhuk jaey.
farz karo aik naam likho
aur likh kar kato phir likho.
farz karo sapne afsane khat
ka naam muhabbat ho.
farz karo hum donon ke dil aik
hi saath dhardakte hooon.
farz karo ye saari baatain
FARZ na karni parti hoon

Posted 27 Feb 2007

Haseen Titliyon ko Sataya nahi karte

Haseen Titliyon ko Sataya nahi karte
Kabhi Parriyoun se Dil lagaya nahi karte





Zulm karte hain aksar yehi Husn wale
In ko Chahat ka Naghma sunaya nahi karte

Tor dete hain Dil ko sada hi Sitam-gar
Aur waja Be-Wafai bhi bataya nahi karte


Mehekte rahe hain yeh Dil ke Chaman mai
Mager in per Haq bhi jataya nahi karte


Jalna hai Ulfat ki Rasmoon mai lekin
Perwane Shama ko bujhaya nahi karte


Mohabbat hai kya yeh "HUM " se pucho
kabhi Raah-e-Wafa ko bhulaya nahi karte

Posted 27 Feb 2007

Seenay Se Lagana Nahi Bhoole

Dushman ko bhi Seenay se lagana nahi bhoole
Hum apne Buzargon ka Zamana nahi bhoole

Tum Aankhon ki Barsaat bachaye hoye rakhna
Kuch Log abhi Aag lagana nahi bhoole

Yeh Baat alag, Haath Qalam ho gaye apne
Hum Aap ki Tasveer banana nahi bhoole

Ek umar hoi mai to Hansi bhool chuka hoon
Tum ab bhi Mere Dil ko Dukhana nahi bhoole

Dushman ko bhi Seenay se lagana nahi bhoole
Hum apne Buzargon ka Zamana nahi bhoole
Posted 27 Feb 2007

Main Chunti Rahi, Bikhri Pattiyaan Gulaab Ki
Nishaniyaan Hain, Mairay Khaas Ehbaab Ki

Kay In Say Wabasta Hain Kuch Purani Yadain
Sawan Main, Ashk-e-Faraq Say Bheegi Batain

Mairay Dil Kay Sang, Gungunati Wairanyaan
Waqt-e-Mukhtasar Main , Dilgudaaz Kahanyaan

Us Gali Main Shayed Hawa Bhi Makhmoor Ati Thi
Jo Zara Si Baat Pey Ye Zubaan Larhak Jati Thi

Dhundhli Raatain, Mehki Fizain Misl-e-Saraab
Jagti Ankhain Tairay Roobroo, Mehw-e-Khawaab

Madhham Roshni Main Mairi Palkoon Ki Larzaish
Beikhtyaar, Rait Pey In Ungliyoon Ki Junbish

Guzartay Lamhoon, Judaiey Ka Andaza Na Kiya
Hamraaz Gulaboon Say, Waada Wafa Na Liya

Ab Sisakta Hay Dil Tanhaiey Kay Andhairoon Say
Aur Behlati Hoon Esay Yadoon Kay Basairoon Say

Sookhi Howiey Pattiyaan Hain Yoon To Berang-o-Baas
Kay Jin Kay Say, Ab Wo Mehakta Hay Mairy Aas Paas
Posted 27 Feb 2007

Aap Sab Ki Khidmat Main Mairi Taza Tapal Daney Dar Ghazal

Kahin Subha, Kahin Shaam, Kahin Raat Ho Gee
Kabhi Qissa, Kabhi Afsaana Mairi Baat Ho Gee

Wo Log Jo Day Gaey Umar Bhar Ka Intezaar
Na Jany Kab??..Phir Un Say Mulaqaat Ho Gee

Mujhay Tum Na Aakhri Imtehaan Aaj Samjho!
Naey Dost Hoon Gay Kal Naee Soghaat Ho Gee

Tum Ab Kitnay Hi Tareeqoon Say Milo, Dost!!
Mujh Main Na Wo Aetebaar, Na Wo Baat Ho Gee

Us Kay Badal Janay Ka Ay Dil Gham Na Kar!!
Yahaan Khaloos Ki, Jeet To Kabhi Maat Ho Gee

Agarchey Wo Ab Na Ho Ga Pehlay Sa, Magar!!
Ek Nazar-e-Khamosh Ki Tamana Tahayaat Ho Gee

Yoon Na Har Arzoo Ko Rakho Udhoora Warna!
Hazaar Khawahishoon Main Bati Ek Zaat Ho Gee
Posted 27 Feb 2007

shamm'aa kii tarah shab-e-Gham meN pighalte rahiye
subh ho jaayegii, jalte haiN to jalte rahiye

(shamm'aa : flame; shab-e-Gham : night of suffering)

vaqt chaltaa hai uRaataa hu'aa lamhaat kii gard
pairahan fikr kaa hai, roz badalte rahiye
Posted 27 Feb 2007

aa'ii manzil to qadam aap hi ruk jaayeNge
ziist ko raah-e-safar jaan kar chalte rahiye
Posted 27 Feb 2007

Mera aina mera aks bhi'
meray meherban ki nazer hua....
meri siskian, meri aarzoo,
meri justujoo, meri chashm e tar, mera her safer'
meri soch k sabhi zaviye'
wo diay jo us nay bujha diay'
meri hastian, meri bastian'
meri shairi, meri raagni'
Meray saath jin ka guzer hua"
MERAY MAHERBAAN KI NAZER HUA!
Posted 27 Feb 2007

ye jo ham hijr mein divaar-o-dar ko dekhtey hain
kabhi sabaa ko kabhi naamabar ko dekhtey hain
vo aaye ghar mein hamarey khuda ki Qudrat hai
kabhi ham un ko kabhi apney ghar ko dekhtey hain

Ab koi kiya meray qadmon k nishan dhoonday ga
Tea aandhi main to khemay bhi ukher jatay hain
Shiddat e gham main zinda hun to herat kaisai?
kuch diyay tun hawaon say bhi lar jatay hain
x............x............x

Posted 27 Feb 2007

MUJHEY ACHA NAHI LAGTA

ADA NAZREEN CHURANEY KI BOHT ACHI LAGI LAKIN
NIGAHEEN GAIR KO DEKHEEN MUJHEY ACHA NAHI LAGTA

BARHEEN TANHAIYAN MERI MUJHEY KUCH GAM NAHI ISKA
SAJAOO GAIR KI MEHFIL MUJHEY ACHA NAHI LAGTA

SHAREEK E SAFAR HO TO MANZIL TAK SATH CHALOO
ADHOREY KHUAB DEKHOON MA MUJHEY ACHA NAHI LAGTA

GUZARTEEN THEEN JAHAN SHAMEEN TUMHARY SATH ULFAT MA
TEHAR JAOON WAHAN TANHAN MUJHEY ACHA NAHI LAGTA

ASHK ANKHOON MA ROOKON YA DIL E BETAB KO SANBHALOON
AYAN HO HAL E DIL UN PER MUJHEY ACHA NAHI LAGTA

ZABAN KO APNI LABREZ E SHIKAYAT KARNEY SA DARTA HOON
TAUQEER KHAFA HOON WOH MUJHEY ACHA NAHI LAGTA
Posted 27 Feb 2007

Some Shers:

Hum nay tumhay dil diya dildar samajh kar
Tum kha gaye is ko naswaar samajh kar

Dabbay may dabba dabbay may khargosh
Nana nay aankh mari nani behosh

Khuda karay sab haseenaao ke baap mar jaeen
Maut ka bahana ho aur hum in kay ghar jaeen

Ishq kay samander main ghota lagaya
Pani both thanda tha main bahar nikal aya

Un ki gali say guzray,ajab ittefaq tha
Unho nay phool phanka,gamla bhi saath tha
Posted 27 Feb 2007

Zara Sambhal kay!
Humare ladkhradene se aapko shikayat thi
Hume kahan girne ki koi chahat thi
Yeh raaste hi kuch dagmaga gayen honge
Varna hume to seedhe hi chalne ki aadat thi

'Dekh ke Chalo'- Yeh toh log sabhi kahte hain
Kuch Gir-ke-sambhalne ki bhi kasam lete hain
Zindagi ki chotton se bachna hai mushkil
Hum toh Sambhal-ke-girne ki nasihat dete hain

Aap kahte hain to hum chale jayenge
Bin mure, seedhi raah nikal jayenge
Diwane dil mein par reh jayegi hasrat
Tumhari kasam hum laut ke phir aayenge!
Posted 27 Feb 2007

Nazar mila na sake us se us Nigaah k baad
Wohi hai Haal Hamara jo ho Gunaah k baad

Mai kese aur kisi Simt Mortaa Khud ko
Kisi ki Chaah na thi Dil mai Terii Chaah k baad

Zamer kaanp to jata hai Aap kuch bhi kahein
Wo ho Gunaah se pehle ke ho Gunaah k baad

Kati hoi thi Tanaabein Tamaam Rishton ki
Chhupata sar mai kahan Tujh se Rasm-o-Raah k baad

Khatoot kar diye Wapis magar Meri neendein
Inhein bhi Chorr do ek Raham ki Nigaah k baad
Posted 27 Feb 2007

Meri Hasrat Hai Mujhe Is Tarha Ghayal Kar Do
Is Qadar Toot Ke Chaho Ke Mujhe Pagal kar Do



Na Badal Jaye Kahin Meri Tager Ke Jahan
Tum Mujhe Apni Taraf Is Tarha Mayal Kar Do



Tere Mathey Ka Mai Agar Joohmar Ban Na Saka
Tu Kam Az Kam Mujhe Paoon Ka Hi Payal Kar Do



Is Qadar Mann Mera Pyaasa Hai Teri Qurbat Ka
Itna Barso Ke Meri Zindagi Ko Jal-Thal Kar Do



Bana Ke Rang Hina Haath Ki Hateli Per
Ya Tu Palkon Tale Aankh Ka Kajal Kar Do



Teri Qurbat Ho Itni Ke Tu Nas-Nas Mai Meri
Sama Ke Meri Hasraton Ko Mukammal Kar Do
Posted 27 Feb 2007

Azal say hai mohabbat mawra lafzoon ki malaa say

Magar ye bhi haqeeqat hay

Mohabbat soch k akash per badal ki soorat may

Sada perwaaz karti hay

Kabhi barish ki boondoon may simat kar dil ki dharty per

Uterty hay - bikherti hay

Adaa lai kar saba say ye , gulaboon say mahak lai ker

Dhanak say rung lai kar aur sitaaroon say chamak lai ker

Haseen anchal banaty hay

Isy anchal say phir khowaboon k kuchay ghar banaty hay

Mohabbat azmaty hay Kabhi ye shair bun kar lafz ki hurmat burrha ty hay

Kabhi ye saaz bun kar dheeray dheeray gun gunaty hay

Sarapa ankh bun jaty hay ye mehboob ko pakar

Anokha lams bun jaty hay koi yaar may ja kar

Najanay koun sa manter ye purrh kar holay holay say

Kisy ki bund palkoon may bina dastak deye yak dam

Uter kar ghar banaty hay Mohabbat muskuraty hay

Ye khushboo hay hamaisha phool ki sansoon may ho ty hay

Bana day chand tera shab ko jo ye aisa moty hay

Kasal hay daimy is may, bahat benaam lizzat hay

MOHABBAT KI YAHI TAREEF HAY K " YE MOHABBAT HAI "
Posted 27 Feb 2007

Hum mai Tum mai wo jo ek Rabt hua hai kya hai?
Ishq-e-Sadiq hai k ye Dil ki khata hai kya hai?

Us ke Darwaze pe ja ja ke palat aate hain
Ye Jhijhak hai k Haya hai k Ana hai kya hai?

Hum se milte ho magar Gair ka Dum bharte ho
Dil-Lagi hai ye Shararat hai Ada hai kya hai?

Jin ko Nikhat ki Tammana hai unhein is se kya
Jo use layi wo Sar-Sar hai Saba hai kya hai?
Posted 27 Feb 2007

Teri Yaadon k bina koi Lamha Guzaara nahi
Ek pal nahi jab Tumhein Hum ne Pukaara nahi


Meri Na-Kaamiyon ka itna bhi Gham na kijiye
Agar Aap Jeete hain to Mai Haara nahi


Ye Naksh-e-dard kese utar jaaye Chehre se
Mai ne abhi Aap ka Gham dil se utaara nahi


Tere bin yun katt rahe hai Dariya-e-Zindagi mai
Kashti bhi hai, Maajhi bhi hai, Kinaara nahi


Ker rakhaa hai jisne saare Ghar mai Ujaala
Aansu hai Mera ye koi Toota hua Taara nahi


Kis ko gale lagaa ke Royeinn Na-Muraad Hum
Is bhari Dunya mai apna koi Sahara nahi


Mareez-e-Ishq hai Tamannai Khud-Kushi ka ab
Gehre hain Dil k Zakhm, aur koi Chaara nahi


wo aa ke Ponchh dein Aansu Hamari Aankhon se
Itna bhi Hamare Haq mai Naseeb Hamara nahi


Itna hai Bad-Naseeb 'MOHSIN' ka ye Jahan
Loota hai zindagi ne jise Maut ne Maara nahi
Posted 27 Feb 2007

Roothey Hoye Sajan Ko Boht Yad Kya


Aaj Roothey hoye Sajan ko boht Yaad kya
Apne ujrey hoye Gulshan ko boht Yaad kya


Kabi b Gardish-e-Taqdeer ne ghera hai Hamein
Gesoo-e-Yaar ki uljhan ko boht Yaad kya


Shama ki joot pe chalte hoye Parwano ne
Ek Tere Shola-e-Daman ko boht Yaad kya


Jis ke Maathe per ye Nayi Subah ka Jhoomar hoga
Hum ne us waqt ki Dulhan ko boht Yaad kya


Aaj Tootey hoye Sapnon ki boht Yaad aayi
Aaj beetey hoye Sawan ko boht Yaad kya


Hum sar-Toor Mayus-e-Tajalli hi rahe
Her us Darya ki Chilman ko boht Yaad kya


Mutmayin ho hi gaye Daman-o-Qufs mai 'Sagar'
Hum Ameeron ne Nasheman ko boht Yaad kya
x............x............x

Posted 27 Feb 2007

Ankh main jub aansu ho
Dil bhi jub bhur aey

Un udaas lamhoon main
Ghum ko bhulanay ko

Tum yaad mujh ko ker laina
Tussavroon ki wadi main

Kuhsnuma say rungoon main
Ik phool ki kami jub ho

Ah jub nikal jaey
Tum yaad mujh ko kar laina

Barishoon kay mosum main
Rim jhim barestay sawan main

Thunduk ka lims choo ker jub
Aag si laga day to

Rooh serab kernay ko
Tum yaad mujh ko ker laina

Tunhai kay ghairoon main
Bayrung si nigahoon main

Rung khushi ka bhurnay ko
Tum yaad mujh ko kar laina

Agar tum aisa na chaho to
Ah nikul janay ko

Rooh ki seerabi ko
Bayrung si nigahoon ko

Ik faraeb jan ker
Bus yuhi jhatuk daena

Aur yeh bhi na ker sako tum
To is bayyaqeeni ko

Yaqeen main badalnay ko
Raz-e-dil panay ko

Tum yaad mujh ko kar laina
Posted 27 Feb 2007

Kon kehta hai pyaar may pakray jaeen gay?
Waqt aanay per behen bhai ban jaeen gay

Teray husn ki kia taareef karoo?tera bander jaisa mu
Teri zulfo ki kia tareef karoo?teray ek ek baal pe joon

Mohabbat mujhay un jawano se hai
Jo khatay peetay gharano se hain

Aj bagh may kali hai, kal gulaab ho ga
Mujh se shadi karlo,tum ko sawab ho ga

Itnay dino se jalanay nahi aya
Jalti hui aag ko bujhanay nahi aya
Kehta tha saath jiyen gay saath marain gay
Ab rooth gai hoon to ullu ka patha mananay bhi nahi aya.
Posted 27 Feb 2007


Ghar se roz jata hai wo, Maa ko bohot rulata hai wo
Kambakht baap, Sab ko hi satata hai wo

Hathi nay kaha ja kar hathni ki kabar per
Sadqay jaoo tumhari patli kamar per

Tum bhi becahara,hum bhi becahara
Fittay mu tumhara,fittay mu hamara

Hum nay usay dekha angle badal kar
Us nay hamay mara sandle badal kar

Dil kay armaa aanso'oo may bah gaye
Un kay bachay hamay mamu kah gaye
Posted 27 Feb 2007

KON KEHTA HAI WOH MERE BAGHER TANHA HOGA
WOH IK CHIRAGH HAI KAHIN AUR JALTA HOGA

YEH TO HUM HAIN EK SAAKIN SI JHEEL
WOH TO 'BIkHRA' HUWA IK DARIYA HOGA

WOH TO REHTA HAI MOHABBATON KE DES MAIN
USAY KIYA KHABER KOI US KO SOCHTA HOGA

WOH MERE DARD SE BE-KHABER NAHIN THA MAGAR
USAY 'DUKH' BAANTNEY KA NA SALEEQA HOGA

ITNA NAADAN NAHIN KE SAMJH BHI NA SAKEY HAMKO
USI KA 'TAZKARA' MERI HAR GHAZAL MAIN HUWA HOGA

BANAYA GAYA THA HAMEIN KHULUS KI MITI SE
HAMEIN KHABER NA THI WOH BAD GUMAAN HOGA

MAIN NE USAY CHAHA TO CHAATA HI GAYA
MERI SHIDDTON SE GHABRA KER WOH CHAL DIYA HOGA

*********************** ONE MORE **************************

aansu bhar aaye aankh main har ik hansee ke baad
gham ban gaya naseeb mera har khushi ke baad

nikla tha kaarwaan mohabat ki rah main
har mordh pe nafrat khardi thi har gali ke baad

socha tha piyar ka main sajaounga Gulsitaan
har phool jal gaya mera bankar kali ke baad

chahat ki bebasi ka ye qussia hai muktasar
dil ne sakoon na paya kabhi dil lagi ke baad

ab raakh he samait ta hoon aashiyane ki
khud hi jala diya tha jesey aajazi ke baad

suntey hain baad marne ke milta hai sab sila
dekhaingey kia milega humain zindagi ke baad


*********************** ONE MORE **************************
zakhm-e-tanhayee mai khushboo-e-heena kiski thi
saaya deewar pe mera tha, sadaa kiski thi

aansuon se hi sahi, bhar gaya daaman mera
haath to maine uthaaye the, dua kiski thi

meri aahon ki zubaan koi samajhta kaise
zindagi itni dukhi mere siwa kiski thi

chhor di kiske liye tune "Rufi Mirza" duniya
justuju si tujhe har waqt bata kiski thi
Posted 27 Feb 2007

Hum bhi mohabbat kiya kartay thay


Jab teri dhun main jiya kartay thay
Hum bhi chup chap phira karat thay
Ankhoo main piyas howa karti thi
Dil main toofan utha kartay thay
                            Loog atay thay gazal sunnay ko
                            Hum teri baat kiya kartay thay
Saach samajhtay thay teray wadoon ko
Raat din ghar main raha kartay thay
Kisi weeranay main tujh say mil kar
Dil main kiya phool khila kartay thay
Ghar ki deewar sajanay ki khatir
Hum tera naam likha kartay thay
Raat bhar rootay thay teri khatir
Aur tujhay khat likha kartay thay
Kal tujhay deekh kar yaad aya
Hum bhi mohabbat kiya kartay thay


Posted 27 Feb 2007

Muqaddar chhor de jisko!
Muqaddar chhor de jisko zamaanaa chhor deta hai
khizaa meiN har parinda aashiyanaa chhor deta hai

samajh leiN lagrahi hai aapki buniyaad meiN deemak
padosi jab kabhi nazreiN milana chhor deta hai

zamaane bhar ki taqreereN asar mujh par naheeN karteeN
magar ik lafz teraa ik fasaana chhor deta hai

wo zaalim bewafaa harjaai hai magar fir bhi
nazar milte hi ik manzar suhana chhor deta hai
Posted 27 Feb 2007

Reply to Topic